JANNAT KI SHAAN
Bismillahirrahmanirraheem
JANNAT KI NAIMATO AUR KHOOBIYO KA BAYAN KARNA AUR IS DUNYA MEIN UNHEY SAMAJHNA HATTA K UNKA TASAWWUR KARNA BHI NA-MUMKIN HAI
Hazrat Sahal bin Saad Saadi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ek majlis mein hazir tha us mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jannat ka haal bayan kiya yaha tak k be-inteha tareef farmayi aakhir mein farmaya jannat mein aesi aesi naimatey hai jinhey kisi aankh ne dekha nahi na kisi kaan ne unki tareef suni hai na hi unka tasawwur kisi aadmi k dil mein paida hua hai phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi (ye jannat un loogo k liye hai) jinkey pehlu bistaro se alag rehte hai apne rabb ko (azaab k) darr se aur (sawaab ki) ummeed se pukaarte hai aur jo rizk hamne unko diya hai usey (Allah ki raah mein) kharch karte hai koi nahi jaanta un naimato ko jo unki aankho ko thandak pahuchane wali hai aur unse chipa kar rakkhi gayi hai ye naimatey badla hai un aamaal ka jo wo (dunya ki zindagi mein) karte rahe hai.(Surah Sajdah Ayat no. 18) (Sahih Muslim Kitabul Bad ul Khalk)
JANNAT MEIN CHADI BARABAR JAGAH DUNYA AUR USMEY MOJOOD TAMAAM NAIMATO SE AFZAL HAI
Hazrat Sahal bin Saad Saadi Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein chadi k barabar jagah dunya aur dunya ki har cheez se behtar hai". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)
JANNAT MEIN KAMAAN BARABAR JAGAH DUNYA KI HAR US CHEEZ SE BEHTAR HAI JIS PAR SOORAJ TULU WA GUROOB HOTA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein ek darakht hai jiske saaye mein ek (ghooda) sawaar 100 baras tak chalta rahey (tab bhi khatam na ho) agar (quran se samajhna) chaaho to (Surah Waqiya Ayat no. 30) (WA ZILLIM MAMDOODAH - aur lamba saaya) padh lo jannat mein kisi shaks ki kamaan rakhne k barabar jagah (dunya ki) har us cheez se behtar hai jis par sooraj tuju ya guroob hota hai". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)
JANNAT KI NAIMATO MEIN SE KOI EK NAIMAT NAKHUN K BARABAR IS DUNYA MEIN ZAHIR HO JAYE TO ZAMEEN WA AASMAAN ROSHAN HO JAYE
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai mene apne doost Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna hai (jannat mein) momin ko waha tak zaiwar pehnaya jayega jaha tak uska wuzu pahunchta hai. (Sahih Muslim Kitabut Taharah)
JANNAT MEIN MAUT HOTI TO JANNATI LOOG JANNAT KI NAIMATO KO DEKH KAR KHUSHI SE MAR JAATE
Hazrat Abu Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz maut ek chitkabrey maindhey ki shakal mein jannat aur jahannam k darmiyaan khadi ki jayegi aur use zibah kiya jayega jannati aur jahannami loog use dekh rahe honge agar khushi se marna mumkin hota to jannati khushi se mar jaate aur gum se marna mumkin hota to jahannami gam se mar jaate". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Jannah)
JANNAT KI KHUSHBU CHALEES SAAL KI MUSAAFAT SE AAYEGI
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne kisi zami ko (na haqq) qatal kiya wo jannat ki khushbu tak nahi payega aur jannat ki khusbu chalees saal ki musaafat se aayegi". (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad was Sabr)
JANNAT KI TAMAAM ASHYA DUNYA KI TAMAAM CHEEZO SE AALAA AUR AFZAL HAI SIRF NAAM EK JESE HAI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat ki koi cheez bhi dunya ki cheezo se nahi milti siwaaye naamo k". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 2188)
SAARI ZINDAGI DUKHO AUR MUSEEBATO MEIN BASR KARNE WALA SHAKS JANNAT KI EK JHALAK DEKHTE HI DUNYA K SAARE DUKH AUR GHAM BHOOL JAYEGA
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz aese shaks ko laya jayega jiska jahannam mein jana tey ho chuka hoga dunya mein usne badi aesh wa ishrat ki hogi use dozakh mein ek goota diya jayega aur us se pucha jayega "Ae ibne Aadam! kya tumne koi aesh wa ishrat dekhi, kabhi dunya mein tumhara naaz o naam se waasta pada?" wo kahega "Ae mere rabb! teri qasam kabhi nahi" phir ek aese aadmi ko laya jayega jo jannati hoga lekin dunya mein badi takleef ki zindagi basar ki hogi usey jannat mein ek goota diya jayega aur us se pucha jayega "Ae ibne Aadam! kabhi dunya mein tooney koi takleef dekhi ya ranj wa gham se kabhi tumhara waasta pada?" wo kahega "Ae mere rabb! teri qasam kabhi nahi, mujhe to na kabhi ranj wa gham se waasta pada na kabhi koi dukh ya takleef dekhi". (Sahih Muslim Kitbus Sifaatul Munafiqeen)
JANNAT KI NAIMATO AUR DARJAAT DEKHNE K BAAD AHLE JANNAT KI HASRAT
Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ahle Jannat ko kisi cheez par itni hasrat nahi hogi jitni us lamhey par jo dunya mein Allah ki yaad k bagair guzar gaya". (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 5322)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Sunday, 28 December 2014
JANNAT KI SHAAN
Labels:
JANNAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment