NAMAZ - 11 SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM KI SHAHADAT
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k das Sahaba Razi Allahu Anhum (ki jamat) mein kaha k mein tum (sab) se ziyaadah Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz k tareeqey ko jaanta hu, Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne kaha phir (hamare ru-baru Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz) bayan karo, Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu ne kaha: Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz k liye khade hote (to) apne dono haath kandho k barabar uthaate phir takbeer (tehrima) kehte phir quran padhte phir (ruku k liye) takbeer kehte aur apne dono haath kandho k barabar uthaate phir ruku karte aur apni hatheliya apne ghutno par rakhte phir (ruku k doraan) kamar seedhi karte, pas na apna sar jhukaate aur na buland karte (yaani peeth aur sar hamwaar rakhte) aur phir apna sar ruku se uthaate pas kehte (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) phir apne dono haath uthaate yaha tak k unko apne kandho k barabar karte aur (qauma mein itminaan se) seedhey khade ho jaate phir (ALLAHU AKBAR) kehte phir zameen ki taraf sajdey k liye jhukte pas apne dono haath (baazu) apne dono pehluo, (raano aur zameen) se door rakhte aur apne dono pao ki ungliya khoolte (is tarah k ungliyo k sirey qiblah rukh hote) phir apna sar sajdey se uthaate aur apna baaya pao moodte (yaani bicha lete) phir us par baithtey aur seedhey hote yaha tak k har haddi apni jagah par aa jati (yaani badey itminaan se jalsa mein baithtey) phir (doosra) sajdah karte phir (ALLAHU AKBAR) kehte aur uthtey aur apna baaya pao moodte, phir us par baithtey aur dil jamie se aetadaal karte yaha tak k har haddi apne thikaane par aa jati (yaani itminaan se jalsa e istarahat mein baithtey) phir (doosri rakaat k liye) khade hote phir usi tarah doosri rakaat mein karte, phir jab do rakaat padh kar khade hote to (ALLAHU AKBAR) kehte aur apne dono haath kandho k barabar uthaate, jese namaz k shuru mein takbeer e oula k waqt kiya tha, phir usi tarah apni baaqi namaz mein karte yaha tak k jab wo sajdah hota jiske baad salaam hai (yaani aakhiri rakaat ka doosra sajdah jiske baad baith kar tashahud, darood aur dua padh kar salaam phairte hai) apna baaya pao (daayi pindli k nichey se bahar) nikaalte aur baayi janib kulhey (sireen) par baithtey phir salaam phair tey, (ye sun kar) un Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne kaha (ae Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu) tumne sach kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam isi tarah namaz padha karte they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 730, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 304, ise Ibne Hibban, Tirmizi aur Nawawi ne sahih kaha)
Is Hadees se bahut baatey maloom hoti hai jis mein se ek ye hai k Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum k nazdeek Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat tak rafulyadain mansookh nahi hua.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Monday, 31 August 2015
NAMAZ - 11 SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM KI SHAHADAT
Tuesday, 25 August 2015
SUTRAH KA BAYAN
SUTRAH KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
Yaha sutrah se muraad wo cheez hai jise namazi apne aagey khada karke namaz padhta hai takey uske aagey se guzarne wala sutrah k aagey se guzar jaye aur gunah-gaar na ho, ye sutrah laathi, barchi, lakdi, diwaar, satoon aur darakht se hota hai aur imam ka sutrah sab muqtadiyo k liye kaafi hota hai.
Hazrat Talha bin Ubaidullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi shaks apne saamne paalaan ki pichli lakdi k barabar (koi cheez) rakh le to namaz jaari rakkhey aur jo koi sutrey k pichey se guzrey uski parwah na kare". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 499)
Hazrat Ata Rahimahullah farmate hai k paalaan k pichley hissey ki lakdi ek haath ya us se kuch ziyaadah (lambi) hoti hai. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 686, ise Ibne Khuzaima Hadees no. 807 ne sahih kaha)
Maloom hua k kam az kam ek haath lambi lakdi ya koi aur cheez sutrah ban sakti hai.
Hazrat Abu Huzaifa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Batha (ek muqaam ka naam hai) mein loogo ko namaz padhaayi, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne ek barchi nasb thi, aapne do rakaat zuhar ki namaz padhaayi aur do rakaat asar ki, us waqt barchi ki doosri taraf auratey aur gadhey chale ja rahey they. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 495, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 503)
NAMAZI K AAGEY SE GUZARNE KA GUNAH:
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar namazi k saamne se guzarne wale ko guzarne ki saza maloom ho jaye to usey ek qadam aagey badhne ki bajaaye chalees tak wahi khade rehna pasand ho, Abu Nazar ne kaha k mujhe yaad nahi raha k Basar bin Saeed ne chalees din kahe ya chalees maheeney ya chalees saal". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 510, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 507)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum namaz ada karte waqt aagey sutrah khada karo aur agar koi shaks sutrah k andar (yaani namazi aur sutrah k darmiyaan) se guzarna chaahey to uski muzahamat karo aur usey aagey se na guzarne do, agar wo naa maane to us se ladaayi karo, beshak wo shaitan hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 509, Sahih Muslim Hadees no. 505)
Ek riwayat mein hai k do baar to usey haath se roko agar wo na rukey to us se haatha-paayi se bhi guraiz na kiya jaye (kyunki) wo shaitan hai. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 808, ise ibne Khuzaima ne sahih kaha)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam sutrah aur apne darmiyaan mein se kisi cheez ko guzarne na dete they, ek dafa Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz ada farma rahe they k ek bakri dodati (bhaagti) hui aayi aur aapke aagey se guzarna chahti thi, aapne apna batan mubarak diwar k saamne laga diya to bakri ko sutrah k pichey se guzarna pada. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 827, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki jaa-namaz aur diwar k darmiyaan ek bakri k guzarne ka faasla hota tha. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 496, Sahih Muslim Hadees no. 508)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar namazi k aagey ounth k palaan ki pichli lakdi jitna lamba sutrah na ho aur baaligh aurat, gadha ya siyaah kutta aagey se guzar jaaye to namaz toot jati hai, aur siyaah kutta shaitan hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 510)
Hazrat Ayesha Siddiqa Razi Allahu Anha se riwayat hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k aagey sooti thi, mere paao aapke saamne hotey they, jab aap sajdah karte to mein apne paao samait leti aur jis waqt aap khade hote to pao phela deti, un dino gharo mein chiraag nahi hote they. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 513, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 512)
Maloom hua k guzarna to mana hai lekin aagey koi laita ho to koi harj nahi.
AHKAAM E QIBLAH
AHKAAM E QIBLAH
Bismillahirrahmanirraheem
Allah ta'ala ne farmaya "Apna chehrah (namaz k liye) masjid e Haraam ki taraf phair lo". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 144)
Jab farz namaz ada karna maqsood hota to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sawari se utartey aur qiblah rukh khade ho jate. (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1099)
Qiblah k baare mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad hai "Mashriq aur magrib k darmiyaan (junoob ki taraf) tamaam simt qiblah hai". (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 343, Is hadees ko imam Tirmizi ne hasan sahih kaha)
Madeena se kaaba junoob ki taraf hai is liye aapne mashriq wa magrib k darmiyaan qiblah ka taeyn farmaya hamare liye pakistan aur hindustan mein shimal aur junoob k darmiyaan magrib ki taraf tamaam simt qiblah hai, takey ummat tangi mein mubtala na ho, albatta qiblah ki simt ka yaqeeni ilm ho jaane k baad qiblah rukh hona zaroori hai.
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam doraan e safar farzo k alawa raat ki namaz apni sawari par ishaarey se padhte they jis taraf sawari ka rukh hota udhar hi aapka muh hota tha, aur sawari par hi witr padhte they. (Sahih Bukhari Kitabul Witr Hadees no. 1000, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 700)
Aur kabhi Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye mamool bhi dekhne mein aata k jab uthni par nawafil ada karne ka iraadah farmate to uthni ka muh qiblah rukh karte aur takbeer e tehrima keh kar namaz shuru farma dete uske baad nawafil ada farmate rehte jis taraf bhi sawari ka rukh hota. (Abu Dawood Kitabus Salatus Safar Hadees no. 1225, ise Ibne Asakir ne sahih aur Munzari ne hasan kaha)
Is soorat mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku aur sajdah sar k ishaarey se karte albatta sajdah ki halat mein ruku ki nisbat sar ko jayada jhuka lete. (Tirmizi Kitabus Salat Hadees no. 351, ise Imam Tirmizi ne hasan kaha)
Qiblah ki janib qabr hoone ki soorat mein waha se hat kar namaz ada karni chahiye, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qabro ki janib muh karke namaz ada na karo aur na qabro par baitho". (Sahih Muslim Kitabul Janaiz Hadees no. 972)
Agar koi namazi gair qiblah ki taraf muh karke namaz padh raha ho aur usey koi namaz ki halat mein sahih qibla ki ittalaah de to usey namaz hi mein apna rukh badal lena chahiye.
Hazrat Bara bin Aazib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Baitul Maqdas ki taraf 16 ya 17 maheeney tak namazey padhi phir Allah ta'ala ne kaaba ki taraf muh karne ka hukm diya, ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey (kaaba ki taraf muh karke) namaz padhi phir usne ansaar k kuch loogo ko asar ki namaz baitul maqdas ki taraf padhte hue dekha to kaha mein gawahi deta hu k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey kaaba ki taraf muh karke namaz padhi ye sun kar wo loog (namaz hi mein) kaaba ki taraf ghoom gaye. (Sahih Bukhari Hadees no. 399)
Sunday, 23 August 2015
AZAAN AUR IQAMAT K MASA'IL
AZAAN AUR IQAMAT K MASA'IL
Bismillahirrahmanirraheem
1. Har namaz k liye Azaan deni chahiye: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab namaz ka waqt aaye to tum mein se koi ek azaan kahe, aur tum mein se bada imamat karaaye". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 628, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 674)
2. Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu azaan kehte hue kaano mein ungliya daalte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 197)
3. Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu "HAIYYA ALAS SALAAH" kehte hue muh daayi janib phair lete they aur "HAIYYA ALAL FALAAH" kehte waqt baayi taraf. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 634, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 503)
4. Hazrat Usman bin Abul Aas Razi Allahu Anhu ki riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unko unki quam ka imam muqarrar kiya aur farmaya "Muazzin wo muqarrar kar jo apni azaan par mazdoori na le". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 531, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 2091, ise Hakim 1:199, 201 aur Zahbi ne sahih kaha)
5. Muazzin wo muqarrar karna chahiye jo buland aawaaz wala ho: Hazrat Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey farmaya "Bilal ko azaan sikhaao kyunki wo tum se buland aawaaz hai". (Abu Dawood Hadees no. 499, Tirmizi Hadees no. 189)
6. Ek Sahabiya Razi Allahu Anha farmati hai k masjid k qareeb tamaam gharo se mera makaan uncha tha aur Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu us (makaan) par (khade ho kar) fajar ki azaan dete they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 519, Ise Ibne Hajar ne sahih kaha)
7. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi ko farmaya "Jesa muazzin kehta hai tu bhi usi tarah jawab de phir jab to jawab se farigh ho jaye to (dua) maang! to diya jayega". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 524, ise Imam Ibne Hibban 295 ne sahih kaha)
8. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Azaan aur takbeer k darmiyaan Allah ta'ala dua radd nahi farmata". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 521, Tirmizi Hadees no. 312, ise Imam Tirmizi ne hasan kaha)
9. Bimaariyo aur waba k moqey par loog ghar gahr azaaney dete hai ye sunnat se sabit nahi, kyunki is silsiley mein paish ki jaane wali tamaam riwayaat zaeef hai.
10. "AS SALAATU KHAIRUM MINAN NAUM" k alfaaz siwaaye fajar k kisi aur azaan mein nahi kehne chahiye.
11. Iqamat, azaan k fauran baad nahi honi chahiye kyunki Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Azaan aur takbeer k darmiyaan nafil namaz hai, Aapne teen baar ye kalmaat kahe phir farmaya jiska dil chaahye (namaz padhey)". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 624, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 838)
12. Subah sadiq se kuch dair pehle bhi ek azaan hai Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tumhey Bilal ki azaan sehri khaane se na rookey kyunki wo raat ko azaan dete hai takey tahajjud padhne wala lout aaye aur sooney wala khabardaar ho jaye". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 621, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1093)
13. Is azaan aur namaz e fajar ki azaan mein itna waqfa nahi hota tha jitna k aaj kal kiya jata hai, Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai dono muazzino k darmiyaan sirf is qadar waqfa hota tha k ek azaan de kar utarta aur doosra azaan k liye chadh jata. (Sahih Muslim Hadees no. 1092)
14. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab iqamat ho jaye to farz namaz k alawa koi namaz nahi hoti". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 710)
Agar koi jamaat ki parwaah na karte hue sunnatey padhega to phir "Naiki barbaad gunah laazim" wala muhawara poora ho jayega, lihaza namaziyo ko chahiye k agar wo tashahud k qareeb na pahunchey hue ho fauran sunnatey tood kar jamaz k saath shamil ho jaye han agar koi shaks yahi namaz us se pehle jamat k saath ada kar chuka ho to phir wo sunnatey jaari rakh sakta hai. Wallahu Aalam
15. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab iqamat kahi jaaye to saff mein shamil hone k liye na bhaago balkey waqaar k saath chalte hue aao jo namaz tum (imam k saath) paa lo aur jo reh jaaye usey baad mein poora karo". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 636, Sahih Muslim Hadees no. 602)
16. Ek shaks azaan sun kar masjid se nikla Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne farmaya k beshak us shaks ne Abul Qasim Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nafarmaani ki. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 655)
Shari uzr ya namaz ki tayyari k silsiley mein bahar jaana padey to jayez hai
17. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo namaz ka iraadah kare to goya wo namaz hi mein hai". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 602)
Yaani agar wo bila wajah susti se kaam na le to jab tak wo namaz nahi padh leta, usey namaz ka sawab musalsal mir raha hota hai. (Wallahu Aalam)
18. Hameed riwayat karte hai k mene Sabit Banaani se pucha: Kya namaz ki iqamat ho jaane k baad imam batey kar sakta hai? to unhoney mujhe Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ki hadees bayan ki k ek martaba namaz ki iqamat ho chuki thi, itne mein ek shaks aaya aur iqamat ho jaane k baad Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se baatey karta raha. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 643, Sahih Muslim Hadees no. 376)
19. Ek dafa namaz ki iqamat ho gayi, logo ne safey barabar karli, itne mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko yaad aaya k aap junbi hai aapne loogo se kaha, apni jagah khade raho, phir aapne (ghar ja kar) gusal farmaya aur jab aap wapas tashreef laaye to aapke sar se paani tapak raha tha phir aapne namaz padhaayi. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 640, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 605)
Bhool jana insaani kamzoori hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam bashar they isi liye bhool gaye ye bhi sabit hua k bhoolna shaan e khilafat k khilaf nahi hai.