JANNAT KI BASHARAT PAANE WALE LOOG
Bismillahirrahmanirraheem
JANNAT MEIN SABSE PEHLE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM DAKHIL HONGEY
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Qayamat k rooz mein (sabse pehle) jannat k darwaazzey par aayunga aur darwaaza khulwaunga jannat ka khazin (darwaaza khatkhatane par) poochega kaun hai?" mein jawab dunga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)!" khazin kahega "Mujhe isi baat ka hukm diya gaya tha k aapse pehle kisi k liye darwaaza na khoolu". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz sabse ziyadah ummati mere hongey aur sabse pehle mein jannat ka darwaaza khatkhataunga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
HAZRAT ABU BAKR SIDDEQUI RAZI ALLAHU ANHU AUR HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU ANHU UN JANNATIYO K SARDAAR HONGEY JO DUNYA MEIN BUDHAPEY KI UMAR MEIN FAUT HUE HONGEY
Hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu kehte hai mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha achanak Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu bhi aa gaye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "ye dono hazraat badi umar mein faut hoone wale musalmano k jannat mein sardaar hongey khawah agli ummato se ho ya pichli ummato se siwa e anbiya aur Rasoolo k, Ae Ali! unhey na bataana". (Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)
HAZRAT HASAN RAZI ALLAHU ANHU AUR HUSSAIN RAZI ALLAHU ANHU JANNAT MEIN UN LOOGO K SARDAAR HONGEY JO JAWANI KI UMAR MEIN FAUT HUE HONGEY
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hazrat Hasan Razi Allahu Anhu aur Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu dono jannati nojawaano k sardaar hongey". (Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)
10 HAZRAAT KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE DUNYA MEIN JANNATI HONE KI BASHARAT DI JINHEY ASHARAH E MUBASH'SHARAH KAHA JATA HAI UN K NAAM YE HAI
Hazrat Abdur Rahman bin Aaouf Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Abu Bakr Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Umar Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Usman Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Ali Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Talha Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Zubair Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Abdur Rahman bin Aaouf Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu jannat mein hai, Saeed bin Zaid Razi Allahu Anhu jannat mein hai, aur Abu Ubaidah bin Jarrah Razi Allahu Anhu jannat mein hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)
HAZRAT KHADEEJA RAZI ALLAHU ANHA KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANANT MEIN GHAR KI BASHARAT DI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Khadeeja Razi Allahu Anha ko jannat mein ek ghar ki basharat di. (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)
HAZRAT AYESHA RAZI ALLAHU ANHA KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ayesha! kya tu is baat par raazi nahi k dunya aur aakhirat mein tum meri beewi raho?" Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne arz kiya "Kyu nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Tum dunya aur aakhirat mein meri beewi ho". (Mustadrak E Haakim, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1147)
HAZRAT UMMEY SALEEM RAZI ALLAHU ANHA (ZOJA E HAZRAT ABU TALHA RAZI ALLAHU ANHU) KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI
HAZRAT BILAAL RAZI ALLAHU ANHU KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe jannat dikhlaayi gayi mene waha Abu Talha Razi Allahu Anhu ki beewi (Ummey Saleem Razi Allahu Anha) ko dekha phir apne aagey aagey kisi k chalne ki aawaaz suni dekha to Bilaal Razi Allahu Anhu they". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)
HAZRAT UMAR BIN KHATTAB RAZI ALLAHU ANHU KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT MEIN MAHAL KI BASHARAT DI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mein soo raha tha k mene apne Aapko jannat mein paaya mene ek mehal k andar kooney mein ek aurat ko wuzu karte dekha to pucha ye mehal kiska hai?" unhoney kaha "Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ka, mujhe Umar Razi Allahu Anhu ki gairat ka khayaal aaya to mein peeth pher kar chala aaya" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu (ye sun kar) rooney lagey arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya mein aap par gairat karunga?". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)
HAZRAT TALHA BIN UBAIDULLAH RAZI ALLAHU ANHU KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI
Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu kehte hai k jang e uhad k rooz Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam do zirhey pehle hue they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek patthar par chadne lage to na chadh sake chunanchey
Talha Razi Allahu Anhu ko bithaya aur un par pao rakh kar chattan par chadh gaye, Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu kehte hai (us waqt) mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna "Talha par (jannat) wajib ho gayi". (Sunan Tirmizi Abwabul Manaqib)
HAZRAT SAAD BIN MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI
Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein ek raishmi kapda laya gaya loogo ne uski nafasat aur narmi par tajjub ka izhaar kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein Saad bin Muaaz k rumaal is se afzal hai". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)
AS'HAAB E BADR AUR AS'HAAB E SHAJR JANNATI HAI
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jang e badr aur Sulah Hudaibiya mein shamil hone wale loogo mein se koi bhi aagh mein nahi jayega". (Musnad Ahmad, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 2160)
Wazahat: Sulah hudaibiya (zil qaada 6 hijri) se qabl Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne hudaibiya k ek darakht k nichey Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k dast e mubarak par jaaney qurbaan karne k liye bait ki thi un tamaam As'haab e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko As'haab e shajr kaha jata hai.
HAZRAT ABDULLAH BIN SALAAM RAZI ALLAHU ANHU KO NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANANT KI BASHARAT DI
Hazrat Saad Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kisi zindah chalte phirte aadmi k baare mein jannati kehte nahi suna siwaaye Abdullah bin Salaam Razi Allahu Anhu k. (Sahih Muslim Kitabul Manaqib)
Wazahat: Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ne sirf Hazrat Abdullah bin Salaam k baare mein hi ye basharat suni lihaza unhi k baare mein gawahi di lekin daigar Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se doosre Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k baare mein basharatey riwayat ki hai.
HAZRAT MARYAM BINTEY IMRAN RAZI ALLAHU ANHA, HAZRAT FATIHA RAZI ALLAHU ANHA (BINTEY HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM), HAZRAT KHADEEJA RAZI ALLAHU ANHA (ZOJA E HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM) AUR HAZRAT AASIYA RAZI ALLAHU ANHA (ZOJA E FIROON) JANNATI KHAWATEEN KI SARDAAR HAI
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannati khawateen ki sardaar Maryam bintey Imran Razi Allahu Anha k baad Hazrat Fatima Razi Allahu Anha, Hazrat Khadeeja Razi Allahu Anha aur Hazrat Aasiya Razi Allahu Anhu Anha firoon ki beewi hai". (Tabraani, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1434)
HAZRAT ZAID BIN UMAR RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to Zaid bin Umar bin Nafeel k do darje dekhey". (Ibne Asakir, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1406)
HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR BIN HARAAM RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k Uhad k din jab Abdullah bin Haraam Razi Allahu Anhu Shaheed hue to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae Jabir! kya mein tujhe wo baat na batau jo Allah ta'ala ne tumhare baap se ki hai?" mene arz kiya "Kyu nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah ta'ala ne kisi shaks se bagair hijaab k baat nahi farmayi lekin tere baap se bagair hijaab k (yaani baraah e raast) guftagu farmayi hai aur kaha hai ae mere bande jo chahte ho maango mein tumhey dunga" tumhare baap ne arz kiya "ae mere rabb! mujhe dobara zindah farma takey mein dobarah teri raah mein mara jau" Allah ta'ala ne irshad farmaya "ye baat to hamari taraf se pehle hi tey ho chuki hai k marne k baad dunya mein wapsi nahi hogi" tere baap ne arz kiya "Ae mere rabb! accha to meri taraf se (ahle dunya ko) mera ye paigham (yaani dobarah zindah ho kar shaheed hone ki tamanna karna) pahucha de" tab Allah ta'ala ne ye Aayat nazil farmayi "jo loog Allah ki raah mein qatal ho jaye unhey murdah na kaho, balkey wo zindah hai aur apne rabb k han rizq diye jaate hai (Surah Aal E Imraan Surah no. 3 Ayat no. 169)". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2258)
HAZRAT AMMAAR BIN YAASIR AUR HAZRAT SALMAN FAARSI RAZI ALLAHU ANHUM JANNATI HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat teen aadmiyo ka shoonq rakhti hai Hazrat Ali, Hazrat Ammaar aur Hazrat Salmaan Faarsi Razi Allahu Aanhum". (Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1594)
HAZRAT JAFAR BIN ABU TALIB RAZI ALLAHU ANHU AUR HAZRAT HAMZA RAZI ALLAHU ANHU JANNAT MEIN HAI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein kal raat jannat mein dakhil hua aur us mein dekha k Jafar Razi Allahu Anhu farishto k saath udh rahe hai aur Hamza Razi Allahu Anhu takhat par takiya lagaaye baithey hai". (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3358)
HAZRAT ZAID BIN HAARSA RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI
Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to ek nojawaan dosheezah ne mera istaqbaal kiya mene us se pucha tu kis k liye hai? kehne lagi Zaid bin Haarsa k liye". (Ibne Asakir, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3361)
GUMEESA BINTEY MILHAAN RAZI ALLAHU ANHA JANNATI HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to apne aagey kisi k chalne ki aawaaz suni mene pucha ye aawaaz kesi hai? mujhe bataya gaya k ye Gumeesa binte Milhaan Razi Allahu Anha hai". (Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3362)
Wazahat: Yaad rahe Hazrat Gumeesa binte Milhaan Razi Allahu Anha k shohar aur baita gazwa e uhad mein shaheed hue unke bhai Haraam bin Milhaan Razi Allahu Anhu haadsha bare maoona mein shaheed hue aur khud jazeerah e qabras ki taskheer k baad wapas aane wale jihaadi lashkar mein shamil thi k doraan e safar mein Allah ko piyaari ho gayi (INNA ILLAHI WA INNAA ILAIHI RAAJI'OON)
HAZRAT HAARSA BIN NOMAAN RAZI ALLAHU ANHU JANNATI HAI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to quraat ki aawaaz suni mene pucha ye kaun hai?" farishto ne jawab diya "Haarsa bin Noman (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye sun kar farmaya) "Naiki ka ajr to yahi hai naiki ka sawab to aesa hi hota hai". (Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3363)
MAKKA MUKARRAMA SE MADEENA MUNAWWARAH HIJRAT KARNE WALO KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE JANNAT KI BASHARAT DI HAI
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya tum jaante ho meri ummat mein se konsa garooh sab se pehle jannat mein dakhil hoga?" mene arz kiya "Allah aur uska Rasool hi behtar jaante hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Muhajir loog (makka se madeena hijrat karne wale) qayamat k rooz jannat k darwaazey par ayengey to darwaazah khola jayega, jannat ka khazin unse puchega kya tumhara hisaab ho gaya hai? wo jawab dengey hisaab kis cheez ka? hamari talwaarey Allah ki raah mein hamare kandho par thi aur is halat mein hamey maut aa gayi, chunanchey jannat ka darwaazah unke liye khool diya jayega aur wo doosre loogo k jannat mein dakhil hone se chalees saal pehle jannat mein ja kar mazey karengey". (Mustadrak E Haakim, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 852)
Wazahat: Tirmizi Shareef ki hadees mein paanch soo saal baad jannat mein dakhil hone ka zikr hai, ye fark loogo k aamaal ki bunyaad paar hoga. (Wallahu Aalam bis Sawaab)
HAZRAT IBNE DAHDAAH RAZI ALLAHU ANHU JANNAT MEIN HAI
Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ibne Dahdaah Razi Allahu Anhu ki namaz e janazah padhayi phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas ek nangi peeth wala ghooda laya gaya aur usko ek shaks ne pakda, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam us par sawaar hue wo ghooda bidakta tha hum sab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey pichey doodh rahe they k loogo mein se ek shaks ne kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ibne Dahdaah Razi Allahu Anhu k liye jannat mein kitne hi, (phalo k) khoshey latke hue hai". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz)
UMMUL MOMINEEN HAZRAT HAFSA RAZI ALLAHU ANHA JANNATI HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ne (mujhey) kaha k Aap Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha se ruju kare kyunki wo bahut ziyaadah roozey rakhne wali bahut ziyaadah qayaam karne wali hai aur jannat mein aapki beewi hai". (Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sagir Hadees no. 4727)
Wazahat: Yaad rahe Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha ko raji'e talaaq di thi aur Allah ta'ala k hukm par ruju farma liya tha.
HAZRAT AKAASA RAZI ALLAHU NAHU JANNATI HAI
Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri ummat mein se sattar hazaar aadmi bagair hisaab jannat mein jayengey" Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kaun (khush naseeb) loog hongey?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "ye wo loog hongey jo na damm karate hai na shagon lete hai na daagh lagaate hai aur sirf apne rabb par tawakkal karte hai" Hazrat Ukasa Razi Allahu Anhu khade hue aur arz kiya "Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! dua farmaiye Allah mujhey unme se karde, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya tu unme se hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)