Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 7 February 2015

HOOZ E KAUSAR

HOOZ E KAUSAR

Bismillahirrahmanirraheem

KAUSAR JANNAT KI EK NEHAR (YA HOOZ) HAI JO ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA NE SIRF RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO ATA FARMAYI HAI
HOOZ E KAUSAR JANNAT KI SABSE BADI AUR SABSE AALA NEHAR HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab (Mairaaj k mauqey par) mera guzar jannat se hua to mene ek nehar dekhi jiske dono kinaaro par motiyo k gumbad hai jinhey andar se taraash kar banaya gaya hai mene Jibraeel Alaihis Salaam se daryaft kiya "Ye kya hai?" Jibraeel Alihis Salaam ne kaha "Ye kausar hai jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aapke rabb ne ata farmaya hai" (Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai) "Uski mitti ya khushbu taiz mushk ki si thi". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


HOOZ E KAUSAR K DONO KINAAREY SOONEY K HAI USKE SANGREEZEY MOOTI AUR YAQOOT K HAI AUR MITTI MUSHK HAI ZIYAADAH KHUSHBUDAAR HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kausar jannat mein ek nehar hai jiske dono kinaarey sooney k hai uska paani mooti aur yaqoot par behta hai uski mitti mushk hai ziyaadah khushbudaar hai uska paani shehad se ziyaadah meetha aur barf se ziyaadah safaid hai". (Sunan Tirmizi Abwabut Tafseer baab Tafseer surah kausar)


HOOZ E KAUSAR PAR PAANI PILAANE WALE KHUD RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM HONGEY
AHLE EMAAN KI KHATIR RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM DOOSRE LOOGO KO HOOZ SE HATA DENGEY
HOOZ E KAUSAR KI EK SIMT ITNI TAWEEL HOGI JITNA MADEENA AUR AMMAAN K DARMIYAAN FAASLA HAI (TAQREEBAN EK HAZAAR KILO-METER)
HOOZ E KAUSAR KA PAANI DOODH SE ZIYAADAH SAFAID AUR SHEHAD SE ZIYAADAH MEETHA HOGA

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hooz e kausar k kinaarey par mein ahle emaan ki khatir doosre loogo ko apni chadi (lathi) se hataunga yaha tak k hooz ka paani ahle emaan ki taraf beh niklega (aur wo khoob sair ho kar piyengey) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya gaya "Hooz ka arz kitna hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Madeena se le kar ammaan tak" phir hooz k paani k baare mein sawal kiya gaya "wo kesa hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Doodh se ziyaadah safaid aur shehad se ziyaadah meetha" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hooz mein jannat k do parnaalo se paani aayega unme se ek parnaala sooney ka hoga aur doosra chandi ka". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)

Wazahat: Ammaan Madeena munawwarah se ek hazaar kilo meter k faasley par hai, doosri ahadees se malooom hota hai k hooz e kausar ki chaaro simtey barabar hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai hooz ki choodayi uski lambaayi k barabar hai. (Sunan Tirmizi)


HOOZ E KAUSAR PAR SOONEY AUR CHANDI K JAAM HONGEY JINKI TADAAD AASMAAN K TAARO JITNI HOGI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hooz e kausar par tum sooney aur chandi k jaam aasmaan k taaro k barabar dekhogey". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MIMBAR QAYAMAT K ROOZ HOOZ E KAUSAR PAR RAKKHA JAYEGA JIS PAR BAITH KAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT KO PAANI PILAYENGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hujrah e mubarak aur mimbar k darmiyaan wali jagah jannat k baagho mein se ek baagh hai aur mera mimbar (qayamat k rooz) mere hooz par rakkha jayega". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


JISNE EK DAFA HOOZ E KAUSAR SE PAANI PEE LIYA USE PHIR KABHI PIYAAS NAHI LAGEGI

Hazrat Abdullah (bin Umar Razi Allahu Anhu) se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Jannat mein) tumhare saamne ek hooz hoga jiski ek simt jarba'a se le kar azraj (shaam k do shehro k naam hai) tak hogi, jis par aasmaan k taaro ki tarah jaam rakkhey hongey jo hooz par aa kar ek dafa paani pee lega use phir kabhi piyaas nahi lagegi". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


HOOZ E KAUSAR PAR SABSE PEHLE AANE WALE AUR SAIRAAB HONE WALE MUHAJIR (NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHAD MAIN MAKKA SE MADEENA KI TARAF HIJRAT KARNE WALE) FUQARAA HONGEY

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu se rawayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hooz par sabse pehle jo loog ayengey wo taqreeban muhajireen hongey, gard aalood sar, maile kucheley kapdey naaz o naam mein pali hui aurato se nikah karne ki istata'at na rakhne wale aur jin k liye (amra'a k) darwaazey nahi khole jaate". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Qayamaah)


HAR NABI KO QAYAMAT K DIN HOOZ DIYA JAYEGA JIS SE USKE UMMATI AA KAR PAANI PIYENGEY
RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HOOZ PAR AANE WALO KI TADAAD BAAQI TAMAAM ANBIYA K MUQABILEY MEIN ZIYAADAH HOGI

Hazrat Samurah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har Nabi k liye ek hooz hai aur tamaam anbiya aapsa mein ek doosre par farkhr karengey k kiske hooz par paani peene wale ziyaadah aate hai aur mein ummeed rakhta hu k mere hooz par aane wale sabse ziyaadah hongey". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Qayamaah)


HOOZ E KAUSAR MEIN UNTOO KI GARDANO WALI CHIDYA HONGI JINKE GOOSHT SE AHLE JANNAT LUTF ANDOOZ HONGEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya "kausar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye ek nehar hai jo mujhey Allah ta'ala ne jannat mein ata farmayi hai jiska paani doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hai, isme aese parindey (udhte hai) jinki gardaney untho ki si hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz kiya "wo parindey to khoob mazey mein hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "un parindo ko khaane wale ziyaada mazey mein hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT K LIYE HOOZ E KAUSAR PAR MEER SAAMAAN HONGEY
BIDA'ADI LOOG AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HOOZ E KAUSAR SE MEHROOM WAPAS PALTENGEY

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein hooz par tumhara meer saamaan hunga tum mein se baaz loog waha laye jayengey phir mujhse door hata diye jayengey mein kahunga ae mere rabb! ye to meri ummat k loog hai jawab mein kaha jayega aap nahi jaante unhone aapke baad kesi kesi bida'at shuru kar di". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


KAFIR HOOZ E KAUSAR PAR AA KAR PAANI PEENA CHAHENGEY LEKIN RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM UNHEY DOOR HATA DENGEY
RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI UMMAT KO WUZU K SABAB CHAMAKTI HUI PAISHANI AUR CHAMAKTE HUE HAATH SE PEHCHAAN LENGEY

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai mein hooz se (gair musalmaano ko) usi tarah hata dunga jis tarah untho ka malik doosre untho ko (isthaan se) hata deta hai" arz kiya gaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aap hamey pehchaan lengey?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Han! tum mere paas aaogey to wuzu ki wajah se tumhare haath, paao aur paishaniya chamak rahi hongi ye sifat tumhare alawah kisi doosre ummati mein nahi hongi". (Sunan Ibne Maja Kitabuz Zahad baab fil Hooz)

No comments:

Post a Comment