ZAKAAT KI FAZEELAT
Bismillahirrahmanirraheem
ZAKAAT ADA KARNE WALA JANNATI HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai ek aaraabi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya mujhe aesa amal bataiye jise karne se mein jannat mein dakhil ho jau, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah Ta'ala ki ibadat kar, uske saath kisi ko shareek na kar, farz namaz qayim kar, farz zakaat ada kar, aur ramazaan ul mubarak k roozey rakh" mene kaha "Allah ki qasam! mein is se ziyadah kuch na karunga, jab wo aadmi wapas hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jise jannati aadmi dekhna pasand ho wo ise dekh le". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)
ZAKAAT ADA KARNE WALE K EMAAN KI GAWAHI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE DI HAI
Hazrat Abu Malik Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya hai "Wuzu acchi tarah karna nisf emaan hai, aur Alhamdulillah (kehna) meezaan ko (naikiyon se) bhar dena hai, Subhan Allah aur Allahu Akbar (kehna) aasman o zameen ko (naikiyon se) bhar dete hai, Namaz qayamat k din roshni hogi aur zakaat (sahib e emaan hone ki) daleel hai, sabr karna (pareshaniyon aur masayib mein raah dikhaane k liye) roshni hai aur quran (qayamat k rooz gawahi de kar) tere haqq mein hujjat banega ya tere khilaf hujjat banega". (Sahih Sunan Nasayi Juzz e Saani Hadees no. 2285)
Hazrat Khalid bin Aslam Razi Allahu Anhu kehte hai hum Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath nikle to ek dehaati ne kaha "Mujhe Allah Ta'ala k us qaul "WAL LAZEENA YAKNIZOONAZ ZAHABA WAL FIZZAH" k matlab se aagaah farmaiye, Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "Jis aadmi ne soona chandi jama kiya aur uski zakaat na di to uske liye kharaabi hai aur ye aayat zakaat ka hukm utarne se pehle ki hai, jab zakaat farz hui to Allah Ta'ala ne maal zakaat k zariye paak kar diya". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)
ZAKAAT ADA KARNE SE MAAL MEIN IZAAFA HOTA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Sadqa dene se maal kam nahi hota maaf karne se Allah izzat badhaata hai aur aajizi ikhtiyaar karne par Allah buland martaba ata farmata hai". (Sahih Muslim wa Mishkatul Masabeeh Kitabuz Zakaat)
No comments:
Post a Comment