Zikr shuda ayaat e mubaraka k baad ab insha Allah Ahadees e
sharifa zikr karta hu aeiye dekhte hai k Allah k Rasool SAW ne Allah ki is
sifate uloo yani tamaam tar makhlooq se juda aur buland hone k bare mai kya
farmaya hai:
1. Muaviya ibne hakeemus sulmi RA farmate hai mere paas ek
baandi hai jo uhad (pahaad) k saamne aur ird gird meri bakriya charaya karti
thi ek din mene dekha k uski (nigrani mai meri) jo bakriya thi un mai se ek ko
bediya le gaya, mai aadam ki aulad mai se ek aadmi hu jis tarha baaki aadmi
gamgeen hote hai mai bhi usi tarha gamgeen hota hu, lekin mene (is gam mai) use
ek thappad maar diya, to mai Rasool Allah SAW k paas aya kyunki use thappad
maarna mere liye (dil par) bada (boojh) ban gya tha, mene arz kiya "ae
Allah k Rasool SAW kya mai use azaad kar du?to Rasool Allah SAW ne irshad
farmaya: us baandi ko mere paas lao, to mai us baandi ko le kar phir dobara
hazir hua to Rasool Allah SAW ne us se daryaft farmaya Allah kaha hai? us
baandi ne jawaban arz kiya "Aasmano par", phir daryaft farmaya
"mai kon hu?", us baandi ne jawaban arz kiya "aap Allah k Rasool
hai" to Rasool Allah SAW ne mujhe huqm farmaya ise azaad kar do ye emaan wali
hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 537)
2. Abu Huraira RA se riwayat hai k Rasool Allah SAW ne
farmaya: jab raat ka akhiri teesra pehar hota hai to hamara rabb Allah tabark
wa ta'ala har raat mai dunya k aasman ki taraf utarta hai aur farmata hai
"kon hai jo (is waqt) mujh se dua kare k mai uski dua kabool karu, kon hai
jo (is waqt) mujhse koi sawal kare k mai uska sawaal pura karu, kon hai jo (is
waqt) mujhse magfirat talab kare k mai uski magfirat karu". (Sahih Bukhari
kitabut tahajjud, Sahih Muslim kitabus salaatul musafireen hadees no. 758)
3. Abu Huraira RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya:
raat k farishte aur din k farishte tum loogo mai ek dusre k pichey aatey hai
aur namaz e asr aur namaz e fajr k waqt ikatthey ho jate hai (yani farishto ka
ek garoh fajr k waqt ata hai aur asr tak rehta hai, ye din k farishte hai aur
dusra garoh asr k waqt ata hai aur fajr tak rehta hai ye raat k farishte hai)
phir wo farishte jinhone tumhare darmiyan raat guzari hoti hai (yani asr k waqt
aane wale farishte) uper (Allah ki taraf) chadhte hai to (waha) unka rabb unse
puchta hai, jabke wo bando k baare mai farishto se jayada janta hai, tumne mere
bando ko kis haal mai choda? to farishte kehte hai jab humne unhe choda to wo
loog namaz padh rahe they aur jab hum unke paas gaye to wo namaz padh rahe
they. (Sahih Muslim kitabul masajid Hadees no. 632, Sahih Bukhari hadees no.
555, Sahih ibne khuzaima hadees no. 321, Sahih ibne hibban hadees no. 1736,
Muatta Imam malik hadees no. 416, Musnad Ahmad, Sunan nasai kitabus salaat
hadees no. 489)
4. Abu Huraira RA se hi riwayat hai k Rasool Allah SAW ne
irshaad farmaya: beshaq Allah k kuch aese farishte hai jo (zameen mai) chalte
phirte hi rehte hai, aur (Allah k) zikr ki majliso ki talaash mai rehte hai,
jab wo koi aesi majlis paate hai jis mai (Allah ka) zikr ho raha ho to wo zikr
karne walo k sath baith jate hai aur ek dusre ko apne paro se dhanp lete hai,
yaha tak k unke aur dunya wale aasman k saari jagah mai wo farishte phir jate
hai, aur phir jab alag hote hai to aasman ki taraf chadhte aur buland hote hai,
Rasool Allah SAW ne mazeed farmaya: to (waha) Allah farishto se puchta hai k
tum sab kaha se aye ho? jabke Allah farishto k bare mai khud unse jayada janta
hai, to farishte jawaban arz karte hai, hum aapke un bando k paas se aye hai jo
zameen mai aap ki pakizagi, aapki ki badhai, aur aapki wahdaniyat aur aap ki
tareef bayan karte hai, aur aap se sawaal karte hai. (Sahih Muslim kitab zikr
wa dua hadees no. 7015)
5. Abu saeed khudri RA yaman se layi jane wali zakat ki
takseem ka ek waqiya bayan karte hue kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya:
kya tum loog mujhe amanatdaar nhi jaante jabke mai uski taraf se amanatdaar hu jo
aasman par hai, aur mujhe subah wa shaam se khabar aati hai. (Sahih Bukhari
Kitabul Magazi Hadees no. 4351, Sahih muslim kitabuz zakaat hadees no. 2500)
6. Abu Huraia RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne irshaad
farmaya: jisne paak (halaal) kamayi se khajoor k barabar bhi sadqa kiya aur
(yaad rakho k) Allah ki taraf pakeeza (cheez) k elawa aur kuch nahi chadhta to
Allah us sadqa ko apne sidhey hath mai qabool farmata hai aur us sadqa ko sadqa
karne wale k liye badhata hai yaha tak wo pahaad k barabar ho jata hai. (Sahih
Bukhari Kitabut tauheed hadees no. 7430)
7. Abu Huraira RA se hi riwayat hai k Rasool Allah SAW ne
irshaad farmaya: uski kasam jis k haath mai meri jaan hai jab koi khawind apni
beewi ko apne bistar par bulaye aur wo beewi inkaar kare to wo jo aasman par
hai us aurat se us waqt tak naraaz rehta hai jab tak us aurat ka khawind us se
raazi nhi hota. (Sahih Muslim kitabul nikah hadees no. 1436)
8. Abdullah bin umar wa bin Aaas RaziAllahu anhuma kehte hai
k Rasool Allah SAW ne farmaya: reham karne walo par rehmaan reham karta hai,
tum us par reham karo jo zameen par hai, tum par wo reham karega jo aasman par
hai. (Sunan tirmizi hadees no. 1924, Sunan abu dawood kitabul adab hadees no.
4931, musannaf ibne abi shaiba kitabul adab hadees no. 925)
9. Abu Huraia RA
kehte hai k Rasool Allah SAW ne irshaad farmaya: jab Allah takhleeq mukammal
kar chuka to usne kitab mai likha k mere rehmat mere gussey par galib hogi wo
kitab Allah k paas hai arsh k uper. (Sahih Bukhari Kitabul bad ul khalk hadees
no. 3194, Sahih Muslim kitabut tauba hadees no. 2751)
Allah k Rasool Allah SAW saaf bata rahe hai k Allah arsh k
uper hai, har jagah nhi, aaiye dekhte hai k arsh kaha hai, kahi aesa to nhi k
arsh yahi kahi ho aur Allah bhi???
10. Abu Huraia RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne irshaad
farmaya: jo Allah aur uske Rasool par emaan laya aur namaz ada karta raha aur
ramzan k rooze rakhta raha to Allah par (uska) ye haqq hai k Allah use jannat
mai dakhil kare khawah usne Allah ki raah mai jihaad kiya ho ya apni basti mai
hi zindagi guzari ho to Sahaba RA ne kaha: Ae allah k Rasool Allah SAW kya hum
loogo ko ye khushkhabri suna de? to Rasool Allah SAW ne farmaya: Allah ne Allah
ki raah mai jihaad karne walo k liye jannat mai ek soo darjaat bana rakhey hai,
har 2 darjaat k darmiyaan itna fasila hai jitna zameen aur aasman k
darmiyan hai, lihaza jab tum Allah se sawaal karo to firdoos mango kyunki wo
jannat ka darmiyani aur sab se buland muqaam hai, mai samajhta hu k us k uper
rehman ka arsh hai jis mai se jannat k darya phoot te hai. (Sahih Bukhari
Kitabul Jihaad hadees no. 2790)
11. Jareer RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: jo un
par reham nahi karta jo zameen par hai us par wo reham nhi karta jo aasman par
hai. (Tabraani hadees no. 2494, tagzibut tahzeeb hadees no. 3411, sahih tagzibut
tahzeeb hadees no. 2255)
12. Salman faarsi RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne
farmaya: tumhara rabb bahut haya karne wala aur buzurgi wala hai, jab uska koi
banda uski taraf apne dono haath buland karta hai to Allah uski baat se haya
karta hai k us bande k haatho ko khali na moodey. (Sunan abu dawood hadees no.
1485, Sunan tirmizi hadees no. 3556)
jab banda apne haath uthata hai to uske haath aasman ki
taraf hote hai, agar Allah har jagah mojood hai to aagey pichey daaye baaye
kisi bhi taraf haath phela kar dua karli jaani chahiye, aasman ki taraf uper ki
taraf haath kyu uthaaye jaate hai???
13. Abdullah ibne umar RA kehte hai k Rasool Allah SAW ne
farmaya: mazloom ki baddua se daro kyunki wo chingari ki tarha aasman ki taraf
chadhti hai. (Mustadrak e hakim hadees no. 81 is hadees ko imam hakim ne kaha
hai k ye muslim ki shart par sahih hai)
14. Nawaas bin sa'maan kalbi RA fitna e dajjal k aur yajooj
majooj k nikalne aur qatal ki khabro par mushtamil ek lambi hadees bayan karte
hue kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: phir yajooj majooj chal padege aur
khamr naami pahaad k paas ja pahunchege, aur ye pahaad baitul muqaddas wala
pahaad hai (jab waha pahunchenge) to kahenge jo loog zameen par they unhe to
hum qatl kar chuke, chalo jo aasman par hai use qatl kare, ye kehte hue wo apne
teer aasman ki taraf phekenge to Allah unke teero ko khoon ki tarha surkh kar k
unki taraf palta dega. (Sahih Muslim kitabul fitan hadees no. 2937, Sunan Nasai
kitabul fitan hadees no. 2240)
15. Jabir bin Abdullah RA Rasool Allah SAW ka khutba e hajj
bayan karte hue kehte hai k Rasool Allah SAW ne farmaya: aur tum loogo ko mere
baare mai pucha jayega to tum loog kya kahoge, sabne jawab diya hum gawahi
denge k aap ne (Allah k pegamaat ki) tableeq farmadi, aur (risalat wa nabowat
ka) haqq ada kar diya aur nasihat farma di, to Rasool Allah SAW ne apni
shahadat wali ungli se loogo ki taraf ishara farmate hue use aasman ki tarf
uthate aur irshad farmaya: Ae Allah gawah reh Rasool Allah SAW ne aesa teen
martaba kiya. (Sahih Muslim kitabul hajj hadees no. 1218)
Rasool Allah SAW k in farameen mai saaf saaf wazey toor par
ye taleem di gayi hai k Allah arsh se uper hai aur apni tamaam makhlooq k
tamaam ahwaal janta hai, ummeed to nahi k koi sahib e emaan Allah aur Rasool
Allah SAW k ye farameen k baad bhi Alalh ta'ala ko har jagah mojood samajhta
rahe.
AQWAAL E SAHABA RA SE DALEEL
Quran aur Ahadees e Rasool Sallallahu alaihi wa sallam k baad hum aqwaal e sahaba razi Allahu anhum ajmaeen ki taraf aatey hai
1. Abdullah ibne umar RA kehte hai "Rasool Allah SAW ki wafaat k baad
Rasool Allah SAW k pehle bila fazl khalifa amirul momineen abu bakr RA
Allah k Rasool Allah SAW k hujre mai aye aur jhuk kar aap Rasool Allah
SAW ki maiyyat e mubarak ko peshani par boosa diya aur farmaya: aap par
mere maa baap qurbaan ho aap zindagi mai bhi pakeeza they aur mar kar
bhi pakeeza hai aur phir bahar tashreef laye aur sahaba RA se khitab
farmate hue irshad farmaya: Ae loogo agar to Muhammad SAW tumhare mabood
they jin ki tum ibadat karte they to phir jaan lo k tumhare (wo) mabood
Muhammad SAW foout ho gye hai, aur agar tum loogo ka mabood wo hai jo
aasmano par hai to phir tumhara mabood nhi mara". (Imam bukhari ki
tarikhul kabeer hadees no. 623, musannaf ibne abi shaiba hadees no.
37021, imam zahabi aur imam sakhawi ne ise sahih kaha hai)
2. Kaeis rh kehte hai "jab amirul momineen hazrat e umar RA shaam
gaye to apni oothni (camel) par sawar they, loogo ne usne kaha agar aap
ghode par sawar hote to accha tha kyunki aap se milne k liye bade bade
loog aye hai to hazrat e umar RA ne farmaya: kya mai tum loogo ko yaha
se dikhai nhi de raha, balke fesley to waha se hote hai aur ye kehte
hue apni ungli se aasman ki taraf ishara kiya". (Musannaf ibne abi
shaiba hadees no. 33844 aur 34443 al albani ne kaha is ki sanad bukhari
aur muslim ki shara'it k mutabik sahih hai)
3. Hafiz qaazi abu ahmad bin ahmad isaal al subhaani Rh ne riwayat ki
k abdullah ibne mas'ood RA ne kaha: Allah paak hai aur khalis taareef
Allah hi k liye hai aur Allah sabse bada hai, to in alfaaz ko lekar ek
farishta Allah azz wa jal ki taraf chadhta hai, aur jin jin farishto k
paas se wo farishta guzarta hai wo farishte ye alfaaz kehne wale k liye
magfirat ki dua karte hai yaha tak k in alfaaz se rehman ka chehra khush
ho jata hai. (Imam shamsuddeen zahabi ne "al aluwul alil gaffar" mai
kaha k is riwayat ki sanad sahih hai)
4. Imam usman bin saeed daarmi "al radd alal jahmiyah" mai sahih
sanad k saath abdullah bin mas'ood RA ka ye qaul nakal kiya: kabhi kisi
bande ko tijarat wa haqoomat ki khawahish hoti hai aur jab wo kaam uske
liye asaan hone lage to Allah ta'ala uski taraf saato aasmano k uper se
dekhta hai aur farishto se kehta hai: in kaamo ko is bande se door kardo
agar ye kaam mene is k liye muhaiyya kar diye to ye kaam ise jahannam
mai dakhil karne ka sabab ban jayenge. (Imam ibne qayyim rh ne bhi al
jayoosh al islamiya mai is riwayat ki sanad ko durust karaar diya)
5. Ibne abi mulaika rh se riwayat hai k emaan walo ki walida
mohtarma, Rasool Allah SAW ki pakeeza aur mehbooba begam hazrat e Aisha
RA ki maut ki beemari k waqt Abdullah ibne abbas RA ne unke paas aaney
ki ijazat talab ki to ummul momineen Aisha RA ne farmaya "mujhe us se
koi kaam nhi" to abdur rahman bin abu bakr RA (ummmul momineen Aisha RA k
bade bhai) ne kaha ammi jaan ibne abbas aapke neek baito mai se hai aur
aap ki iyaadat k liye aya hai, to hazrat e Aisha RA ne Abdullah ibne
abbas RA ko aney ki ijazat di, Abdullah ibne abbas RA ne aaney k baad
Aisha RA ki mijaaz pursi ki aur unki hoosla afzayi karte hue kaha: aur
aap (to wo hai jis) ki pakeezagi (ki gawahi) Allah ne 7 aasmano k uper
se nazil ki jise jibraeel AS le kar aye. (Mustadrak e hakim hadees no.
6726, musnad ahmad hadees no. 2496 is hadees ko imam hakim aur imam
zahbi ne sahih kaha)
6. Anas RA ka kehna hai k (Emaan walo ki walida mohtarma) zainab
(binte jahash RA) Rasool Allah SAW ki dusri begam fakhr k sath kaha
karti thi: tum loogo ko tumhare khandaan walo ne biyaha hai aur meri
shadi Allah ne 7 aasmano k uper se ki
Dusri riwayat mai hai k farmaya karti thi: Allah ta'ala ne mera nikah
aasman par kiya. (Sahih Bukhari kitabut tauheed hadees no. 7420 aur
7421)
sahaba razi Allahu anhum ajmaeen k aqwaal se bhi yahi sabit hua k Allah arh par hai
sahaba razi Allahu anhum ajmaeen k aqwaal e mubaraka k baad ab insha
Allah tabayi aur taba tabayi rahimahullah k aqwaal se paish karunga, aur
inka agaaz ummat k 4 bade maroof aur marooj mazahib k imamo
rahimahullah se shuru karunga
AQWAAL E AA'IMMA (CHAARO IMAMO) SE DALEEL
Tabayi aur taba tabayi rahimahullah k aqwaal mai sab se pehle ummat k
chaar bade sahib e mazhab imamo rahimahulla k aqwaal paish kar raha hu,
khayal rahe k ye aqwaal in charo bade imamo rh k zamene ki tarteeb k
mutabik hai, kisi ka zikr pehle ya kisi ka baad mai hone se uski darja
bandi maksood nahi.
1. IMAM NOMAAN BIN SAABIT ABU HANIFA RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 150 HIJRI
abu ismaeel ansari apni kitab "AL FAROOQ" mai abu mutiul hakam bin
abdullah balkhi hanfi jinhone fiqh e hanfi ki motabar tareen kitab
"FIQHUL AKBAR" likhi, jise galt aam toor par imam abu hanifa rh se
mansoob kiya jata hai, in abu mutee k bare mai likha k unhone imam abu
hanifa rh se pucha: "jo ye kahe k mai nhi janta k mera rabb zameen par
hai ya aasman par to aesa kehne wale k baare mai kya huqm hai?", to imam
abu hanifa rh ne farmaya: to usne kufr kiya kyunki Allah kehta hai
rehman arsh par qayam hua aur uska arsh saato aasmano k uper hai, mene
phir pucha "agar wo ye kahe k mai nhi janta k Allah ka arsh aasman par
ya zameen par hai (to phir uska kya huqm hai)?", to imam abu hanifa rh
ne farmaya: aesa kehne wala kafir hai kyunki usne is baat se inkaar kiya
k Allah ka arsh aasmano k uper hai aur jo is baat se inkaar kare wo
kafir hai. (mukhtasar alawul alliyil gaffar rakam 118, safa no. 136
mualiff imam shamsuddin zahabi rh nashir maktaba islamiya bairoot
labnaan dusri isha'at, sharah aqeedatut tahaviya safa no. 288 nashir
maktaba islamiya, bairoot labnaan 9vi isha'at)
Imam abu hanifa rh ka zikr aya hai to pehle unse mansoob fiqh k imamo ki baat nakal karta chalu,
1.1. IMAM ABU JAFAR AHMAD BIN MUHAMMAD TAHAVI HANFI RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 321 HIJRI
Apni mashoor kitab "AQIDATUT TAHAVIYA" mai kehte hai: Allah arsh aur
uske alawa bhi har ek cheez gani hai aur har cheez uske ahaatey mai hai
aur wo har cheez se uper hai aur uski makhlook uska ahaata karne se
kaasir hai.
1.2. IMAM SADARUDDIN MUHAMMAD BIN ALAUDEEN RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 792 HIJRI
jo ibne abil'az hanfi k naam se mashoor hai is “AQIDATUT TAHAVIYA” ki
sharah mai imam tahavi rh ki is mandarja bala baat ki sharah mai likhte
hai k: ye baat puri tarha se saabit hai k Allah ki zaat makhlook se
mili hui nhi (balke alag aur juda hai) aur na Allah ne makhlokaat ko
apne andar banaya hai (yani Allah ka har cheez par muheet hone ka ye
matlab nhi k makhlokaat uske andar hai balke wo muheez hai apne ilm k
zariye, iske dala’il abhi ayenge insha Allah)
phir uske baad Allah ta'ala k apni makhlook se juda, buland aur uper
hone k dalail mai warid hone wali nasoos k baare mai bayan karte hai k
ye nasoos takreeban 20 iksaam mai hai, aur phir inhi iksaam ko bayan
karte hue 16 kisam (16 no.) k bayan mai likha: fir'oon ne kaha ae haaman
mere liye imarat banao takey mai raasto tak pahunch saku, aasman k
raasto tak (aur unke zariye uper jakar) musa AS k mabood ko jhaank kar
dekh lu aur beshaq mai ise (yani musa as ko) jhoota samjhta hu. (Surah
momin surah no. 40 Ayat no. 36 aur 37) hawala (sharah aqidatut tahaviya
safa no. 287 nashir maktaba islamiya, bairoot, labnaan 9vi isha'at)
2. IMAM MALIK IBNE ANAS RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 179 HIJRI
mahdi bin jafar bin abudllah kehte hai k imam malik ibne anas rh k
paas ek aadmi aya aur usne kaha: Ae abu abdullah Rahman arsh par qayam
hua kese qayam hua?
is sawal par imam malik rh itne gussey mai aye k mene unhe kabhi itne
gusse mai nhi dekha k gusse ki shiddat se imam sahab paseena paseena ho
gye, aur imam rh bilkul khamosh ho gye, loog intezaar karne lage k ab
imam sahab kya kahenge
kaafi dair k baad imam malik rh ne farmaya: Allah ka arsh par qayam
hona (yani istawaa farmana) anjaani khabar nhi, aur (Allah k istawaa
farmane ki) kefiyat aqal mai aane wali nhi (kyunki uski hamare paas us
kefiyat k baare mai koi khabar nhi na Allah ki taraf se aur na hi us k
Rasool SAW ki taraf se) aur is par emaan lana farz hai, aur is kefiyat k
baare mai sawaal karna bida'at hai, aur mujhe ye andesha hai k tum
gumrah ho. phir imam malik rh ne us aadmi ko masjid e nabwi se nikaal
dene ka huqm diya aur usko nikaal diya gaya. (Asbaat e sifatul uloo,
riwayat 104 mu'allif imam mofiquddin abdullah bin ahmad bin kadama
muqaddasi)
Imam zahbi rh ne kaha k ye qaul imam malik rh se sabit hai is k alawa
ye kaul imam malik rh k ek aur ustaad se bi sabit hai, in sha Allah
tabayi k zikr mai unka zikr karunga.
Abdullah bin naafae rahimahullah ka kehna hai k imam malik rh ne
farmaya: Allah aasmano par hai aur uska ilm har jagah hai aur uske ilm
se koi cheez kharij nhi (Aetaqaad ahlus sunnah muallif imam habtullah
lalkayi, tamheed muallif imam ibne abdul barr)
3. IMAM MUHAMMAD BIN IDREES SHAFAE RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 204 HIJRI
abi shaiba aur abi soor rahimahullah kehte hai k imam shafae rh ne
farmaya: mene imam malik rh aur imam sufyaan suri rh aur deegar tabayi
(in ka zikr in sha Allah agey ayega) ko jis tarha sunnat ki jis baat par
paya mai bhi us par hi qayam hua aur wo baat ye hai k: is baat ki
shahadat di jaye k Allah k alawa koi saccha aur haqeeqi mabood nhi aur
muhammad SAW Allah k rasool hai, aur Allah aasmano se uper apne arsh se
uper hai, jise chahta hai apni makhlooq k kareeb hota hai, aur mujhe
chahta hai dunya k aasman ki taraf utarta hai aur aqeedeh k degar
muamalaat ka zikr kiya. (ijtamaul jevoosh al islamiya, muallif imam ibne
qayyim al jauzi rh nashir darul kutub ilmiya bairoot pehli
isha'at)(mukhtasar alawul alliyil gaffar rakam 196, muallif, muhaqqiq,
nashir aur isha'at tafseel pehle likhi ja chuki hai)
4. IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH TAREEK E WAFAAT 241 HIJRI
yousuf bin musa al bagdadi kehte hai k, unhe abdullah bin ahmad bin
hambal rh ne bataya k unke walid imam ahmad bin hambal rh se pucha gaya:
kya Allah azz wa jal saato aasman k uper apne arsh se uper, apni tamaam
makhlooq se uper hai, aur uski kudrat wa ilm har jagah hai?
to imam ahmad bin hambal rh ne farmaya: ji han Allah arsh par hai aur
us (k ilm) se kuch kharij nhi, imam allama ibne qayyim al jauzi rh ne
ijtimaul jewush al islamiya mai likha k is riwayat ko imam imam abu bakr
khalaal rh ne "ASSUNNAH" mai sahih sanad k sath nakal kiya
wazeh rahe k is aqeedeh k bare mai in aa'imma e kiraam ki taraf se
sirf yahi aqwaal mayassar nhi, balke aur bhi sahih sabit shuda aqwaal
milte hai, mene sirf ikhtisaar k paish e nazar ye chand aqwaal nakal
kiye hai
charo bade sahib e mazhab imamao rahimahullah k farameen k baad ab in
sha Allah degar tabayi aur taba tabayi rahimahullah k aqwaal paish
karunga.
AQWAAL E TABAYI AUR TABA TABAYI RAHIMAHULLAH SE DALEEL
Charo imamo rh k aqwaal k baad degar tabayi aur taba tabayi k aqwaal
paish e khidmat hai, jis tarha charo imamo ka zikr karte hue unki
tareekh e wafaat likhi thi in sha Allah isi tarha ab jin jin buzurgaan e
deen ka zikr karunga unki tareekh e wafaat bhi zikr karunga
1. Masrook bin ajdaa al hamdaani koofi rahimahullah (tabayi tareekh e wafaat 62 hijri)
inhone bahut se sahaba RA se sunnat e Rasool SAW afzal salaat wa
tasleem ka ilm hasil kiya aur aagey pahunchaya, jab ye emaan walo ki maa
Aisha RA se koi hadees riwayat karte to kaha karte: mujhe siddeque ki
beti siddeqa, Allah k habeeb ki habeebiya, jis ki baraat 7 aasmano k
uper se hue, ne bataya: aur phir hadees bayan karte imam ibne qayyim rh
ne "IJTAMA JAYUSH AL ISLAMIYA" mai is qaul ko sahih karaar diya.
2. Sufyan suri rahimahullah (tabayi tareekh e wafaat 161 hijri)
kehte hai k mai rabiyya bin abu abdur rahman rahimahullah (tabayi
tareek e wafaat 163 hijri) k paas tha k ek aadmi ne unse pucha "rahman
arsh par istawa kese hue hai, is istawa ki kefiyat kya hai?" to unhone
jawab diya: istawa kya hai ye sab ko maloom hai, aur (Allah k) is istawa
ki kefiyat kya hai ye hame nhi maloom lekin is par eman lana farz hai
aur is kefiyat k baare mai sawal karna bidaat hai, imam zahbi rh ne kaha
"ALAWUL ALLIYIL GAFFAR" mai ye riwayat nakal ki, aur imam al albani rh
ne is ko sahih sanad karar diya.
3. Ibne ayeena abu imran rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 198 hijri)
kehte hai k mai rabiyya bin abu abdur rahman rahimahullah (tabayi
tareek e wafaat 163 hijri) k paas tha k ek aadmi ne unse pucha "rahman
arsh par istawa kese hue hai, is istawa ki kefiyat kya hai?" to unhone
jawab diya: istawa kya hai ye sab ko maloom hai, aur (Allah k) is istawa
ki kefiyat kya hai ye hame nhi maloom aur ye paigham Allah ki tarf se
hai, aur Rasool Allah SAW k zimmey mai uski tableeg thi (so wo unhone
kardi) aur hamare zimmey is ki tasdeeq karna hai (jo hum karte hai) imam
habtullah bin hasan al lalkayi abu mansoor rh tareekh e wafaat 418
hijri ne "ETAQAAD AHLUS SUNNAH" mai sahih sanad k sath riwayat kiya.
4. Imam e tafseer al zihaak bin mazahim halali rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 106 hijri)
ki taraf se bayan karte hue kehte hai k unhone kaha: Allah apne arsh
par hai aur uska ilm un (yani uski makhlookaat) k sath hai (imam allama
qazi subhan abu ahmad asaal aur imam habdullah al lalkayi rh ne sahih
sanad k sath nakal kiya)
5. Siddeque ibne muntasir kehte hai k mene sulemaan tameemi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 172 hijri)
ko kehte hue suna: agar mujhse ye pucha jaye k Allah kaha hai to mai
ye kahunga k wo aasman par hai, imam zahbi rh ki "ALAWUL ALLIYAL GAFFAR"
daleel rakam 114, imam al albani rh ka kehna hai k (ye kaul) imam
habtullah al lalkayi rh ne sahih sanad k sath riwayat kiya.
6. Imam abdur rahman bin umar al ouzayi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 157 hijri)
kehte hai: hum tabayi ki mojoodgi mai bhi ye hi kaha karte they k:
Allah apne arsh k uper hai aur Allah ki jo bhi sifaat sunnat e shareefa
mai warid hue hai hum un par (bila taweel) emaan rakhte hai. (imam
beheqi rh ne "ASMA WA SIFAAT" mai imam hakim rh ki riwayat se nakal
kiya)
7. Waleed bin muslim rahimahullah kehte hai k mene imam abdur rahman
bin umar al ouzayi rh aur imam malik bin anas rh (taba tabayi tareekh e
wafaat 179 hijri) aur imam sufyan suri rh (taba tabayi tareek e wafaat
161 hijri) aur imam al lais bin saad fehmi misri rh (taba tabayi tareekh
e wafaat 175 hijri) rahimahullah jameean se un ahadees k baare mai
pucha jin mai Allah ki mukhtalif sifaat ka zikr hai to unhone kaha: is
par aese hi emaan rakho jesa k ahadees mai aya hai. (MUKHTASAR ALAWUL
ALLIYIL GAFFAR, imam zahbi rh)
8. Imam hammaad bin zaid darham basri rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri)
suleman bin harb rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 224
hijri) kehte hai k mene hammaad bin zaid ko kehte hue suna: tabayi aur
sunnat k imamo balke sahaba RA, aur Allah aur uske Rasool SAW aur tamaam
emaan walo ka kehna ye hi hai k, Allah aasman par hai aur apne arsh k
uper hai, aur Allah apne tamaam aasmano se uper aur bulanad hai, aur wo
dunya k aasman ki taraf utarta hai, aur unka ye kehna quran o hadees k
dala'il ki bunyaad par hai jabke firqa e jahmiya wale ye kehte hai k
Allah har jagah mojood hai aur Allah unke is batil qaul se paak hai
balke uska ilm har waqt hamare saath hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam
shamsuddin zahbi rh)
9. Imam muhammad bin is'haaq bin yasaar imam magaazi (taba tabayi tareekh e wafaat 150 hijri)
salma bin fazal ka kehna hai muhammad is’haaq ne kaha: jesa k Allah
ne apne baare mai bataya hai k sab se pehle sirf paani tha aur uske uper
Allah ka arsh tha aur wo zul jalaal wal ikraam arsh k uper tha, apni
tamaam makhlooq se buland aur uske uper koi cheez na thi, aur uske alawa
koi cheez na thi, phir Allah ne rooshni aur andhera banaye, phir dhuye
se saato aasmano ki kamaan banayi aur phir zameen ko bichaya, phir
aasmano ki taraf mutawajjah hua aur unko aapas mai jooda aur unki
takmeel 2 din mai ki, aur zameen aur aasmano ki takhleeq se 7 dino mai
farig hua, aur phir pehle ki tarha apne arsh par qayam hua. (ALAWUL
ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahabi rh)
10. Imam mujahid abdullah bin mubarak rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 215 hijri)
kehte hai k mene abdullah ibne mubarak rh se pucha: hum apne rabb ko
kese pehchane? to unhone jawab diya: Allah saato aasman par apne arsh k
uper hai, hum jahmiya ki tarha ye nhi kehte k Allah har jagah yaha
zameen par hai. (AL RADD ALA AL MAREESI, imam daarmi rh)
11. Imam abu ma'aaz khalid bin suleman bakhli rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 199 hijri)
imam ubaidullah bin saeed kadama al surkhi rahimahullah ka kehna hai k
unhone imam abu ma'aaz rh ko fargaana k muqaam par kehte hue suna:
jahum (bin safwaan jahamiya fiqey ka baani) tirmaz ki guzargah par tha
aur uski baat cheet badi fasahat wali thi, lekin na wo sahibe ilm they
aur na hi ilm walo k saath unka uthna bethna tha, lihaza wo loogo (ko
apne raaste pe laane k liye un) k sath chikni chapti baatey kiya karta,
loogo ne use kaha: jis rabb ki tum ibadat karte ho hame uski sifaat
batao: to wo (jaham bin safwaan) apne ghar mai dakhil ho gya aur kayi
din k baad bahar nikla aur loogo ko jawab diya k wo jese k ye hawa har
cheez k sath hai, aur har cheez mai hai aur koi cheez us se khali nhi to
abu ma'aaz ne kaha: Allah ka dushman jhoot bolta hai, Allah to apne
arsh par hai jesa k khud Allah ne apne baare mai bataya hai. (ALAWUL
ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh, ASMA WA SIFAAT, imam behequi
rh)
12. Imam abdullah bin maslimatah bin kaanib maroof al kaanibi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 221 hijri)
banaan bin ahmad rh kehte hai k imam kaanibi rh ne jahmi fiqey k ek
aadmi ko ye kehte hue suna k rahman arsh par hai to imam kaanibi ne
kaha: jo is baat par yaqeen nahi rakhta k rahman arsh par qayam hai,
jesa k ab aam loog is par yaqeen nhi rakhtey to aesa karne wala
jahannami hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)
13. Imam abu bakr abdullah bin zubari al humaidi mufti ahle makka rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri)
bashar bin musa rh ka kehna hai k al humaidi rh ne kaha: hum sunnat k
usoolo ko jis tarha paate hai un par usi tarha qayam hai aur wo ye hai
k, Quran wa Hadees mai jo kuch aya hai hum na to us mai koi kami baishi
karte hai aur na hi us ki koi tafseer karte hai, quran wa sunnat jaha
rukhte hai hum bhi wahi ruk jaate hai, aur hum ye kehte hai k rahman
apne arsh k uper qayam hai aur jo aesa nahi samajhta wo batil parast
jahannami hai. (MUFASSAL ETAKAAD, sheikhul islam ibne taimiya rh)
14. Imam hishaam bin ubaidullah raazi hanfi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri)
ali bin hasan bin yazeed al salmi apne walid se riwayat karte hai k
"ek aadmi ko jahannami aqaid ka hamil hone ki wajah se tauba karne ki
mohlat dete hue kaid kiya gaya, jab ye pata chal chuka k usne tauba
karli hai to hishaam bin ubaidullah imtihaan lene k liye uske paas gaye
aur pucha: kya tu is baat ki gawahi deta hai k Allah apne arsh k uper
apni tamaam makhlook se juda aur alag hai. to us jahannami ne jawab
diya: mai nhi janta k Allah ki apni makhlooq se alag hona kya hai? to
hishaam rh ne kaha ise wapas kaid mai daal do isne abhi tak tauba nhi
ki.
15. Imam muhammad bin mus'ab aabid sheikhul bagdaad rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 228 hijri)
abu hasan muhammad bin ata rh ka kehna hai k unhone muhammad bn
mus'ab aabid rh ko ye kehte hue suna k: ae Allah ko ye samajhta hai k tu
aakhirat mai na baat karega aur na dikhayi dega to wo sifaat ka kya
farq, mai gawahi deta hu k tu saato aasmano se uper apne arsh k uper
hai, na k us tarha hai jese k tere zandeeq dushman kehte hai (k tu har
jagah mojood hai). (ASSUNNAH, abdullah bin muhammad bin hambal rh,
tareekh e bagdaad, imam khateeb bagdaadi rh)
16. Imam e tafseer hafiz sunaid bin dawood al masesi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 226 hijri)
abu hatim raazi, abu imran al tarsoosi se riwayat karte hai k abu
imraan ne imaam suneed bin dawood se pucha: kya Allah azz wa jall apne
arsh k uper apni tamaam makhlooq se alag aur juda hai? to imam sunaid
bin dawood ne kaha: ji han. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin
zahbi rh)
17. Imam kataiba bin saeed, sheikh e kharasaan rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 240 hijri)
abu abbas siraaj ka kehna hai k unhone kataiba bin saeed ko ye kehte
hue suna k: Hum jante hai k hamara rabb saato aasman par apne arsh k
uper hai jesa k Allah azz wa jall ne jawab farmaya hai, Rahman apne arsh
par qayam hai aur ye qaul islam aur ahle sunnat wa jamaal k imamo ka
hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)
18. Imam e muhaddiseen imam ali bin madeeni rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 234 hijri)
muhammad bin haris rh kehte hai k imam ali bin madeeni rh se pucha
gaya : Allah ta'ala ki sifaat k bare mai ahle jamaat ka kya qaul hai? to
unhone jawab diya: ahle jamaat is par eman rakhte hai k Allah akirat
mai baat bhi karega aur dikhayi bhi dega, aur bila shaq wa shuba ye k
Allah azz wa jall aasmano k uper apne arsh par qayam hai. (saabaqa
hawala)
19. Imam is'haaq bin rahway rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 238 hijri)
halb bin ismaeel karmaani rh ka kehna hai k mene is'haaq bin rahway
rh se pucha k Allah k qaul: kabhi aesa nhi hota k 3 aadmiyo mai koi
sargoshi ho aur unke darmiyan chotha Allah na ho, ya 5 aadmiyo mai
sargoshi ho aur unke andar chata (6th) Allah na ho khufya baat karne
wala khawah is se kam ho ya zyada, jaha kahi bhi wo ho, Allah unke saath
hota hai phir qayamat k rooz unko bata dega k unhone kya kuch kiya hai
Allah har cheez ka ilm rakhta hai : ki tafseer hum kese bayan kare?
to unhone jawab diya k (is ki tafseer ye hai k): tum jaha bhi ho wo
tumhare shah rag se zayada tumhare kareeb hai, aur wo apni tamaam
makhlooq se juda aur alag hai, aur phir abdullah ibne mubarak rh ka qaul
zikr kiya: Allah apne arsh par hai apni tamaam makhlooq se alag aur
juda, aur is masle mai sab se wazay tareen daleel Allah ta'ala ka ye
qaul hai k rahman arsh par qayam hai. (ASSUNNAH, imam abu bakr khalaal
rh)
20. Imam ismaeel bin yahya muzni rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 264 hijri)
ali bin abdullah al halwaani ka kehna hai k humne ibraheem muzni rh
ko sawaliya khat likha, jis k jawab mai Allah ki hamd wa sana aur
aqidhey ki baatey likhtey hue unhone likha: Allah ki na koi tashbiya hai
na koi barabar wala, aur wo sun'ne wala hai, dekhne wala hai, ilm wala
aur jan'ne wala hai, aur apne arsh par bulanad hai aur apne ilm se apni
tameem makhlooq ko janta hai, aur quran Allah ki taraf se Allah ka
kalaam hai Allah ki makhlooq nhi hai, Allah k kalmaat Allah ki makhlooq
nhi hai, aur hamesha se hai aur hamesha rahega, aur na hi hamare rabb
mai koi kami hai ya thi k hum use pura kare, uski sifaat makhlooq ki
sifaat ki mushabihat se paak hai, aur wo apne arsh par apni tamaam
makhlooq se juda alag aur buland hai.
muhammad bin ismaeel tirmizi rh ka kehna hai k unhone imam muzni rh
se suna k: kisi ki tauheed us waqt tak durust nhi ho sakti jab tak k wo
ye jaan aur maan na le k Allah ta'ala apni tamaam sifaat k sath apne
arsh k uper hai, to mene pucha "masalan konsi sifaat?" to unhone kaha:
sun'ne, dekhne, ilam rakhne, khabar rakhne ki sifaat aur degar (jo bhi
sifaat Allah ne apni ya Allah k rasool SAW ne apne rabb ki bayan ki hai
wo sab sifaat). (TAREEKH E SUBHAAN, imam ibne mandah rh)
21. Imam hafiz muhaddis al shark muhammad bin is'haaq ibne mandah rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 395 hijri)
ka kehna hai k: Allah ta'ala apni tamaam sifaat k sath jana pehchana
hua hai gair maroof nhi, aur us tarha mojood hai k unko mehsoos nhi kiya
ja sakta, aur wo apni sifaat k zariye itna kareeb hai goya k tu use
dekh raha hai lekin uska ahaata nhi kiya ja sakta, wo kareeb hai lekin
apni makhlooq mai se kisi k sath juda hua nhi, aur wo door hai is tarha k
kisi se hata hua nhi, (yani is tarha k sab hi kuch) dekhta aur sunta
hai aur sab se buland hai aur apne arsh par qayam hai, pas (emaan wale)
dil use jaante hai, lekin, aqal uski kefiyat nhi jaan sakti aur wo har
cheez par qadir hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)
22. Imam hafiz e asr ubaidullah bin abdul kareem abu zar'a raazi rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 264 hijri)
muhammad bin ibraheem al subhani rh ka kehna hai k abu zar'a rh se
(AR RAHMAANU ALA ARSHIS TAWA) ki tafseer puchi gayi to unko gussa a gaya
aur unhone kaha: is ki tafseer bilkul wesi hi hai jesa k tum ise padhte
ho, Allah apne arsh k uper hai aur iska ilm har jagah hai, aur jo is k
alawa kuch aur kehta hai to us par Allah ki laanat ho. (ALAWUL ALLIYIL
GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)
23. Imam hafiz usman bin saeed daarmi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 280 hijri)
apni kitab "AL NAKSH ALA BUSHRA MAREESI" mai likhte hai: musalmano ka
is baat par ittefaaq ho chuka hai k Allah ta'ala apne aasmano se uper
arsh k uper hai, aur likha: beshaq Allah arsh k uper hai aur wo arsh k
uper se sunta hai, uski makhlooq mai se kisi ki sarsarahath bhi us se
chipi nhi rehti, aur na koi cheez makhlooq ko Allah se chipa sakti hai.
24. Imam abu zakriya yahya bin ammaar al sajsataani rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 422 hijri)
apni mukhtasar kitab mai likha: hum firqa jahmiya ki tarh ye nhi
kehte k, Allah har jagah mojood hai aur har cheez k sath juda hua hai
pas hum nhi jaante (k kis waqt) wo kaha hai?
balke hum ye kehte hai: Allah ta'ala ki zaat apne arsh k uper hai aur
us ka ilm har cheez ko gheerey hue hai aur uska ilm aur sima'at aur
basarat har cheez ko jaanti hai aur har cheez par haavi hai, aur ye hi
Allah ka farmana hai: aur tum loog jaha kahi bhi ho Allah tum loogo k
sath hai, aur jo kuch tum loog karte ho Allah wo dekhta hai ka mana hai
aur ye hi kehte hai kyunki ye hi baat Allah aur uske Rasool SAW ne kahi:
(KITABUL ARSH, imam shamsuddin zahbi rh, IJTAMA JEWUSH AL ISLAMIYA,
imam ibne qayyim al jauzi rh)
25. Sheikhul sufiya abu mansoor maamar bin ziyaad bin ahmad rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 395 hijri)
abu kasim tabraani se riwayat hai k imam maamar bin ziyaad rh ne
kaha: mai apne saathiyo ko is baat ki nasihat karta hu jo k sunnat mai
hai aur jis par ahle aur ahle tasawwuf wa maarfat ka ittefaaq hai aur wo
ye hai k: Allah ta'ala apne arsh par qayam hai aur is (sifaat) ki
kefiyat hum nhi jaantey, lihaza to ise kisi se tashbiyah dete hai aur na
hi iski koi taweel karte hai, kyunki kayam hona samajh mai aane wali
baat hai lekin Allah k liye iski kefiyat hame maloom nhi, aur ye k
beshaq Allah ta'ala apni tamaam makhlooq se juda aur alag hai aur uski
tamaam makhlooq us se juda aur alag hai, pas khaliq aur makhlooq mai na
koi hulool hai, na ik dujey k sath lagna hai aur na hi ik dujey se judna
hai, aur Allah sunta hai, dekhta hai, ilm rakhta hai, sab kuch jaanta
hai,baat karta hai, khush hota hai naraaz hota hai, pasand karta hai,
hasta hai, hasaata hai, aur qayamat wale din apne bando k saamne
muskurata hua ayega, aur jo koi Allah ta'ala k nuzool (yani kisi bhi
sifaat) ka inkaar kare wo gumrah aur bidaati hai. (ALAWUL ALLIYIL
GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)
26. Imam hafiz ahmad bin abdullah bin ahmad abu naeem al subhaani rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 430 hijri)
apni kitab "AL ETAQAAD" mai likhte hai: hamara raasta wo hi hai jo
salaf saliheen (yani sahaba RA, tabayi aur taba tabayi rh) ka tha yani
kitab aur sunnat aur ijma e ummat wala raasta, aur unka aqida ye hi tha k
Allah ta'ala apni tamaam sifaat k sath us tarha hi mukammal hai jesa k
wo hamesha se tha, uski sifaat mai na koi kami hai aur na hi koi
tabdeeli, hamesha ki tarha wo apne ilm k saath aalim hai, apni basaarat k
saath baseer hai, apni sima'at k sath sameei hai, baat karte hue bolta
hai, phir wo har cheez ko adm se wajood mai laya, aur ye k quran aur
Allah ki taraf se nazil karda tamaam kitaabe Allah ka kalaam hai, aur
Allah ka kalaam uski makhlooq nhi hai, aur ye k quran har lihaaz se yani
padhey jane, sune jane, mehfooz halat mai, likhi hui halat mai, lipti
hui haalat mai, har lihaaz se Allah ka kalaam hai, haqeeqi taur par na k
koi hikayat hai aur na hi koi taweel, aur jab hum use padhtey hai to wo
hamare alfaaz mai bhi Allah ka kalaam hi hai aur gair makhlooq hai hai,
aur (quran ko makhlooq karar dene k liye) alfaaz ka falsafa firqa e
jahmiya ki taraf se aya hai aur ye k jo quran ko kisi bhi lihaaz se kisi
bhi taur se makhlooq kehta hai wo salaf saaliheen k nazdeek jahannami
hai aur jahannami ko salaf kaafir jaante they.
salaf saaliheen k aqaa'id ko bayan karte hue imam abu naeem al
subhaani rh mazeed likhte hai k: aur wo un tamaam ahadees par yaqeen
rakhte they aur un ko bayan kiya karte they jin ahadees mai arsh ka hona
sabit hai aur Allah ka arsh k uper qayam hona sabit hai, aur wo Allah k
arsh par qayam hone ko bagair kisi kefiyat k maante they aur us ko
sabit karte they, aur ye aqeedah rakhte they Allah apni tamaam makhlooq
se alag aur juda hai aur uski tamaam makhlooq us se alag aur juda hai,
na to wo kisi k sath judta hai aur na hi kisi mai hulool hota hai, aur
wo apne aasmano se uper apne arsh par qayam hai.
Imam abu naeem al subhaani rh ne in tamaam baato par salaf saaliheen
(yani sahaba RA, tabayi aur taba tabayi rh) ka muttafiq hone ka zikr
kiya isi liye mai is baat ko sab se aakhi mai laya hu, aur is liye bhi k
ho sakta hai kisi padhne wale k dil mai yahi khayal aye k jin buzurgo k
aqwaal mene zikr kiye hai un mai se hadees k maroof imamo mai se koi
bhi nhi to arz ye hai k tamaam tar aa'imma e hadees ki kitabo mai wo
tamam ahadees mojood hai jo Allah ta'ala k arsh par hone ko sabit karti
hai.
Allah ta’ala se dua hai k Allah hame padhne ki uske baad samjhne ki
aur uske baad us par amal karne ki tofeeq ata farma. (Aameen)
Note: Spelling mistake k liye maazrat chahta hu.