Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday, 25 August 2015

AHKAAM E QIBLAH

AHKAAM E QIBLAH

Bismillahirrahmanirraheem

Allah ta'ala ne farmaya "Apna chehrah (namaz k liye) masjid e Haraam ki taraf phair lo". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 144)

Jab farz namaz ada karna maqsood hota to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sawari se utartey aur qiblah rukh khade ho jate. (Sahih Bukhari Kitabut Taqseerus Salaat Hadees no. 1099)

Qiblah k baare mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad hai "Mashriq aur magrib k darmiyaan (junoob ki taraf) tamaam simt qiblah hai". (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 343, Is hadees ko imam Tirmizi ne hasan sahih kaha)

Madeena se  kaaba junoob ki taraf hai is liye aapne mashriq wa magrib k darmiyaan qiblah ka taeyn farmaya hamare liye pakistan aur hindustan mein shimal aur junoob k darmiyaan magrib ki taraf tamaam simt qiblah hai, takey ummat tangi mein mubtala na ho, albatta qiblah ki simt ka yaqeeni ilm ho jaane k baad qiblah rukh hona zaroori hai.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam doraan e safar farzo k alawa raat ki namaz apni sawari par ishaarey se padhte they jis taraf sawari ka rukh hota udhar hi aapka muh hota tha, aur sawari par hi witr padhte they. (Sahih Bukhari Kitabul Witr Hadees no. 1000, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 700)

Aur kabhi Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye mamool bhi dekhne mein aata k jab uthni par nawafil ada karne ka iraadah farmate to uthni ka muh qiblah rukh karte aur takbeer e tehrima keh kar namaz shuru farma dete uske baad nawafil ada farmate rehte jis taraf bhi sawari ka rukh hota. (Abu Dawood Kitabus Salatus Safar Hadees no. 1225, ise Ibne Asakir ne sahih aur Munzari ne hasan kaha)

Is soorat mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ruku aur sajdah sar k ishaarey se karte albatta sajdah ki halat mein ruku ki nisbat sar ko jayada jhuka lete. (Tirmizi Kitabus Salat Hadees no. 351, ise Imam Tirmizi ne hasan kaha)

Qiblah ki janib qabr hoone ki soorat mein waha se hat kar namaz ada karni chahiye, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qabro ki janib muh karke namaz ada na karo aur na qabro par baitho". (Sahih Muslim Kitabul Janaiz Hadees no. 972)

Agar koi namazi gair qiblah ki taraf muh karke namaz padh raha ho aur usey koi namaz ki halat mein sahih qibla ki ittalaah de to usey namaz hi mein apna rukh badal lena chahiye.

Hazrat Bara bin Aazib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Baitul Maqdas ki taraf 16 ya 17 maheeney tak namazey padhi phir Allah ta'ala ne kaaba ki taraf muh karne ka hukm diya, ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey (kaaba ki taraf muh karke) namaz padhi phir usne ansaar k kuch loogo ko asar ki namaz baitul maqdas ki taraf padhte hue dekha to kaha mein gawahi deta hu k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey kaaba ki taraf muh karke namaz padhi ye sun kar wo loog (namaz hi mein) kaaba ki taraf ghoom gaye. (Sahih Bukhari Hadees no. 399)

No comments:

Post a Comment