Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 4 September 2014

SUNNAT - A'IMMA E KIRAAM RAHIMAHULLAH KI NAZAR MEIN

SUNNAT - A'IMMA E KIRAAM RAHIMAHULLAH KI NAZAR MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI MOJOODGI MEIN TAMAAM A'IMMA KIRAAM NE APNE AQWAAL AUR RAAYE TARK KARKE SUNNAT PAR AMAL KARNE KA HUKM DIYA HAI

Hazrat Imam Abu Haneefa Rahimahullah se pucha gaya "Agar aap ka koi qaul quran majeed k khilaaf ho to kya kiya jaye?" Imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Quran majeed k muqabiley mein mera qaul chood do", phir pucha gaya "Agar aapka qaul Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf ho to kya kiya jaye?" imam Abu Haneefa Rahimahullah ne jawab diya k "Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k muqabiley mein mera qaul chood do", phir pucha gaya "aap ka qaul Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhu k qaul k bar'aks ho to phir kya kiya jaye?" farmaya "Sahaba Razi Allahu Anhu k qaul k muqabiley mein bhi mera qaul chood do". (Aqdil jeed, Haqeeqatul Fatah safa no. 69)

Hazrat Imam Malik bin Anas Rahimahullah farmate hai "Bila shubah mein bashar hu, mera qaul sahih bhi ho sakta hai, galat bhi ho sakta hai, lihaza mere qaul par gaur karo jo kitab o sunnat k mutabiq ho uspar amal karo aur jo uske khilaaf ho use chood do". (Ibne Abdul barr Kitab jaamey Bayanul Ilm, Hadees Hujjatul banfasah safa no. 79)

Imam Shaafi Rahimahullah farmate hai "Jab tum meri kitab mein koi baat Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf pao to meri baat chood do aur sunnat k mutabiq amal karo", ek doosri riwayat mein hai k "Sirf sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi karo aur kisi bhi dooosre shaks ki baat par tawajjo na do". (Zakarahu Ibne Asakir wannori wa ibne qayyim, Haqeeqatul Fatah Safa no. 75)

Imam Ahmad ibne Hambal Rahimahullah farmate hai "Na meri taqleed karo, na Imam Malik Rahimahullah ki, na Imam Shaafi Rahimahullah ki, na Imam Auozayi Rahimahullah aur Imam Soori Rahimahullah ki balkey deen k ahkaam wahi se loo jaha se inhone liye (Yaani kitab o sunnat se)". (Hamam Adla al absaar, Hadees Hujjatul banfasah Safa no. 80)

Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Loogo! deen mein apni aqal se baat karne se bacho aur Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi ko apne liye laazim karlo, jo koi sunnat se hata, wo gumraah ho gaya". (Meezaan Sheraani, Haqeeqatul Fatah Safa no. 82)

IMAM ABU HANEEFA RAHIMAHULLAH K NAZDEEK HADEES PAR AMAL KARNA HIDAYAT HAI AUR HADEES K BAR'AKS AMAL KARNA GUMRAAHI AUR FASAAD HAI

Imam Abu Haneefa Rahimahullah farmate hai "Loog us waqt hidayat par qayam rahengey jab tak unme ilm e Hadees hasil karne wale mojood rahenge, jab hadees k bagair (deen ka) ilm hasil kiya jayega to loogo mein bigaad aur fasaad paida ho jayega". (Meezaan Sheraani, Haqeeqatul Fatah Safa no. 70)

SUNNAT KI MOJOODGI MEIN RAAYE DARYAFT KARNE WALE KO IMAM MALIK RAHIMAHULLAH NE FITNE MEIN PADNE YA AZAAB MEIN MUBTALA HONE KI TAMBIYAH

Ek aadmi Imam Malik Rahimahullah k paas aaya aur koi masla daryaft kiya, Imam Malik Rahimahullah ne bataya k is baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad e mubarak ye hai, us aadmi ne arz kiya "Is baare mein aapki kya raaye hai?" Imam Malik Rahimahullah ne jawab mein ye Aayat tilawat farmayi (FAL YAH ZARIL LAZEENA YUKHAALIFOONA AN AMRIHI AN TUSEEBAHUM FITNATUN AOU TUSEEBAHUM AZABUN ALEEM) "Jo loog Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm ki mukhalifat karte hai unhe darna chahiye k wo kisi fitne ya dardnaak azaab mein mubtala na ho jaye". (Sharah Sunnah Juzz e Awwal Safa no. 216)

SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K BAARE MEIN IMAM SHAAFI RAHIMAHULLAH K BAAZ AQWAAL

"Is baat par tamaam musalmano ka ittefaaq hai k jis shaks ko Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam maloom ho jaye uske liye kisi aadmi k qaul ki khatir sunnat ko tark karna jayez nahi". (Zakarahu ibne Qayyim wal Falaani, Hadees Hujjatul banfasah Safa no. 80)

"Mujhe jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sahih hadees k khilaaf baat karte hue dekho to samajh lo mera dimaag chal gaya". (Zakarahu ibne abi Hatim wa ibne Asakir, Wajoobul amal bis sunnat e Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sheikh Abdul Azeez bin Baaz Safa no. 27)

Imam Shaafi Rahimahullah farmate hai "Jab sahih hadees mil jaye to wahi mera mazhab hai" neez farmaya "Jab mera qaul hadees k khilaaf pao to Hadees par amal karo aur mera qaul diwaar par de maaro". (Aqdil Jeed, Haqeeqatul Fatah Safa no. 74)

IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH KISI AADMI K QAUL KI KHATIR SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO TARK KARNA HALAKAT KA BAA'AS SAMAJHTE THEY

Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah farmate hai "Jisne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hadees ko radd kar diya wo halakat k kinaare par khada hai" (Zakarahu Ibnul Jauzi, Juzz e Awwal Safa no. 216)

Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah farmate hai "Imam Auozayi Rahimahullah, Imam Malik Rahimahullah, Imam Abu Haneefa Rahiamhullah mein se har ek ki baat raaye hai aur mere nazdeek sabka darja ek jesa hai, hujjat sirf Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam hai" (Ibne Abdul barr fi Jaamey, Hadees hujjatul banfasah Safa no. 82)

No comments:

Post a Comment