MAKKAH AUR MADEENA MEIN TARAWEEH K BAARE MEIN EK WAZAHAT
Bismillahirrahmanirraheem
Baaz loog kehte hai k hum 20 rakaat taraweeh is liye padhte hai k makkah mukarrama aur madeena munawwara mein bhi 20 rakaat hi padhayi jati hai agar ye taraweeh 20 rakaat sunnat na hoti to haramayen sharafayen mein kabhi na padhayi jati wagaira wagaira.
Jawab: Asar baat to ye hai k Aal e Sa'ood rahimahullah se pehle turki daur mein hijaaz muqaddas mein shirk wa bidaat ka daur doora tha hatta k baitullah shareef mein 4 musalley charo imamao k naam par alag alag bane hue they har firqa doosre k piche namaz na padhta tha, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki qabro par chadhawey chadhaye jate they, Shah Abdul Azeez bin Sa'ood rahimahullah ne hijaaz shareef par qabza karte hi tamaam shirkiya aur bidatiya umoor khatam kar diya albatta mubah chezey hala rehne di jin mein se ek taraweeh ka masla bhi tha chunkey taraweeh ek nafli ibadat hai jo hasb e tofeeq jis qadr koi ibadat kar sakta hai kare uski koi hadd bandi nahi hai, is firqa bandi ko rookne k liye ye faisla kiya gaya k saudi arab mein jo k islam ka markaz hai (20 rakaat taraweeh 2 alag alag imam padhayenge ek imam 10 rakaat padhayega aur doosra imam bhi 10 rakaat padhayega, jin hazraat ko 20 rakaat padhni hai wo 20 padhey jisko 11 rakaat padhni hai wo 10 rakaat aur apni ek rakaat witr padh sakta hai), jesa k ye nafil namaz hai to iski ahadees mein 47 rakaat tak ki tadaad milti hai Albatta masnoon taraweeh sirf 8 rakaat hi hai jesa k is se pehle guzar chuka hai aur yahi sabit hai aur yahi faisla mulk e saudi arab k ulama ka bhi hai aur yahi wajah hai k saudi arab mein haramayen sharafayen k alawa doosri masajid mein aaj bhi 8 rakaat hi taraweeh padhayi jati hai.
Doosri baat ye hai k: Agar hamare hanafi bhai 20 rakaat taraweeh k masley par harameyen sharafeyen ki taraweeh ba'taur daleel paish karte hai to hamey unki ye daleel bhi manzoor hai lekin ek shart par wo ye hai k jis tarah wo haramayen sharafayen mein taraweeh dekh kar 20 rakaat taraweeh padhte hai isi tarah unhe chahiye k ayinda wo qirat e fatiha, khalafal imaam, rafulyadeyn aur aameen bil jahar k masail par bhi amal kare kyunki baitullah sahreef aur masjid e nabwi k a'imma e kiraam un masail k qayil aur faa'al hai, isi tarah ayinda hamare bhai namaz witr bhi haramayen sharafayen ki tarah 2 rakaat alag aur ek rakaat alag padh kar haath utha kar witro mein dua e qunoot padha kare, hame yaqeen hai k agar hamare hanafi bhai haramayen sharafayen k a'imma k tareeqey k mutabiq namaz ada karenge to mulk mein mazhabi kushadgi bahut hadd tak khatam ho sakti hai. (ayiye mere Hanafi bhaiyo qadam badhao hum tumhare saath hai)

No comments:
Post a Comment