KHUTBA E JUMA K MASA'IL
Bismillahirrahmanirraheem
1. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do khutbey irshad farmate unke darmiyan baithtey. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 928, Sahih Muslim Hadees no. 861)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba mein quran majeed padhte aur loogo ko naseehat karte. (Sahih Muslim Hadees no. 862)
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz bhi ausat darje ki aur khutba bhi ausat darje ka hota tha. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 866)
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Aadmi ki lambi namaz aur mukhtasar khutba uski danayi (samajhdaar hone) ki alamat hai, pas namaz taweel karo aur khutba mukhtasar karo aur baaz bayan jadu hote hai (yaani taseer rakhta hai)". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 969)
2. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba e juma mein Surah Qaaf ki tilawat farmate they. (Sahih Mulim Hadees no. 872)
3. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma k khutba mein jab tu apne paas baithne wale ko kahe "Chup raho" to bila shubah tuney bhi lagu (kaam) kiya". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 934, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 851)
Is se sabit hua k doraan e khutba (saamaeen ko aapas mein) kisi qism ki baat karna jayez nahi hai, badi khamoshi se khutba sun'na chahiye, albatta khateeb aur muqtadi zaroorat k waqt ek doosre se mukhatib ho sakte hai.
4. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jise juma k waqt oungh (baasi wagairah ya susti) aaye wo apni jagah badal le". (Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 526, Imam Tirmizi ne hasan sahih kaha)
5. Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mana farmaya k aadmi apne bhai ko utha kar uski jagah par baithey, Nafey se pucha gaya kya sirf juma mein mana hai? farmane lage juma mein aur uske alawah bhi. (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 911, Sahih Muslim Hadees no. 2177)
6. Hazrat Umarah bin Royeba Razi Allahu Anhu ne Basheer bin Marwan ko juma k din mimbar par dono haath uthaate hue dekah, to farmaya: Allah ta'ala un dono haatho ko halaak kare, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba mein sirf ek haath ki shahadat wali ungli se isharah karte they. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 874)
7. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar khutba diya aur aapke haath mein asaaya kamaan thi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1096, Imam Ibne Khuzaima ne ise sahih kaha)
8. Hazrat Abu Burdah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey khutba de rahe they k Hasan aur Hussain Razi Allahu Anhuma aaye (aur wo surkh qamees pehne hue they, wo mushkil se chal rahe they) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mimbar par se utrey unhey uthaya aur apne saamne bithaya phir farmaya k "Allah ta'ala ne sach kaha "INNAMA AMWALUKUM WA AOLADUKUM FITNA" "Beshak tumhara maal aur tumhari aulaad aazmayish hai" mene un dono baccho ko dekha jo mushkil se chal rahe they pas mujhse sabar na hua hatta k mene apna kalaam munqatey kiya aur unhey uthaaya. (Tirmizi Kitabul Manaqib Hadees no. 3774)
Maloom hua imam apna khutba chood kar kisi zaroorat ko poora kar sakta hai.
9. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne doraan e khutba gout maar kar baithne se mana farmaya. (Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 514, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)
Gout maarna is tarah baithne ko kehte hai k haath ya kapde k saath raano ko pait se mila kar baithey, is tarah baithne se amooman neend aa jati hai phir aadmi khutba nahi sun sakta, alawah azee is halat mein aadmi aksar girta padta hai, neez sharm-gaah k be-hijab hone ka imkaan hota hai.
10. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade ho kar khutba dete aur do khutbo k darmiyan baithte, jo shaks ye kahe k aap baith kar khutba dete they usne ghalat bayaani ki. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 862)
Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo masjid mein dakhil hue aur Hazrat Abdur Rahman bin ummey Hakam baithey hue khutba de rahe they, Hazrat Kaab Razi Allahu Anhu ne kaha "Is khabees ki taraf dekho, baithey hue khutba deta hai, halankey Allah ta'ala ne farmaya:
"WA IZA RA AO TIJARATAN AO LAH WA NIN FAZZO ILAIHA WA TARAKU KA KA'IMA" (Surah Juma Surah no. 62 Ayat no. 11) "Aur jab ye loog koi sooda bikte dekhte hai ya koi tamaasha dekhte hai to uski taraf bhaag uthtey hai aur jab aapko (khutbe mein) khada hi chood dete hai". (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 864)
Maloom hua k baith kar juma ka khutba dena khilaf e sunnat hai, kyunki Sahaba Razi Allahu Anhum ne aayat se aapke khutba mein khade hone par istadlaal kiya.
11. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khutba diya, aapke sar par siyah rang ka amaama tha, uske dono sirey aapne kandho k darmiyan choodey hue they. (Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1359)
12. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne juma k din masjid mein namaz e juma se pehle halqa banaane se mana farmaya. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1079, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 322, Imam Tirmizi ne hasan, Imam ibne Khuzaima 1816 ne ise sahih kaha)
Lihaza jo ulama azaan aur do khutbo se pehle taqreer karte hai unhey is amal ko tark kar dena chahiye
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khutba irshad farmate to aap ki aankhey surkh ho jaati, aawaaz buland ho jati aur josh mein aa jati thi, goya k aap hamey kisi aesey lashkar se dara rahey hai jo subah ya shaam hum par hamla karne wala hai aur farmate k "Mein aur qayamat saath saath is tarah bhejey gaye hai" aap apni shahadat ki ungli aur darmiyaani ungli ko milaate. (Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 867)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Thursday, 24 December 2015
KHUTBA E JUMA K MASA'IL
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment