Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 18 May 2016

CHOOTHA (4th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA DIFA KARNA

CHOOTHA (4th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA DIFA KARNA 



Bismillahirrahmanirraheem

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hayaat e tayyeba mein ghalba e islam ki jaddo jehad mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hifazat karna neez qaulan aur fa'alan har tarah se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki himayat karna, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki mudah mein naat kehna, kuffar wa mushrikeen ki taraf se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam pa lagaaye gaye ilzamaat ka jawab dena, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki toheen aur gustaakhi ka badla lena, ye saari baatey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k difa mein shamil hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hayaat e tayyeba k baad Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zaat ki hifazat ka maamla to baaqi nahi raha albatta baaqi saare umoor par amal karna har musalman mard aur aurat par apni istata'at k mutabiq wajib hai.


GHALBA E ISLAM KI JADDO JEHAD MEIN RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HIMAYAT AUR HIFAZAT KARNA TAMAAM AHLE EMAAN PAR WAJIB HAI

"Jo loog Rasool par emaan laye uski himayat aur madah (tareef) ki aur us noor (yaani quran majeed) ki pairvi ki jo uske saath nazil kiya gaya hai wahi falah paane wale hai". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 157)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI IZZAT KA DIFA KARNA TAMAAM AHLE EMAAN PAR WAJIB HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Quraish ki hujoo karo kyunki unhey hujoo, teero ki bochaadh se bhi ziyaadah nagawaar hai" pehle Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi Hazrat Abdullah bin Rawaha Razi Allahu Anhu k paas bheja aur unhey hukm diya "Tum quraish ki hujoo karo" (Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne hujoo ki) lekin Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pasand na aayi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu k paas aadmi bheja (unki hujoo bhi pasand na aayi to Hazrat Hassan bin Sabit Razi Allahu Anhu ko bula bheja), Hazrat Hassan bin Sabit Razi Allahu Anhu hazir e khidmat hue aur arz ki "Ab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us sher ko bula bheja hai jo apni dum se dushmano ko maarta hai apni zubaan bahar nikaali aur usey hila kar farmaya "Us zaat ki qasam jisne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko haqq k saath bheja hai mein kafiro ko apni zubaan se is tarah tehas nehas karunga jis tarah chamde ko (chadi se) cheera phaada jata hai". (Sahih Muslim Kitabul Fazail)


AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K FAZAIL BAYAN KARNA AUR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM PAR LAGAAYE GAYE ILZAMAAT AUR AETRAZAAT KA NASR YA ASH'AAR MEIN JAWAB DENA AHLE EMAAN PAR WAJIB HAI

Hazrat Bara Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Hassan Razi Allahu Anhu se farmaya "Mushriko ki hujoo kar ya farmaya us hujoo ka jawab de (jo unhone mere baare mein ki hai) aur Jibraeel Alaihis Salaam tere saath hai". (Sahih Bukhari Kitabaul Badd ul Khalq)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Ae Hassan!) meri taraf se mushriko ko jawab de, Ya Allah! Hassan ki rooh ul qudos (Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam) k saath madad farma". (Sahih Muslim Kitabul Fazail)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN AUR GUSTAAKHI KA BADLA LENA AHLE EMAAN PAR WAJIB HAI

Hazrat Abu Barzah Razi Allahu Anhu kehte hai mein Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu k paas baitha tha aur wo ek aadmi par sakht izhaar e naraazi farma rahe they, mene arz kiya "Ae Khaleefa E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mujhe ijazat dijiye mein uski gardan uda du" mere in kalmaat se Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ka sara gussa door ho gaya, Aap Razi Allahu Anhu apni jagah se uthey aur andar chale gaye aur (thodi dair baad) mujhe bula bheja aur pucha "tuney mujhe kya kaha tha?" mene arz kiya "mujhe ijazat dijiye mein uski gardan uda du" Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne pucha "agar mein ijazat de deta to kya tum aesa kar guzartey?" mene arz kiya "han!" Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne farmaya "Wallah! toheen k jurm mein qatal ki saza Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad kisi aadmi k liye jayez nahi". (Abu Dawood Kitabul Hudood Hadees no. 3:3666)


BAIT E UQBA SAANIYA K MOUQEY PAR HAZRAT BARA BIN MAAROOR RAZI ALLAHU ANHU NE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HAR QEEMAT PAR HIFAZAT KARNE KA WAADA FARMAYA

Hazrat Kaab bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai (bait e uqba saani k moqey par) hum sab ghaati mein ikatthey hue aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka intazaar karne lage phir Aap tashreef le aaye us waqt Aapke saath aapke chacha Abbaas bin Abdul Muttalib Razi Allahu Anhu bhi they wo abhi tak apne aabaayi deen par qayim they unhone loogo se mukhatib ho kar kaha tumhey maloom hai k Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka hamare darmiyaan kya maqaam aur martaba hai aur humne unhey un loogo se ab tak mehfooz rakkha hai jo (deeni nuqta e nazar se) hamare jesi raaye rakhte hai lihaza wo apni qaum mein izzat k saath aur apne shehar mein hifazat k saath reh rahe hai loogo ne arz kiya Abbaas! Aapne jo kuch kaha humne sun liya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! ab aap irshad farmaiye apne liye aur apne rabb k liye jo hum se ahad wa paimaan lena chahte hai wo lijiye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pehle quran majeed ki tilawat farmayi, Allah azz wa jall ki taraf dawat di aur islaam ki ragbat dilaayi aur farmaya mein tum se us baat par bait leta hu k tum har us cheez se meri hifazat karoge jis se apne aurato aur baccho ki hifazat karte ho, us par Bara bin Maroor Razi Allahu Anhu ne Aap ka dast e mubarak pakda aur arz ki "han, us zaat ki qasam jisne aapko haqq k saath bheja hai hum yaqeenan us cheez se aap ki hifazat karengey jis se hum apni jaano ki hifazat karte hai lihaza Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap humse bait le hum jang k baite hai aur hathyaaro se khoob waqif hai ye wirasat hamey baap dada se mili hai". (Musnad Ahmad Hadees no. 15798)


ANSAAR E MADEENA NE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO MADEENA MEIN PANAH DE KAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HIFAZAT AUR REHNUMAAYI KA HAQQ ADA KIYA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar ansaar kisi wadi ya ghaati mein chale to mein bhi us mein chalunga agar mene hijrat na ki hoti (jis wajah se muhajir kehlaata hu) to mein ansaar mein se ek fard hota (yaani ansari kehlana pasand karta) Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai "Mere maa baap Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par qurbaan! Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aesa beeja nahi farmaya kyunki ansaar ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko madeena mein panah di aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki madad farmayi". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib)


HAZRAT SAAD BIN ABI WAQAAS RAZI ALLAHU ANHU NE RAAT BHAR PEHRAH DE KAR AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HIFAZAT FARMAYI

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k ek raat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki aankh khul gayi aur neend achaat ho gayi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya kaash mere As’haab mein se koi naik bakht aaj ki raat meri hifazat karta, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai "itne mein hamey hathyaaro ki aawaaz sunayi di Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha kaun hai? Aawaaz aayi Saad bin Abi Waqaas hu ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein pehrah dene k liye hazir hu" Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam araam se soo gaye yaha tak k mene aapke kharaato ki aawaaz suni. (Sahih Muslim Kitabul Fazail)


JANG E BADAR K MOQEY PAR HAZRAT SAAD BIN MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU KA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HIFAZAT K LIYE AHAD

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Abu Sufyaan k lashkar ki ittela milne par Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se mashwarah kiya to Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu khade ho gaye aur farmaya "Hamare amwaal aapke saamne hai unke baare mein jo chaahey faisla farmaaye (yaani kitne lene hai aur kitne choodne hai) aur ye hamare loog bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne hazir hai agar aap hamey saath le kar samundar mein koodna chahengey to hum aapke saath kood jayengey, aapke aagey pichey daaye aur baaye har taraf se ladengey. (Ibne Hishaam Kitabul Huqooq un Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam Safa no. 71)


JANG E BADAR MEIN AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HIFAZAT K LIYE MIQDAAD BIN ASWAD RAZI ALLAHU ANHU KA DAAYE, BAAYE, AAGEY, PICHEY HAR TARAF SE LADNE KA AHAD

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Hazrat Miqdaad bin Aswad ka ek aesa kaarnama dekha hai jise hasil karna mere liye dunya ki har cheez se mehboob hai wo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein us waqt hazir hue jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam mushriko k liye bad-dua farma rahe they Hazrat Miqdaad Razi Allahu Anhu ne arz ki "Hum Musa Alaihis Salaam ki qaum ki tarah aapse ye nahi kahengey k tu aur tera rabb jaye aur ladey hum to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k daaye baaye aagey pichey har taraf se ladengey" Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai mene in alfaaz k baad dekha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka chehrah mubarak khushi se chamak utha aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam masroor ho gaye. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi)


GAZWAH E UHAD MEIN TALHA BIN UBAIDULLAH RAZI ALLAHU ANHU NE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI KHOOB NUSRAT FARMAAYI

Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu kehte hai gazwah e uhad k rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do zirhey pehne hue they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (panah hasil karne k liye) ek chattaan par chadhne ki koshish ki lekin na chadh sake, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Talha Razi Allahu Anhu ko nichey bithaya aur un par sawaar ho gaye (Hazrat Talha Razi Allahu Anhu ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko uper uthaya) hatta k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam chattaan k uper chadh gaye, Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu kehte hai mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna k Talha k liye jannat wajib ho gayi. (Tirmizi Abwabul Manaqib)


GAZWAH E UHAD MEIN HAZRAT ABU TALHA RAZI ALLAHU ANHU NE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA US TARAH DIFA KIYA JIS TARAH DIFA KARNE KA HAQQ THA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai uhad k rooz shikast khane ki wajah se Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se alag ho gaye, sirf Abu Talha Razi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas reh gaye wo apni dhaal Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k uper kiye hue they Hazrat Abu Talha zabardast teer andaaz they us rooz unke haatho do ya teen kamaaney tooti, jab koi Sahabi teero ka tarkash le kar nikalta to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam us se farmaate "ye teer Abu Talha Razi Allahu Anhu k liye rakh do" jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apna sar uper karke kafiro ki taraf dekhte to Abu Talha Razi Allahu Anhu farmate Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Mere maa baap aap par qurbaan aap apna sar mubarak uncha na kare kahi kisi kafir ka teer aapko na lagey, mera seena aapke seeney k aagey hai. (Sahih Muslim Kitabul Jihad)
GAZWAH E UHAD MEIN SAAT MADANI SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM NE APNI JAANO KA NAZRAANA PAISH KARKE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA DIFA FARMAYA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwah e uhad k doraan ek mouqey par Rasool E Akaram Sallallahu Alaihi Wa Salllam sirf saat Ansari aur quraishi sahaba k saath saare lashkar se alag ho gaye to kafiro ne (qatal karne k liye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Salllam par zabardast chadhaayi kardi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne irshad farmaya "kaun un kafiro ko humse door karta hai uske liye jannat hai ya Aap Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne farmaya wo jannat mein mera rafeeq hoga" Ansaar mein se ek aadmi aagey badha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Salllam ka difa kiya hatta k shaheed ho gaya, kuffar ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Salllam par dobarah chadhaayi ki, Aap Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne phir wahi baat dohraayi "Kaun hai jo inhey humse door kare uske liye jannat hai, ya farmaya jannat mein wo mera rafeeq hoga" ek aur Ansaari aagey badha, muqabalah kiya aur maara gaya, isi taraf hota raha hatta k saato ansari baari baari shaheed ho gaye, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne (apne quraishi) saathiyo se farmaya "Humne apne ansari saathiyo se insaaf nahi kiya". (Sahih Muslim Kitabul Jihaad)

Wazahat: "Humne apne saathiyo se insaf nahi kiya" se muraad hai k quraishi jawano ko bhi aagey badhna chahiye tha ya us se ye bhi muraad ho sakta hai k jo Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum apni jaan bachaney ki fikr mein titar bitar ho gaye, unhone meri hifazat karne wale sahaba k saath insaaf nahi kiya.


GAZWAH E UHAD MEIN HAZRAT SAAD BIN ABI WAQAAS RAZI ALLAHU ANHU NE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA DIFA KARNE KA HAQQ ADA FARMAYA

Hazrat Saad (bin Abi Waqaas) Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwah e uhad k rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne mere liye apne maa baap ko jama kiya (yaani yuh farmaya mere maa baap tujh par qurbaan ho) mushriko mein se ek shaks ne musalmano ko khoob qatal kiya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne farmaya "Saad! mere maa baap tujh par qurban, khoob teer maar, mene ek teer nikala jiske aagey nook nahi thi aur usey phenka to wo us mushrik ki pasli mein laga aur mushrik gir pada jis se uski sharmgaah khul gayi, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Salllam dekh kar hasey yaha tak k mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Salllam ki daadhi dekhi". (Sahih Musim Kitabul Fazail)


GAZWAH E UHAD MEIN EK SHAIR DIL KHATOON HAZRAT UMMEY UMMARAH RAZI ALLAHU ANHA NE BHI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI JAAN BACHANE K LIYE TALWAAR CHALAAYI

Hazrat Ummey Saad bin Saad bin Rabee Razi Allahu Anha kehti hai k mein Ummey Ummarah Razi Allahu Anha k paas hazir hui aur arz ki "Khala Jaan! Mujhe gazwah e uhad mein apni khidmat k baare mein kuch bataiye Hazrat Ummey Ummarah Razi Allahu Anha ne farmaya mein din k pehle hissey mein nikli aur mujahideen ne jo maarka anjaam diya usey dekha mere paas paani ka mashkeezah tha (jis se mein mujahideen ko paani pilati thi) jab mera guzar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par hua to tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki hifazat mein they aur us waqt jang ki soorat e haal musalmano k haqq mein thi lekin jab musalman muntashir hue to mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qareeb pahunch gayi aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne seena sapar ho kar ladne lagi aur talwar se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka difa kiya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k difa k liye kamaan se teer phenkey hatta k mein khud bhi zakhmi hui, Hazrat Ummey Saad Razi Allahu Anha kehti hai mene Ummey Ummarah Razi Allahu Anha k kandhey par ek gehra zakham dekha to pucha, Aapko ye zakham kese laga? Unhoney farmaya "ibne qumah ne Allah usey zaleel kare" hua yuh k jab loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se door chale gaye to ibne qumah ye kehte hue aagey badha k mujhe batao k Muhmmad kaha hai? mein khud marunga ya usey marunga ye sun kar mein aur Mus'ab bin Umair Razi Allahu Anhu aagey badhey aur kuch doosre loog jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath sabit qadam rahe wo bhi aagey badhey, us waqt mujh par ibne qumah ne waar kiya mene uske jawab mein us par kayi waar kiye lekin us rooz Allah ka dushman do zirhey pehne hue tha (is liye bach nikla). (Ibne Hishaam 3:54)


GAZWAH E UHAD MEIN HAZRAT ABU DUJANAH RAZI ALLAHU ANHU NE APNI PUSHT PAR SAARE TEER ROOK KAR NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA DIFA KIYA

Ibne Is'haaq kehte hai mein Hazrat Abu Dujanah Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne dath kar khade ho gaye teer Aap Razi Allahu Anhu ki pusht par is haal mein baraste rahe k wo Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k uper jhukey hue they isi halat mein bahut se teer (unki pusth par) aa kar lagey. (Ibne Is'haaq 3:54)
JANG E AHZAAB MEIN HAZRAT HUZAIFA RAZI ALLAHU ANHU NE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NUSRAT FARMAYI

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai k jang e ahzaab mein hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they k us raat hawa bahut taiz chal rahi thi aur sardi bhi khoob thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se farmaya "Koi shaks hai jo ja kar kafiro ki khabar laae, Allah ta'ala usko qayamat k din mere saath rakkhega" ye sun kar hum loog khamoosh rahe aur kisi ne jawab na diya, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "koi shaks hai jo kafiro ki khabar mere paas laaye Allah ta'ala usko qayamat k din mere saath rakkhega" kisi ne jawab na diya sab khamosh rahe, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi shaks hai jo kafiro ki khabar mere paas laye Allah ta'ala usko qayamat k din mere saath rakkhega" kisi ne jawab na diya, Aakhir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Huzaifa (Razi Allahu Anhu)! tum utho aur ja kar kuffar ki khabar lao, jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera naam le kar hukm diya to mere liye uthey bagair koi chaara na tha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe rawana karte hue ye hidayat farmayi k kuffar ki khabar lao, lekin unhey ishta'aal dilaane wali koi harkat na karna, jab mein rawana hua to mujhe aesa maloom hua jese mein garam hammam mein chala ja raha hu (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki dua se sardi khatam ho gayi) jab mein kafiro k lashkar k paas pahuncha to dekha k Abu Sufyan apni kamar aagh se saik raha hai, mene usey teer marne k liye kamaan par chadhaaya to mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hidayat yaad aa gayi k aesa koi kaam na karna jis se kuffar mushta'al ho jaye halankey agar mein teer maarta to yaqeenan Abu Sufyan ko lagta (aur wo mar jaata) mein kuffar ki khabar le kar wapas palta tab bhi mujhe aesa maloom hua jesa k mein garam hammam mein chal raha hu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas wapas pahunch kar mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko saari soorat e haal se aagaah kiya us waqt mujhe phir sardi mehsoos hone lagi, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe apna ek zayid kambal inayat farma diya jise oudh kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz padha karte they, mein usi kambal ko oudh kar sooya to (itni gehri neend aayi k) subah tak soota raha, jab subah hui to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "utho nomaan" (yaani bahut ziyaadah soone wale). (Sahih Muslim Kitabul Jihaad)


GAZWAH E BANU QURAIZAH K MOUQEY PAR HAZRAT ZUBAIR BIN AWAAM RAZI ALLAHU ANHU NE AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NUSRAT FARMAYI

Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jang e ahzaab k din mujhe aur Umar bin Abi Salma Razi Allahu Anhu ko (kamsin hone ki wajah se) aurato mein choodh diya gaya, us rooz mene (apne walid) Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ko dekha k wo ghoodey par sawar hai aur unhone do teen baar quraizah k muhalley k chakkar lagaye (gazwah e banu quraizah k ikhtataam par) mene wapas aaney k baad (apne walid Hazrat Zuabir Razi Allahu Anhu se) pucha "Mene Aap ko baar baar idhar udhar aate jate dekha hai" Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ne kaha "Kya tooney waqayi mujhe dekha tha?" mene arz kiya "Han" Hazrat Zuabir Razi Allahu Anhu ne kaha "Asal baat ye thi k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Banu Quraizah k khabar mujhe kaun la kar dega?" mein gaya aur jab khabar le kar wapas aaya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (khush ho kar) apne maa baap ko ikattha karke farmaya "mere maa baap tum par qurbaan". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib)


HAZRAT SAAD BIN MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU NE WAQIYA E AFAK MEIN AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI NUSRAT FARMAYI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai (waqiya e afak k baad ek rooz) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mimbar par khade ho kar farmaya "Ae Musalmano! tum mein se kaun hai jo mujhe us shaks se bachaaye jisne mujhe meri beewi k muamaley mein azeeyat pahunchayi, Allah ki qasam! mein to apni beewi k baare mein khair hi khair jaanta hu aur jis shaks k baare mein tohmat lagaayi gayi hai uske baare mein bhi mein khair hi jaanta hu aur wo mere ghar mein kabhi akela nahi aaya mere saath hi aaya hai" (ye sun kar) Hazrat Saad bin Muaaz Ansari Razi Allahu Anhu khade hue aur kehne lage "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein Aapko us shaks se bachata hu agar wo qabeela e ous ka fard hai to mein usey qatal karunga aur agar wo shaks hamare biradar qabeela khazraj se hai to phir aap hamey jo hukm karengey hum baja layenge". (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


GAZWAH E HUNAIN MEIN SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM NE RASOOL ALLAH SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM KA DIFA FARMAYA

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai "Jab (gazwah e hunanin mein) musalmano aur kafiro ka aamna saamna hua to musalman peeth phair kar bhaag nikle halankey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne khacchar ko aedhi maarte hue kafiro ki taraf ja rahe they, Hazrat Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai "Mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khacchar ki lagaam thamey usey taiz chalne se rook raha tha aur Abu Sufyan (bin Haris) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki rikaab thamey hue they, Aakhir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae Abbas! As'haab e samurah ko pukaro" Hazrat Abbas Razi Allahu Anhu ki aawaaz bahut buland thi, Hazrat Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai mene buland awaaz se pukara "As'haab e samurah kaha hai?" Allah ki qasam! As'haab e samurah ye sunte hi aese lautey jese gaaye apne baccho k paas chali aati hai aur kehne lage "hum hazir hai, hum hazir hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya kafiro ko qatal kardo. (Sahih Muslim Kitabul Jihad was Siyar)

Wazahat: Yaad rahe samurah ek jangli darakht ka naam hai, gazwah e hudaibiyah mein samurah darakht k nichey baith kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se jihad ki bait li thi jise bait e rizwan bhi kaha jata hai, As'haab e samurah se muraad wahi Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum hai jinhone bait e rizwan mein hissa liya tha".

No comments:

Post a Comment