JANNAT MEIN LE JAANE WALE AAMAAL MASHAKKAT TALAB HAI
Bismillahirrahmanirraheem
JANNAT BOJHAL MASHAKKAT TALAB AUR INSAANI MIZAAJ PAR GIRAAH GUZARNE WALE AAMAAL SE DHAANPI GAYI HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab Allah ta'ala ne jannat aur jahannam paida farmayi to Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ko jannat ki taraf bheja aur farmaya (jao aur) jannat ka nazaarah karo aur jo naimatey mene jannatiyo k liye paida ki hai unhey dekho, Jibraeel Alaihis Salaam aaye jannat aur jannatiyo k liye paida ki gayi naimatey dekhi phir Allah ta'ala ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya teri izzat ki qasam jo bhi uske baare mein sunega wo zaroor usme dakhil hoga phir Allah ta'ala ne (farishto ko) hukm diya k jannat ko mushkilaat aur masa'ib se dhaanp diya jaye tab Allah ta'ala ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ko (dobaarah) hukm diya k phir jao jannat aur jannatiyo k liye mene jo naimatey tayyar ki hai unhey dekho Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam gaye to jannat mushkilaat aur masa'ib se dhaanpi hui thi chunanchey Allah ta'ala ki baargaah mein hazir hue aur arz kiya teri izzat ki qasam! mujhe darr hai k isme koi bhi dakhil nahi ho sakega, phir Allah ne hukm diya ab jahannam ki taraf jao aur use dekho aur jo azaab mene jahannamiyo k liye tayyar kiye hai unhey dekho k (kis tarah) uska ek hissa doosre par sawaar hai, Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam (sab kuch dekh kar) wapas lootey to arz kiya teri izzat ki qasam! koi shaks aesa nahi hoga jo iske baare mein sune aur phir usme dakhil ho, Allah ta'ala ne hukm diya aur jahannam ko shahwaat aur lazzaat se dhaamp diya gaya tab Allah ta'ala ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se farmaya dobara jao Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam dobara gaye (sab kuch dekha) aur arz kiya gaya teri izzat ki qasam! mujhe darr hai k ab to is se koi bhi bach nahi payega har koi isme dakhil hoga". (Sunan Tirmizi Abwabul Sifatul Jahannam)
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat nagawaar cheezo se ghairi gayi hai aur jahannam khushgawaar cheezo se ghairi gayi hai". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naemaha)
JANNAT HASIL KARNE K LIYE SAKHT JADDO JAHAD AUR MEHNAT KI ZAROORAT HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo dara wo bhaga aur jo bhaga wo manzil ko pahuncha, suno, Allah ka maal bahut mehnga hai khabardaar Allah ka maal jannat hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Sifatul Qayamaah)
NAIMATO BHARI JANNAT CHAHNE WALA SHAKS DUNYA MEIN KABHI CHAIN KI NEEND NAHI SOO SAKTA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene Jahannam se bhaagne wale kisi shaks ko sootey hue nahi dekha aur na hi jannat k kisi khawahish mand ko sootey hue dekha hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Sifatul Jahannam)
AAKHIRAT MEIN INAAM WA IKRAAM HASIL KARNE WALE AAMAAL DUNYA K AETABAAR SE KADVEY KARAILE HAI
Hazrat Abu Malik Ash'ari Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hau suna hai k "Dunay ki mithaas aakhirat ki kadwahat hai aur dunya ki kadwahat aakhirat ki mithaas hai". (Mustadrat E Haakim, Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Juzz E Saani)
MOMIN K LIYE DUNYA QAID-KHANA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Dunya momin k liye qaid-khana hai aur kafir k liye jannat hai". (Sahih Muslim Kitabuz Zahad)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Sunday, 19 April 2015
JANNAT MEIN LE JAANE WALE AAMAAL MASHAKKAT TALAB HAI
Labels:
JANNAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment