CHATHA (6th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ADAB KARNA
Bismillahirrahmanirraheem
ALLAH TA'ALA NE TAMAAM AHLE EMAAN KO AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ADAB AUR EHTARAAM ARNE KA HUKM DIYA HAI
"Beshak humne tujhko gawahi dene wala, basharat dene wala aur daraane wala bana kar bheja hai takey tum loog Allah aur uske Rasool par emaan lao, uska saath do aur uska adab karo aur subah wa shaam Allah k naam ki tasbeeh karo". (Surah Fatah Surah no. 48 Ayat no. 8-9)
DUNYA K HAR INSAN SE BADH KAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ADAB AUR EHTARAAM KARNA WAJIB HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein dunya aur aakhirat mein har momin k nazdeek daigar tamaam loogo ki nisbat muqaddam hu agar chaaho to quran majeed ki ye aayat padh lo "Nabi, Ahle emaan k liye unki apni jaano se bhi ziyaadah muqaddam hai". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer, Tafseer Surah Ahzaab)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ADAB NA KARNE WALO K SAARE NAIK AAMAAL ZAAYA HO JAATE HAI
"Ae loogo, jo emaan laye ho! apni aawaaz nabi ki aawaaz se buland na karo aur na hi nabi k saath unchi aawaaz se baat karo jis tarah tum aapas mein ek doosre se karte ho, aesa na ho k tumhare saare (naik) aamaal zaaya ho jaye aur tumhey khabar bhi na ho". (Surah Hujuraat Surah no. 49 Ayat no. 2)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI RISALAT KA ADAB!
Hazrat Bara (bin Aajib) Razi Allahu Anhu kehte hai jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko baitullah shareef jaane se rook diya gaya aur ahle makkah se sulah (hudaibiyah) tey pai gayi us waqt Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sulah ki sharayit likhwate hue Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se farmaya "Hamare darmiyan jo shart tey paayi hai wo likho, "Bismillahirrahmanirraheem........ye wo faisla hai jo Muhammad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kiya hai" is par mushrikeen e makkah ne kaha "Agar hum aapko Rasool maante to aapki bait kar lete, lihaza uski jagah Muhammad bin Abdullah likho" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko hukm diya k "Rasool Allah ka lafz mita do" Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne kaha "Wallah! mein ise kabhi nahi mitaunga" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Accha mujhe uski jagah dikhao" Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne jagah dikhaayi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khud usey mita diya. (Sahih Muslim Kitabul Jihad was Siyar)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI RIHA'ISH-GAAH KA ADAB KARNA
Hazrat Abu Ayyub (Ansari) Razi Allahu Anhu kehte hai jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (hijrat k baad) mere ghar tashreef laaye to makaan ki nichli manzil mein qayaam farmaya, mein aur ummey Ayyub makaan ki uper wali manzil mein thehrey, mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mere maa baap aap par qurban! mujhe ye baat sakht na-gawaar aur shaaq guzarti hai k mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k uper rahu aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam nichey rahey, Aap uper wali manzil mein tashreef le aaye aur mein nichey wali manzil mein chala jata hu" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Abu Ayyub! hamare liye aur hamare mulaqaatiyo k liye nichli manzil araam-deh hai" chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam nichli manzil mein qayaam pazeed ho gaye aur mein makaan ki uper wali manzil mein qayaam pazeed ho gaya, ek rooz hamara paani ka ghada toot gaya, Ummey Ayyub ne wo kambal liya jiske alawah hamare paas koi cheez (sardi se bachne k liye) na thi aur hum us se paani khushk karne lage, hamey darr tha k kahi aesa na ho k paani ka koi qatrah nichey girey aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko us se koi takleef pahunchey, (agle rooz) mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein is chatt par qayaam nahi karunga jiske nichey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam riha'ish pazeed hai" chunanchey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam uper wali manzil mein tashreef le gaye aur Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu nichey wali manzil mein aa gaye. (Al Bidaya wan Nihaya li bin Kaseer, Fasal fi dakhool Alaihis salaam al Madeenah 3:215)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K LUAAB MUBARAK KA ADAB!
Hazrat Miswar bin Makhramah Razi Allahu Anhu kehte hai k Urwah (bin Mas'ood saqafi muzakiraat k baad) apne loogo (yaani quraish e makkah) k paas wapas gaya aur unse kaha "Loogo, Allah ki qasam! mein baadshaaho k darbaaro mein gaya hu aur qaisar wa kisra neez najjashi k darbaar bhi dekh kar aaya hu magar mene kisi baadshaah ko aesa nahi dekha k uske musahib uski itni izzat karte ho jitni Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k As'haab Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki izzat karte hai, Allah ki qasam! jab wo thookte hai to unka thook kisi na kisi k haath par padta hai aur wo usko apne chehrey aur jism par mal leta hai aur jab wo kisi baat ka hukm dete hai to foran unke hukm ki tameel karte hai aur wo wuzu karte hai to loog unke wuzu se bachey hue paani k liye ladte marte hai aur jab guftagu karte hai to unke saamne apni aawaazey past rakhte hai aur tazeem ki wajah se unki taraf nazar bhar kar nahi dekhte". (Sahih Bukhari Kitabul Sharoot baab Sharoot fil Jihad)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI DAADHI MUBARAK KA ADAB!
Hazrat Miswar bin Makhramah Razi Allahu Anhu ek taweel hadees mein bayan karte hai k (sulah hudaibiyah k mouqey par numayindah e quraish) Urwah bin Mas'ood Saqafi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se baatey karne laga wo jab bhi guftagu karne lagta Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki daadhi mubarak ko haath lagata, Hazrat Mugheerah bin Shouba Razi Allahu Anhu apne sar par khoor pehney Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas khade they aur unke haath mein talwar thi jab bhi urwah apna haath Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki daadhi mubarak ki taraf badhaata to Hazrat Mugheerah bin Shouba Razi Allahu Anhu apni talwar ka dasta uske haath par de maarte aur farmate "Apna haath Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki daadhi mubarak se door rakh". (Sahih Bukhari Kitabul Sharoot baab Sharoot fil Jihad)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI AAWAAZ MUBARAK KA ADAB!
1. Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai jab ye aayat nazil hui "Ae loogo! jo emaan laaye ho! apni aawaaz Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki aawaaz se unchi na karo" (Surah Hujuraat Surah no. 49 Ayat no. 2) to Hazrat Sabit bin Qais Razi Allahu Anhu apne ghar baith gaye (Hazrat Sabit Razi Allahu Anhu ki aawaaz qudrati taur par unchi thi) aur kehne lage "Mein to aagh walo mein se hu" aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se milna julna tark kar diya, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu se daryaft farmaya "Ae Abu Amar Razi Allahu Anhu! (Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ki kunniyat) Sabit Razi Allahu Anhu kaha hai, kya beemar hai?" Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Wo mera hamsaaya hai aur mere ilm ki hadd tak to beemar nahi" chunanchey Hazrat Saad Razi Allahu Anhu Hazrat Sabit Razi Allahu Anhu k ghar aaye aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki guftagu ka tazkirah kiya, Hazrat Sabit Razi Allahu Anhu kehne lage "Falah aayat nazil hui hai aur tum jaante ho k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabiltey mein meri aawaaz tum sab loogo se ziyaadah unchi hai mein to jahannami ho gaya" Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ne (wapas aa kar) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se uska zikr kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi wo to jannati hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
2. Hazrat Abu Mulaika Rahimahullah kehte hai k qareeb tha k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamney unchi aawaaz mein baat karne ki wajah se (hum mein se) do sabse behtar aadmi halaak ho jaate, hua ye k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein qabeela e banu tameem k kuch loog aaye to Hazrat Abu Bakr aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhuma mein se ek bani majashie k bhai Aqra'e bin Habis Razi Allahu Anhu ko ameer banaane ka (Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko) mashwarah diya, doosre sahab ne ek aur aadmi ko ameer banaane ka mashwarah diya, Hazrat Nafey Rahimahullah kehte hai k mujhe us aadmi ka naam yaad nahi, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se kaha "tumne sirf meri mukhalifat k liye ye mashwarah diya hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha "Mera iraadah tumhari mukhalifat ka na tha" is guftagu mein dono ki aawaazey buland ho gayi to Allah Ta'ala ne ye aayat nazil farmayi "Ae emaan walo! apni aawaazo ko Nabi ki aawaaz se buland na karo" (Surah Hujuraat Surah no. 49 Ayat no. 2) Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu kehte hai k is aayat k nuzool k baad Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne is qadar past aawaaz se baat karte k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko baar baar puchna padta (tumne kya kaha?). (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer, baab Tafseer Al Hujuraat)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI WAHI KA ADAB!
Hazrat Ubadah bin Saamit Razi Allahu Anhu kehte hai jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par wahi ka nuzool hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apna sab mubarak jhuka lete aur Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum bhi apne sar jhuka lete jab wahi khatam ho jati to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apna sar mubarak utha lete (aur Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum bhi apne sar utha lete). (Sahih Muslim Kitabul Fazail)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K JALAAL KA ADAB!
Hazrat Umar bin Aas Razi Allahu Anhu farmate hai mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ziyaadah kisi se muhabbat na thi na meri nigaah mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ziyaadah kisi ki shaan thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k jaaal ki wajah se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aankh bhar k dekhne ki mere andar himmat na thi agar koi mujhse Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka huliya mubarak puchey to mein bayan nahi kar sakta kyunki mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aankh bhar kar kabhi nahi dekh sakta. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI UMAR SHAREEF KA ADAB!
Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone qabeela banu yamar bin lais k fard Qubaat bin Ashyam Razi Allahu Anhu se daryaft kiya "Tum bade ho ya Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam bade hai?" Hazrat Subaat Razi Allahu Anhu ne farmaya "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhse bade hai, lekin paida mein pehle hua tha". (Tirmizi Abwabul Manaqib Hadees no. 3619)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K FIQR WA FAAQAH KA ADAB!
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unka guzar aese loogo par hua jinke saamne bhuni hui bakri rakkhi thi unhone Hazrat Abu Hurairha Razi Allahu Anhu ko bhi khaane ki dawat di lekin Hazrat Abu Hurairha Razi Allahu Anhu ne ye keh kar inkaar kar diya Rasool Alalh Sallallahu Alaihi Wa Sallam dunya se is haal mein rukhsat hue k joo ki rooti bhi pait bhar k nahi khaayi. (Sahih Bukhari Kitabul It'amah ma kaana Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam wa As'haabihi yakiloon)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AARAAM KA ADAB!
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai mein aur (mere walid) Hazrat Umar Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se milne ki garz se hazir hue, lekin aap do-pahar k waqt soo rahe they, lihaza hum ghar wapas aa gaye. (Sahih Bukhari Kitabul Manaqibul Ansaar)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DAST E MUBARAK KA ADAB!
Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se bait karne k baad mene apna dahina haath kabhi sharm-gaah ko nahi lagaya. (Musnad Ahmad Hadees no. 19943)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NEEND KA ADAB!
Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai (ek safar mein) hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they, aadhi raat ka waqt ho gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (sawari par) oonghney lage, mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pehlu mein (paidal) chal raha tha, Aap sawari se jhukne lage to mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko jagaaye bagair sahara diya hatta k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam seedhey ho kar baith gaye hum chalte gaye hatta k raat ka kaafi hissa guzar gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (ooungh ki wajah se) phir jhukne lage to mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko jagaaye bagair sahara diya hatta k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam seedhey ho kar baith gaye, hum phir chalte gaye hatta k fajar ka waqt ho gaya, is baar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehli dono martaba se bhi ziyaadah jhukey, qareeb tha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam sawari se gir padte, mene aagey badh kar phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sahara diya, is baar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna sar mubarak uthaya aur pucha "Kaun hai?" mene arz ki "Abu Qatadah hu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Kab se mere saath is tarah chal rahe ho?" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! raat bhar se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath isi tarah chal raha hu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah Ta'ala isi tarah tumhari hifazat farmaye jis tarah tumne uske nabi ki hifazat ki hai". (Sahih Muslim Kitabul Masajid wa Mawazi us Salaat)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K RAAZ KA ADAB!
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse raaz ki ek baat kahi mene wo kisi ko na bataayi hatta k (meri walidah) Ummey Saleem Razi Allahu Anha ne mujhse puchi to mene walidah ko bhi nahi bataayi. (Sahih Muslim Kitabul Fazail)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K BISTAR MUBARAK KA ADAB!
Hazrat Abdullah bin Abi Salmah Razi Allahu Anhu kehte hai Abu Sufyaan (makkah se sulah hudaibiyah ki shara'it ki tajdeed k iraade se) nikla aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mulaqaat k liye madeena pahuncha, apni beti Ummul Momineen Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha k ghar gaya jab wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k bistar par baithne laga to Ummul Momineen Razi Allahu Anha ne foran bistar lapait diya, Abu Sufyaan kehne laga "Beti! kya tumne is bistar ko mere laayiq nahi samjha ya mein is bistar k laayiq nahi?" Ummul Momineen Razi Allahu Anha ne (bila tamil) jawab diya "Ye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka bistar hai aur tu ek mushrik napaak aadmi hai is liye mein ye pasand nahi karti k tu is bistar par baithey". (Al Bidaya wan Nihaya li bin Kaseer juzz e rabee Safa no. 675)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHAD KA ADAB KARNA
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Sayyedna Salman Faarsi Razi Allahu Anhu beemar ho gaye aur Hazrat Saad bin Waqaas Razi Allahu Anhu Aapki iyadat k liye aaye to unhey rootey hue dekha Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ne pucha Salman! mere bhai kyu rootey ho? kya tumhey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sohbat hasil nahi rahi? kya Allah ne tumhey falah falah naimat se nahi nawaza? Hazrat Salman Razi Allahu Anhu ne farmaya mein dono baato mein se kisi baat par nahi roota na dunya choodne ki wajah se na aakhirat ko bura samajhne ki wajah se balkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse ek ahad liya tha aur mujhe mehsoos hota hai k mene wo ahad poora nahi kiya Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ne daryaft farmaya wo ahad kya tha? Hazrat Salman Razi Allahu Anhu ne bataya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse ye ahad liya tha k dunya se bas itna hi maal lena jitna ek musafir apne saath leta hai ab mein dekhta hu k mene us ahad ki paasdaari nahi ki pas ae Saad! (mein tumhey waseeyat karta hu "k jab koi faisla karo to Allah se dar kar karo jab maal taqseem karo to Allah se dar kar karo jab kisi bhi kaam ka iraadah karo to Allah se dar kar karo) Hazrat Sabit Razi Allahu Anhu likhte hai Hazrat Salman Faarsi Razi Allahu Anhu jab faut hue to unke 20 se kuch ziyaadah dirham mojod they jo unhoney apni zarooriyaat k liye rakkhey hue they". (Ibne Maja Kitabuz Zuhad Hadees no. 2:3312)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TALWAR KA ADAB!
Ibne Is'haaq se riwayat hai k Hazrat Abu Dajanah Razi Allahu Anhu kehte hai "Mene (maidaan e uhad mein) ek aadmi ko dekha jo bade zoor shoor se loogo ko joosh dila raha hai mene usey qatal karne ka iraadah kiya, jab mene talwar se hamla karna chaaha to usne cheekh pukaar shuru kardi, wo koi aurat thi, mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki talwar k ehtaraam mein us aurat ko qatal karna pasand na kiya. (Al Bidaya Wan Nihaya li bin Kaseer Juzz e Saalis Safa no. 393)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI SAWARI KA ADAB!
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo ek safar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they aur unke paas Hazrat Umar Razi Alalhu Anhu ka ek muhzoor ounth tha jo baar baar Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k ounth se aagey nikal jata, ye dekh kar Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne apne baite Abdullah ko aawaaz di "Abdullah! Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se aagey koi na badhey". (Sahih Bukhari Kitabul Hibah)
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MASJID SHAREEF KA ADAB!
Hazrat Sayib bin Yazeed Razi Allahu Anhu kehte hai mein masjid e nabawi mein khada tha kisi aadmi ne mujh par kankar phenka, mene idhar dekha to Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu they, farmane lagey "Jao un dono aadmiyo ko mere paas pakad ka lao" mene un dono aadmiyo ko Hazrat Umar Razi Allahu Anhu k paas le kar aaya, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne unse pucha "tum loog kaun ho? ya aapne daryaft farmaya tum dono kaha se aaye ho?" unhone bataya "Hum Tayif se aaye hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Agar tum madeena munawwarah se hote to mein tumhey masjid e nabawi mein aawaazey buland karne par saza deta". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat)
Wazahat: Haramain Sharafain mein kisi se ladaayi jhagda karna, gaali galooch karna, qitaal karna, kisi ko khoof zadah karna, kisi jaanwar ka shikar karna ya shikar karne k liye jaanwar ko bhagana, koi giri padi cheez uthana, ghaans ya darakht kaatna mana hai.
AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HADEES SHAREEF KA ADAB
1. Hazrat Ma'an bin Isa Rahimahullah kehte hai Hazrat Malik bin Anas Rahimahullah jab Hadees E Rasool bayan karne ka iraadah farmate to pehle ghusal karte phir awad ki dhooni lete, khushboo lagate aur agar koi Hazrat Malik bin Anas Rahimahullah k paas is doraan unchi aawaaz se baat karta to farmate "Apni aawaaz past karo" Allah Ta'ala irshad farmate hai "Ae loogo, jo emaan laye ho! apni aawaazey Nabi ki aawaaz se unchi na karo" (Surah Hujuraat Surah no. 49 Ayat no. 2) pas jisne Hadees E Rasool sunte hue unchi aawaaz se koi baat ki usne gooya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki aawaaz se apni aawaaz unchi ki. (Siyar Aala Min Nubala li bin Jauzi 9:154)
2. Hazrat Ibne Abu Uwais Rahimahullah kehte hai k Imam Malik Rahimahullah raaste mein khade khade ya jaldi mein hadees bayan karna bura samajhte they aur farmate they k mein chahta hu k jo kuch Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se bayan karu usey acchi tarah samjha jaye. (Aezan li bin Jauzi 9:201)
3. Hazrat Abdur Rahman bin Mahdi Rahimahullah jab Hadees E Rasool padhte to hazireen ko mukammal sakoot aur khamooshi ka khum dete, koi kisi se baat na karta, qalam taraashta na muskurata aur na hi koi khada nazar aata, loog is tarah tawajjah se hadees sunte jese unke siron par parindey baithey hai ya wo namaz padh rahe hai, aur agar kisi shaks ko Abdur Rahman Mahdi baat karte ya muskuraate dekh lete to (naraaz ho kar) apna joota pehante aur waha se chale jaate. (Siyar Aala Min Nubala 7:460)
4. Hazrat Abu Salma Khuzaayi Rahimahullah kehte hai Hazrat Malik bin Anas Rahimahullah jab dars e Hadees k liye ghar se nikalte to namaz ki tarah ka wuzu farmate, behtareen kapde zaib-tan farmate, sar par topi rakhte, apni daadhi mein kanghi farmate, is ehtamaam k baare mein jab unse pucha gaya to farmaya "Is se maqsood Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Ahadees ka adab aur ehtaraam hai". (Jamey Bayanal Ilm wa Fazlah 2:350)
5. Hazrat Abu Zinaad Rahimahullah kehte hai Hazrat Saad bin Musayyab Rahimahullah beemari ki halat mein Hadees bayan karna chahte to farmate "Mujhe utha kar bitha do, mujhe ye baat sakht na-gawaar guzarti hai k mein lait kar Hadees E Rasool bayan karu". (Aezan 2:350)
6. Hazrat Malik bin Anas Rahimahullah ka Hazrat Abu Hazim Rahimahullah par guzar hua aur wo dars e Hadees de rahe they, lekin Hazrat Malik Rahimahullah (Hadees suney bagair) aagey nikal gaye aur farmaya "Mujhe baithne ki jagah nahi mili aur mein khade ho kar Hadees E Rasool sun'na pasand nahi karta". (Jamey li bin Khateeb 2:53, Huqooq un Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Man Ajlaal wal Akhlaal)
7. Hazrat Is'haaq Rahimahullah kehte hai mene Hazrat A'amash Rahimahullah ko dekha k jab wo Hadees bayan karna chahte aur wuzu na hota to tayammum kar lete. (Sharhish Shifaa 2:72, Huqooq un Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Man Ajlaal wal Akhlaal)
8. Hazrat Urwah bin Zubair Razi Allahu Anhu ne kisi masla mein Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se kaha k Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu to aesa nahi karte they, Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne (Urwah bin Zubair se) kaha "Wallah! mujhe lagta hai tum us waqt tak baaz nahi aaogey jab tak tumhey Allah azaab na de daale hum tumhare saamne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Hadees bayan karte hai aur tum Abu Bakr Razi Allahu Anhu aur Umar Razi Allahu Anhu ki baat karte ho". (Jamey Bayanal ilm wa Fazlah 2:1209-1210 raqam 2377, Huqooq un Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Safa no. 129)