Bismillahirrahmanirraheem
JANNATI KHAWATEEN TAMAAM ZAHIRI AALAISHO (MASALAN HAIZ, NIFAAS WAGARIAH) AUR BAATINI AALAISHO (MASALAN GUSSA, HASAD WAGAIRAH) SE PAAK SAAF HONGI
"Aur unke liye waha pakeezah beewiya hongi jaha wo hamesha hamesha rahengey". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 25)
JANNAT MEIN DAKHIL HONE WALI KHAWATEEN KO ALLAH TA'ALA NAYE SIREY SE PAIDA FARMAYENGEY AUR WO KUWARI HALAT MEIN JANNAT MEIN DAKHIL HONGI
JANNATI KHAWATEEN APNE SHOHARO SE MULAQAAT K BAAD BHI HAMESHA KUWARI HALAT MEIN RAHENGEI
JANNATI KHAWATEEN APNE SHOHARO KI HUM UMAR HONGI
JANNATI KHAWATEEN APNE SHOHARO SE TOOT KAR PIYAAR KARNE WALI HONGI
"Ahle jannat ki beewiyo ko hum naye sirey se paida karengey aur unhe ba-kurah bana dengey apne shoharo se muhabbat karne waliyo aur (unki) hum umar, ye sab kuch daahine haath walo k liye hoga". (Surah Waqia Surah no. 56 Ayat no. 35-38)
JANNATI KHAWATEEN HUSN WA JAMAAL AUR HUSN SEERAT DONO AETABAAR SE BE-MISAAL HONGI
"Jannat mein (ahle jannat k liye) khoob seerat aur khoob surat beewiya hongi pas ae jinn wa ins tum apne rabb ki kin kin naimato ko jhutlaogey?". (Surah Rahman Surah no. 55 Auat no. 70-71)
JANNAT KI KHUSHYO KI TAKMEEL KHAWATEEN KI RIFAQAT MEIN HI HONGI
"Dakhil ho jao jannat mein tum aur tumhari beewiya (jannat mein) tumhey khoosh kardiya jayega". (Surah Zukhruf Surah no. 43 Ayat no. 70)
EMAAN AUR AMAL E SAALEH KI BUNYAAD PAR JANNAT MEIN DAKHIL HONE WALI KHAWATEEN MUQAAM AUR MARTABA K AETABAAR SE JANNAT KI HOORO SE AFZAL HONGI
"Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye farmaiye k dunya ki khatoon afzal hai ya jannat ki hoor? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Dunya ki khatoon ko jannat ki hoor par wahi fazilat hasil hogi jo abre (bahar wala kapda) ko astar (andar wala kapda) par hasil hoti hai" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! uski kya wajah hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Unki namazey, roozey aur doosri ibadatey jo unhone Allah azz wa jall k liye ki". (Tabraani, Majmua uz Zawaid, juzz e aashir, safa no. 417-418)
KHATOON E JANNAT AGAR DUNYA MEIN EK DAFA JHAANK LE TO MASHRIQ SE LE KAR MAGRIB TAK SAARI JAGAH ROSHAN HO JAYE AUR KHUSHBU SE BHAR JAYE
KHATOON E JANNAT K SAR KA DUPATTA AUR USKI SAARI NAIMATO SE QEEMATI HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki raah mein nikalna pehle pehar ya pichle pehar dunya aur dunya mein jo kuch hai us sab se behtar hai aur agar jannat ki aurato mein se ek aurat dunya mein (lamha bhar k liye) jhaank le to mashriq wa magrib k darmiyaan har cheez ko roshan karde aur fiza ko khushbu se bhar de, jannati aurat k sar ka dupaata dunya aur jo kuch dunya mein hai us sab se behtar hai". (Mishkatul Masaabeeh baab Sifatul jannah wa ahliha, fasal awwal)
JANNAT MEIN HAR JANNATI KA NIKAH DO AURATO SE HOGA JO BINTE AADAM SE HOGI
KHATOON E JANNAT BAIK WAQT 70 JOODEY PEHNE HONGI JO IS QADR UMDAH AUR NAFEES HONGE K UNKE ANDAR SE AURAT KA JISM NAZAR AA RAHA HOGA
AURAT BAZAAT KHUD IS QADR HASEEN WA JAMEEL HOGI K USKE JISM SE HADDIYO KA GOOSHT NAZAR AYEGA
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz (mardo aur aurato ka) sabse pehla garooh jo jannat mein jayega unke chehre choodvi raat k chand ki tarah chamak rahe honge doosre garooh k chehre aasmaan mein chamakte khoobsurat sitaaro ki tarah chamak rahe honge dono garooho k mardo ko do do biweeya ata ki jayegi har aurat sattar joodey pehle hogi jinme se uski pindali ka goosht nazar aa raha hoga". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)
JANNAT MEIN DAKHIL HONE WALI KHAWATEEN APNE MARZI AUR PASAND K MUTABIQ APNE DUNYAVI SHOHARO KI BEEWIYA BANEGI (BA-SHART K WO SHOHAR BHI JANNATI HO) WARNA ALLAH TA'ALA UNHE KISI DOOSRE JANNATI SE BIYAAH DENGEY
JIN KHAWATEEN K DUNYA MEIN (FAUT HONE KI SOORAT MEIN) DO YA TEEN YA US SE ZAAYED SHOHAR RAHE HO UN KHAWATEEN KO APNI MARZI AUR PASAND K MUTABIQ KISI EK K SAATH BEEWI BAN KAR REHNE KA IKHTIYAAR DIYA JAYEGA JISE WO KHUD PASAND KAREGI USI K SAATH RAHEGI
Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha kehti hai mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alahi Wa Sallam! hum mein se baaz auratey (dunya mein) do, teen ya chaar shoharo se (yake baad daigar) nikah karti hai aur marne k baad jannat mein dakhil ho jati hai wo saare mard bhi jannat mein chale jate hai to phir un mein se konsa mard uska shohar banega? Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Ummey Salma Razi Allahu Anha! wo aurat un mardo mein se kisi ek ka intakhaab karegi aur wo (yaqeenan) acchey akhlaaq wale ko pasand karegi, aurat Allah ta'ala se guzarish karegi ae mere rabb! ye mard dunya mein mere saath sabse ziyaadah akhlaaq se paish aaya lihaza ise mere saath biyaah de, ae Ummey Salma Razi Allahu Anha! accha akhlaaq dunya aur aakhirat ki saari bhalaiyo par sabqat le jayega". (Nihaya li bin Kaseer, fi fitan wal malahim, juz e saani safa no. 387)
Hazrat Muhammad Sallallahu Alahi Wa Sallam se riwayat hai k loogo ne aapas mein fakhr kiya ya zikr kiya k jannat mein mard ziyaadah hongey ya auratey? Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehne lage kya Abu Qaasim Razi Allahu Anhu ne nahi farmaya "Jannat mein dakhil hone wale pehle garooh k chehrey choodvi raat k chand ki tarah chamkengey aur doosre garooh k chehrey aasmaan par chamakdaar sitaare k manind chamak rahe hongey aur dono garoho mein se har mard k liye do do beewiya hongi jinki pindliyo ka gooda goosht k andar se nazar aa raha hoga aur jannat mein koi aadmi bin biyaaha nahi hoga". (Sahih Muslim Kitabul Jannah Was Sifatun Naeemah)
Ibne Aadam farmate hai mazkoorah hadees mein do beewiyo se muraad binte aadam aur hoorey unke alawah hongi jitni Allah chahega. Wallalhu Aalam Bissawaab (An Nihaaya li bin Kaseer, fi fitan wal malahim, juzz e saani safa no. 379)