TAUHEED KI FAZILAT
Bismillahirrahmanirraheem
KALMA E TAUHEED KA IQRAAR DEEN E ISLAM KA SABSE PEHLA BUNYAADI RUKUN HAI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ko haakim e yaman bheja to farmaya "Loogo ko (pehle) "LA ILAHA ILLALLAH" aur phir ye k mein yaani (Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Allah ka Rasool hu uski taraf dawat dena" agar wo maan le to phir unhe batana k Allah ta'la ne har din raat mein unpar paanch namazey farz ki hai agar wo use bhi maan le to phir unhe batado k Allah ta'ala ne unke maalo par zakaat farz ki hai jo unke maaldaro se wasool ki jayegi aur unke faqra ko di jayegi". (Sahih Bukhari Kitabuz Zakaat)
GAIR MUSLIM KALMA E TAUHEED KA IQRAAR KAR LE TO USE QATAL KARNA MANA HAI
Hazrat Usaama bin Zaid Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey ek lashkar mein bheja harkaat (ek gaon ka naam) mein humne juhaina (qabeela ka naam) se subah k waqt jang ki ek aadmi se mera saamna hua to usne "LA ILAHA ILLALLAH" padha lekin mene use barchi se maar dala, (baad mein) mere din mein tashweesh paida hui (k mene galat kiya ya sahih) to mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se uska tazkira kiya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kya usne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur toone use qatal kar dala?" mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! usne hathyaar k darr se kalma padha tha" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya toone uska din cheer kar dekh liya tha k tujhe pata chal gaya usne khuloos dil se padha ya nahi?" phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam baar baar yahi irshad farmate rahey yaha tak k mene aarzoo ki kaash mein aaj k rooz musalman hua hota. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
KALMA E TAUHEED PAR EMAAN GUNAHO K KAFFARAH KA BAA'AS (SABAB) BANEGA
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek safaid kapde mein soo rehey they mein dobara hazir hua tab bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahey they mein teesri baar aya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam jaag rahey they mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baith gaya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis shaks ne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur usi par mara wo jannat mein dakhil hoga" mene arz kiya "Khawah zina kiya ho khawah choori ki ho?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Khawah zina kiya ho khawah choori ki ho" ye baat Aapne teen baar irshad farmayi, phir choothi (4th) martaba Aapne farmaya "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho" pas jab Abuzar Razi Allahu Anhu (Aapki majlis se uth kar) bahar aaye to keh rehey they "Khawah Abuzar ki naak khaak aalood ho". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Abdullah bin Umar bin Aas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko famate hue suna hai k qayamat k din Allah ta'ala saari makhlooq k saamne meri ummat k ek aadmi ko layega aur uske saamne (gunaho) k ninaavey (99) daftar rakh diye jayenge har daftar har nigah tak faila hoga, phir Allah ta'ala us aadmi se puchega "Tu apne in aamaal mein se kiska inkaar karta hai" kya (naama e aamaal tayyar karne wale) mere kaatibo ne tujh par zulm to nahi kiya? wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala puchega (un gunaho k baare mein) "tere paas koi uzr hai?" wo aadmi kahega "nahi ya Allah" Allah ta'ala phir irshad farmayega "Accha thehro (ruko) hamare paas tumhari ek naiki bhi hai aur aaj tum par koi zulm nahi hoga chunanchey ek kaagaz ka tukda laya jayega jisme "ASH HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU" tehreer (likha) hoga, Allah ta'ala irshad farmayega "naama e aamaal wazan hone ki jagah chale jao" banda arz karega "ya Allah is chootey se kaagaz k tukdey ko mere gunaho k dhair se kya nisbat ho sakti hai?" Allah irshad farmayega "Bandey! aaj tum par koi zulm nahi kiya jayega" (yaani har chootey bade amal ka hisaab zaroor hoga) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Gunaho k dhair taraazu k ek paldey mein aur kaagaz ka tukda doosre paldey mein rakh diya jayega gunaho k daftar halkey saabit honge aur kaagaz ka tukda bhaari ho jayega, (phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya) "Allah ta'ala k naam se zayada koi cheez bhari nahi ho sakti". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2127)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai Allah ta'ala farmata hai "Ae ibne Aadam! tu jab tak mujhe pukaarta rahega aur mujhse bakhshish ki ummed rakkhega mein tujhse sarzad hone wala har gunah bakshta rahunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tumhare gunah aasmaan k kinare tak pahunch jaye aur tu mujhse bakshish talab kare to mein tujhe baksh dunga, ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tu rooh e zameen k barabar gunah le kar aye aur mujhe is haal mein mile k kisi ko mere saath shareek na kiya ho to mein rooh e zameen k barabar hi tujhe magfirat ata karunga (yaani saare gunah maaf karunga)". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2805)
KHULOOS E DIL SE KALAM E TAUHEED KA IQRAAR KARNE WALE K LIYE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SIFARISH KARENGE
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat k rooz meri sifarish se faiz-yaab hone wale loog wo hai jinhone sacchey dil se ya (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya) ji jaan se "LA ILAHA ILLALLAH" ka iqraar kiya hai". (Sahih Bukhari Kitabul Ilm)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Har nabi k liye ek dua aesi hai jo zaroor qubool hoti hai, tamaam Ambiya Alaihis Salaam ne wo dua maangli lekin mene apni dua qamayat k din apni ummat ki shifa'at k liye mehfooz kar rakkhi hai meri shifa'at in Sha Allah har us shaks k liye hogi jo is haal mein mara k usne kisi ko Allah ta'ala k saath shareek nahi kiya". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
AQEEDAH E TAUHEED PAR MARNE WALA JANNAT MEIN DAKHIL HOGA
Hazrat Usmaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein marey k use "LA ILAHA ILLALLAH" ka ilm (yaqeen) ho to wo jannat mein jayega". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KA IQRAAR ARSH E ILAHI SE QURBAT KA ZARIYA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab banda sacchey dil se "LA ILAHA ILLALLAH" kehta hai to uske liye aasman k darwazey khool diye jaate hai yaha tak k wo arsh tak pahunch jata hai ba'shart k kabeera gunah se bachta rahey". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2839)
KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KI GAWAHI DENE WALE PAR JAHANNAM HARAAM HAI
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey sawari par baithey they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ae Muaaz!" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap ka farma-bardaar hazir hai" Aapne phir farmaya "Ae Muaaz!" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aapka farma-bardaar hazir hai" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmya "Jo shaks gawahi de k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam uske bandey aur uske Rasool hai Allah ta'ala usko jahannam par haraam kar dega" Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya mein loogo ko us se aagah na karu takey wo khush ho jaye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir to loog sirf isi par takeeya kar lenge (aamaal ki fikr nahi karenge) chunanchey Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne gunah se bachne k liye marte waqt ye hadees bayan ki". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
KHULOOS E DIL SE KALMA E TAUHEED KA IQRAAR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks is haal mein mara k sacchey dil se gawahi deta tha k Allah ta'ala k siwa koi ila (mabood) nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k Rasool hai wo jannat mein dakhil hoga". (Silsila Ahadees E Saheeya juzz e Khasaami Safa no. 348)
Wazahat: Tauheed ki fazilat k baare mein mazkoora bala tamaam Ahadees mein muahid k jannat mein jaane ki zamanat ka matlab ye hargiz nahi k muahid jese amal chahey karta rahey, wo gunaho ki saza paye bagair sidha jannat mein chala jayega, balkey un tamaam Ahadees ka mafhoom ye hai k muahid apne gunaho ki saza bhugatne k baad ya Allah ta'ala ki taraf se gunah maaf kiye jaane k baad jannat mein zaroor jayega, aur jis tarah mushrik ka daaimi thikana jahannam hai usi tarah muahid ka daaimi thikana jannat hoga.
No comments:
Post a Comment