Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 30 November 2016

ZAKAAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

ZAKAAT QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN




Bismillahirrahmanirraheem

PEHLI UMMATO PAR BHI ZAKAAT FARZ THI

"Yaad karo jab bani israeel se humne pukhta ahad liya tha k Allah k siwa kisi ki ibadat na karna, maa baap k ssath rishtedaaro k saath yateemo aur miskeeno k saath naik salook karna, loogo se bhali baat kehna, namaz qayim karna aur zakaat dena, magar thoode aadmiyo k siwa tum sab is ahad se phir gaye". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 83)

"Ismaeel apne ghar walo ko namaz aur zakaat ki takeed kiya karte they, aur wo apne rabb k nazdeek bade pasandeedah insaan they". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 55)

"Allah Ta'ala ne mujhe (yaani Esa Alaihis Salaam ko) hukm diya k jab tak zindah ho namaz qayim karo aur zakaat ada karte raho". (Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 31)


ADAYIGI ZAKAAT EMAAN KI NISHANI AUR HURMAT JAAN KI ZAMANAT HAI

"Pas agar ye (kafir) touba karle aur namaz qayim kare, zakaat de to ye tumhare deeni bhai hai (lihaza in k khilaaf jang na karo) aur jaan'ne walo k liye hum apne ahkaam wazey kiye dete hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 11)


ZAKAAT ALLAH KI RAHMAT KA WASEELA HAI

"Namaz qayim karo, zakaat ada karo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ita'at karo ummeed hai tum par raham kiya jayega". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 56)


ZAKAAT GUNAAHO KA KAFFARAH AUR TAZKIYA E NAFS KA ZARIYA HAI

"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! tum unke amwaal se zakaat le kar unhey gunaaho se paak aur saaf karo, neez unke haqq mein dua e rahmat karo, kyunki tumhari dua unke liye mojib e itminaan hai, Allah Ta'ala sabkuch sunta aur jaanta hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 103)


ZAKAAT ADA KARNE WALE SACCHEY MOMIN HAI

"Jo loog namaz qayim karte hai aur jo kuch humne unhey diya hai us se (Allah ki raah mein) kharch karte hai haqeeqat mein wahi sacchey momin hai". (Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 3-4)


ZAKAAT ADA KARNE SE DOLAT MEIN BARKAT AUR IZAAFA HOTA HAI

"Aur jo zakaat tum loog Allah ki khushnudi hasil karne k liye dete ho, is se dar-asal dene wale apne maal mein izaafa karte hai". (Surah Roum Surah no. 30 Ayat no. 39)


ZAKAAT AAKHIRAT MEIN KAAMYAABI KI ZAMANAT HAI

"Alif Laam Meem, ye kitab hakeem ki aayat hai un naik bando k liye hidayat aur rahmat jo namaz qayim karte hai, zakaat dete hai, yahi loog apne rabb ki taraf se raah e raast par hai, aur yahi falah paane wale hai". (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 1-5) 


IQTADAAR HASIL HONE K BAAD NIZAAM E ZAKAAT KA NIFAAZ FARZ HAI

"Ye wo loog hai jinhey agar hum zameen mein iqtadaar bakhshey (inke pao jama de) to namaz qayim karenge, zakaat denge, naiki ka hukm denge aur buraayi se mana karenge tamaam muamalaat ka anjaam to pas Allah hi k haath mein hai". (Surah Hajj Surah 22 Ayat no. 41)


NAMAZ AUR ZAKAAT ADA KARNE WALE EMAANDAAR LOOGO KO HI MASAJID AABAAD KARNE KI SA'AADAT HASIL HOTI HAI

"Allah Ta'ala ki masjido k aabaad-kaar to wahi loog ho sakte hai jo Allah Ta'ala aur rooz e aakhirat ko maaney, namaz qayim kare, zakaat de aur Allah k siwa kisi se na darey, inhi se ye tawaqqa hai k seedhi raah par chalenge". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 18)


ZAKAAT ADA KARNE WALE QAYAMAT K DIN HAR QISM K KHAUF AUR GHAM SE MEHFOOZ HONGE

"Jo loog emaan le aaye aur naik amal kare, namaz qayem kare aur zakaat de unka ajr (beshak) unke rabb k paas hai, aur unke liye kisi khauf aur ranj ka mouqa nahi". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 277)


ZAKAAT ADA NA KARNA KUFR WA SHIRK KI ALAMAT HAI
ZAKAAT ADA NA KARNA HALAKAT AUR BARBAADI KA BA'AS HAI

"Tabahi hai un mushriko k liye jo zakaat nahi dete aur aakhirat k munkir hai". (Surah Haa Meem Sajdah Surah no. 41 Ayat no. 6-7)


JIS MAAL SE ZAKAAT ADA NA KI JAYE WO MAAL QAYAMAT K DIN APNE MAALIK K GALE MEIN TAUQ BANA KAR DAALA JAYEGA

"Jin loogo ko Allah ne apne fazal se maal o dolat di hai aur wo bakheeli se kaam lete hai us khayaal mein na rahe k ye bakhal unke haqq mein behtar hai, balke ye unke liye bahut bura hai, is bakhal se jo kuch wo jama kar rahe hai usey qayamat k din tauq bana kar unke galey mein daal diya jayega". (Surah Aal e Imaran Surah no. 3 Ayat no. 180)


ZAKAAT ADA NA KARNE WALO KI DOLAT KO JAHANNAM KI AAGH MEIN GARAM KARKE US SE UNKE JISMO KO DAAGA JAYEGA

"Dardnaak saza ki khushkhabri suna do un loogo ko jo soona aur chandi jama karke rakhte hai aur unhey Allah ki raah mein kharch nahi karte, ek din aayega k isi sooney chandi par jahannam ki aagh dehkaayi jayegi, aur phir usi se un loogo ki paishaniyo, pehluon aur peethon ko daaga jayega aur kaha jayega ye hai wo khazana jo tumne apne liye jama kiya, lo ab apni samaiti hui dolat ka maza chakho". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 34-35)

No comments:

Post a Comment