IBLEES (SHAITAN) FARISHTA YA JINN?
Bismillahirrahmanirraheem
Quran Majeed mein muta'addad muqamaat par kaha gaya hai k iblees ek farishta tha lekin Surah Kahaf mein farmaya hai k iblees ek jinn tha, kya ye baat Quran mein tazaad ko zahir nahi karti?
Quran E Kareem mein mukhtalif muqamaat par Aadam Alaihis Salaam aur iblees ka qissa bayan kiya gaya hai, Surah Baqarah mein Allah ta'ala ne farmaya: Humne farishto se kaha k Aadam ko sajdah karo, so un sabne sajdah kiya siwaye iblees k. (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 34)
is baat ka tazkira hasb e zail ayaat mein bhi kiya gaya hai:
1. Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 11
2. Surah Hijr Surah no. 15 Ayat no. 28-31
3. Surah Bani Israeel Surah no. 17 Ayat no. 61
4. Surah Taha Surah no. 20 Ayat no. 116
5. Surah Saad Surah no. 38 Ayat no. 71-74
Lekin Surah Kahaf Surah no. 18 Ayat no. 50 kehti hai: Aur jab humne farishto se kaha: Aadam ko sajdah karo to un sabne sajdah kiya siwaye iblees k wo jinno mein se tha, pas usne apne rabb k hukm ki nafarmaani ki. (Surah Kahaf Surah no. 18 Ayat no. 50)
TAGLEEB KA KALYAH
Surah Baqarah ki mazkoorah bala Ayaat k pehle hisse se hame ye taasir milta hai k iblees farishta tha, Quran E Kareem arbi zubaan mein nazil hua hai arbi grammar mein ek kalya tagleeb k naam se maroof hai jinke mutabiq agar aksariyat se khitab kiya ja raha ho to aqleet bhi khud ba khud usme shamil hoti hai, misal k taur par mein 100 talib e ilmo par mushtamil ek aesi class se khitab kar raha hu jisme ladko ki tadaad 99 aur ladki ki sirf 1 hai, aur mein arbi zuban mein ye kehta hu k sab ladkey khade ho jaye to uska itlaaq ladki par bhi hoga, mujhe alag taur par us se mukhatib hone ki zarurat nahi hogi.
Isi tarah Quran k mutabiq jab Allah ta'ala ne farishto se khitab kiya to iblees bhi waha mojood tha, ta'hum is amr ki zarurat nahi thi k uska zikr bhi alag se kiya jata, lihaza Surah Baqarah aur degar Surato ki ibarat k mutabiq iblees farishta ho ya na ho lekin 18vi Surah Kahaf ki 50vi aayat k mutabiq iblees ek jinn tha, Quran Kareem mein kahi ye nahi kaha gaya k iblees ek farishta tha, isi liye Quran e Kareem mein is hawaley se koi tazaad nahi.
IRADAH WA IKHTIYAAR JINNO KO MILA, FARISHTO KO NAHI
Is silsiley mein doosri aham baat ye hai k jinno ko irada wa ikhtiyaar diya gaya hai aur wo chaahe to ita'at se inkaar bhi kar sakte hai, lekin farishto ko iradah wa ikhtiyaar nahi diya gaya aur wo hamesha Allah ki ita'at baja laate hai, lihaza is baat ka sawal hi paida nahi hota k koi farishta Allah ki nafarmani bhi kar sakta hai, is haqeeqat se is baat ki mazeed ta'eed hoti hai k iblees ek jinn tha, farishta nahi tha.

No comments:
Post a Comment