Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 3 September 2014

SUNNAT - SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI NAZAR MEIN

SUNNAT - SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI NAZAR MEIN

Bismillahirrahamanirraheem

SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K TAMAAM AQWAAL WA AF'AAL KI MIN WA AN USI TARAH PAIRVI KARNE KI KOSHISH FARMATE JIS TARAH NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE SUNTE YA AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO KARTE DEKHTE THEY, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI
ITTEBA E SUNNAT K LIYE SUNNAT KI MASLEHAT AUR HIKMAT SAMAJH MEIN AANA ZARURI NAHI

1. Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ko namaz padha rahe they k doraan e namaz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne joote utaar kar baayi jaanib rakh diye, jab Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne dekha to unhone bhi apne jootey utaar diye, Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz khatam ki, to unhone daryaft farmaya "Tum loogo ne apne jootey kyu utaare?" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Humne chunkey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko jootey utaarte hue dekha, lihaza humne bhi apne jootey utaar diye" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujhe Jibraeel Alaihis Salaam ne aa kar bataya k Mere jooto mein galazat hai" ya kaha takleef deh cheez hai (lihaza mene jootey utaar diye) phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko naseehat farmayi "Jab masjid mein namaz padhne aao to pehle apne jooto ko acchi tarah dekh liya karo, agar unme galazat ho to use saaf karlo, phir unme namaz padho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Awwal Hadees no. 605)

2. Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhum farmate hai k marwaan ne Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ko madeena ka (qayim muqaam) governar banaya aur (khud kisi kaam se) makka chale gaye, usi doraan Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne namaz e juma padhayi, pehli rakaat mein Surah Juma aur doosri rakaat mein Surah Munafiqoon tilawat ki, Hazrat Abu Rafaey Razi Allahu Anhu kehte hai namaz k baad mein Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se mila aur arz kiya aapne wahi suratey tilawat farmayi jo Hazrat Ali Razi Allahu Anhu (apne ahad e khilafat mein) koofa mein padhaya karte they, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye dono suratey namaz e juma mein padhte suna hai (isi liye mene padhi hai)". (Sahih Muslim Kitbuj Juma)

3. Hazrat Nafaey Rahimahullah kehte hai k Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu ne baasuri ki aawaaz suni to apni dono ungliya kaano mein thoosli aur raaste ki doosri simt kaafi door nikal gaye aur mujhse pucha "Ae Nafaey! kya kuch sun rahe ho?" mene arz kiya kya "nahi!" tab unhone apni ungliyo kaano se nikaali aur farmaya "Mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baasuri ki aawaaz suni aur aese hi kiya (jese mene ab kiya hai) Hazrat Nafaey ne ye bhi bataya k us waqt mein chooti umar ka ladka tha". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 4116)

4. Hazrat Halaal bin Yasaaf Razi Allahu Anhu kehte hai hum Saalim bin Ubaidullah k paas they k ek aadmi ne cheenk maari aur kaha "ASSALAMU ALAIKUM" Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu ne uske jawab mein kaha "WA ALAIKA WA ALA UMMUKA" (yaani tujh par aur teri maa par bhi salaam) phir kaha jo mene kaha hai shayad us par tujhe nagawaari mehsoos hui hai, aadmi ne jawab diya k meri khawahish thi k tum meri maa ka acche alfaaz mein tazkira karte na bure alfaaz se, to Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu ne kaha "Suno mene ye jawab is liye diya hai k hum Nabi E Akram ki khidmat mein hazir they k ek aadmi ne cheenk maari aur "ASSALAMU ALAIKUM" kaha, to uske jawab mein Nabi E Arkam  ne bhi yahi jawab diya "WA ALAIKA WA ALA UMMIKA" (lihaza mene bhi wesa hi kaha hai) aur phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne use bataya jab cheenk maro to "ALHAMDULILLAH" kaho raavi kehta hai k Aap  ne baaz degar hamd k kalmaat ka bhi zikr kiya tha aur phir Aap  ne farmaya "cheenkne wale k paas jo shaks mojood ho use "YAR HAMUKALLAH" kehna chahiye aur cheenkne wale ko phir "YAGFIRULLAHU LANA WALAKUM" kehna chahiye. (Mishkaatul Masabeeh juzz e Saani Hadees no. 4741)

5. Hazrat Nafaey Rahimahullah se riwayat hai k ek aadmi ne Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu k paas cheenk mari aur kaha "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "ALHAMDU LILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAH" to mein bhi kehta hu (yaani mujhey bhi Rasool Allah  par salaam bhejne mein koi aetraaz nahi) lekin Rasool Allah  ne hamey yuh sikhlaya hai (cheenk k baad) hum "ALHAMU LILLAHI ALA KULLI HAAL" (yaani har haal mein Allah ta'ala ka shukr hai) kahe (lihaza jo sunnat tareeqa hai wahi ikhtiyaar karo). (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2200)

6. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat kare hai k Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne Hajra e aswad ko mukhatib karke kaha "Wallah! mein jaanta hu tu ek patthar hai na nuksaan pahuncha sakta hai na nafa de sakta hai agar mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko istalaam (hajra e aswad ko haath laga kar boosa dena) na karte dekha hota to tujhe kabhi boosa choomta nahi" phir farmaya ab hamey ramal karne ki kya zarurat hai, ramal to dushmano ko dikhane k liye tha ab to Allah ta'ala ne unhe halaak kar diya, phir khud hi farmaya lekin ramal to wo cheez hai jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai aur sunnat chootna hamey pasand nahi. (Al loo loo wal Marjaan juzz e Awwal Hadees no. 799)

7. Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jab khana laya jata to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam us se tanawul farmane k baad mere paas bhej dete, ek rooz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bartan joo ka tooh khaye bagair meri taraf bhej diya kyunki unme lahsun tha, mene Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha "Kya lahsun haraam hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi! lekin mein uski booh ki wajah se use pasand nahi karta". (Sahih Muslim Kitabul Ashraba)

8. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Islam ki bunyaad paanch cheezo par hai, Allah ta'la ki touheed, namaz qayam karna, zakaat ada karna, ramazaan k roozey aur hajj ada karna" ek aadmi ne (baat dohrakar) pucha "Hajj aur ramazaan k roozey?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "(Nahi) ramazaan k roozey aur hajj, mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se is tarteeb se hadees suni thi". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

9. Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu farmate hai mene Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ko khuley batno k saath namaz padhte hue dekha, to mene unse pucha "Aap aesa kyu karte ho?" to Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aese hi namaz padhte hue dekha hai". (Sahih Ibne Khuzaima, Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal)

10. Hazrat Mujahid Rahimahullah kehte hai hum Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath ek safar mein ja rahe they ek jagah se guzrey, to Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu raaste se door hatt gaye, unse pucha gaya "Aapne aesa kyu kiya?" Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aese hi karte dekha hai, isliye mene aesa kiya hai". (Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 44)

11. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai mein Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saath arfaat mein tha jab wo kahi jaate to mein bhi unke saath jata, yaha tak k hum imam k paas pahunchey aur uske saath namaz e zuhar wa asar (jama kar k) ada ki, phir Abdullh bin Umar Razi Allahu Anhu ne waqoof farmaya, to mein aur mere saathiyo ne bhi unke saath waqoof kiya, yaha tak k imam (arfaat se) wapas loote to hum bhi unke saath wapas loote yaha tak k usi tang raaste par pahunchey jo maaz mein (jagah ka naam) se pehle hai waha pahunch kar Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne apni sawaari bithwa di aur humne abhi apni sawaariya bitha di, hamara khayal tha k ab Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu namaz padhenge lekin jo mulazim unki sawari par mutaeen tha, usne bataya k Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu namaz nahi padhna chahte balke Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam yaha pahunch kar haajat e zarooriya se farig hue they, chunanchey Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu bhi usi jagah haajat e zaruriya se faarig hona pasand karte they. (Sahih Targeeb wa Tarheeb juzz e Awwal Hadees no. 46)

12. Hazrat Anas bin Seereen Rahimahullah farmate hai k Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu shaam se tashreef laye to aeen tamar k muqaam par humne unka istaqbaal kiya, mene unhe gadhey par namaz padhte dekha aur gaadhey ka rukh qibley ki bajaye qibley k daaye taraf tha, mene Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se pucha "Aapne qibley ki taraf rukh kiye bagair namaz kyu padhi hai?" unhone farmaya "Agar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah namaz padhte na dekhta to kabhi namaz na padhta". (Sahih Bukhari wa Muslim Kitabut Tafseerus Salaat)

13. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sooney (gold) ki ek angoothi banwayi, to Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha dekhi angoothiya banwali, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene sooney ki angoothi banwayi thi" (tumne bhi banwaali) chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne angoothi utaar phenki aur farmaya "Ab mein kabhi istemaal nahi karunga" (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itteba mein) Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne bhi apni apni angoothiya utaar kar phenk di. (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)

14. Sahabi E Rasool Hazrat Ibne Hanzala Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar khareem asdi k baal lambey na hoote aur tahband neechey latka na hota to bahut accha aadmi lagta" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ye baat khareem asdi tak pahunchi, to khud hi churi le kar kaano tak apne baat kaat diye aur tahband nisf pindliyo tak uncha kar liya. (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 4461)

15. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi k haath mein sooney ki angoothi dekhi to use utaar kar phenk diya aur farmaya "Tum mein se koi sooney ki angoothi pehan kar gooya aag k angaarey ka qasad karta hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k tashreef le jaane k baad us aadmi se kaha gaya angoothi utha lo aur us se koi (doosra) faida hasil karlo (yaani apni beewi ya behan ko de do ya farokht karo) Sahabi ne kaha "Allah ki qasam! jis angoothi ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phenk diya hai use kabhi na uthaunga". (Sahih Mulim Kitabul Libaas waz Zeenah)
16. Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek martaba juma k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (khutba dene k liye) mimbar par tashreef laaye to farmaya "loogo! baith jao" Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu ne suna to masjid k darwaazey par hi baith gaye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dekha to farmaya "Abdullah! masjid k andar aa kar baitho". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz E Awwal Hadees no. 203)

No comments:

Post a Comment