Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 24 December 2015

JUMA KI AZAAN

JUMA KI AZAAN

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Sayib bin Yazeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam, Abu Bakr aur Umar Razi Allahu Anhuma k zamaney mein juma ki azaan us waqt hoti thi jab imam, khutba k liye mimbar par baithte, jab Hazrat Usman Razi Allahu Anhu khaleefa bane aur loog ziyaadah ho gaye to zoora (jagah) par ek aur azaan di jaane lagi (Zoora madeena k bazaar mein ek muqaam hai). (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 912)

Juma k din pehle azaan ka pas manzar ye hai k ahad e naboowat mein madeena munawwarah aur uski aabaadi ka hajum nisbatan mukhtasar tha, loogo ko aasaani se azaan ka ilm ho jata tha, ahad e usmani mein jab aabaadi ziyaadah ho gayi to tamaam loog azaan ki aawaaz nahi sun paate they jiski wajah se kayi loog masjid mein bar waqt pahunchane se qasir ho gaye iska intazaami hal ye nikala gaya k pehle masjid se bahar bazaar k andar, zoora k muqaam par azaan di jaati, us se kuch hi dair baad masjid e nabwi mein (doosri) azaan ho jati, Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ka ye iqdaam bida'at nahi hai kyunki Hazrat Usman Razi Allahu Anhu khulafa e rashideen mein se hai, unke door mein madeena munawwarah mein jab pehli dafa us azaan ki zaroorat mehsoos ki gayi to unhone usey shari hukm k taur par nahi, mehaz intazaami hal k taur par jaari kiya tha jise baaqi Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki khamoosh taeed hasil thi aur zahir hai k jis cheez par Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ka amoomi ittefaaq ho jaye wo bida'at nahi hua karti. (Wallahu Aalam)

Masjid k andar imam k khutba se pehle sirf ek azaan hai, masjid mein di jaane wali do azaano ka saboot Hazrat Usman Razi Allahu Anhu k door se bhi nahi milta, lihaza is se ijtanaab karna chahiye.

KHUTBA E JUMA K MASA'IL

KHUTBA E JUMA K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

1. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do khutbey irshad farmate unke darmiyan baithtey. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 928, Sahih Muslim Hadees no. 861)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba mein quran majeed padhte aur loogo ko naseehat karte. (Sahih Muslim Hadees no. 862)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz bhi ausat darje ki aur khutba bhi ausat darje ka hota tha. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 866)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Aadmi ki lambi namaz aur mukhtasar khutba uski danayi (samajhdaar hone) ki alamat hai, pas namaz taweel karo aur khutba mukhtasar karo aur baaz bayan jadu hote hai (yaani taseer rakhta hai)". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 969)

2. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba e juma mein Surah Qaaf ki tilawat farmate they. (Sahih Mulim Hadees no. 872)

3. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma k khutba mein jab tu apne paas baithne wale ko kahe "Chup raho" to bila shubah tuney bhi lagu (kaam) kiya". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 934, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 851)

Is se sabit hua k doraan e khutba (saamaeen ko aapas mein) kisi qism ki baat karna jayez nahi hai, badi khamoshi se khutba sun'na chahiye, albatta khateeb aur muqtadi zaroorat k waqt ek doosre se mukhatib ho sakte hai.

4. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jise juma k waqt oungh (baasi wagairah ya susti) aaye wo apni jagah badal le". (Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 526, Imam Tirmizi ne hasan sahih kaha)

5. Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mana farmaya k aadmi apne bhai ko utha kar uski jagah par baithey, Nafey se pucha gaya kya sirf juma mein mana hai? farmane lage juma mein aur uske alawah bhi. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 911, Sahih Muslim Hadees no. 2177)

6. Hazrat Umarah bin Royeba Razi Allahu Anhu ne Basheer bin Marwan ko juma k din mimbar par dono haath uthaate hue dekah, to farmaya: Allah  ta'ala un dono haatho ko halaak kare, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba mein sirf ek haath ki shahadat wali ungli se isharah karte they. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 874)

7. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar khutba diya aur aapke haath mein asaaya kamaan thi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1096, Imam Ibne Khuzaima ne ise sahih kaha)

8. Hazrat Abu Burdah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey khutba de rahe they k Hasan aur Hussain Razi Allahu Anhuma aaye (aur wo surkh qamees pehne hue they, wo mushkil se chal rahe they) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mimbar par se utrey unhey uthaya aur apne saamne bithaya phir farmaya k "Allah ta'ala ne sach kaha "INNAMA AMWALUKUM WA AOLADUKUM FITNA" "Beshak tumhara maal aur tumhari aulaad aazmayish hai" mene un dono baccho ko dekha jo mushkil se chal rahe they pas mujhse sabar na hua hatta k mene apna kalaam munqatey kiya aur unhey uthaaya. (Tirmizi Kitabul Manaqib Hadees no. 3774)

Maloom hua imam apna khutba chood kar kisi zaroorat ko poora kar sakta hai.

9. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne doraan e khutba gout maar kar baithne se mana farmaya. (Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 514, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)

Gout maarna is tarah baithne ko kehte hai k haath ya kapde k saath raano ko pait se mila kar baithey, is tarah baithne se amooman neend aa jati hai phir aadmi khutba nahi sun sakta, alawah azee is halat mein aadmi aksar girta padta hai, neez sharm-gaah k be-hijab hone ka imkaan hota hai.

10. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade ho kar khutba dete aur do khutbo k darmiyan baithte, jo shaks ye kahe k aap baith kar khutba dete they usne ghalat bayaani ki. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 862)

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo masjid mein dakhil hue aur Hazrat Abdur Rahman bin ummey Hakam baithey hue khutba de rahe they, Hazrat Kaab Razi Allahu Anhu ne kaha "Is khabees ki taraf dekho, baithey hue khutba deta hai, halankey Allah ta'ala ne farmaya:

"WA IZA RA AO TIJARATAN AO LAH WA NIN FAZZO ILAIHA WA TARAKU KA KA'IMA" (Surah Juma Surah no. 62 Ayat no. 11) "Aur jab ye loog koi sooda bikte dekhte hai ya koi tamaasha dekhte hai to uski taraf bhaag uthtey hai aur jab aapko (khutbe mein) khada hi chood dete hai". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 864)

Maloom hua k baith kar juma ka khutba dena khilaf e sunnat hai, kyunki Sahaba Razi Allahu Anhum ne aayat se aapke khutba mein khade hone par istadlaal kiya.

11. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khutba diya, aapke sar par siyah rang ka amaama tha, uske dono sirey aapne kandho k darmiyan choodey hue they. (Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1359)

12. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne juma k din masjid mein namaz e juma se pehle halqa banaane se mana farmaya. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1079, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 322, Imam Tirmizi ne hasan, Imam ibne Khuzaima 1816 ne ise sahih kaha)

Lihaza jo ulama azaan aur do khutbo se pehle taqreer karte hai unhey is amal ko tark kar dena chahiye

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba irshad farmate to aap ki aankhey surkh ho jaati, aawaaz buland ho jati aur josh mein aa jati thi, goya k aap hamey kisi aesey lashkar se dara rahey hai jo subah ya shaam hum par hamla karne wala hai aur farmate k "Mein aur qayamat saath saath is tarah bhejey gaye hai" aap apni shahadat ki ungli aur darmiyaani ungli ko milaate. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 867)

Wednesday, 23 December 2015

JUMA K MUTAFARRIQ MASA'IL

JUMA K MUTAFARRIQ MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem

1. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ghulam, aurat, bacchey aur beemaar k alawah juma padhna har musalman par wajib hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1067, Imam Nawawi ne ise sahih kaha)

2. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai: Masjid e nabawi k baad jo sabse pehla juma padha gaya wo behreen k gaon jawaasi abdul qais ki masjid mein tha. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 892)

Is se sabit hua k gaon mein bhi juma padhna zaroori hai agar loog gaon mein juma nahi padhengey to gunahgaar hongey.

As'ad bin Zurarah Razi Allahu Anhu ne "Naqeeul khazmaat" k ilaaqey mein banu bayaaza ki basti "Hizmul Nabeet" (jo madeena se ek meel k fasiley par thi) mein juma qayim kiya, unke saath chalees namazi they. (Abu Dawood Kitabuj Juma Hadees no. 1069, Hakim 1:281, Imam Ibne Khuzaima  1724 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Hazrat Adbullah bin Umar Razi Allahu Anhu Makka aur Madeena k darmiyan basney  wale loogo ko juma padhte dekhte to aetaraaz na karte. (Musannaf ibne Abdur Razzaaq 3:170, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)

3. Hunain k din barish ho rahi thi to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mu'azzin ko hukm diya "Aaj apni, apni qayaam gaahon mein namaz padhne ka aelaan kardo, aur wo juma ka din tha". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1057, 1059, ise Imam Hakim 1:293, Imam Ibne Khuzaima 1863, Imam Ibne Hibban 439, 440 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

Maloom hua k barish k rooz juma ki namaz padhni wajib nahi, yaani agar barish k rooz juma padh liya jaye to jayez hai aur barish k ba'as agar juma chood kar zuhar padh li jaye to juma choodne ka gunah nahi hoga.

4. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aaj k din do eidain (eid aur juma) ikatthi ho gayi hai, jo shaks sirf eid padhna chahey to usey wo kafi hai, lekin hum (eid aur juma) dono padhengey". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1073, ise Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu k zamaney mein juma k din eid hui to unhoney namaz e eid padhaayi juma na padhaaya, is waqiye ki khabar Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ko mili to unhone farmaya "Unka ye amal sunnat k mutabiq hai". (Nasayi Kitabus Salaatul Eidain Hadees no. 1592, Abu Dawood Hadees no. 1071, Imam Ibne Khuzaima ne ise sahih kaha)

5. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar gunja'ish ho to juma k liye roozana istemaal hone wale kapdo k alawah kapde banaaye". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1096, Abu Dawood Hadees no. 178, Imam Ibne Hibban aur Imam Ibne Khuzaima 1765 ne ise sahih kaha)

6. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam shiddat ki sardi mein juma ki namaz sawerey padhte they, aur shiddat ki garmi mein dair se padhte they. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 906)

7. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Imam k saath) jitni namaz paa lo wo padho aur jo reh jaye usey poora karo". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 602)

Is Hadees ki rooh se namaz e juma ki doosri rakaat k sajdah ya tashahud ko paane wala (salam pherne k baad uth kar) do rakaatey hi padhega (chaar nahi) kyunki uski faut shudah namaz do rakaatey hai chaar rakaatey nahi.


DORAAN E KHUTBA DO RAKAATEY PADH KAR BAITHO

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam juma ka khutba irshaad farma rahe they k Saleek Ghatfaani Razi Allahu Anhu Masjid mein aaye aur do rakaatey padhey baghair baith gaye, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Kya tumne do rakaatey padhi hai? unhone arz ki "nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam!" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam  ne hukm diya "Khade ho jao aur do rakaatey padh kar baitho" phir aapne (sari ummat k liye) hukm de diya: "Jab tum mein se koi aese waqt masjid mein aaye k imam khutba (juma) de raha ho to usey mukhtasar si do rakaatey padh leni chahiye". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 930, 1166, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 875)

Maloom hua k imam khutba mein muqtadi se kalaam kar sakta hai aur usko koi hukm bhi de sakta hai.


JUMA SE PEHLE NAWAFIL KI TADAAD MUQARRAR NAHI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Jisne ghusal kiya, juma mein aaya jitni taqdeer mein thi namaz padhi khutba se farigh hone tak chup raha phir imam k saath namaz padhi uske juma se guzishta juma tak aur teen din k aur gunah maaf ho gaye, aur jo kankariyo se kheley usne fuzool kaam kiya". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 857)

Is riwayat se ye bhi maloom hua k juma se pehle rakaatey muqarrar nahi hai balke imam k khutba shuru karne se pehle jis qadar ho sake nawafil ada karta rahey, magar do rakaat zaroori hai.


GARDANEY NA FAANGON

Hazrat Abdullah bin Basar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k juma k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba de rahe they k ek shaks loogo ki gardaney phalaangta hua aaney laga to aapne ye dekh kar farmaya "Baith jao! tumne (loogo ko) takleef di aur dair lagaayi". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1118, Imam Hakim 1:288, Imam Ibne Khuzaima 1816, Ibne Hibban 572 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Maloom hua k namaz e juma k liye aaney walo ko chahiye unhey jaha jagah miley wahi baith jaye.

Tuesday, 22 December 2015

JUMA KI FAZILAT

JUMA KI FAZILAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks juma k din masjid mein hazir ho kar khamoshi aur sakoon k saath khutba suney, kisi musalman ki gardan na phaangey, kisi ko takleef na de to ye amal uske guzishta juma se le kar us juma tak aur teen din mazeed uske gunaho ka kaffarah ban jata hai, kyunki Allah ta'ala ne farmaya k har naiki k liye das guna (*10) sawaab hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1113)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jo shaks juma k rooz khoob acchi tarah nahaaye, aur masjid mein jaye kisi sawari par sawar na ho, imam k nazdeek ho kar dil jumi'e se khutba suney aur koi lagu baat na kare to usko har qadam par ek baras k roozo ka aur uski raato k qayam ka sawab hoga".(Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 496, Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 345, Ibne Hibban 559, Imam Hakim 1:281, 282 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Hazrat Salman Faarsi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks juma ko nahaaye aur jis qadar paaki hasil ho sake kare, (muchey kutarwaye, nakhoon kataaye, zair e naaf baal moondhey aur baghlo k baal door kare wagairah) phir tail ya apne ghar se khushboo lagaaye aur (juma k liye) masjid ko jaye (waha) do aadmiyo k darmiyan raasta na banaaye (balkey jaha jagah miley baith jaye) phir apne muqaddar ki namaz padhey, phir doraan e khutba khamoosh rahe to uske guzishta juma se le kar us juma tak k gunah baksh diye jate hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 883)


JUMA MEIN PEHLE AANEY WALO KA SAWAB

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte juma k din masjid k darwazey par (sawab likhne k liye) thehar jaate hai aur sabse pehle aaney wale ka naam likh lete hai phir uske baad aaney wale ka (isi tarah number waar likhte jaate hai) jo shaks namaz e juma k liye awwal waqt masjid mein jata hai usko itna sawab milta hai jitna qurbani k liye ounth bhejne wale ko sawab milta hai, phir jo baad mein aata hai uko itna sawab milta hai jitna qurbani k liye gaaye bhejne wale ko sawab milta hai, uske baad aane wale ko dumba bhejne wale k barabar, uske baad aaney wale ko murgi aur uske baad aaney wale ko anda sadqa karne wale ki manind ajr milta hai phir jab imam khutba dene k liye nikalta hai to farishte daftar (likhte hue auraaq) lapait lete hai aur khutba sun'ne lagte hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 929, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 850)


JUMA K DIN QABOOLIYAT WALI GHADI

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma k din ek ghadi aesi hai k jo musalman us ghadi mein Allah ta'ala se bhalaayi ka sawal kare to Allah ta'ala usko qabool karta hai aur aapne haath se ishaarah kiya k ye waqt qaleel hota hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 935, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 852)

Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma ki qabooliyat ki ghadi imam k (mimbar par) baithne se le kar namaz k khatimey tak hai". (Sahih Muslim Hadees no. 853)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "is ghadi ko asar k baad talaash karo". (Abu Dawood Hadees no. 1048)

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is ghadi ko juma k din asar se ghuroob aaftaab tak talaash karo". (Tirmizi Hadees no. 489)

NAMAZ E JUMA AUR FARZIYAT

NAMAZ E JUMA AUR FARZIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

JUMA BEHTAREEN DIN:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Behtareen din, jis par suraj tulu ho kar chamkey, juma ka din hai, isi din Aadam Alaihis Salaam paida hue, isi din jannat mein dakhil kiye gaye, isi din jannat se (zameen par) utaarey gaye aur qayamat bhi juma k din qayim hogi". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 854)

Hazrat Abu Lubaba Razi Allahu Anhu se riwayat hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma ka din dino ka sardar hai, Allah k nazdeek bada din hai aur ye Allah k nazdeek eid ul azha aur eid ul fitr se bhi bada hai, is mein 5 baatey hai:
1. Is mein Allah ta'ala ne Aadam Alaihis Salaam ko paida kiya
2. Is mein Allah ta'ala ne Aadam Alaihis Salaam ko zameen par utaara
3. Is din Aadam Alaihis Salaam faut hue
4. Is mein ek ghadi hai jo bandah us ghadi mein Allah ta'ala se sawal karta hai wo usko de deta hai jab tak wo haraam cheez ka sawal na kare
5. Is din qayamat qayim hogi, koi muqarrab farishta na aasmaan mein, na zameen mein, na hawa mein, na pahaad mein aur na darya mein magar wo juma se darte hai". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1084, ise Bosiri ne hasan kaha)


JUMA KI FARZIYAT:

Allah ta'ala farmata hai: "Ae ehle emaan! jab juma k din namaz (juma) k liye azaan di jaye to Allah k zikr (khutba aur namaz) ki taraf doodho (bhaago) aur (us waqt) kaar-o-baar chood do, agar tum samjho to ye tumhare haqq mein behtar hai". (Surah Juma Surah no. 62 Ayat no. 9)

Hazrat Abul Jaad Zumri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks susti ki wajah se teen juma chood de to Allah ta'ala uske dil par muhar laga deta hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1052, Tirmizi Hadees no. 499, ise Hakim 1:280, Ibne Khuzaima 1858, Ibne Hibban 554 aur Imam Zehbi ne sahih kaha)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loog juma choodne se baaz aa jaye warna Allah ta'ala unke dilo par muhar laga dega phir wo ghalib ho jayenge". (Sahih Mulsim Kitabuj Juma Hadees no. 865)

Hazrat Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k mera dil chahta hai k mein kisi shaks ko hukm du k wo loogo ko namaz padhaaye phir mein un loogo k gharon ko jala du jo bila uzr juma mein nahi aatey. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 605)

Maloom hua k juma ka chood dena bahut bada gunah hai, is par shadeed wa'eed hai, lihaza har musalman par juma padhna farz hai, is mein hargiz susti nahi karni chahiye, jab khateeb mimbar par chadhey aur azaan ho jaye to saare kaar-o-baar haraam ho jate hai.

QUNOOT E NAZILAH

QUNOOT E NAZILAH

Bismillahirrahmanirraheem

Jang, museebat aur ghalba e dushman k waqt dua e qunoot padhni chahiye, ise qunoot e nazilah kehte hai.

Ameer ul Momineen Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu fajar ki namaz mein (ruku k baad) qunoot karte aur ye dua padhte they:

"ALLAHUM MAGHFIR LANA WA LIL MOMINEENA WAL MOMINAATI WAL MUSLIMEENA WAL MUSLIMAATI WA ALLIFA BAINA QULOOBIHIM WA ASLIH ZAATA BAINIHIM WAN SURHUM ALA ADOOWIKA WA ADOOWIHIM ALLAHUMMAL AN KAFARATA AHLIL KITABIL LAZEENA YA SUDDOONA AN SABEELIKA WA YUKAZZIBOONA RUSULAKA YU QATILOONA AOLIYA'AKA ALLAHUMMA KHALIF BAINA KALIMATIHIM WA ZALZIL AQDAMAHUM WA ANZIL BIHIM BAASAKAL LAZI LA TARUDDUHU ANIL QAUMIL MUJRIMEEN"

"Ae Allah! hamey aur tamaam momin mardo, momin aurato, musalman mardo aur musalman aurato ko baksh de aur unke dilo mein ulfat daal de, unki (bahami) islaah farma, apne aur unke dushmano k khilaf unki madad farma, Ae Allah! kafiro ko apni rahmat se door kar jo teri raah se rookte, tere rasoolo ko jhutlaate aur tere dosto se ladte hai, Ae Allah! unke darmiyaan phoot daal de unke qadam daghmaga de aur un par apna wo azaab utaar jise tu mujrim qaum se nahi taala karta". (Behaqui 2:210, 211, Imam Behaqui ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab kisi par bad-dua ya naik dua ka iraadah farmate to aakhiri rakaat k ruku k baad "SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH RABBANA LAKAL HAMD" kehne k baad dua farmate. (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer Hadees no. 4560, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 675)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek maah tak paancho namazo mein ruku k baad qunoot e nazilah padhi aur Sahaba Razi Allahu Anhum aapke pichey aameen kehte they. (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1443, ise Imam Hakim, Hafiz Zahbi aur Imam Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

DUA E QUNOOT

DUA E QUNOOT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu farmate hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam teen witr padhte aur dua e qunoot ruku se pehle padhte they". (Nasayi Qayamul Layl Hadees no. 1699, 3:235, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1182, ise Ibne Tarkumani aur Ibne Sakan ne sahih kaha)

Hazrat Abdullah bin Mas'ood aur Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum qunoot e witr ruku se pehle padhte they. (Musannaf ibne Abi Shaiba, ise Ibne Tarkumani ne sahih aur Hafiz ibne Hajar ne hasan kaha)

Witr mein ruku k baad qunoot ki tamaam riwayaat zaeef hai aur jo riwayaat sahih hai un mein sarahat nahi k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ruku k baad wala qunoot, qunoot e witr tha ya qunoot e nazilah, lihaza sahih tareeqa ye hai k witr mein qunoot ruku se qabl kiya jaye.

Hazrat Hasan bin Ali Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe kuch kalmaat sikhaye takey mein unko qunoot e witr mein kahu:

"ALLAHUM-MAHDINI FEEMAN HADAITA WA AAFINI FEEMAN AAFAITA WATA WALLANI FEEMAN TAWALLAITA WA BAARIK LI FEEMA AATAITA WA QINI SARRA MA QAZAITA INNAKA TAQZI WALA YUQZA ALAIKA WA INNAHU LA YAZILLU MAU WA LAITA WALA YA'IZZU MAN AADAITA TABARAKTA RABBANA WATA AALAITA".

"Ae Allah! mujhe hidayat de kar un loogo mein shamil farma jinhey tuney rashd o hidayat se nawaza hai aur mujhe aafiyat de kar un loogo mein shamil farma jinhey tuney aafiyat bakshi hai, aur jin loogo ko tuney apna dost banaya hai un mein mujhe bhi shamil karke apna dost banale jo kuch tuney mujhe ata farmaya hai us mein mere liye barkat daal de aur jis shar wa buraayi ka tuney faisla farmaya hai us se mujhe mehfooz rakh aur bachale, yaqeenan tu hi faisla farmata hai tere khilaf faisla saadir nahi kiya ja sakta aur jiska tu dost bana wo kabhi zaleel wa khuwaar aur ruswa nahi ho sakta aur wo shaks izzat nahi pa sakta jise tu dushman kahe, ae hamare rabb! tu (bada) hi ba-barkat wala aur buland wa baala hai". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1425, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 463, Imam Tirmizi ne ise hasan aur Imam Ibne Khuzaima 2:151, 152 Hadees no. 1095 ne sahih kaha)


TAMBIHAAT:

Dua e qunoot e witr mein hath uthane k baare mein koi marfoo riwayat nahi hai albatta Musannaf Ibne Abi Shaiba mein baaz Sahaba e Kiram Razi Allahu Anhum k aasaar milte hai.

"RABBANA WATA AALAITA" k baad "NASTAGH FIRUKA WA NATOOBU ILAIKA" k alfaz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ahadees mein mojood nahi hai balke ye dua mein izaafa hai.

"SALLALLAHU ALANNABIYI" Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu se sabit hai k wo Hazrat Ujrah Razi Allahu Anhu k door mein ramazaan mein qayamul layl karte aur qunoot mein Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood bhejte they, is tarah Hazrat Muaaz Ansari Razi Allahu Anhu se bhi sabit hai. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 1100) lihaza akhir mein "SALLALLAHU ALANNABIYI" padhna jayez hai.

Thursday, 3 December 2015

WITR KI QAZA

WITR KI QAZA

Bismillahirrahmanirraheem

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar koi shaks witr padhey baghair soo jaye ya witr padhna bhool jaye to usey jab yaad aaye ya jaag jaye to wo witr padh le". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1431, Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks raat ka wazeefa ya koi doosra mamool chood kar soo gaya aur phir usey namaz e fajar se zuhar tak k darmiyaan ada kar liya to usey raat hi k waqt ada karne ka sawab mil jayega". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 747)

Hamey apna wazeefa poora karna chahiye kyunki Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala k han mehboob tareen amal wo hai jo hamesha kiya jaye khawah thoda hi ho". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq Hadees no. 6464, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 782)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Abdullah bin Umar wa bin Aas Razi Allahu Anhu ko farmaya "Ae Abdullah! tu falah shaks ki tarah na ho jana jo raat ka qayaam karta tha phir usne raat ka qayaam chood diya". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1152, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1159)

NAMAZ E WITR KA WAQT AUR WITR KI TADAAD

NAMAZ E WITR KA WAQT AUR WITR KI TADAAD

Bismillhirrahmanirraheem

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne witr awwal shab mein, beech mein aur aakhir mein sab waqt ada kiye hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 745)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya jise khatrah ho k wo raat k aakhiri hissey mein nahi uth sakega wo awwal shab hi witr padh le phir so jaaye, aur jisko yaqeen ho k wo raat ko uth jayega wo aakhir mein witr padhey is liye k aakhir raat ki qiraat mein farishte hazir hote hai aur ye afzal hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 755)

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne kaha k jo raat ko namaz padhey to witr ko sabse aakhir mein ada kare is liye k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam yahi hukm farmate they. (Sahih Muslim Hadees no. 751)


PAANCH, TEEN AUR EK WITR

Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Witr har musalman par haqq hai, pas jo shaks paanch rakaat witr padhna chahey to Paanch rakaat padhey aur jo koi teen rakaat witr padhna chahey to (teen rakaat) padhey aur jo koi ek rakaat witr padhna chahey to wo (ek) rakaat (witr) padhey". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1422, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1190, Imam Hakim 1:203,303, Imam Zahbi aur Ibne Hibban 670 ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ko (kul) 13 rakaat padhte aur un mein 5 rakaat witr hotey they (aur un 5 witro mein) kisi rakaat mein (tashahud k liye) na baithte magar aakhir mein. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 737)

Maloom hua k witro ki paancho rakaato k darmiyan tashahud k liye kahi nahi baithna chahiye balke paancho rakaatey padh kar qaada mein at-tahiyaat darood aur dua padh kar salaam phair dena chahiye.


TEEN WITRO KI QIRAAT

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehli rakaat witr main (SABBI HISMA RABBIKAL AALA) doosri mein (QUL YA AYYUHAL KAAFIROON) aur teesri mein (QUL HU WALLAHU AHAD, SURAH FALAQ AUR SURAH NAAS) padhte they. (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 463, Imam Zahbi aur Ibne Hibban 675 ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen witr na padho paanch ya saat witr padho aur maghrib ki mushabihat na karo". (Daare Qutni 2:25,27, Hakim, Zahbi aur Ibne Hibban 680 ne ise sahih kaha)

Agar do rakaat padh kar salaam phera jaye aur phir ek rakaat padhi jaye to maghrib ki mushabihat nahi hogi.


WITR KI EK RAKAAT

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har do rakaat k baad salaam pherte aur ek rakaat witr padhtey. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1177, Imam Bosiri ne ise sahih kaha)

Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam witr ki do aur ek rakaat mein salaam se fasl karte. (Ibne Maja Hadees no. 678, Hafiz ibne Hajar ne ise Qawi kaha hai)

Yaani teen witr bhi is tarah padhte k do rakaat padh kar salaam pherte aur phir uth kar teesri rakaat alag padhte.

Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se kaha gaya k Ameer ul Momineen Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ne ek hi witr padha hai, Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne farmaya k (unhone) durust kaam kiya wo fiqya aur sahabi hai. (Sahih Bukhari Kitabul Fazail e Sahaba Hadees no. 3765)

Imam Maroozi Rahimahullah farmate hai k fasl (witr ki do rakaato k baad salaam phair kar ek rakaat alag padhne) wali ahadees ziyaadah sabit hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Witr aakhir raat mein ek rakaat hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 752)


WITR KI 9 RAKAATEY

Saad bin Hishaam ne Hazrat Ayesh Razi Allahu Anha ki khidmat mein hazir ho kar kaha: Mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k witr k baare mein batlaiye to Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya "Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye miswaak aur wuzu ka paani tayyar rakhti phir jab Allah chahta aapko raat ko uthata phir aap miswaak karte aur wuzu karte aur 9 rakaat namaz (witr) padhte aathvi (8th) rakaat k baad tashahud mein baithte (aur us se qabl 2, 4, 6 rakaat k baad at-tahiyaat na padhte they) phir salaam phairey baghair (at-tahiyaat padh kar) khade ho jaate phir noovi rakaat padhte aur (uske baad aakhiri qaadey mein) baith jaate pas Allah ko yaad karte aur uski tareef karte aur us se dua maangte (yaani aakhiri qaadey ki maroof dua padhte) phir salaam pherte "Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam badi umar ko pahunchey (to) aap 7 rakaat witr padhte they, aap is baat ko pasand karte they k apni namaz par hameshgi (regular) kare jab neend ya beemari ka galba hota aur raat ko qayaam na kar sakte to din mein 12 rakaat nafil padhte aur mein nahi jaanti k aapne ek raat mein poora quran padha ho ya saari raat namaz padhi ho ya ramazaan k alawah kisi aur maheeney mein poora maheena roozey rakkhey ho". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 746)

Is hadees shareef se maloom hua k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (ek salaam k sath) 9 witr padhey aur aap har do rakaato k baad at-tahiyaat k liye nahi baithte they balke sirf aathvi rakaat mein tashahud padhte aur salaam pherey baghair khade ho jate aur phir aakhiri rakaat k aakhir mein hasb e mamool tashahud padh kar salaam phair dete they aur agar aap raat ka qayaam na kar sakte to din mein 12 rakaat ada farmate they.


EK RAAT MEIN KAYI WITR PADHNE KI MUMANIYAT

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ek raat mein dobaarah witr (padhna jayez) nahi". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1439, Ibne Khuzaima 1101 aur Imam Ibne Hibban 671 ne sahih aur Hafiz ibne Hajar ne hasan kaha)


WITRO K SALAAM K BAAD ZIKR

Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam witro se salaam phair kar teen baar ye padhte "SUBHANAL MALIKIL QUDDOOS" "Paak hai baadshah, nihayat paak". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1430, Nasayi Qayamul Layl wa tatvee un nahaar Hadees no. 1730, ise Imam Ibne Hibban 677 ne sahih kaha)

Wednesday, 2 December 2015

QAYAMUL LAYL KA TAREEQA

QAYAMUL LAYL KA TAREEQA

Bismillahirrahmaniraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka bil amoom witr padhne ka tareeqa, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha yuh bayan karti hai k "Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e isha se fajar tak 11 rakaat padhte, har do rakaato par salaam phairte aur ek rakaat witr padhte". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 736)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Raat ki namaz do do rakaatey hai jab subah (Sadiq) hone ka khatrah ho to ek rakaat padhlo, ye (ek rakaat, pehli saari) namaz ko taaq bana degi". (Sahih Bukhari Kitabul Witr Hadees no. 990, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 749)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab raat ko nawafil padhna shuru karo to pehle do halki rakaatey ada karo". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 768)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne raat ka qayaam kiya pehle do halki rakaatey padhi, phir do taweel rakaatey padhi phir us se halki, do taweel rakaatey padhi, phir us se halki do taweel rakaatey phir us se halki do taweel rakaatey phir unse halki do taweel rakaatey phir ek rakaat witr padha, ye tairah (13) rakaatey hui, Aapki har do rakaatey pehli wali do rakaato se halki hoti thi. (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 765)

Ummul Momineen Hazrat e Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ko kabhi 7, kabhi 9 aur kabhi 11 rakaatey padhte they. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1139)

TAHAJJUD MEIN QIRAAT

TAHAJJUD MEIN QIRAAT

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat k nawafil mein kabhi sirri (aahista) aur kabhi jahri (buland aawaaz se) qiraat farmate. (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 449, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1354)

Jab Aap ghar mein nawafil ada karte to hujrah mein aapki qiraat sunaayi deti thi. (Abu Dawood Hadees no. 1327)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek raat bahar nikle to aapne dekha k Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu aahista qiraat se nawafil padh rahe hai aur Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu nawafil mein unchi aawaaz se qiraat kar rahe hai, jab wo dono Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue to Aapne Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu se farmaya "Ae Abu Bakr Razi Allahu Anhu raat mein tumhare paas se guzra, tu past aawaaz se nawafil padh raha tha? unhone arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! jis (Allah) se mein sargooshi kar raha tha us tak meri aawaaz pahunch rahi thi, phir aapne Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se kaha k "raat mera tere paas se guzar hua, tu unchi aawaaz k saath nafil padh raha tha to unhone arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein sooye hue ko baidaar karna chahta tha (k wo bhi tahajjud padhey) aur shaitan ko bhagaane ka iraadah rakhta tha, us par Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ko zara unchi aawaaz se aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ko zara neechi aawaaz se padhne ka hukm diya". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1329, Imam Ibne Khuzaima, Imam Ibne Hibban, Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TAHAJJUD KI KAIFIYAT

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TAHAJJUD KI KAIFIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e tahajjud ka hasan aur taweel bayan nahi ho sakta. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1147)

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tahajjud mein (itna lamba) qayaam kiya k is ek aayat ko baar baar padh kar subah kardi:

"IN TU'AZZIB HUM FA INNA HUM IBAADUKA WA IN TAGHFIR LAHUM FA INNAKA ANTAL AZEEZUL HAKEEM". (Surah Ma'ida Ayat no. 118)

"Agar tu unhey azaab de to wo yaqeenan tere bande hai aur agar tu unhey maaf karde to yaqeenan tu ghalib (aur) hikmat wala hai". (Nasayi Kitabul Iftatah Hadees no. 1010, ise Hakim 1:24 aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu ne Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko tahajjud padhte hue dekha, wo kehte hai surah fatiha k baad aapne surah baqarah padhi, phir ruku kiya, aapka ruku aapke qayaam k maanind tha (yaani qayaam ki tarah ruku bhi kaafi taweel kiya) phir aapne ruku se sar uthaaya aapka qauma aapke ruku k maanind tha, aapka sajdah aapke qaumey k maanind tha, aap dono sajdo k darmiyaan (jalsa mein) apne sajde ki maanind baithte they (yaani sajdey ki tarah jalsa mein bhi dair lagaayi aur khoob itminaan se kiya) pas aapne chaar rakaateo mein surah baqarah, surah Aale Imraan, Surah Nisa aur Surah Ma'idah padhi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 874, ise Imam Hakim ne sahih kaha)

Subhan-Allah! ye thi Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e tahajjud, sirf chaar rakaat mein sava saat paarey padhey, phir ruku, qaumey, sajdey aur jalse ki darazi aur unmey tasbeeho aur duwaon ko kasrat se padhna aap par khatam tha.

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu bayan karte hai k mein ek raat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath nafli namaz mein shareek hua, aapne (Surah Fatiha k baad) Surah Baqarah shuru ki, mene socha k aap 100 aayaat padh kar ruku mein jayengey magar aap padhte chale gaye, mene khayal kiya k Surah Baqarah ko do rakaato mein taqseem karengey lekin aap padhte rahe, Aapne Surah Baqarah khatam karke Surah Nisa shuru karli, phir usey khatam karke Surah Aale Imran ko padhna shuru kar diya usko bhi khatam kar daala, aap nihayat aahistagi se padhte jaate they, jab aese aayat ki tilawat karte jisme Subhan-Allah kehne ka hukm hota to Subhan-Allah kehte, agar kuch maangne ka zikr hota to sawal karte, agar panah maangne ka zikr hota (AOUZU BILLAH) padhte Aale Imran khatam karke Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ruku kiya. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 772)

Is Hadees se maloom hua k tilawat e quraan mein tarteeb ka khayal rakhna zaroori nahi hai kyunki Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Aale Imraan ki tilawat Nisa k baad ki halankey Aale Imraan tarteeb mein Nisa se pehle hai.


TAAQAT SE BADH KAR MASHAKKAT KI MUMANIYAT:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se (Ba-taur e sawal) daryaft kiya "Mujhe batlaya gaya hai k tum sari raat nafil padhte ho aur din ko rooza rakhte ho, agar tum aesa karoge to tumhari aankhey kamzoor aur tabiyat sust ho jayegi is liye rooza rakkho aur iftaar bhi karo, raat ko qayaam karo aur neend bhi, ek maah mein ek quraan paak khatam kar liya karo, unhone arz ki mein is se ziyaadah tilawat karne ki taaqat rakta hu, aapne farmaya "to 20 din mein khatam kar liya karo" unhone kaha mein us se bhi ziyaadah taaqat rakhta hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "7 din mein khatam kar liya karo, is se ziyaadah ki ijazat nahi, kyunki tumhari beewi ka tum par haqq hai, tumhare mulaqaatiyon (tumse milne walo) ka tum par haqq hai, tumhare badan ka tum par haqq hai, aur shayad tumhari umar ziyaadah ho (aur tum ye kaam budhaape mein na kar sako) Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu jab boodhey hue to aarzo karte they k kaash mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki rukhsat qabool kar leta". (Sahih Bukhari Kitabul Fazail E Quran Hadees no. 5054, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1159)

Phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey quran paak 3 din mein khatam karne ki ijazat de di aur farmaya "Quran paak se us shaks ko kuch samajh hasil nahi ho sakti jo teen din se kam muddat mein quran paak khatam karta hai". (Tirmizi Kitabul Qiraat Hadees no. 2949, Abu Dawood Kitab Shahr Ramazaan Hadees no. 1390, Imam Tirmizi ne ise Hasan Sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid k andar do satoono k darmiyan latki hui rassi dekhi to pucha ye kya hai? loogo ne kaha "Ye Hazrat Zainab Razi Allahu Anha ki rassi hai wo (raat ko nafil) namaz padhti rehti hai phir jab sust ho jaati hai ya thak jaati hai to us rassi ko pakad leti hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is rassi ko khool daalo har shaks apni khushi k muwafiq namaz padhey phir jab sust ho jaye ya thak jaye to aaraam kare". (Sahih Muslim Kitabus Salaaltul Musafireen Hadees no. 784)

Is se maloom hua k jayez lazzato se kinaarah kushi aur jismaani takaleef par mushtamil soofiyaana riyazato aur mujaharaat ka islam mein koi tasawwur nahi hai.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Itna amal ikhtiyaar karo jis qadar tumhey taqat ho, Allah ki qasam! Allah sawab dene se nahi thakta lekin tum amal karne se thak jaogey". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 785)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks raat ko nawafil mein 200 aayaat tilawat karta hai wo ita'at guzaar aur mukhlis loogo mein shumaar hota hai". (Daarmi Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 3451, Ise Imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)


AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TEEN DUWAYE:

Hazrat Khabbab bin Arat Razi Allahu Anhu jo Badri (jo jang e badar mein they) Sahabi hai ek raat Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they farmate hai k Aap tamaam raat baidaar rahe aur nawafil ada karte rahe yaha tak k subah sadiq ho gayi, jab aapne namaz se salam phera to Khabbab Razi Allahu Anhu ne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ! mere maa baap aap par qurban, aaj raat jis tarah aapne nawafil padhey us se pehle mene kabhi aapko is tarah namaz ada karte nahi dekha, Aapne farmaya "Tumne durust kaha namaz aesi ibadat hai jisme Allah k saath ishtiyaaq badhaaya jata hai aur uske azaab se panah maangi jaati hai, chunanchey mene Allah ta'ala se teen sawal kiye jisme se do qabool hue, Ek sawal ye k Allah meri ummat ko saabaqa ummato ki tarah barbaad na kare usko Allah ne qabool farmaya, Doosra sawal ye k meri (sari) ummat par (baik waqt) dushmano ko ghalba hasil na ho, ye bhi qabool kar liya gaya, phir mene sawal kiya k Ummat e Muhammadiya mein ikhtalaaf roonuma na ho lekin usey qabool nahi kiya gaya". (Tirmizi Kitabul Fitan Hadees no. 2175, Ibne Hibban Hadees no. 1830, Imam Tirmizi ne ise Hasan gareeb sahih kaha)