Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 15 April 2016

TEESRA (3rd) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT KARNA

TEESRA (3rd) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT KARNA 



Bismillahirrahmanirraheem


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K SAATH AESI MUHABBAT KARNA AHLE EMAAN PAR FARZ HAI JO ALLAH K ALAWAH BAAQI TAMAAM MUHABBATO PAR GHALIB HO

"Ae Nabi! keh do, agar tumhare baap, tumhare baite, tumhare bhai, tumhari beewiya, tumhare azeez wa aqarib, tumhare wo maal jo tumne kamaaye hai, tumhari tijarat jiske manda padne ka tumhey darr hai aur tumhare pasandeedah ghar, tumhey Allah uske Rasool aur Allah ki raah mein jihaad se ziyaadah mehboob hai to phir intazaar karo yaha tak k Allah ta'ala ka faisla aa jaye (aur yaad rakkho) Allah ta'ala aese fasiqo ki rehnumaayi nahi farmata". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 24)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi aadmi us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak wo apne baite (aur betiyo), apne baap (aur maa) aur saare loogo se badh kar mere saath muhabat na kare". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI ZAAT E MUBARAK AHLE EMAAN K LIYE UNKI APNI JAANO SE BHI ZIYAADAH AZEEZ AUR MOHTARAM HAI

"Nabi ki zaat ahle emaan k liye unki apni jaano se bhi muqaddam hai aur nabi ki beewiya ahle emaan ki maayen hai". (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 6)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT KARNE WALA SACCHA MOMIN HAI

Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai "Emaan ka maza us aadmi ne chakha jo Allah k rabb hone par raazi hua, islam k deen hone par raazi hua aur Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Rasool hone par raazi hua". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI SEERAT E TAYYEBA KA MUTA'ALA KARNA, APNI MAJALIS MEIN AAP SALLALLAHU ALAHI WA SALLAM KA ZIKR KARNA AUR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT KA IZHAAR KARNA AHLE EMAAN PAR WAJIB HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu aur Hazrat Abbas Razi Allahu Anhu ansaar ki ek majlis k paas se guzrey to dekha wo roo rahe hai, unhone pucha "kyu roo rahe ho?" unhone kaha hamey Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sohbatey yaad aa rahi hai ye sun kar wo dono Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ansaar ki baat bataayi) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne sar par chadar baandhey hue bahar nikle (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sar mubarak mein bahut dard tha) mimbar par chadhey bas ye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (ki hayaat e tayyeba) ka aakhiri khutba tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Allah ki hamd o sana farmayi, phir irshad farmaya "Loogo! mein tumko ansar k baare mein waseeyat karta hu wo to mere qalb wa jigar hai un par jo mera haqq tha wo ada kar chukey ab unka haqq (jannat) baaqi hai, un mein se jo koi naik ho uski qadar karna aur jo koi bura ho uske qasooro se darguzar karna". (Sahih Bukarhi Kitabul Manaqib al Ansar)


HAZRAT ABU BAKR SIDDEQUE RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

1. Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu kehte hai jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne madeena ki taraf hijrat farmayi to raaste mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko piyaas lagi, achanak raaste mein ek charwaaha mila, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu farmate hai, mene ek piyaala liya aur (charwaahe ki ijazat se) us mein thoda sa (bakri ka) doodh doohya aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein paish kiya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne itna doodh noosh farmaya k mera dil khush ho gaya. (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib al Ansar)

2. Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu kehte hai "hum (hijrat k liye) rawana hue to loog hamare ta'aqub mein they un mein se sirf Surqa bin Malik bin Jushm ne apne ghoode par hamey paya mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ta'aqub mein ye shaks hamare qareeb pahunch gaya hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "gham na kar! Allah hamare saath hai" phir wo is qadar hamare qareeb aa gaya k hamare aur uske darmiyaan ek do ya teen naizo k barabar faasla reh gaya, mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! usne to hamey pakad liya aur mein rooney laga" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Abu Bakr Razi Allahu Anhu kyu roote ho?" mene arz kiya "Allah ki qasam mein apni jaan ko khatre mein dekh kar nahi roo raha hu balke mujhe Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki jaan ka khatra hai is liye roo raha hu, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Surqa k liye bad-dua farmaayi "Ya Allah! tu hum dono k liye jese tu chaahey kaafi ho ja" chunanchey uske ghoode ki taangey sakht zameen mein pait tak phans gayi aur surqa ne ghoode se chalaang laga di. (Musnad Ahmad Hadees no. 3)

3. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai mein (beemari k doraan) Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu k paas gayi to unhone mujhse daryaft farmaya "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kaun se rooz faut hue they?" mene arz kiya "Somvaar ko" Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne pucha "Aaj konsa din hai?" Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne jawab diya "Aaj bhi somvaar hai" tab Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mein ummeed rakhta hu k aaj raat tak kisi bhi waqt dunya e faani se kooch kar jaunga". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz)

Wazahat: Yaad rahe Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ki wafaat mangal k rooz hui thi ye mehaz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se muhabbat ka jazba tha k Aap Razi Allahu Anhu ne somvaar ko faut hone ki tamanna farmayi.


HAZRAT UMAR RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

1. Hazrat Abdullah bin Hishaam Razi Allahu Anhu kehte hai hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ka haath thama hua tha, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap mujhe meri zaat k alawah baaqi har cheez se ziyaadah mehboob hai" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi! qasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai (tum us waqt tak momin nahi ho sakte) jab tak mere saath apni jaan se bhi ziyaadah muhabbat na karo" tab Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Allah ki qasam! ab to aap mujhe apni jaan se bhi ziyaadah mehboob hai" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae Umar! ab tum poore momin ho". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan wan Nuzoor)

2. Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne (Apni wafaat se qabl apne baite Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se) kaha "Abdullah! Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha k paas jao aur unki khidmat mein hazir ho kar arz karna "Umar salaam arz karta hai aur han dekho, Ameer ul Momineen ka lafz istemaal na karna, kyunki aaj mein Ameer ul Momineen nahi hu, salaam arz karne k baad darkhuwast karna k Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu apne dono saathiyo k saath dafan hone ki ijazat maangta hai, Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne hazir ho kar salaam arz kiya aur andar aaney ki ijazat maangi, ijazat milne k baad Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki khidmat mein hazir hue to dekha k Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha (Ameer ul Momineen ki beemari k gham mein) baithi roo rahi hai, Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne arz ki "Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu salaam arz karte hai aur apne dono saathiyo k saath dafan hone ki ijazat maangte hai" Hazrat Ayesha Siddeqa Razi Allahu Anha ne farmaya "wo jagah mene apne liye rakkhi thi, lekin ab mein apni bajaaye Umar ko tarjeeh deti hu" Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu wapas lootey to loogo ne Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ko bataya "Abdullah Razi Allahu Anhu aa gaye hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne loogo se kaha "Mujhe utha kar baithao" ek aadmi ne Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ko sahara diya, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne pucha "Abdullah! kya khabar laaye ho? Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ameer ul Momineen jo aap chahte they, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne aapko ijazat de di hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha "Alhamdulillah! mere liye is se aham aur koi baat nahi". (Sahih Bukhari Kitabul Fazail E Sahaba)


HAZRAT ALI RAZI ALLAHU ANHU KI RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu se pucha gaya "Aap ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se muhabbat kesi thi?" Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne farmaya "Wallah! Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey apne maalo, aulaado, baapo, maao aur shadeed piyaas k waqt thandey paani se bhi ziyaadah mehboob they". (Sharah As Shifa Kitabul Huqooq un Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Safa no. 70)


HAZRAT SAAD BIN MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu ne (jang e badar se qabl) arz ki "Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya hum aapke liye ek uncha chappar na tameer karde jis mein aap qayaam farmaye aur hum aapke paas sawariya bhi tayyar rakkhey aur phir dushman se muqalabah kare? agar Allah ne hamey izzat bakshi aur dushman par ghalba ata farmaya to yahi wo cheez hai jo hum chahte hai aur agar soorat e haal uske bar-aks hui to aap apni sawariyo par baith kar hamari qaum k un loogo k paas pahunch jaaye jo pichey reh gaye hai, hum aapki muhabbat mein unse badh kar nahi agar unhey ilm hota k aapko jang se saabqa padega to wo kabhi aapse pichey na rehte, Allah unke zariye aapki hifazat farmayega wo loog aapse wafa karengey aur aapke saath mil kar jihaad karengey, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ki is tajweez par unki tareef farmaayi aur unke liye dua e khair ki, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye ek "Areesh" (chappar) tameer kiya gaya jisme Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (jang k doraan) qayaam farmaya. (Al Bidaya Wan Nihaya Juzz e Salis Safa no. 284)


HAZRAT KHUBAIB BIN ADI RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Urwah bin Zubair Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jin mushrikeen k aaba wa ajdaad badar mein qatal hue they wo jab Hazrat Khubaib Razi Allahu Anhu ko qatal karne lage to unhey qasam de kar pucha "Kya tumhey ye pasand hai k tumhari jagah Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam hote aur tum phaansi paane se bach jaate?" Hazrat Khubaib Razi Allahu Anhu ne farmaya "Nahi, Allah buzurg wa bartar ki qasam! mujhe to ye bhi gawarah nahi k meri jagah Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qadam mubarak mein kaanta bhi chubhey" is par mushrikeen ne kehkaha lagaya (hasne lage). (Tabraani Hadees no. 5284)


HAZRAT ZAID BIN HAARSA RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Jablah bin Haarsa Razi Allahu Anhu kehte hai mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mere bhai Zaid bin Haarsa ko mere saath rawana farma de, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Zaid tumhare saamne mojood hai agar tumhare saath jana chahta hai to mein usey kabhi nahi rokunga" Hazrat Zaid Razi Allahu Anhu ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Allah ki qasam, mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabaley mein kisi doosre ko tarjeeh nahi dunga" Hazrat Jablah Razi Allahu Anhu kehte hai "Mere bhai ki raaye, meri raaye ki nisbat bahut behtar hai". (Tirmizi Abwabul Manaqib 3:2998)

Wazahat: Yaad rahe Hazrat Zaid bin Haarsa Razi Allahu Anhu Hazrat Khadeeja Razi Allahu Anha k ghulaam they, Hazrat Khadeeja Razi Allahu Anha ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko hibah kar diya tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Zaid Razi Allahu Anhu ko aazaad karke apna muh boola baita bana liya tha, jab Hazrat Zaid Razi Allahu Anhu k ghar walo ko ilm hua k Zaid Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas hai to wo unhey lene aaye, lekin Hazrat Zaid Razi Allahu Anhu ne unke saath jaane se inkaar kar diya.
HAZRAT SAAD BIN RABEE RAZI ALLAHU ANHU KI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Yahya bin Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai uhad k rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe Saad bin Rabee k baare mein kaun khabar la kar dega?" (wo maidaan e jang mein kis haal mein hai) ek aadmi (Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu ya Zaid bin Sabit Razi Allahu Anhu) ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mein khabar lata hu" chunanchey wo gaya aur laasho mein Hazrat Saad bin Rabee Razi Allahu Anhu ko talaash karne laga, Hazrat Saad bin Rabee Razi Allahu Anhu ne (aadmi ko dekh kar) pucha "kise talash karte ho?" aadmi ne jawab diya "Mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tumhari khabar lene k liye bheja hai, Hazrat Saad bin Rabee Razi Allahu Anhu ne kaha "Accha! wapas jao, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mera salaam arz karna aur bata dena k mujhe naizey k 12 zakam aaye hai jo meri jaan lene wale hai aur apni qaum se kehna "Yaad rakkho! agar tum mein se ek aadmi bhi zindah raha aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam shaheed kar diye gaye to Allah ta'ala k han tumhara koi uzr qabool nahi hoga". (Muatta Imam Malik Kitabul Jihaad)


HAZRAT ZIYAAD BIN SAKAN RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Ibne Is'haaq kehte hai (gazwa e uhad k din) jab dushmano ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par hujoom kar liya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kaun hai jo hamare liye apni jaan deta hai?" Hazrat Ziyad bin Sakan Razi Allahu Anhu 5 ansariyo samait khade hue aur ek ek karke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka difa karte hue shaheed ho gaye, sabse aakhir mein Hazrat Ziyaad Razi Allahu Anhu, Hazrat Umarah Razi Allahu Anhu tanha reh gaye aur wo akele ladte rahe yaha tak k zakhmo ne unhey gira diya phir musalmano ki ek jamaat palti aur unhone Hazrat Ziyaad Razi Allahu Anhu se dushmano ko hataya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ise mere qareeb karo" loogo ne Hazrat Ziyaad Razi Allahu Anhu ko Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qareeb kiya to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna qadam mubarak unki taraf badhaaya takey wo us par apna rukhsaar mubarak rakh sakey phir wo is halat mein faut hue k unke rukhsaar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qadam mubarak par they. (As Seerat un Nabwiyah li bin Hishaam, Juzz e Saalis Safa no. 53)


BANU DEENAR KI EK KHATOON KI RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k (gazwah e uhad se waapsi par) Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka banu deenar ki ek khatoon par guzar hua jiska shohar, bhai aur baap jang e uhad mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ladte ladte shaheed ho gaye they, jab loogo ne usey uske shohar, bhai aur baap ki shahadat ki khabar di to usne pucha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka kya haal hai? loogo ne jawab diya "Ummey falah! tumhari khawahish k mutabiq wo to Allah k fazal se bilkul theek hai" aurat ne kaha "Mujhe dikhao, jab tak mein apni aankho se dekh nahi leti, mujhe qaraar nahi aayega" loogo ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf isharah karke bataya k wo hai, jab usne apni aankho se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekh liya to kehni lagi "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekhne k baad saari museebatey door ho gayi". (Al Bidaya wan Nihaya juzz e rabee Safa no. 423)


HAZRAT RABEEYA BIN KAAB ASLAMI RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Rabeeya bin Kaab Aslami Razi Allahu Anhu kehte hai mein raat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k han basar karta Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye wuzu ka pani aur doosri zaroorat ki cheezey laya karta (ek rooz) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (khush ho kar) irshad farmaya "Koi cheez (maangna chaho) to maango" mene arz ki "Jannat mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki rifaqat chahta hu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phir pucha "Kuch aur?" mene arz ki "bas yahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kasrat e sujood k saath mari madad kar (takey tumhare liye sifarish karna mere liye aasaan ho jaye)". (Sahih Muslim Kitabus Salaat)


HAZRAT ABU HURAIRAH RAZI ALLHAU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu (ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko mukhatib karke) farmaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! jab mein aapko dekhta hu to meri aankhey thandi ho jati hai aur dil khush ho jata hai lekin jab aap nazar nahi aatey to mera dil bujh jata hai ya aesa hi koi lafz kaha". (Bazzaar, Majmua uz Zawahid Kitabul Manaqib 9:604)


HAZRAT ABU AYYUB ANSARI RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Abu Ayyub (Ansari Razi Allahu Anhu) se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam (Madeena tashreef lane k baad) unke han mehmaan thehrey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nichli manzil mein qayaam farmaya aur Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu uper wali manzil mein they.... Abu Ayyub Razi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye khana tayyar karte jab (khadim) khana wapas lata to Abu Ayyub Razi Allahu Anhu khadim se puchte "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ungliya khane par kaha kaha lagi hai?" Abu Ayyub Razi Allahu Anhu bhi usi jagah (apni ungliya rakh kar) khana khate. (Sahih Muslim Kitabul Ashrabah)


HAZRAT UMMEY HAANI RAZI ALLAHU ANHA KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Ummey Haani Razi Allahu Anha kehti hai fatah makkah k rooz Hazrat Fatima Razi Allahu Anha Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baayi taraf aa kar baith gayi aur mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki daayi taraf, itne mein ek loondi bartan le kar aayi, jis mein peeney ki koi cheez thi, loogndi ne wo bartan Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko diya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us bartan se piya, phir wo bartan mujhe diya, mene bhi us se piya aur kaha "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mera rooza tha mene (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka jhoota pene k liye) rooza tood diya" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Kya tumne qaza rooza rakkha tha?" mene arz kiya "nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Agar nafli rooza tha, to koi harj ki baat nahi". (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2145)


HAZRAT BILAL RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Muhammad bin Ibraheem Taemi Rahimahullah kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafat k baad abhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki tadfeen nahi hui thi, Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne azaan di aur jab "ASH'HADU ANNA MUHAMMADAR RASOOLULLAH" par pahunchey to Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum phoot phoot kar roone lage, jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki tadfeen ho gayi to Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu se kaha azaan do, Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne kaha "Agar aapne mujhe apni khatir aazaad kar diya hai to phir aapko ye hukm dene ka haqq hai, lekin agar aapne mujhe Allah ki raza k liye aazaad karaya hai to phir mujhe kuch na kahiye" Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne kaha "Mene tumhey sirf Allah ki raza k liye aazaad karaya hai" Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne kaha "to phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafat k baad mein kisi doosre k liye azaan nahi kahunga" Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne farmaya "Accha, teri marzi". (Sifatus Safwah 1:200)


EK SAHABI KA SARMAYA E HAYAAT......HUBBEY RASOOL SALLALLAHU ALAHIH WA SALLAM

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! qayamat kab aayegi?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se pucha "Tuney qayamat k liye kya tayyari ki hai?" Aadmi ne arz ki "Allah aur uske Rasool ki Muhabbat!" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "(qayamat k rooz) yaqeenan tu uske saath hoga jiske saath tuney muhabbat ki" Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai "Islam laane k baad hamey jitni khushi is baat se hui itni khushi kisi baat se nahi hui". (Sahih Muslim Kitabul Birr Wa Silah)
EK KHUSH-NASEEB SAHABI KI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT PAR QURAN MAJEED KA NUZOOL

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai ek aadmi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein aapse apni jaan se bhi jayada muhabbat karta hu apne baite se bhi ziyadah muhabbat karta hu jab ghar mein hota hu aur aapki yaad aati hai to us waqt tak sabr nahi aata jab tak hazir e khidmat ho kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka deedaar na karlu, lekin jab mujhe apni aur aapki maut yaad aati hai to jaanta hu k jannat mein dakhil hone k baad ambiya k saath buland maqaam par hongey aur mein jannat mein chala bhi gaya to (kam darja ki wajah se) darta hu k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka deedaar nahi kar paunga" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne sahabi ki is baat ka us waqt tak koi jawab na diya jab tak Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ye aayat le kar na aa gaye (WA MAIY'YUTI ILLAHA....) "Aur jisne Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ita'at ki wo (jannat mein) un loogo k saath honge jin par Allah ta'ala ne ina'am kiya hai ambiya mein se, siddeqeen mein se, shuhada mein se aur saliheen mein se, un loogo ki rifaqat kesi acchi hai (Surah Ambiya Surah no. 21 Ayat no. 69)". (Majmua uz Zawahid Kitabut Tafseer)


HAZRAT UMMEY AYEMAN RAZI ALLAHU ANHA KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat k baad Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se kaha "Chalo Ummey Ayeman Razi Allahu Anha se mil ka aaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi unhey milne jaya karte they" jab dono waha pahunchey to Ummey Ayeman Razi Allahu Anha roone lagi, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne pucha "Aap kyu rooti hai Allah k paas jo naimatey hai wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye (dunya ki naimato se kahi ziyaadah) behtar hai" Hazrat Ummey Ayeman Razi Allahu Anha kehne lagi "Mein is liye nahi rooti k mujhe ye ilm nahi k Allah k paas apne Rasool k liye bahut kuch hai balke mein is liye rooti hu k ab wahi k aaney ka silsila band ho chuka hai" Hazrat Ummey Ayeman Razi Allahu Anha ki is baat se Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu aur Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ko bhi roona aa gaya aur wo bhi Ummey Ayeman Razi Allahu Anha k saath roone lage. (Sahih Muslim Kitabul Fazail)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu kehte hai k sabse pehle hamare paas (madeena mein) Hazrat Mus'ab bin Umair Razi Allahu Anhu aur Abdullah bin Ummey Maktoom Razi Allahu Anhu (jo na-beena they) aaye, wo dono loogo ko quran padhaya karte they, phir Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu, Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu aur Hazrat Ammaar bin Yasir Razi Allahu Anhu aaye, phir Hazrat Umar Razi Allahu Anhu 20 Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko saath liye hue aaye phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam (Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu aur Amir bin Fuhairah Razi Allahu Anhu ko saath le kar) tashreef laaye, mene madeena walo koi kisi baat se itna khush hote nahi dekha jitna Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k tashreef laane se wo khush hue, loondiya tak kehne lagi "Allah k paighambar Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laaye hai". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib)

Hazrat Abu Juhaifa Razi Allahu Anhu kehte hai do-paahar k waqt Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tasheef laye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein wuzu ka paani paish kiya gaya jis se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wuzu farmaya Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k wuzu se bacha hua paani le kar apne badan par malne lage. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu)
EK KAMSIN BACCHEY KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE MUHABBAT

Hazrat Abdul Malak bin Umair Razi Allahu Anhu kehte hai Madeena Munawwarah mein ek ladka tha jiski kunniyat Abu Mus'ab thi, wo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k dast e mubarak mein ek khoosha tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khoosha haatho mein mal kar uska chilka utara, phoonk maari aur uske daane ladke ko de diye, Ladke ne le kar kha liye, agarchey ansaar madeena usey accha na samjhte lekin jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Abu Mus'ab Razi Allahu Anhu ko daane diye to usne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko wapas na paltaaye, Abu Mus'ab Razi Allahu Anhu kehte hai k mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas se uth kar thodi door hi gaya tha k phir wapas palta aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap mere liye dua farmaye k Allah mujhe jannat mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki rifaqat ata farmaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se pucha "Tumhey ye baat kisne sikhaayi?" Abu Mus'ab ne arz kiya "Kisi ne nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "accha, mein dua karunga" jab mein wapas hone laga to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe bulaya aur irshad farmaya "Kasrat e sujood se meri madad karna"....jab mein apni maa k paas wapas (ghar) aaya to maa ne daryaft kiya (itni dair kaha rahe?) mene bataya "mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek khoosha laaye apne dast e mubarak se uske daane nikaale aur apni phoonk mubarak se chilkey utaare aur mujhe diye, mene wapas karna munasib na samjha (aur le liye) Abu Mus'ab Razi Allahu Anhu ki maa ne kaha "Tuney bahut accha kiya" Anu Mus'ab Razi Allahu Anhu ne kaha phir mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mere liye dua farmaayi. (Bazzaar, Majmua uz Zawahid Kitabul Manaqib 9:665)

No comments:

Post a Comment