TALAAQ QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN
Bismillahirrahmanirraheem
DORAAN E HAIZ TALAAQ DENA MANA HAI
GAIR HAMILA AUR MADKHOOLA AURAT KI TALAAQ KI IDDAT TEEN TAHRIYA TEEN HAIZ HAI BA-SHART K NABAALIG BACCHI (JISE ABHI HAIZ AANA SHURU NA HUA HO), YA AA'ISA (JISE ZAYADA UMAR KI WAJAH SE HAIZ AANA BAND HO GAYA HO) YA WAFAAT SHUDA SHOHAR WALI AURAT NA HO
RAJI'E TALAAQ HO TO DORAAN E IDDAT MEIN AGAR SHOHAR RUJU KANRA CHAHEY TO WALI KO US MEIN RUKAWAT NAHI DAALNI CHAHIYE
AURATO AUR MARDO K HUQOOQ KI SHARI AUR QANOONI HAISIYAT EK JESI HAI, JIS TARAH AURATO PAR MARDO K HUQOOQ ADA KARNA WAJIB HAI USI TARAH MARDO PAR AURATO K HUQOOQ ADA KARNA WAJIB HAI
RAJI'E TALAAQ MEIN IDDAT KHATAM HONE SE PEHLE PEHLE SHOHAR JAB CHAHEY RUJU KAR SAKTA HAI KHAWAH AURAT RAAZI HO YA NA HO
"Jin aurato ko talaaq di gayi ho wo teen haiz aaney tak apne aapko rookey rakkhey aur unke liye ye jayez nahi hai k Allah ta'ala ne unke raham mein jo kuch khalk kiya hai use chipaaye unhe hargiz aesa nahi karna chahiye agar wo Allah aur yaum e aakhirat par emaan rakhti hai agar unke shohar taalluqaat durust kar lene par aamaada ho to wo is iddat k doraan mein unhe phir apni zojiyat mein wapas lene k haqqdaar hai, aurato k liye ye bhi maroof tareeqey par wese hi huqooq hai jese mardo k un par, albatta mardo ko unpar darja hasil hai aur Allah ta'ala sab par gaalib hai aur hikmat wala hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 228)
Wazahat: 1. Yaad rahey hamila ki iddat wazey hamal hai, gair madkhoola mutallaqa ki koi iddat nahi wo talaaq k fauran baad doosra nikah kar sakti hai jin aurato ko budhapey ki wajah se haiz aana band ho gaya ho unki iddat teen maah hai.
2. Raham mein khalk ko na chipaaney ka matlab ye hai k talaaq k baad aurat ko jitne haiz aaye wo sach sach bataane chahiye masalan agar koi aurat khud bhi ruju karne ki khawahish-mand ho to teen haiz guzarne k ba-wajood ye keh de k ek ya do haiz aaye hai ya agar khud aurat ruju karna pasand na karti ho to ek ya do haiz aane par hi keh de k teen haiz aa chukey hai, aesa karne se mana farmaya gaya hai, iska doosra matlab hamal ka mojood hona ya na hona bhi ho sakta hai.
RAJI'E TALAAQ (WO TALAAQ JISKE BAAD RUJU KARNE KI IJAZAT HAI) K MOUQEY SAARI ZINDAGI MEIN SIRF DO HI HAI
TEESRI TALAAQ JISE TALAAQ BAA'IN KAHA JATA HAI, K BAD RUJU KA HAQQ BAAQI NAHI REHTA BALKEY MIYA BEEWI MEIN MUSTAQIL ALHAIDGI HO JAATI HAI
TAQAAQ DENE K BAAD AURAT KO DIYA HUA MEHAR YA DOOSRA SAMAAN WAPAS NAHI LENA CHAHIYE
AGAR KOI MUTALLAQA KHATOON DOOSRA NIKAH KARLE AUR DOOSRA SHOHAR SOHBAT K BAAD APNI AZAAD MARZI SE USEY TALAAQ DE TO MUTALLAQA KHATOON IDDAT GUZAANE K BAAD PEHLE SHOHAR SE NIKAH KAR SAKTI HAI
"Agar (kisi shohar ne apni beewi ko teesri) talaaq di to wo aurat phir uske liye halaal na hogi illa ye k uska nikah kisi doosre shaks se hua aur wo use (azaad marzi se) talaaq de tab agar pehla shohar aur ye (mutallaqa) aurat dono ye khayaal karey k hudood e ilahi par qayam rahenge to unke liye ek doosre ki taraf ruju kar lene mein koi maza'iqa nahi ye Allah ki muqarrar kardah hadey hai jinhey wo (in) loogo ki hidayat k liye wazey kar raha hai (jo uski hadoo ko toodne ka anjaam) jaantey hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 230)
AGAR MARD CHAHEY TO AURAT KO AZ’DAWAAJI ZINDAGI KHATAM KARNE KA IKHTIYAAR DE SAKTA HAI IS SOORAT MEIN AURAT KA FAISLA QATEY TAUR PAR NAFIZUL-AMAL HOGA
"Ae Nabi! apni beewiyo se kaho agar tum dunya aur uski zeenat chahti ho to aao mein tumhey kuch de dila kar bhaley tareeqey se rukhsat kardu agar tum Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur daar e aakhirat ki taalib ho to jaanle k tum mein se jo naikokaar hai Allah ne unke liye bada ajr tayyar kar rakkha hai". (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 28)
MIYA BEEWI K DARMIYAAN JHAGDEY KI SOORAT MEIN SHARI’E ADALAT MEIN JAANE SE PEHLE APNE APNE KHANDAAN MEIN SE EK EK NAIK AUR MAAMLA FAHAM AADMI KO BATAUR SAALIS MUQARRAR KARKE MUSALIHAT KARNE KA HUKM HAI
"Aur agar tum loogo ko miya beewi k taalluqaat bigad jaane ka andesha ho to ek saalis mard k rishtedaaro mein se aur ek saalis aurat k rishtedaaro mein se muqarrar karo, wo dono (saalis ya zojain) islaah karna chahenge to Allah ta'ala unke darmiyaan muwafiqat ki soorat paida farma dega Allah sab kuch jaanta hai aur bakhabar hai". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 35)
EK SE ZAAYID BEEWIYA RAKHNE WALE SHOHAR SE AGAR KISI BEEWI KO KISI WAJAH SE BADSALOOKI AUR BE-RUKHI KA KHATRA HO AUR WO BEEWI APNE HUQOOQ CHOOD KAR APNE SHOHAR K SAATH ZINDAGI BASAR KARNE PAR AAMAADA HO TO SHOHAR KO USE TALAAQ NA DENE KI TARGEEB DILAANI CHAHIYE
MIYA BEEWI K DARMIYAAN BIGAAD KI SOORAT MEIN EK DOOSRE K SAATH PARHAIZGAARI KA TARZ AMAL IKHTIYAAR KARNE KA HUKM DIYA GAYA HAI
"Jab kisi aurat ko apne shohar se badsalooki ya be-rukhi ka khatra ho to koi mazaika nahi agar miya aur beewi (kuch huqooq ki kami aur baishi par) aapas mein sulah karley, sulah beharhaal (alhaidgi se) behtar hai, nafs tang-dili ki taraf jald mayil ho jaate hai lekin agar tum loog ehsaan se paish aao aur parhaizgaari se kaam lo, to yaqeen rakkho Allah tumhare is (naik) tarz amal se be-khabar na hoga". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 128)
Wazahat: Aurat ki tang dili ye hai k beemari, budhapey ya badsoorati k bawajood mard se usi muhabbat aur ragbat ka taqaaza kare jo sehat-mand jawaan ya khoobsurat beewi k liye ho sakti hai, mard ki tang dili ye hai k nayi shadi k baad pehli beewi k zayaya se zayada huqooq kam karne ki koshish kare aur is majboori (beemari, budhapa ya badsoorati) se najayez faida uthaye.
TALAAQ DENA SIRF MARD KA IKHTIYAAR HAI AURAT KA NAHI
SOHBAT SE QABL AGAR KOI MARD APNI BEEWI KO TALAAQ DE DE TO AURAT PAR KOI IDDAT NAHI, TALAAQ K FAURAN BAAD AURAT DOOSRA NIKAH KAR SAKTI HAI
SOHBAT SE QABL DI GAYI TALAAQ MEIN HAQQ RUJU BAAQI NAHI REHTA
"Ae loogo, jo emaan laye ho! jab tum momin aurato se nikah karo aur phir unhe haath lagane se pehle talaaq de do to tumhari taraf se unpar koi iddat nahi jiske poora karne ka tum mutaalba kar sako lihaza unhe kuch maal do aur bhaley tareeqey se rukhsat karo". (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 49)
GUSSEY MEIN BILA SOOCHEY SAMJHEY TALAAQ DENA MANA HAI
DORAAN E HAIZ TALAAQ DENA MANA HAI
JIS TAHAR MEIN AURAT SE SOHBAT KI HO US MEIN TALAAQ DENA MANA HAII
BAIK WAQT TEEN TALAAQEY DENA MANA HAI
TALAAQ DENE K BAAD IDDAT KI MUDDAT KA SAHIH SHUMAAR KARNA ZAROORI HAI
RAJI'E TALAAQ K BAAD AURAT KO IDDAT POORI HONE TAK SHOHAR K GHAR PAR HI REHNA CHAHIYE
DOORAAN E IDDAT RAJI'E TALAAQ WALI AURAT KA NAAN WA NAFQA MARD K ZIMMEY WAJIB HAI
TALAAQ K MUAMLEY MEIN ALLAH TA'ALA K AHKAAM KI KHILAF WARZI KARNE WALA FAREEQ ZAALIM HAI
"Ae Nabi! jab tum loog aurato ko talaaq do to unhe unki iddat k liye talaaq diya karo aur iddat k zamaney ka theek theek shumaar karo aur Allah se daro jo tumhara rabb hai (zamana e iddat mein) na tum unhe unke gharo se nikaalo na wo khud nikley illa ye k wo kisi sareeh buraayi ki murtakib ho ye Allah ki muqarrar kardah hadey hai aur jo koi Allah ki hadoo se tajawuz karega wo apne uper khud zulm karega tum unhe jaantey shayad is (raji'e talaaq) k baad Allah ta'ala (muwafiqat ki) koi soorat paida farma de". (Surah Talaaq Surah no. 65 Ayat no. 1)
NIKAH K BAAD AGAR SOHBAT KARNE SE PEHLE JAB K MEHAR BHI ABHI MUQARRAR NA HUA HO, KOI SHAKS APNI BEEWI KO TALAAQ DE TO US PAR MEHAR ADA KARNA WAJIB NAHI ALBATTA APNI ISTATA'AT K MUTABIQ AURAT KO KUCH NA KUCH HADIYA DENA CHAHIYE
"Tum par kuch gunah nahi agar apni aurato ko talaaq de do qabl iske k haath lagaane ki noobat aaye ya mehar muqarrar ho is soorat mein unhe kuch na kuch dena zaroor chahiye khush-haal aadmi apni istata'at k mutabiq aur gareeb aadmi apni istata'at k mutabiq maroof tareeqey se de ye naik loogo par laazim hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 236)
NIKAH K BAAD AGAR SOHBAT KARNE SE PEHLE JABKEY MEHAR TEY HO CHUKA HO KOI SHAKS APNI BEEWI KO TALAAQ DE DE TO US PAR NISF MEHAR ADA KARNA WAJIB HAI
"Aur agar tumne haath lagaane se pehle talaaq di ho lekin mehar muqarrar kiya ja chuka ho to is soorat mein nisf mehar dena hoga ye aur baat hai k aurat darguzar se kaam ley (aur mehar na ley) ya wo mard jiske haath mein aqd nikah hai darguzar se kaam ley (aur poorey ka poora mehar de de) aur tum (yaani mard) narmi se kaam lo to ye taqwa k zayada qareeb hai baa'hami muamalaat mein fayyazi k tarz amal ko na bhoolo beshak jo kuch tum loog karte ho Allah use dekh raha hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 237)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Saturday, 15 November 2014
TALAAQ QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN
Labels:
TALAAQ
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment