NAMAZ E WITR KA WAQT AUR WITR KI TADAAD
Bismillhirrahmanirraheem
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne witr awwal shab mein, beech mein aur aakhir mein sab waqt ada kiye hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 745)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya jise khatrah ho k wo raat k aakhiri hissey mein nahi uth sakega wo awwal shab hi witr padh le phir so jaaye, aur jisko yaqeen ho k wo raat ko uth jayega wo aakhir mein witr padhey is liye k aakhir raat ki qiraat mein farishte hazir hote hai aur ye afzal hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 755)
Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne kaha k jo raat ko namaz padhey to witr ko sabse aakhir mein ada kare is liye k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam yahi hukm farmate they. (Sahih Muslim Hadees no. 751)
PAANCH, TEEN AUR EK WITR
Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Witr har musalman par haqq hai, pas jo shaks paanch rakaat witr padhna chahey to Paanch rakaat padhey aur jo koi teen rakaat witr padhna chahey to (teen rakaat) padhey aur jo koi ek rakaat witr padhna chahey to wo (ek) rakaat (witr) padhey". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1422, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1190, Imam Hakim 1:203,303, Imam Zahbi aur Ibne Hibban 670 ne ise sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ko (kul) 13 rakaat padhte aur un mein 5 rakaat witr hotey they (aur un 5 witro mein) kisi rakaat mein (tashahud k liye) na baithte magar aakhir mein. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 737)
Maloom hua k witro ki paancho rakaato k darmiyan tashahud k liye kahi nahi baithna chahiye balke paancho rakaatey padh kar qaada mein at-tahiyaat darood aur dua padh kar salaam phair dena chahiye.
TEEN WITRO KI QIRAAT
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehli rakaat witr main (SABBI HISMA RABBIKAL AALA) doosri mein (QUL YA AYYUHAL KAAFIROON) aur teesri mein (QUL HU WALLAHU AHAD, SURAH FALAQ AUR SURAH NAAS) padhte they. (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 463, Imam Zahbi aur Ibne Hibban 675 ne ise sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen witr na padho paanch ya saat witr padho aur maghrib ki mushabihat na karo". (Daare Qutni 2:25,27, Hakim, Zahbi aur Ibne Hibban 680 ne ise sahih kaha)
Agar do rakaat padh kar salaam phera jaye aur phir ek rakaat padhi jaye to maghrib ki mushabihat nahi hogi.
WITR KI EK RAKAAT
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har do rakaat k baad salaam pherte aur ek rakaat witr padhtey. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1177, Imam Bosiri ne ise sahih kaha)
Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam witr ki do aur ek rakaat mein salaam se fasl karte. (Ibne Maja Hadees no. 678, Hafiz ibne Hajar ne ise Qawi kaha hai)
Yaani teen witr bhi is tarah padhte k do rakaat padh kar salaam pherte aur phir uth kar teesri rakaat alag padhte.
Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se kaha gaya k Ameer ul Momineen Hazrat Muawiyah Razi Allahu Anhu ne ek hi witr padha hai, Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne farmaya k (unhone) durust kaam kiya wo fiqya aur sahabi hai. (Sahih Bukhari Kitabul Fazail e Sahaba Hadees no. 3765)
Imam Maroozi Rahimahullah farmate hai k fasl (witr ki do rakaato k baad salaam phair kar ek rakaat alag padhne) wali ahadees ziyaadah sabit hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Witr aakhir raat mein ek rakaat hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 752)
WITR KI 9 RAKAATEY
Saad bin Hishaam ne Hazrat Ayesh Razi Allahu Anha ki khidmat mein hazir ho kar kaha: Mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k witr k baare mein batlaiye to Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya "Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye miswaak aur wuzu ka paani tayyar rakhti phir jab Allah chahta aapko raat ko uthata phir aap miswaak karte aur wuzu karte aur 9 rakaat namaz (witr) padhte aathvi (8th) rakaat k baad tashahud mein baithte (aur us se qabl 2, 4, 6 rakaat k baad at-tahiyaat na padhte they) phir salaam phairey baghair (at-tahiyaat padh kar) khade ho jaate phir noovi rakaat padhte aur (uske baad aakhiri qaadey mein) baith jaate pas Allah ko yaad karte aur uski tareef karte aur us se dua maangte (yaani aakhiri qaadey ki maroof dua padhte) phir salaam pherte "Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam badi umar ko pahunchey (to) aap 7 rakaat witr padhte they, aap is baat ko pasand karte they k apni namaz par hameshgi (regular) kare jab neend ya beemari ka galba hota aur raat ko qayaam na kar sakte to din mein 12 rakaat nafil padhte aur mein nahi jaanti k aapne ek raat mein poora quran padha ho ya saari raat namaz padhi ho ya ramazaan k alawah kisi aur maheeney mein poora maheena roozey rakkhey ho". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 746)
Is hadees shareef se maloom hua k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (ek salaam k sath) 9 witr padhey aur aap har do rakaato k baad at-tahiyaat k liye nahi baithte they balke sirf aathvi rakaat mein tashahud padhte aur salaam pherey baghair khade ho jate aur phir aakhiri rakaat k aakhir mein hasb e mamool tashahud padh kar salaam phair dete they aur agar aap raat ka qayaam na kar sakte to din mein 12 rakaat ada farmate they.
EK RAAT MEIN KAYI WITR PADHNE KI MUMANIYAT
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ek raat mein dobaarah witr (padhna jayez) nahi". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1439, Ibne Khuzaima 1101 aur Imam Ibne Hibban 671 ne sahih aur Hafiz ibne Hajar ne hasan kaha)
WITRO K SALAAM K BAAD ZIKR
Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam witro se salaam phair kar teen baar ye padhte "SUBHANAL MALIKIL QUDDOOS" "Paak hai baadshah, nihayat paak". (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1430, Nasayi Qayamul Layl wa tatvee un nahaar Hadees no. 1730, ise Imam Ibne Hibban 677 ne sahih kaha)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Thursday, 3 December 2015
NAMAZ E WITR KA WAQT AUR WITR KI TADAAD
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment