Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 5 December 2014

LA'AAN K AHKAAM

LA'AAN K AHKAAM

Bismillahirrahmanirraheem

MARD KO APNI BEEWI K BAARE MEIN ZINAKAARI KA YAQEEN HO TO US SE ALHAIDGI KA TAREEQA YE HAI K WO MARD SHARI ADALAT MEIN JA KAR CHAAR MARTABA KHUD GAWAHI DE K "MEIN ALLAH KI QASAM KHA KAR GAWAHI DETA HU K YE AURAT ZAANIYA HAI" AUR PAANCHVI BAAR YUH KAHEY "AGAR MEIN JHOOTA HU TO MUJH PAR ALLAH KI LAANAT HO" AGAR AURAT ZINA KA IQRAAR KAR LEY TO SHARI QANOON K MUTABIQ ADALAT USE SANGSAAR KARNE KA HUKM DEGI AGAR AURAT INKAAR KARE TO USE MANDARJA ZAIL ALFAAZ CHAAR MARTABA KEHNE PADENGEY "MEIN ALLAH KI QASAM KHA KAR KEHTI HU K MARD JHOOTA HAI" AUR PAANCHVI BAAR YUH KAHE "AGAR MARD SACCHA HO TO MUJH PAR ALLAH KA GAZAB NAZIL HO" IS K BAAD DONO MIYA BEEWI MEIN ADALAT MUSTAQIL ALHAIDGI KARA DEGI, ISE SHARIYAT MEIN "LA'AAN" KEHTE HAI

"Aur jo loog apni beewiyo par ilzaam lagaye aur unke paas khud unke apne siwa koi doosra gawah na ho to unmein se ek shaks ki gawahi (yuh hogi k wo) chaar martaba Allah ki qasam kha kar gawahi de k wo (apne ilzaam mein) saccha hai aur paanchvi baar yuh kahe k agar wo jhoota ho to us par Allah ki laanat ho, aurat se saza is tarah tall sakti hai k wo chaar martaba Allah ki qasam kha kar gawahi de k ye shaks jhoota hai aur paanchvi baar yuh kahe agar mard saccha ho to mujh par Allah ka gazab tootey". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 6-9)


LA'AAN K BAAD MARD SE TOHMAT SAAQIT HO JAATI HAI AUR AURAT SE TOHMAT SAAQIT HO JAATI HAI
LA'AAN SIRF SHARI ADALAT K ROO-BARU HI HO SAKTA HAI
LA'AAN SE PEHLE QAAZI KO MARD WA AURAT DONO KO AETRAAZ E JURM KI TARGEEB DILAANI CHAHIYE AGAR DONO MEIN SE KOI BHI AETRAAZ E JURM NA KARE TAB LA'AAN KARWANA CHAHIYE
ZAATI ILM KI BINA PAR QAAZI MUJRIM PAR HADD JAARI NAHI KAR SAKTA JAB TAK GAWAHI NA HO

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hilaal bin Umayya Razi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein apni beewi par Shareek bin Sahma k saath zina ki tohmat lagaayi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Gawah laao warna tumhari peeth (back) par hadd nafiz ki jayegi" Hilaal bin Umayya Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hum mein se jab koi apni beewi ko gair mard k saath zina karte hue dekhey to kya wo gawah talaash karne chala jaye?" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dobaara yahi baat irshad farmayi "Gawah paish karo warna tumhari peeth (back) par hadd jaari hogi" Hilaal bin Umayya Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Us zaat ki qasam! jisne Aapko haqq k saath mab'oos farmaya hai mein saccha hu aur Allah ta'ala zaroor aesi ayatey nazil farmayega jinse meri peeth (back) ko hadd se bacha lega" chunanchey Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam ye aayatey le kar nazil hue "Wo loog jo apni beewiyo par tohmat lagaate hai" se le kar "agar wo saccha hai" tak (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 6-10) (Ayaat nazil hone k baad) Hazrat Hilaal Razi Allahu Anhu aye aur la'aan kiya, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (dono miya beewi ko mukhatib kar k) farmaya "Beshak Allah ta'ala jaanta hai tum dono mein se ek zaroor jhoota hai kya tum mein se koi ek (jo jhoota hai) tauba karta hai?" kisi ne tauba na ki aur aurat (la'aan k liye) khadi ho gayi usne chaar martaba gawahi di (k mard choota hai) aur paanchvi martaba gawahi dene lagi to loogo ne use rooka k paanchvi gawahi (Allah k gazab ko) wajib karne wali hai, (lihaza acchi tarah sooch lo) Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai aurat ruk gayi aur hich-kichaane lagi humne gumaan kiya k wo (apne gunah ka) aetraaf kar legi lekin usne kaha "Mein apni qaum ko hamesha k liye ruswa nahi karna chahti" aur paanchvi gawahi de di (yaani agar mard saccha hai to mujh par Allah ka gazab tootey) Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "is ka dhiyaan rakhna agar iske yaha surmagi aankho wala, moota pait wala aur bhari bhari pindliyo wala baccha hua to shareek ka hoga" chunanchey aesa hua (bacche k paidaish k baad) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar Allah ki kitab ka qanoon la'aan na hota to mein (is aurat par) hadd jaari kar deta". (Sahih Bukhari, Mishkaatul Masabeeh Hadees no. 3307)


LA'AAN K BAAD PAIDA HONE WALA BACCHA BAAP KI BAJAYE MAA SE MANSOOB KIYA JAYEGA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek mard aur aurat mein la'aan karwaya mard kehne laga aurat k han paida hone wala baccha mera nahi hai chunanchey Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dono ko alhaidah kar diya aur bacchey ka nasb aurat se laga diya. (Sahih Bukhari Kitabut Talaaq)


LA'AAN K BAAD ALAG HONE WALA MARD AUR AURAT DOBARAH KISI BHI SORAT MEIN NIKAH NAHI KAR SAKTEY

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu farmate hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir tha tab se aapas mein la'aan karne wale mard aur aurat k baare mein ye sunnat jaari ho gayi k wo dobarah kabhi nikah nahi kar saktey. (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1969)


LA'AAN K BAAD MAA KI TARAF MANSOOB KIYA JAANE WALA BACCHA MAA KI WIRASAT HASIL KAREGA MAA BACCHEY KI WIRASAT HASIL KAREGI
LA'AAN K BAAD MARD YA AURAT KO ZAANI KEHNE WALE PAR HADD JAARI HOGI
LA'AAN KARNE WALE MARD AUR AURAT K HAN PAIDA HONE WALEY BACCHEY KO WALDUZZINA (HARAAMI BACCHA) KEHNE WALE PAR BHI HADD JAARI HOGI

Hazrat Umar bin Shuyeb Razi Allahu Anhu apne baap se wo apne dada Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne la'aan karne walo ki aulaad k baare mein ye faisla farmaya k "Maa aulaad ki aur aulaad maa ki waris hogi agar koi aurat ko zaniya kahega to usey 80 koodey mare jayenge aur jo aulaad ko walduzzina (haraami) kahega use bhi 80 koodey maare jayenge". (Nailul Autaar Kitabul La'aan)


MARD AUR AURAT K DARMIYAAN JAB TAK LA'AAN NA HO TAB TAK BACCHA BAAP KI TARAF HI MANSOOB HOGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Baccha beewi wale ka hai aur zaani k liye patthar hai". (Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 3258)

No comments:

Post a Comment