TALAAQ KI IQSAAM
Bismillahirrahmanirraheem
TALAAQ KI TEEN IQSAAM HAI
1. MASNOON TALAAQ
2. GAIR MASNOON TALAAQ
3. BAATIL TALAAQ
1. MASNOON TALAAQ
HAIZ SE PAAK HONE K BAAD JAB K BEEWI SE SOHBAT NA KI HO, HAALAT E TAHAR MEIN BEEWI KO EK TALAAQ DENI CHAHIYE, DORAAN E IDDAT BEEWI KO APNE SAATH GHAR MEIN RAKH KAR USKA NAAN WA NAQFA ADA KARNA CHAHIYE, YE MASNOON TALAAQ HOGI
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone ahad e Nabwi Sallallahu Alaihi Wa Sallam mein apni beewi ko haalat e haiz mein talaaq di to Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne is baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Abdullah ko hukm do k wo apni beewi se ruju kare phir use chood de yaha tak k wo haiz se paak ho jaye phir haiz aaye aur phir paak ho phir sohbat kiye bagair chahey to (use apne nikah mein) rookey rakkhey chahey to talaaq de aur yahi wo iddat hai jiske hisaab se Allah ta'ala ne aurato ko talaaq dene ka hukm diya hai". (Sahih Muslim Kitabut Talaaq)
2. GAIR MASNOON TALAAQ
DORAAN E HAIZ AURAT KO TALAAQ DENA GAIR MASNOON HAI
JIS TAHAR MEIN JIMA KIYA HO US TAHAR MEIN TALAAQ DENA GAIR MASNOON HAI
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai talaaq e masnoon ka tareeqa ye hai k aadmi halat e tahar mein jima k bagair talaaq de. (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1640)
Wazahat: Gair masnooon talaaq, sunnat k mutabiq na honey k bawajood waqey ho jaati hai, lekin talaaq dene wala gunah ka murtakib hota hai.
3. BAATIL TALAAQ
NIKAH SE PEHLE TALAAQ DENA BAATIL HAI
Hazrat Ali bin Abu Taalib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nikah se pehle talaaq nahi hai". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1668)
ZABARDASTI DILAAYI GAYI TALAAQ BAATIL HAI
Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala ne meri ummat se khata bhool aur jabar (yaani zabardasi) ki halat mein kiya hua kaam maaf farma diya hai". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1662)
NA-BAALIG, MAJNOON AUR MADHOOSH KI TALAAQ BAATIL HAI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen aadmi shar'i ahkaam k paaband nahi
1. Sooya hua jaagne tak
2. Na-baalig baalig hone tak
3. Deewana aqal sahih hone tak". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1660)
DIL MEIN DI GAYI TALAAQ WAQEY NAHI HOTI JAB TAK ZUBAAN SE ALFAAZ ADA NA KIYE JAYE
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah ne farmaya "Allah ta'ala ne meri ummat ko un k dil mein aane wali baato ko maaf farma diya hai jab tak wo us par amal na kare". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1659)
RISHTA AZWAAJ MEIN MUNSALIK BEEWI KO HI TALAAQ DI JA SAKTI HAI GAIR BEEWI PAR TALAAQ WAQEY NAHI HOTI
Hazrat Umar bin Shuyeb Razi Allahu Anhu apne baap se aur wo apne dada se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "JIs (aurat) ka insaan malik hi nahi use talaaq nahi de sakta (yaani jiski wo beewi hi nahi hai usey talaaq nahi de sakta)". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1666)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Wednesday, 19 November 2014
TALAAQ KI IQSAAM
Labels:
TALAAQ
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment