AHLE JANNAT KA KHAANA PEENA
Bismillahirrahmanirraheem
JANNATIYO KI JANNAT MEIN SABSE PEHLI MEHMAANI MACHLI SE KI JAYEGI AUR DOOSRA KHANA JANNATI KO BAIL K GOOSHT SE KHILAYA JAYEGA
JANNATIYO KO SABSE PEHLA MASHROOB "SALSABEEL" NAAMI CHASHMA SE PILAYA JAYEGA
Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k azaad kardah gulaam Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas khada tha itne mein yahoodiyo k ulama mein se ek aalim aya aur puchne laga "Jis rooz zameen o aasmaan adal badal kiye jayengey us waqt loog kaha hongey?" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Pul-Siraat k qareeb andherey mein khade hongey" phir yahoodi aalim ne pucha "Pul-Siraat ko sabse pehle kaun loog aboor karenge?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "tangdast muhajireen (makka se madeena hijrat karne wale)" yahoodi aalim ne pucha "Jannati loog jannat mein dakhil hongey to sabse pehle unki khidmat mein konsa tohfa paish kiya jayega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "machli k jigar ka goosht" yahoodi ne phir pucha "uske baad unka khana kesa hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jannatiyo k liye jannat mein charne wala bail zibah kiya jayega (jiska goosht unhey khilaya jayega)" yahoodi ne pucha "khane k baad peene k liye jannatiyo ko kya diya jayega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Salsabeel chashmey ka paani" yahoodi aalim ne kaha "Aapne sach farmaya". (Sahih Muslim Kitabul Haiz)
HAMARI MOJOODAH ZAMEEN, AHLE JANNAT KI ROTI HOGI
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmyaa "Qayamat k rooz ye zameen ek roti ki shakal mein hogi Allah ta'ala use apne haath se usi tarah ulat palat farmayega jis tarah tum mein se koi shaks safar mein apni roti ko (haato se) ulat palat karta hai aur wo roti ahle jannat ki maizabaani hogi". (Muttafiqun Alaih, Mishkatul Masaabeeh Kitabul Faan, baab hashr, fasal awwal)
JANNAT KA AALA TAREEN MASHROOB "TASNEEM" SIRF ALLAH K MUQARRAB BANDO KI KHIDMAT MEIN PAISH KIYA JAYEGA
JANNAT KI KHALIS AUR SAAF WA SHAFFAAF SHARAAB "RAHEEQ" SE TAMAAM JANNATI LUTF ANDOOZ HONGEY
AHLE JANNAT KI KHIDMAT MEIN "RAHEEQ" K SARBAND SAAGIR PAISH KIYE JAYENGEY
"RAHEEQ" PEENE K BAAD JANNATI, MUH MEIN MUSHK KA ZAIQA MEHSOOS KARENGEY
"Beshak naik loog bade mazey mein hongey unchi musnado par baithey nazaare kar rahe hongey tum unke chehro par se naimato ki ronaq aur tar o taazgi mehsoos karoge unko nafees bartan sarband sharaab pilaayi jayegi jis par mushk ki muhar lagi hogi jo loog doosro par baazi le jana chahte hai wo us (sharaab) ko hasil karne mein baazi le jaane ki koshish karenge is nafees aur umdah sharaab mein tasneem k paani ki aamezish hogi tasneem ek chashma hai jis (ka khalis pani) muqarrab loog piyengey". (Surah Mutaffafeen Surah no. 83 Ayat no. 22-28)
AHLE JANNAT "AAB E KAUSAR" SE BHI NAWAAZEY JAYENGEY
Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hooz e kausar k kinaarey par mein ahle emaan ki khatir doosre loogo ko apni chadi (lathi) se hataunga yaha tak k hooz ka paani ahle emaan ki taraf beh niklega (aur wo khoob sair ho kar piyengey) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya gaya "Hooz ka arz kitna hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Madeena se le kar ammaan tak" phir hooz k paani k baare mein sawal kiya gaya "wo kesa hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Doodh se ziyaadah safaid aur shehad se ziyaadah meetha" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hooz mein jannat k do parnaalo se paani aayega unme se ek parnaala sooney ka hoga aur doosra chandi ka". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)
JANNAT MEIN SAFAID CHAMAKDAAR SHARAAB BHI AHLE JANNAT KI TOZEE'I K LIYE MOJOOD HOGI
JANNAT KI SHARAAB PEENE K BAAD HOOSH WA HAWAAS AUR AQAL WA KHARD MEIN KISI QISM KA BIGAAD PAIDA NAHI HOGA
"Sharab k chashmo se saagir bhar kar unke darmiyaan phiraaye jayengey chamakti hui sharaab jo peene walo k liye lazzat bhari hogi us se na jism ko koi nuqsaan pahunchega na aqal kharab hogi". (Surah Safaat Surah no. 37 Ayat no. 45-47)
"Ahle jannat k saamne chandi k baratan aur sheeshe k saagir gardish karaaye jayengey sheesha bhi wo hoga jo chandi ki tarah (safaid aur chamakdaar) hoga khuddaam ne unhey theek andaazey k mutabiq bhara hoga". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 15-16)
AHLE JANNAT KI KHIDMAT MEIN "SHARAAB E TAHOOR" K JAAM PAISH KIYE JAYENGY
"Ahle jannat ki khidmat k liye aese ladkey doodey phir rahe hongey jo hamesha ladkey hi rahengey tum tunhey dekho to samajhoge k mooti hai jo bikhair diye gaye hai waha jidhar bhi tum nigaah daloge ek badi saltanat ka sar o samaan tumhey nazar ayega unke uper bareek raisham k sabz libaas aur aur itlas wa daiba k kapde hongey aur unhey chandi k kangan pehnaaye jayengey aur unka rabb unhey nihayat pakeezah sharaab pilayega". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 19-21)
AHLE JANNAT KO AESI SHARAAB PILAYI JAYEGI JISME SOONTH KI AAMAIZISH HOGI
"Ahle jannat k aagey chandi k bartan aur sheeshey k piyaaley gardish karaaye ja rahe hongey shishey bhi chandi ki tarah (chamakdaar) hongey, un piyaalo ko (khuddaam) theek andaazey k mutabiq bharengey ahle jannat ko waha aesi sharaab k jaam pilaaye jayenge jisme soonth ki aamezish hogi, ye (sharaab jannat k) ek chashmey se (baramad) hogi jiska naam "Salsabeel" hai". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 15-18)
AHLE JANNAT KI KHIDMAT MEIN AESI SHARAAB K SAAGIR BHI PAISH KIYE JAYENGEY JISME KAFOOR KI AAMAIZISH HOGI
"Naik loog (jannat mein) sharaab k aese saagir piyengey jinme kafoor ki aamaizish hogi, kafoor (jannat mein) ek chashma hai jis se Allah k bandey piyengey aur us chashmey ki nadya jidhar chahengey (sirf khawahish karne se hi) baha le jayengey". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 5-6)
AHLE JANNAT K PEENE K LIYE MEEHEY PAANI, KHUSH ZAIQA DOODH LAZEEZ SHARAAB AUR SAAF WA SHAFFAAF SHEHAD KI NEHREY BHI JANNAT MEIN MOJOOD HONGI
"Muttaqeen loogo se jis jannat ka wada kiya gaya hai uski shaan to ye hai k us mein meethey paani ki nehrey beh rahi hai, aese doodh ki nehrey jiske zaiqey mein zarra farq na aaya ho, aesi sharaab ki nehrey jo peene walo k liye lazeez ho aur saaf shaffaaf shehad ki nehrey beh rahi hai". (Surah Muhammad Surah no. 47 Ayat no. 15)
RAWA RAWA CHASHMO K PAANIYO SE BHI AHLE JANNAT LUTF ANDOOZ HONGEY
"Jannat mein rawa rawa chashmey behte hongey". (Surah Gashiyay Surah no. 88 Ayat no. 12)
JANNAT KI SHARAAB PEENE SE JANNATIYO KA SAR CHAKRAAYEGA NA AQAL MEIN FATOOR AYEGA
AHLE JANNAT K PASANDEEDAH PHAL HASB KHAWAHISH BAKASRAT UNKI KHIDMAT MEIN PAISH KIYE JAYENGEY
MAN-PASAND PARINDO KA BHUNA HUA GOOSHT BHI LAZZAT DAHAN K LIYE MOJOOD HOGA
"Ahle jannat ki khidmat k liye abdi ladkey (ek hi umar mein rehne wale) saaf suthri sharaab se labraiz saagir liye phir rahe hongey jise pee kar na unka sar chakrayega na unki aqal mein fatoor ayega aur wo unke saamne tarah tarah k lazeez phal paish karengey jise chahey chun le aur parindo k goosht paish karengey k jis parindey ka goosht chahey istemaal kare". (Surah Waqia Surah no. 56 Ayat no. 17-21)
AHLE JANNAT KI MAIZABAANI K LIYE DAIGAR TAMAAM PHALO K ALAWAH KHAJOOR, ANGOOR, ANAAR, BAIR AUR ANJEER K PHAL BAKASRAT MOJOOD HONGEY
"Dono baagho mein (har qism k) phal hai (khaas taur par) khajoor aur anaar k, phir ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kis kis naimat ko jhutlaogey". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 68-69)
"Beshak muttaqi loog hi (aakhirat mein) kaamyaab hongey jaha unke liye baagaat aur angoor hongey". (Surah Naba Surah no. 78 Ayat no. 32-33)
HOOZ E KAUSAR MEIN UDHNE WALI CHIDYO K GOOSHT SE BHI AHLE JANNAT LUTF ANDOOZ HONGEY
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya "kausar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye ek nehar hai jo mujhey Allah ta'ala ne jannat mein ata farmayi hai jiska paani doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hai, isme aese parindey (udhte hai) jinki gardaney untho ki si hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz kiya "wo parindey to khoob mazey mein hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "un parindo ko khaane wale ziyaada mazey mein hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)
AHLE JANNAT KI DAWATO KA SILSILA SUBAH WA SHAAM JAARI RAHEGA
"Aur jannatiyo k liye jannat mein subah wa shaam rizq tayyar hoga". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 62)
JANNAT MEIN HAR SHAKS KO 100 AADMIYO K BARABAR KHANE KI ISTATA'AT DI JAYEGI
Hazrat Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ahle jannat mein se har shaks ko khane peene aur shahoot wa jimaa mein 100 aadmiyo k barabar istata'at diya jayega ahle jannat ki rafe haajat ki soorat ye hogi k unke jism se paseena bahega aur pait wese ka wesa hi ho jayega (jesa k khane se qabl tha)". (Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1623)
AHLE JANNAT KA KHANA PEENA DAKAAR AUR PASEENA AANE SE HAZAM HO JAYEGA
Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannati khaaye aur piyengey lekin na thokengey na pishaab karengey na pakhaana karengey, na naak sinkengey" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "to phir khana kaha jayega?" Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ne irshad farmaya "Dakaar aur paseena ayengey (jis se khana hazam ho jayega) jannati tasbeeh aur tahmeed usi tarah karengey jis tarah saans leete hai". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 367)
AHLE JANNAT KO MASHROBAAT WA MAKOLAAT SOONE, CHANDI AUR SAFAID CHAMAKDAAR SHEESHEY K BARTANO MEIN PAISH KIYE JAYENGEY
"Ahle jannat k aagey sooney k thaal aur saagir gardish karaaye jayengey har man-bhaati aur nigaaho ko lazzat dene wali cheez unke liye waha mojood hogi unse kaha jayega tum ab yaha hamesha rahogey tum us jannat k waris un amaal ki bina par hue jo tum dunya mein karte rahe tumhare liye yaha bakasrat phal mojood hai jinhey tum khaaoge". (Surah Zukhruf Surah no. 43 Ayat no. 71-73)
No comments:
Post a Comment