Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 30 November 2016

ZAKAAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

ZAKAAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN




Bismillahirrahmanirraheem

PEHLI UMMATO PAR BHI ZAKAAT FARZ THI

"Yaad karo jab bani israeel se humne pukhta ahad liya tha k Allah k siwa kisi ki ibadat na karna, maa baap k ssath rishtedaaro k saath yateemo aur miskeeno k saath naik salook karna, loogo se bhali baat kehna, namaz qayim karna aur zakaat dena, magar thoode aadmiyo k siwa tum sab is ahad se phir gaye". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 83)

"Ismaeel apne ghar walo ko namaz aur zakaat ki takeed kiya karte they, aur wo apne rabb k nazdeek bade pasandeedah insaan they". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 55)

"Allah Ta'ala ne mujhe (yaani Esa Alaihis Salaam ko) hukm diya k jab tak zindah ho namaz qayim karo aur zakaat ada karte raho". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 31)


ADAYIGI ZAKAAT EMAAN KI NISHANI AUR HURMAT JAAN KI ZAMANAT HAI

"Pas agar ye (kafir) touba karle aur namaz qayim kare, zakaat de to ye tumhare deeni bhai hai (lihaza in k khilaaf jang na karo) aur jaan'ne walo k liye hum apne ahkaam wazey kiye dete hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 11)


ZAKAAT ALLAH KI RAHMAT KA WASEELA HAI

"Namaz qayim karo, zakaat ada karo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ita'at karo ummeed hai tum par raham kiya jayega". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 56)


ZAKAAT GUNAAHO KA KAFFARAH AUR TAZKIYA E NAFS KA ZARIYA HAI

"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! tum unke amwaal se zakaat le kar unhey gunaaho se paak aur saaf karo, neez unke haqq mein dua e rahmat karo, kyunki tumhari dua unke liye mojib e itminaan hai, Allah Ta'ala sabkuch sunta aur jaanta hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 103)


ZAKAAT ADA KARNE WALE SACCHEY MOMIN HAI

"Jo loog namaz qayim karte hai aur jo kuch humne unhey diya hai us se (Allah ki raah mein) kharch karte hai haqeeqat mein wahi sacchey momin hai". (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 3-4)


ZAKAAT ADA KARNE SE DOLAT MEIN BARKAT AUR IZAAFA HOTA HAI

"Aur jo zakaat tum loog Allah ki khushnudi hasil karne k liye dete ho, is se dar-asal dene wale apne maal mein izaafa karte hai". (Surah Roum Surah no. 30 Ayat no. 39)


ZAKAAT AAKHIRAT MEIN KAAMYAABI KI ZAMANAT HAI

"Alif Laam Meem, ye kitab hakeem ki aayat hai un naik bando k liye hidayat aur rahmat jo namaz qayim karte hai, zakaat dete hai, yahi loog apne rabb ki taraf se raah e raast par hai, aur yahi falah paane wale hai". (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 1-5) 


IQTADAAR HASIL HONE K BAAD NIZAAM E ZAKAAT KA NIFAAZ FARZ HAI

"Ye wo loog hai jinhey agar hum zameen mein iqtadaar bakhshey (inke pao jama de) to namaz qayim karenge, zakaat denge, naiki ka hukm denge aur buraayi se mana karenge tamaam muamalaat ka anjaam to pas Allah hi k haath mein hai". (Surah Hajj Surah 22 Ayat no. 41)


NAMAZ AUR ZAKAAT ADA KARNE WALE EMAANDAAR LOOGO KO HI MASAJID AABAAD KARNE KI SA'AADAT HASIL HOTI HAI

"Allah Ta'ala ki masjido k aabaad-kaar to wahi loog ho sakte hai jo Allah Ta'ala aur rooz e aakhirat ko maaney, namaz qayim kare, zakaat de aur Allah k siwa kisi se na darey, inhi se ye tawaqqa hai k seedhi raah par chalenge". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 18)


ZAKAAT ADA KARNE WALE QAYAMAT K DIN HAR QISM K KHAUF AUR GHAM SE MEHFOOZ HONGE

"Jo loog emaan le aaye aur naik amal kare, namaz qayem kare aur zakaat de unka ajr (beshak) unke rabb k paas hai, aur unke liye kisi khauf aur ranj ka mouqa nahi". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 277)


ZAKAAT ADA NA KARNA KUFR WA SHIRK KI ALAMAT HAI
ZAKAAT ADA NA KARNA HALAKAT AUR BARBAADI KA BA'AS HAI

"Tabahi hai un mushriko k liye jo zakaat nahi dete aur aakhirat k munkir hai". (Surah Haa Meem Sajdah Surah no. 41 Ayat no. 6-7)


JIS MAAL SE ZAKAAT ADA NA KI JAYE WO MAAL QAYAMAT K DIN APNE MAALIK K GALE MEIN TAUQ BANA KAR DAALA JAYEGA

"Jin loogo ko Allah ne apne fazal se maal o dolat di hai aur wo bakheeli se kaam lete hai us khayaal mein na rahe k ye bakhal unke haqq mein behtar hai, balke ye unke liye bahut bura hai, is bakhal se jo kuch wo jama kar rahe hai usey qayamat k din tauq bana kar unke galey mein daal diya jayega". (Surah Aal e Imaran Surah no. 3 Ayat no. 180)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALO KI DOLAT KO JAHANNAM KI AAGH MEIN GARAM KARKE US SE UNKE JISMO KO DAAGA JAYEGA

"Dardnaak saza ki khushkhabri suna do un loogo ko jo soona aur chandi jama karke rakhte hai aur unhey Allah ki raah mein kharch nahi karte, ek din aayega k isi sooney chandi par jahannam ki aagh dehkaayi jayegi, aur phir usi se un loogo ki paishaniyo, pehluon aur peethon ko daaga jayega aur kaha jayega ye hai wo khazana jo tumne apne liye jama kiya, lo ab apni samaiti hui dolat ka maza chakho". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 34-35)

Tuesday, 29 November 2016

ZAKAAT KI AHMIYAT

ZAKAAT KI AHMIYAT

 


Bismillahirrahmanirraheem

JIS SOONEY AUR CHANDI KI ZAKAAT ADA NA KI JAYE QAYAMAT K DIN US SOONEY AUR CHANDI KI TAKHTIYAN BANA KAR AAGH MEIN GARAM KI JAYEGI AUR UNSE USKE MAALIK KI PAISHANI PEETH AUR PEHLU DAAGEY JAYENGE
JIN JAANWARO KI ZAKAAT ADA NA KI JAYE QAYAMAT K DIN WO JAANWAR APNE MAALIK KO PACHAAS HAZAAR SAAL TAK APNE PAO TALEY ROONDTE RAHEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks sooney aur chandi ka maalik ho lekin uska haqq (yaani zakaat) ada na kare to qayamat k din us (sooney aur chandi) ki takhtiyan banaayi jayegi phir unko jahannam ki aagh mein garam kiya jayega, phir un se us (munkir e zakaat) k pehlu, paishani aur peeth par daagh lagaaye jayenge jab kabhi (ye takhtiyan garam karne k liye) aagh mein wapas le jaayi jayegi to dobaarah (azaab dene k liye) lotaayi jayegi (us se ye salook) sara din hota rahega jiska arsa pachaas hazaar saal (k barabar) hai, yahan tak k insaano k faisale ho jayenge phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhey ya dozakh ki taraf" arz kiya gaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam phir ountho ka kya maamla hoga" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks ountho ka maalik ho aur wo unka haqq (zakaat) ada na kare aur uske haqq se ye bhi hai k paani pilaane k din ka doodh dhooye (aur arab k riwaaj k mutabiq ye doodh masakeen ko pila de) wo qayamat k din ek hamwaar maidaan mein oundhey muh litaya jayega aur wo ounth bahut farbah aur mootey ho kar aayenge un mein se ek baccha bhi kam na hoga (yaani sabke sab) us (munkir e zakaat) ko apne khuron, pao se roondenge aur apne muh se kaatengey jab pehla ounth (ye salook karke) jayega to doosra aa jayega (us se ye salook) sara din hota rahega jiska arsa pachaas hazaar saal (k barabar) hai, hatta k loogo ka faisla ho jayega phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhengey ya jahannam ki taraf" arz kiya gaya "Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! gaayen aur bakri k baare mein kya irshaad hai?" farmaya "Koi gaayen aur bakri wala aesa nahi jo unka haqq (zakaat) ada na karega magar jab qayamat ka din hoga to wo oundha litaaya jayega, ek hamwaar zameen par, aur un gaayen aur bakriyon mein se koi kam na hogi (sabki sab aayengi) aur unme se koi seengh mudi hui na hogi ya bagair seenghon k aur na tootey hue seenghon wali, wo usko apne seenghon se maaregi aur apne khuron se roondengi jab pehli guzar jayegi to pichli aa jayagi (yaani lagataar aati rahengi) din bhar aesa hota rahega jiski muddat pachaas hazaar saal k barabar hai, yahan tak k bando k darmiyaan faisla ho jayega, phir wo apna raasta jannat ki taraf dekhey ya dozakh ki taraf". (Sahih Muslim Kitabuz Zakaat)

Hazrat Ahnaf bin Qais Razi Allahu Anhu kehte hai k mein quraish k chand loogo mein baitha hua tha k Abu Zarr Razi Allahu Anhu aaye aur kehne lage "Khazana jama karne walo ko basharat do aese daagh ki jo unki peeth par lagaaye jayenge aur unke pehluon se aar paar ho jayenge unki gardan mein lagaaye jayenge to unki paishaniyo se paar ho jayenge phir Abu Zarr Razi Allahu Anhu ek taraf ho kar baith gaye to mene (loogo se) pucha "ye kaun hai?" loogo ne bataya "ye Abu Zarr Razi Allahu Anhu hai" chunanchey mein unki taraf gaya aur arz kiya "Ye kya tha jo mene abhi abhi aap se suna jo aapne farmaya" Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu ne kaha "Mene wahi kiya jo mene un (musalmaano) k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna hai". (Sahih Muslim Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT NA DENE WALO KA RUPYA PAISA QAYAMAT K DIN GANJA SAANP BAN KAR UNKO DASEY AUR KAATEGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis ko Allah Ta'ala ne maal diya aur usne uski zakaat ada na ki to qayamat k din uska maal aese ganje saanp ki shakal ban kar, jiski aankho par nuqte (daagh) hongey uske galey ka tauq ban jayenga phir uski dono jabdon ko pakad kar kahega "Mein tera maal hu, mein tera khazana hu, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "Jin loogo ko Allah Ta'ala ne apne fazal se maal diya hai aur wo bakheeli karte hai to apne liye ye bakhal behtar na samjhey balke unke haqq mein bura hai, anqareeb qayamat k din ye bakheeli unke galey ka tauq ban'ne wali hai". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


JIS MAAL SE ALLAH TA'ALA KA HAQQ ADA NA KIYA JAYE WO MAAL TABAH WA BARBAAD HO JATA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai unhone Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate they "Bani Israeel mein teen aadmi they ek kodhi doosra ganja aur teesa andha, Allah Ta'ala ne unko aazmane ka iraadah farmaya unki taraf ek farishta bheja wo kodhi k paas aaya aur kaha "Tujhe kaunsi cheez bahut piyaar hai?" usne kaha "Accha rang aur accha badan aur wo cheez mujhse door ho jaye jiski wajah se loog mujhse nafrat karte hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne (uske jism) par haath phera, pas us se uski gandagi door ho gayi aur accha rang aur accha badan de diya gaya" phir farishte ne kodhi se pucha "tujhe kaunsa maal ziyaadah pasand hai?" usne kaha "ounth" ya kaha "gaayen" raavi (Is'haaq) ko shak hai han kodhi aur ganje mein se ek ne ounth kaha aur doosre ne gaayen kaha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Usey ek hamila ounthni de di gayi aur kaha Allah tujhe isme barkat de" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta ganje k paas aya aur kaha tujhe sabse ziyaadah kaunsi cheez pasand hai" usne kaha "Khoobsurat baal, aur wo cheez mujhse door ho jaye jis se loog mujhse nafrat karte hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne us par haath phera uska ganjapan jata raha aur khoobsurat baal usey de diye gaye" farishte ne pucha "Tujhe kaunsa maal ziyaadah pasand hai?" usne kaha "Gaayen" pas ek hamila gaayen usey de di gayi aur farishte ne kaha Allah tujhe isme barkat de" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta andhey k paas aaya aur kaha tujhe sabse ziyaadah piyari cheez kaunsi hai?" usne kaha "Allah mujhe beenaayi de de takey mein loogo ko dekh sakun" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "farishte ne us par haath phera, Allah Ta'ala ne uski beenaayi wapas kardi, farishte ne kaha "Tujhe sabse ziyaadah maal kaunsa pasand hai?" usne kaha "Bakriyan" usey ek hamila bakri de di gayi, pas bacchey liye kodhi aur ganje ne ounth aur gaayen k aur andhey ne bakri k, jis se kodhi k liye ek jangal ountho se bhar gaya ganje k liye ek jangal gaayen se bhar gaya aur andhey k liye ek jangal bakriyon se bhar gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir (kuch arsa baad) farishta kodhi k paas uski pehli soorat aur shakal mein aaya aur aa kar kaha "gareeb aadmi hu safar mein mera maal wa asbaab jata raha ab mera aaj k din (apni manzil par) pahunchna Allah ki meharbaani aur tere sabab se hai, mein tujhse isi zaat k waaste se maangta hu, jisne tujhe accha rang jism aur maal diya hai ek ounth chahta hu, jiske zariye apni manzil par pahunch saku" usne kaha "Haqdaar bahut hai (yaani kharch ziyaadah hai maal kam hai) farishte ne kaha "mein tujhe pehchaanta hu kya tu kodhi na tha k loog tujhse nafrat karte they aur tu gareeb tha Allah Ta'ala ne tujhe sehat aur maal diya" usne kaha "mujhe to ye maal doolat baap dada se wirasat mein mila hai, farishte ne kaha "Tu jhoota hai, Allah tujhe wesa hi karde jesa k tu tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta ganje k paas aaya aur usey wahi kaha jo kodhi se kaha tha, ganje ne wahi jawab diya jo kodhi ne diya tha" farishte ne kaha "Agar tu jhoota hai to Allah tujhe wesa hi karde jesa tu tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir wo farishta andhey k paas uski (saabqa) soorat mein aaya aur kaha "gareeb musafir hu, safar mein mera maal wa asbaab jata raha, aaj mein (apni manzil par) nahi pahunch sakta hu, magar Allah Ta'ala ki meharbaani aur tere sabab se tujhse isi zaat k waaste se maanga hu jisne tujhe beenaayi di, ek bakri (chahta hu) k uske ba'as apni manzil par pahunch saku" andhey ne kaha "Beshak mein andha tha, mujhe Allah Ta'ala ne beenaayi di, pas tu jo chahta hai le le, aur jo chaahey chood de, Allah ki qasam! aaj k din mein tera haath na pakdunga us cheez se jise tu Allah k liye lena chahey" farishte ne kaha "Apna maal apne paas rakh, haqeeqat ye hai k tum (teeno) ko aazmaya gaya, pas tujhse Allah raazi hua aur tere dono saathiyon par gussa kiya gaya". (Sahih Bukhari Kitabul Ahadeesul Ambiya)


ZAKAAT NA DENE WALA DOZAKHI HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zakaat na dene wala qayamat k din aagh mein hoga". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 760)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALE LOOGO KO ALLAH TA'ALA QAHAT-SAALI MEIN MUBTALA KAR DETE HAI

Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zakaat ada na karne wale loogo ko Allah Ta'ala qahat-saali mein mubtala kar dete hai". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 761)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALE PAR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE LAANAT FARMAYI

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu kehte hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sood khane, khilaane, gawahi dene aur katabat karne wale sab loogo par laanat farmayi, neez baal goondne, gundwaane wali par, zakaat ada na karne wale par, halala nikaalne aur nikalwaane wale par bhi laanat farmayi hai". (Sahih Targheeb wa Tarheeb lil Albani Juzz e Awwal Hadees no. 756)

Monday, 28 November 2016

ZAKAAT KI FAZEELAT

ZAKAAT KI FAZEELAT

 

Bismillahirrahmanirraheem

ZAKAAT ADA KARNE WALA JANNATI HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai ek aaraabi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya mujhe aesa amal bataiye jise karne se mein jannat mein dakhil ho jau, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah Ta'ala ki ibadat kar, uske saath kisi ko shareek na kar, farz namaz qayim kar, farz zakaat ada kar, aur ramazaan ul mubarak k roozey rakh" mene kaha "Allah ki qasam! mein is se ziyadah kuch na karunga, jab wo aadmi wapas hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jise jannati aadmi dekhna pasand ho wo ise dekh le". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT ADA KARNE WALE K EMAAN KI GAWAHI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE DI HAI

Hazrat Abu Malik Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai "Wuzu acchi tarah karna nisf emaan hai, aur Alhamdulillah (kehna) meezaan ko (naikiyon se) bhar dena hai, Subhan Allah aur Allahu Akbar (kehna) aasman o zameen ko (naikiyon se) bhar dete hai, Namaz qayamat k din roshni hogi aur zakaat (sahib e emaan hone ki) daleel hai, sabr karna (pareshaniyon aur masayib mein raah dikhaane k liye) roshni hai aur quran (qayamat k rooz gawahi de kar) tere haqq mein hujjat banega ya tere khilaf hujjat banega". (Sahih Sunan Nasayi Juzz e Saani Hadees no. 2285)

Hazrat Khalid bin Aslam Razi Allahu Anhu kehte hai hum Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath nikle to ek dehaati ne kaha "Mujhe Allah Ta'ala k us qaul "WAL LAZEENA YAKNIZOONAZ ZAHABA WAL FIZZAH" k matlab se aagaah farmaiye, Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Jis aadmi ne soona chandi jama kiya aur uski zakaat na di to uske liye kharaabi hai aur ye aayat zakaat ka hukm utarne se pehle ki hai, jab zakaat farz hui to Allah Ta'ala ne maal zakaat k zariye paak kar diya". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT ADA KARNE SE MAAL MEIN IZAAFA HOTA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sadqa dene se maal kam nahi hota maaf karne se Allah izzat badhaata hai aur aajizi ikhtiyaar karne par Allah buland martaba ata farmata hai". (Sahih Muslim wa Mishkatul Masabeeh Kitabuz Zakaat)

Sunday, 27 November 2016

ZAKAAT KI FARZIYAT

ZAKAAT KI FARZIYAT

 

Bismillahirrahmanirraheem

ZAKAAT ADA KARNA ISLAM K PAANCH BUNYAADI FARA'IZ MEIN SE EK HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Islam ki bunyaad paanch cheezo par hai:

1. Is baat ki shahadat dena k Allah k siwa koi mabood nahi, aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah Ta'ala k Rasool hai.
2. Namaz qayim karna
3. Zakaat ada karna
4. Hajj aur
5. Ramazaan k roozey rakhna". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan)


ZAKAAT ADA KARNE K AHAD PAR RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE BAIT LI

Hazrat Jareej bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se namaz qayim karne, zakaat dene aur har musalman ki khair khawahi karne par bait ki. (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALO K KHILAF JIHAD KARNA FARZ HAI
ZAKAAT EK FARZ IBADAT HAI, USKI JAGAH KOI SADQA KHAIRAAT YA TEX WAGAIRAH ADA KARNE SE ZAKAAT KA FARZ SAQIT NAHI HOTA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat hui aur Hazrat Abu Baqr Razi Allahu Anhu khaleefa hue to arab k kuch loog kafir ho gaye (aur zakaat baitul maal mein jama karaane se inkaar kar diya) Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha "K aap loogo se kyu jihaad karengey halankey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai k mujhe loogo se us waqt tak ladne ka hukm hai jab tak wo LA ILAHA ILLALLAH na kahe, jab ye kehne lage to unhone apne maal aur apni jaaney mujhse bacha li, magar haqq k saath, aur unka hisaab Allah Ta'ala k zimmey hoga, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu ne kaha "Allah ki qasam! mein to us se zaroor ladunga jo namaz aur zakaat mein farq karega kyunki zakaat ka maal haqq hai, Wallah! agar ye loog ek bakri ka baccha bhi, jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko diya karte they, mujhe na denge to unse zaroor ladaayi karunga, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Wallah! Allah Ta'ala ne Abu Bakr Razi Allahu Anhu ka seena khool diya tha aur mein jaan gaya k haqq yahi hai". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)

Sunday, 20 November 2016

DASVA (10th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE JAFA (DAGA) NA KARNA

DASVA (10th) HAQQ – AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE JAFA (DAGA) NA KARNA 



Bismillahirrahmanirraheem

AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MUDAH (TAREEF) MEIN MUBALAGHA NA KIYA JAYE

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu kethe hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k meri tareef mein aesa mubalagha na karna jis tarah nasara ne Esa bin Maryam Alaihis Salaam ki tareef mein mubalagha kiya, mein Allah ka bandah hu, lihaza mujhe Allah ka bandah aur Allah ka Rasool hi kaho. (Sahih Bukhari Kitabul Anbia)

Wazahat: Tareef mein mubalagha karne se muraad ye hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Allah Ta'ala ki sifaat ya ikhtayaraat mein shareek kiya jaye ya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Allah Ta'ala ki zaat (noor) ka hissa samjha jaye.


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K NAAM KI QASAM NA KHAAYI JAYE

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne qasam khani ho wo Allah k siwa kisi ki qasam na khaaye". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI QABAR SHAREEF PAR URS YA MEELAAD WAGAIRAH NA LAGAYA JAYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri qabar ko tayohaar manane ki jagah na banao mujh par darood bhejo tum jaha kahin bhi honge mujhe tumhara darood pahuncha diya jayega". (Sahih Jamey Sageer Hadees no. 7103)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI QABAR SHAREEF PAR KISI QISM KI IBADAT NA KI JAYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ya Allah! meri qabr ko butt na banana, Allah ne un loogo par laanat ki jinhone apne anbiya ki qabro ko ibadat-gaah bana liya". (Ahkaam e Jana'iz lil Albani Safa no. 216)


AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI QABAR SHAREEF KI ZIYARAT KI NIYAT SE MADEENA MUNAWWARAH KA SAFAR NA KIYA JAYE

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen masajid, Masjid e Haraam, Masjid e Aqsa aur Masjid e Nabawi k alawah kisi jagah ka safar (ibadat ki niyat se) ikhtiyaar na kiye jaye". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 260)

Wazahat: Madeena Munawwarah ka safar masjid e nabawi mein namazey ada karke jayada ajr o sawaab hasil karne ki niyat se karna chahiye, madeena munawwarah pahunchane k baad Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki qabr shareef par darood o salaam k liye haazri dena jayez aur durust hai.


MAHAFIL E MEELAAD YA JASHAN E MEELAAD NA MANAYA JAYE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne deen mein koi aesa kaam kiya jiski bunyaad shariyat mein nahi to wo mardood hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaah)

Wazahat: Yaad rahe ahad e nabawi, ahad e sahaba aur ahad e tabaeen wa tabey tabaeen mein kabhi mahafil e meelaad ya jashan e meelaad ya eid e meelaad un nabi nahi manaayi gayi.


MOUZU AHADEES BAYAN NA KI JAYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne jaan boojh kar meri janib jhoot mansoob kiya wo apna thikaana jahannam bana ley". (Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 30)

Wazahat: Mouzu Hadees wo hai jo koi shaks apni taraf se ghadd kar Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam k naam mansoob karde.


AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K BAAD KISI DOOSRE KO NABI NA MANA JAYE

Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Aagha raho) meri ummat mein teen (bade) kazzaab paida hongey un mein se har ek ye daawa karega k wo nabi hai halankey mein khatimun nabiyeen hun, mere baad koi nabi nahi aayega". (Abu Dawood Kitabul Fitan 3:3577)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya mere baad koi nabi hota to Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu hota. (Tirmizi Abwabul Manaqib 3:2909)

Friday, 18 November 2016

NAUVA (9th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHLE BAIT AUR SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM SE MUHABBAT KARNA

NAUVA (9th) HAQQ – AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K AHLE BAIT AUR SAHABA RAZI ALLAHU ANHUM SE MUHABBAT KARNA



Bismillahirrahmanirraheem

AHLE EMAAN KO AZWAAJ E MUTAHHARAAT KI TAZEEM AUR TAKREEM USI TARAH KARNI CHAHIYE JIS TARAH HUM APNI HAQEEQI MAAON KI KARTE HAI BALKE US SE BHI ZIYAADAH

"Ahle emaan k liye Nabi ki zaat unki apni zaat par muqaddam hai aur nabi ki beewiya unki maayen hai". (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 6)


AHLE EMAAN PAR AZWAAZ E MUTAHHARAAT KI IZZAT AUR NAMOOS KA DIFA KARNA WAJIB HAI

"Jo loog ye bohtaan ghadd laaye hai wo tumhare andar ka hi ek garooh hai, is waqiye ko apne haqq mein shar na samjho balke usme tumhare liye khair hi hai jisne us shar mein jitna hissa liya utna hi usne gunah samaita aur jisne us gunah mein sabse ziyaadah hissa dala uske liye azaab e azeem hai, jis waqt tum loogo ne usey suna usi waqt kyu na momin mardo aur monin aurato ne apne aap k baare mein naik gumaan kiya aur kyu na kaha ye to sareeh bohtaan hai". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 11-12)


AHLE EMAAN KO TAMAAM SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KA EK JESA ADAB AUR AHTARAAM KARNA CHAHIYE

"Wo muhajir aur ansaar jinhone sabse pehle dawat e emaan par labbaik kehne mein sabqat ki aur jinhone acchey tareeqey se pairvi ki unse Allah raazi hua, aur wo Allah se raazi hue, Allah ne unke liye jannatey tayyar ki hai jinke nichey nehrey jaari hai wo un jannato mein hameesha rahengey ye bahut badi kaamyaabi hai". (Surah Tauba Surah No. 9 Ayat no. 100)


KISI MOMIN KO KISI SAHABI K BAARE MEIN APNE DIL MEIN BUGZ NAHI RAKHNA CHAHIYE BALKE UNKE LIYE MAGHFIRAT KI DUA KARNI CHAHIYE

"Aur jo loog Sahaba k baad aaye wo yun dua maangte hai: Ae hamare rabb! hamey aur hamare sab bhaiyo ko baksh de jo humse pehle emaan laaye, aur hamare dilo mein ahle emaan k liye koi bugz na rakh, ae hamare rabb! beshak tu bada shafqat farmane wala aur raham farmane wala hai". (Surah Hashar Surah no. 59 Ayat no. 10)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLLAM NE TAMAAM AHLE EMAAN KO AHLE BAIT SE MUHABBAT KARNE AUR UNKA KHAYAAL RAKHNE KI NASEEHAT FARMAYI

Hazrat Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu kehte hai makkah aur madeena k darmiyaan ek paani ki jagah hai jise "Khum" kehte hai (hajjatul wida se waapsi par) ek rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam waha khutba dene k liye khade hue Allah Ta'ala ki hamd wa sana bayan farmayi waaz wa naseehat irshad farmayi phir farmaya "Amma Baad! Ae loogo mein ek aadmi hu (jise maut aani hai) qareeb hai k Allah ka farishta mere paas aaye aur mein usey labbaik kahun (yaad rakkho) mein tumhare darmiyaan do aham cheezey choodey ja raha hu un mein se pehli to Allah ki kitab hai jis mein hidayat hai aur roshni hai us se ahkaam lena aur usey mazbooti se thaamey rakhna" garz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ko quran majeed par amal karne par ubhaara aur uski targheeb dilaayi phir farmaya "Doosri cheez mere ahle bait hai apne ahle bait k muamaley mein, mein tumhey Allah (ka khauf) yaad dilata hu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne do baar ye baat irshad farmayi. (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)

Wazahat: 1. Yaha ahle bait se muraad Abdul Muttalib ki aulaad se tamaam musalman mard aur auratey hai (Wallahu Aalam bis Sawab)
2. Ahle bait k huqooq se muraad unka adab aur ahtaraam karna, unke liye dua karna aur unke faza'il aur buzurgi ka zikr karna shamil hai (Wallahu Aalam bis Sawab)
3. Ahle bait mein saaleh aur ghair saaleh dono tarah k loog shamil hai, ghair saaleh loogo k baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye irshad e mubarak qaul faisal hai "Jis shaks ko uske amal ne pichey kar diya uska nasb usey aagey nahi badha sakega". (Muslim)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO TAMAAM LOOGO SE AFZAL AUR AALA SAMAJHNA EMAAN KA HISSA HAI

Hazrat Abdullah (ibne Mas'ood) Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kisi ne daryaft kiya "Kaun se loog afzal hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mere zamaane k loog, phir unke baad aaney wale (doosre darje par) phir unke baad aaney wale (teesre darje par)". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K BAAD AHLE EMAAN KO SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM K NAQSH E QADAM PAR CHALNE KA HUKM DIYA GAYA HAI

Hazrat Abdullah Ibne Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri ummat 73 firqo mein batt jayegi ek k alawah baaqi sab firqey jahannam mein jayengey "Sahaba e Kiram Razi Allahu Anhum ne daryaft kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! wo kaunsa firqa hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jo mere aur mere as'haab k tareeqey par hoga". (Tirmizi Abwabul Emaan 2:2128)


ANSAAR SE MUHABBAT KARNA EMAAN KI ALAMAT HAI

Hazrat Bara (bin Aajib) Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k ansaar se wahi muhabbat karega jo momin hoga aur unse wahi dushmani karega jo munafiq hoga pas jisne ansaar se muhabbat ki us se Allah muhabbat karega aur jisne ansaar se dushmani ki us se Allah dushmani karega. (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib ul Ansaar)


ANSAAR SE MUHABBAT, WAFADAARI AUR HAMDARDI KARNE WALO K LIYE BHI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE DUA FARMAYI

Hazrat Umar bin Murrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone ek ansari Abu Hamzah Razi Allahu Anhu ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz karte suna "Har qaum k taabdaar (khair-khuwah aur hamdard) hote hai humne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taabdaari ki, Aap dua farmaiye k jo loog hamari taabdaari kare Allah unhey bhi hamare saath (ajr o sawaab mein) shareek farmaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ya Allah! unke taabdaaro ko bhi unke (ajr o sawaab mein) shareek farma de". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib ul Ansaar)


RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE MUHAJIREEN AUR UNKI AULAAD SE HUSN E SALOOK KI WASEEYAT FARMAYI

Hazrat Abdur Rahman bin Auf Razi Allahu Anhu kehte hai jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat ka waqt qareeb aaya to Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hamey koi waseeyat farmaiye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Mein tumhey muhajireen mein se sabse pehle emaan lane walo aur unki aulaado aur unke baad aane walo (yaani tabaeen) ka adab aur ahtaraam karne ki waseeyat karta hu" jo shaks unka adab aur ahtaraam nahi karega Allah Ta'ala uska farz ya nafil kuch bhi qabool nahi karega. (Majmua uz Zawa'id 9:738)


HAZRAT ABU BAKR SIDDEEQUE RAZI ALLAHU ANHU APNE QURABAT DAARO KI NISBAT RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K QURABAT DAARO K HUQOOQ KA ZIYAADAH KHAYAL RAKHTE THEY

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Hazrat Abu Bakr Siddeeque Razi Allahu Anhu ne farmaya "Us zaat ki qasam! jiske haath mein meri jaan hai apne qurabat daaro se sulah rahmi ki nisbat mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qurabat daaro se sulah rahmi karna ziyaadah mehboob hai". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO BURA BHALA KEHNA HARAAM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere saathiyo ko bura mat kaho, mere Sahaba ko bura mat kaho, us zaat ki qasam! jiske haath mein meri jaan hai agar tum mein se koi shaks uhad pahaad k barabar bhi soona kharch kare to Sahaba k mudh ya aadhey mudh k barabar bhi nahi pahunch sakta". (Sahih Muslim Kitabul Faza'il)


SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KO BURA KEHNE WALE PAR ALLAH KI, FARISHTO KI AUR SAARE AHLE EMAAN KI LAANAT HAI AUR US KI KOI IBADAT QABOOL NAHI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne mere Sahaba ko bura bhala kaha us par Allah ki, farishto aur saare (emaandaar) loogo ki laanat hai, Allah uski farz ya nafil ibadat qabool nahi farmayega". (Silsila Ahadees e Saheeya lil Albaani Hadees no. 2340)


HAR MUSALMAN KO AHLE BAIT AUR SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI HAYAAT E TAYYEBA AUR SEERAT KA MUTA'ALA KARNA CHAHIYE

Hazrat Shafeeq Balkhi Rahimahullah kehte hai Hazrat Abdullah ibne Mubarak Rahimahullah se kaha gaya, Aap namaz padh chukey hai to phir hamare saath kyu nahi baithtey? Hazrat Abdullah ibne Mubarak Rahimahullah ne jawab diya "Mein Sahaba aur tabaeen k saath baithta hu yaani unki kutub aur seerat ka muta'ala karta hu, tumhaare sath baith kar kya karunga tum baith kar doosro ki gheebat karte ho". (Siyar Aala min Nubala li bin Jauzi 8:398)

Tuesday, 1 November 2016

AATHWA (8th) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DOSTO SE DOSTI KARNA AUR DUSHMANO SE DUSHMANI RAKHNA

AATHWA (8TH) HAQQ - AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DOSTO SE DOSTI KARNA AUR DUSHMANO SE DUSHMANI RAKHNA 



Bismillahirrahmanirraheem

ALLAH AUR USKE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DOSTO SE DOSTI AUR DUSHMANO SE DUSHMANI KARNE KA HUKM HAI

"Allah ta'ala un kafiro k saath dosti karne se mana farmata hai jinhone deen k muaamaley mein tum se jang ki aur tumhey tumhare gharo se nikala aur tumhare akhraaj mein ek doosre ki madad ki, jo loog aese kafiro se dosti karengey wo zalim hai". (Surah Mumtahanah Surah no. 60 Ayat no. 9)


AGAR BAAP AUR BHAI BHI ALLAH AUR USKE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DUSHMAN HO TO UNSE BHI DOSTI KARNA MANA HAI

"Ae loogo, jo emaan laye ho! apne bhaiyo ko bhi apna dost na banao agar wo emaan par kufr ko tarjeeh de tum mein se jo unhey dost banaayengey wo zalim hongey". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 23)


KISI MOMIN K LIYE JAYEZ NAHI K WO APNI MARZI SE DOST AUR DUSHMAN KA INTAKHAAB KARE, MOMINO K DOST AUR DUSHMAN WAHI HAI JO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DOST AUR DUSHMAN HAI

Hazrat Fatima binte Qais Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne farmaya hai jo shaks mujhse muhabbat karta hai usey chahiye k wo Usama Razi Allahu Anhu se bhi muhabbat karey. (Sahih Muslim Kitabul Fitan Hadees no. 2942)


HAZRAT ABU MUSA ASH'ARI RAZI ALLAHU ANHU HAR US CHEEZ SE NAFRAT FARMATE JIS SE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NAFRAT FARMATE THEY

Hazrat Abu Burdah bin Abu Musa (Ash'ari) Razi Allahu Anhu kehte hai k Abu Musa Razi Allahu Anhu ko shadeed dard hua jis se wo behoosh ho gaye unka sar unke ghar-walo mein se ek khatoon ki goud mein tha ek khatoon ne chillaana shuru kar diya, Hazrat Musa Razi Allahu Anhu (ghashi ki wajah se) usey rook na sake, jab hoosh aaya to farmane lagey, jis baat se Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Salllam bezaar hai mein bhi us se bezaar hu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Salllam ne chillaaney wali, baal noochne wali aur kapde phaadne wali (aurat se) izhaar e bezaari farmaya. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


HAZRAT ZAID BIN ARKAM RAZI ALLAHU ANHU KA MUNAFIQ SE IZHAAR E BEZAARI

Hazrat Musa bin Uqba se riwayat hai k ibne Shihaab ne kaha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Salllam khutba irshad farma rahe they k Hazrat Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu ne munafiqeen mein se ek ko ye kehte hue suna agar ye shaks yaani Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Salllam sacchey hai to phir hum sab gadho se bhi badtar hai, Hazrat Zaid Razi Allahu Anhu ne (sunte hi foran) jawab diya "Allah ki qasam! bilkul sacchi baat hai k tu gadhey se bhi badtar hai" ye baat jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Salllam tak pahunchi to baat kehne wala (munafiq) apni baat se phir gaya, tab Allah ta'ala ne ye aayat nazil farmayi "Ye loog Allah ki qasam khaate hai k unhoney ye baat nahi ki halankey unhoney ye kufr ka kalma kaha hai" (Surah Tauba Ayat no. 74) is ayat mein jo baat nazil farmayi gayi thi us se Hazrat Zaid Razi Allahu Anhu ki baat sach sabit ho gayi. (Fathul Baari Kitabut Tafseer, Surah Munafiqoon 8:651)

Wazahat: Yaad rahe ye kufr ka kalma kehne wala raees ul munafiqeen Abdullah bin Ubey tha.


DUSHMAN E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM ....ABU JAHAL....SE HAZRAT MUAAZ BIN UMAR WA BIN JAMOOH RAZI ALLAHU ANHU AUR HAZRAT MUAAZ BIN AFRA'A RAZI ALLAHU ANHU KI DUSHMANI

Hazrat Abdur Rahman bin Auf Razi Allahu Anhu farmate hai gazwah e badr k din mein maidaan e jang ki saff mein khada tha achanak mene apne daayi aur baaye nazar daali to ansaar k do kam umar ladko ko dekha mene khawahish ki kaash mein un kamsin ladko k bajaaye mazboot jism k malik aadmiyo k darmiyaan hota un dono mein se ek ne mujhse isharah mein pucha "Chacha jaan! kya aap Abu Jahal ko pehchaante hai" mene kaha "han lekin mere bhateeje tujhe us se kya garz?" usne jawab diya "Mujhe pata chala hai k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Salllam ko gaaliya deta hai us zaat ki qasam jiske hath mein meri jaan hai agar mene usey dekh liya to us se us waqt tak alag na hounga jab tak hum dono mein se jiski maut pehle aayi ho wo mar jaaye" mujhe uski is baat par tajjub hua usi doraan ek doosre jawan ne mujhse isharey mein wahi sawal pucha jo pehle ne pucha tha chand lamho baad meri nazar abu jahal par padi jo loogo k darmiyaan ghista phir raha tha mene (dono se mukhatib ho kar) kaha "Dekho wo hai abu jahal jiske baare mein tum mujhse puch rahe ho" dono ladke apni talwaaro k saath us par jhapat pade aur usey waar karke qatal kar dala phir dono Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Salllam ki khidmat mein hazir hue aur Aap ko abu jahal k qatal ki khabar di un dono k naam Muaaz bin Afra'a aur Muaaz bin umar wa bin Jamooh they. (Sahih Bukhari Kitabul Jihad was Siyar)


UMMUL MOMINEEN HAZRAT UMMEY HABEEBA RAZI ALLAHU ANHA KI APNE MUSHRIK BAAP SE IZHAAR E BEZAARI

Hazrat Abdullah bin Abi Salmah Razi Allahu Anhu kehte hai Abu Sufyaan (makkah se sulah hudaibiyah ki shara'it ki tajdeed k iraade se) nikla aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mulaqaat k liye madeena pahuncha, apni beti Ummul Momineen Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha k ghar gaya jab wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k bistar par baithne laga to Ummul Momineen Razi Allahu Anha ne foran bistar lapait diya, Abu Sufyaan kehne laga "Beti! kya tumne is bistar ko mere laayiq nahi samjha ya mein is bistar k laayiq nahi?" Ummul Momineen Razi Allahu Anha ne (bila tamil) jawab diya "Ye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka bistar hai aur tu ek mushrik napaak aadmi hai is liye mein ye pasand nahi karti k tu is bistar par baithey". (Al Bidaya wan Nihaya li bin Kaseer juzz e rabee Safa no. 675)


GUSTAKH E RASOOL LONDI SE HAZRT ABDULLAH BIN UMMEY MAKTOOM RAZI ALLAHU ANHU KI DUSHMANI

Hazrat Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek nabeena sahabi ki loondi thi jo Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakti aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karti, sahabi use mana karte lekin wo baaz na aati, sahabi use daant'te lekin wo phir bhi na ruki, ek raat loondi ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju ki aur gaaliya bakne lagi to sahabi ne chura uske pait mein ghoonp diya aur zoor se dabaya jis se wo halaak ho gayi aur uski taango k darmiyaan baccha gir gaya aur usne jagah ko khoon se ganda kar diya, jab subah hui to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne us waqiya ka zikr kiya gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ko jama kiya aur farmaya: "Jis shaks ne ye kaam kiya hai mein use Allah ki qasam de kar aur apne us haqq k hawaale se jo mera us par hai, kehta hu k wo khada ho jaye, wo nabeena sahabi khade ho gaye, aur loogo ko phaangte hue aage badhe aur nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne a kar baith gaye, wo aadmi kaanp raha tha, arz karne laga "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein hu uska qaatil, wo aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakti thi aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karti thi, mein use mana karta lekin wo baaz na aati, mein use daant'ta lekin phir bhi maani nahi haalanke us se mere mootiyo jese (khoobsurat) do baite bhi hai wo meri (achhi) rafeeqa thi lekin kal raat jab wo aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakne lagi aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karne lagi to mene chura (chaku) pakda aur uske pait mein ghoonp diya aur zoor se daba diya, hattake mene use qatal kar diya" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: loogo suno!, gawah rehna is loondi ka khoon raiga hai (yaani uska qisaas nahi liya jayega)".  (Abu Dawood Kitabul Hudood Hadees no. 3665)


HAZRAT SALMA BIN AKWA'E RAZI ALLAHU ANHU KI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DUSHMANO SE IZHAAR E BEZAARI

Hazrat Salma bin Akwa'e Razi Allahu Anhu kehte hai jab humne makkah walo se sulah (Hudaibiyah) karli to musalman aur kafir idhar se udhar aur udhar se idhar aaney jaane lagey, mein ek darakht k paas aaya aur uske nichey se kaante saaf kiye aur uske taney k paas lait gaya, itne mein mushrikeen e makkah se chaar aadmi mere paas aaye aur (aapas mein) guftagu k doraan Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bura bhala kehne lage, mujhe gussa aaya aur mein (waha se uth khada hua aur) kisi doosre darakht k nichey chala gaya. (Sahih Muslim Kitabul Jihad Was Siyar)


HAZRAT HANZALAH RAZI ALLAHU ANHU KI APNE YAHOODI BAAP SE DUSHMANI

Imam Ibne Jauzi Rahimahullah kehte hai Abu Aamir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ba'asat k baare mein sawal karta rehta tha wo yahoodi ulama ki sifaat ka hamil tha, taat ka libaas pehanta, loog usey "Rahib" kehte, jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (apni ismaeel ki nasal se) mab'oos kiye gaye to Abu Aamir hasad karne laga aur emaan na laya, uska beta Hanzala khara aur saccha musalman tha, Hazrat Hanzala Razi Allahu Anhu ne apne baap ko qatal karne k liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ijazat talab ki, lekin Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey rook diya. (Sifatus Safwah li bin Jauzi 1:289)


HAZRAT ABDULLAH RAZI ALLAHU ANHU KI APNE MUNAFIQ BAAP SE DUSHMANI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Abdullah bin Ubey (Ra'eesul Munafiqeen) ek diwaar k saaye mein khada tha, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam (gadhey par) waha se guzrey to Abdullah bin Ubey kehne laga "Ibne Abi Kabsha (Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki walidah majeedah k walid giraami ka naam abu kabsha tha) ne hamey gard aalood kar diya" ye sun kar Abdullah bin Ubey k betey Abdullah ne kaha "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! us zaat ki qasam jisne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko izzat bakshi agar aap hukm de to mein iska sar kaat kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein paish karu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi apne baap k saath accha salook karo aur acchi tarah raho". (Majmua Uz Zawa'id Kitabul Manaqib 9:528)


HAKIM E YAMAMA SUMAMA BIN USAAL RAZI ALLAHU ANHU NE EMAAN LAANE K BAAD RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K DUSHMANO SE MA'AASHI MUA'HIDA KAR DIYA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai (emaan laane k baad) Hazrat Sumama Razi Allahu Anhu makkah (umrah k liye) pahunchey to kisi ne kaha "kya be-deen ho gaye ho?" Hazrat Sumama Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Nahi! Allah ki qasam! mein to Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par emaan laya hu aur suno, mein Allah ki qasam kha kar kehta hu k ab yamama se tum loogo ko gandum ka ek daana bhi nahi pahunchega jab tak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ijazat na de de". (Sahih Bukhari Kitabul Maghaazi)

Wazahat: Hazrat Sumama bin Usaal Razi Allahu Anhu k ma'aashi mua'hidey ki wajah se quraish e makkah sakht museebat mein phans gaye aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko qurabat ka waasta de kar guzarish ki k Sumama Razi Allahu Anhu ko hukm de k wo galla na rookey, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne quraish e makkah ki darkhuwast manzoor karte hue Hazrat Sumama Razi Allahu Anhu ko galla irsaal karne ki hidayat farmayi. (Ar Raheeq ul Makhtoom)


HAZRAT SAAD BIN ABI WAQAAS RAZI ALLAHU ANHU KI APNE MUSHRIK BHAI SE DUHSMANI

Hazrat Saad bin Waqaas Razi Allahu Anhu kehte hai mene kisi (kafir) ko qatal karne ki itni khawahish nahi ki jitni khawahish (apne bhai) Utbah bin Abi Waqaas ko qatal karne ki thi, mere ilm k mutabiq wo bad-akhlaaq tha aur apni qaum mein us se nafrat ki jaati thi lekin us (ko qatal karne) k muamaley mein mere liye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye irshad e mubarak hi kaafi tha "Us aadmi par Allah ta'ala ka shadeed gazhab ho jisne uske Rasool ka chehrah khoon aalood kiya". (Ibne Hishaam 3:56)

Wazahat: 1. Gazwah e Uhad mein Utbah bin Abi Waqaas ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko patthar mara jis se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehlu k bal gir gaye, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka nichla daayi janib ka ek daant toot gaya aur nichla hoont mubarak bhi zakhmi ho gaya tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat irshad farmayi "Us shaks par Allah ka sakht gazab ho jisne uske Rasool ka chehrah khoon aalood kiya"
2. Yaad rahe Gazwah e Uhad mein Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu apne bhai Utbah bin Abi Waqaas ko qatal karna chahte they lekin Hazrat Hatib bin Abi Baltah Razi Allahu Anhu ne usey pehle qatal kar diya.
HAZRAT SAAD BIN MUAAZ RAZI ALLAHU ANHU KI YAHOODIYO SE DUSHMANI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Banu Quraizah k yahoodiyo ne (apne purane haleef) Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu k faisle ki shart par hathyaar daal diye, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Saad Razi Allahu Anhu ko bula bheja aur wo gadhey par sawaar ho kar tashreef laye jab masjid k qareeb pahunchey to Aapne ansaar se farmaya "Utho apne sardaar (ya farmaya apne mein se behtar aadmi) ka istaqbaal karo" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Saad Razi Allahu Anhu se kaha k Banu Quraizah k yahoodiyo ne tumhare faisle ki shart par hathyaar daale hai (lihaza ab tum unke baare mein faisla karo) Hazrat Saad Razi Allah Anhu ne farmaya "Jo jangjoo hai unhey qatal kiya jaye baccho aur aurato ko qaidi bana liya jaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Tuney wahi faisla kiya jo Allah Ta'ala ka hukm tha". (Sahih Bukhari Kitabul Maghaazi)

Wazahat: Yaad rahe gazwah e ahzaab k doraan musalmano k haleef qabeelah banu quraizah ne ahad shikni ki chunanchey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gazwah e ahzaad se farigh hone k baad banu quraizah ka muhasirah kar liya, muhasirah k nateejey mein banu quraizah k yahoodi is shart par hathyaar daalne k liye tayyar ho gaye k unka faisla unke haleef Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu se karwaya jaye, Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu ki gazwah e ahzaab mein haath ki ragh kat gayi thi zakhmi hone ki wajah se wo madeena mein hi thehrey they aur gazwah e banu quraizah mein shareek nahi they banu quraizah ki shart poori karne k liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Saad bin Muaaz Razi Allahu Anhu ko madeena munawwarah se talab farmaya aur unhone wo faisla farmaya jiska zikr hadees shareef mein hai.


HAZRAT ABU HUZAIFAH RAZI ALLAHU ANHU KI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE WAFADAARI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k badar k rooz Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se farmaya "Mujhe maloom hai k banu hashim k baaz loog majbooran (lashkar e kuffaar) k saath laye gaye hai halankey unhey hamare saath jang mein zara bhi dilchaspi nahi, lihaza jis kisi ki banu hashim k kisi fard se muthbhaidh ho wo usey qatal na kare, jiski abu mukhtari bin hishaam se muthbhaidh ho wo usey qatal na kare aur jiske Abbas bin Abdul Muttalib se muthbhaidh ho wo usey qatal na kare, kyunki ye sab majbooran laye gaye hai" Hazrat Abu Huzaifah Razi Allahu Anhu (bin utbah) ne kaha "kya hum apne baapon, baiton, bhaiyon aur rishtedaaron ko qatal kare aur abbas ko chood de?" Allah ki qasam agar wo meri zidd mein aa gaya to usey talwaar ki lagaam pehna kar choodunga" ye baat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak pahunchi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu se farmaya "Ae Abu Hafs! Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chacha k chehre par talwaar maari jayegi?" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mujhe ijazat dijiye mein uski gardan uda du Allah ki qasam! ye munafiq ho gaya hai" Hazrat Abu Huzaifah Razi Allahu Anhu kaha karte they "Mene us rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se jo baat kahi thi uski wajah se mutmaeen nahi hu har waqt khauf sa laga rehta hai illa ye k mein shaheed ho jau aur meri shahadat mere gunah ka kaffaarah ban jaye, chunanchey jang e yamama mein wo shaheed ho gaye". (Seeratun Nabwiyah li bin Hishaam juzz e awwal Safa no. 371)
HAZRAT ABU LUBABA RAZI ALLAHU ANHU KI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE WAFADARI

Ibne Is'haaq kehte hai gazwah e banu quraizah mein yahoodiyo ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf paighaam bheja k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam (mashwarey k liye) hamare paas Abu Lubaba bin Abdul Munzar Razi Allahu Anhu ko bhej de jo k qabeela aus k purane haleef they takey hum unse (hathyaar daalne ya na daalne k baare mein) mashwarah kar sake, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Abu Lubaba Razi Allahu Anhu ko yahoodiyo k paas bhej diya, jab banu quraizah k yahoodiyo ne Hazrat Abu Lubaba Razi Allahu Anhu ko dekha to mard unki taraf doodh kar gaye, aurate aur bacchey unke saamne dahaadey maar maar kar rooney lage, ye manzar dekh kar Hazrat Lubaba Razi Allahu Anhu k dil mein unke liye narmi paida ho gayi, yahoodiyo ne Hazrat Lubaba Razi Allahu Anhu se kaha "Ae Lubaba! teri kya raaye hai kya hum Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) k hukm par hathyaar daal de? Hazrat Lubaba ne kaha "Han" aur saath hi apne haath se halaq ki taraf ishaarah bhi kiya yaani kaatey jaoge, Hazrat Abu Lubaba Razi Allahu Anhu kehte hai Allah ki qasam! wahi khade khade mujhe ehsaas ho gaya k mene (raaz faash karke) Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se khayanat ki hai, chunanchey Abu Lubaba Razi Allahu Anhu waha se chal diye aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hone ki bajaaye masjid e nabawi mein chale gaye aur masjid k satoono mein se ek satoon k sath apne aapko baandh liya aur ahad kiya k mujhse jo galti sarzad hui hai uski wajah se mein yaha se kabhi nahi jaunga hatta k Allah Ta'ala meri tauba qabool farmaye aur ye qasam khaayi k aayindah mein banu quraizah k ilaaqey mein kabhi nahi jaunga aur na hi aesi sar zameen mein paya jaunga jis mein, mene Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se khayanat ki hai, Hazrat Lubaba Razi Allahu Anhu ki tauba ka farmaan Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par sehri k waqt Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha k ghar mein nazil hua, Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha kehti hai mene sehri k waqt Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko haste hue dekha to mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Allah Aapko hasaaye Aap kis baat par hans rahe hai"? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Abu Lubaba ki tauba qabool hone par" Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha ne arz kiya "Kya mein Abu Lubaba ko ye khushkhabri suna du?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "han" agar chaaho to suna do chunanchey Hazrat Ummey Salam Razi Allahu Anha apne ghar k darwaazey par khadi ho gayi aur ye hijaab ka hukm nazil hone se pehle ki baat hai, aur kehne lagi "Ae Abu Lubaba Razi Allahu Anhu mubarak ho Allah ne teri tauba qabool farmali" Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha kehti hai k loog (khushi khushi) Abu Lubaba Razi Allahu Anhu ki taraf doodhey takey unhey satoon se khool de, lekin Hazrat Lubaba Razi Allahu Anhu ne mana kar diya k nahi jab tak Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam khud apne dast e mubarak se aa kar mujhe aazaad nahi karengey mein aazaad nahi hounga, chunanchey jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e fajar k liye waha se guzrey to unhey aazaad kiya. (Seeratun Nabwiyah li bin Hishaam juzz e saani Safa no. 148)
HAZRAT UMAR RAZI ALLAHU ANHU KI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE WAFADAARI

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni azwaaj se alhedgi ikhtiyaar farmaayi to mein masjid mein aaya loog us waqt (pareshani k aalam mein) kankariya ulat palat rahe they aur keh rahe they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni azwaaj ko talaaq de di hai aur ye waqia e hijaab ka hukm nazil hone se pehle ka hai, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu kehte hai mene (dil mein) soocha k mein haqeeqat maloom karunga chunanchey mein Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha ki khidmat mein hazir hua aur pucha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kahan hai?" Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha ne bataya k wo apne godaam k bala-khaney mein tashreef farma rahe hai, mein wahan gaya to dekha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ghulaam, Ribaah, Baala-khaane ki dehleez pa betha hai mene usey aawaaz di "Ribaah! mere liye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se hazri ki ijazat lo" Ribah ne andar dekha, lekin koi jawab na diya mene phir kaha "Ribah! mere liye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se haazri ki ijazat lo" Ribah ne kamrey ki taraf dekha aur phir meri taraf dekha, lekin zubaan se kuch na kaha, teesri baar mene apni aawaaz buland karte hue kaha "Ae Ribah! Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mere liye haazri ki ijazat lo" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu kehte hai (Ribah ki baar baar khamooshi se) mujhe shak hua k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye samajh rahe hai k shayid mein (apni baiti) Ummul Momineen Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha ki sifarish k liye aaya hu (chunanchey usi buland aawaaz mein Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya) "Allah ki qasam! Agar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhe Hafsa ki gardan udaane ka hukm de to mein Hafsa ki gardan bhi udadunga". (Sahih Muslim Kitabut Talaaq)

Wazahat: Madeena Munawwarah hijrat k baad aur fatoohat se qabl aastaana e naboowat mein fiqr wa faaqa ka galba tha, isi zamaane mein Azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se naan nafqa badhaane ka mutaalba kiya to mizaaj e mubarak par iska shadeed asar hua, lihaza Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek maah k liye Azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha se alhaidgi ikhtiyaar farma li, Shari istalaah mein isey "Aela" kaha jata hai, mazkoorah hadees ka talluq isi waqah se hai, Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ijazat milne par khidmat e aqdas mein hazir hue to ye maloom karke masroor hue k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha ko talaaq nahi di balke sirf ek maah k liye alhaidgi farmayi hai, is mauqey par Surah Ahzaab ki Aayat bhi nazil hui jis mein Azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath isi fiqr wa faaqa k saath talluq nibhaane ya phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se alhaidah hone ka ikhtiyaar diya gaya tha, jawab mein tamaam Azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki rifaqat ko pasand farmaya. (Tafseel k liye mulahiza ho Surah Ahzaab ki Aayat no. 28-29)