Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday, 6 January 2015

JANNAT KI WUS'AT

JANNAT KI WUS'AT

Bismillahirrahmanirraheem

JANNAT KI KAM SE KAM WUS'AT KA TASAWWUR ZAMEEN AUR TAMAAM AASMAANO KI WUS'AT K BARABAR HAI LEKIN ZIYAADAH SE ZIYAADAH WUS'AT KI KOI HADD NAHI

"Doodho (bhaago) apne rabb ki magfirat ki taraf aur us jannat ki taraf jiski (sirf) chodaayi aasmaano aur zameen (ki wus'at) jesi hai wo jannat muttaqi loogo k liye tayyar ki gayi hai". (Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 133)

"Ahle jannat ki aankho ko thandak pahunchane k liye jo kuch unse chipa kar rakkha gaya hai use koi nahi jaanta ye badla hai un aamaal ka jo wo (dunya mein) karte rahey". (Surah Sajdah Surah no. 32 Ayat no. 17)


JANNAT KO DEKHNE K BAAD HI SAHIH TAUR PAR ANDAAZA HOGA K JANNAT KITNI BADI HAI AUR USKI NAIMATEY KITNI AZEEM HAI

"Aur jab tum jannat ko dekhogey to har taraf naimatey hi naimatey aur ek badi saltanat ka saro samaan tumhey nazar aayega". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 20)


JANNAT K 100 DARJAAT HAI HAR DARJAH K DARMIYAAN ITNA FARQ HAI JITNA ZAMEEN O AASMAAN K DARMIYAAN FAASALA HAI

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein 100 darjey hai har 2 darjo k darmiyaan zameen o aasmaan k barabar faasla hai sab se aalaa tareen darjey ka naam firdoos hai firdoos se jannat ki chaaro nehrey (meehaan, jeehaan, faraat aur nail) jaari hoti hai firdoos k uper Allah ta'ala ka arsh hai jab bhi Allah ta'ala se (jannat ka) sawaal karo to firdoos ka sawaal karo". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


JANNAT MEIN EK DARAKHT KA SAAYA ITNA LAMBA HOGA K GHOODA SAWAAR 100 BARAS TAK MUSALSAL USKE SAAYE MEIN SAFAR KARTA RAHE TAB BHI KHATAM NAHI HOGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein ek darakht hai jiske saaye mein ek (ghooda) sawaar 100 baras tak chalta rahey (tab bhi khatam na ho) agar (quran se samajhna) chaaho to (Surah Waqiya Ayat no. 30) (WA ZILLIM MAMDOODAH -  aur lamba saaya) padh lo jannat mein kisi shaks ki kamaan rakhne k barabar jagah (dunya ki) har us cheez se behtar hai jis par sooraj tuju ya guroob hota hai". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)


SABSE AAKHIR MEIN JANNAT MEIN DAAKHIL HONE WALEY JANNATI KO IS DUNYA SE 10 GUNAAH WASEE MAMLAKAT ATA KI JAYEGI

Hazrat Abdullah (bin Masood) Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jahannam se sabse aakhir mein nikalne wale aadmi ko mein pehchaanta hu wo shaks kohlu k ball gisat'ta hua jayega to dekhega k sab loogo ne apni apni jagah par qabza jama rakkha hai (aur uske liye koi jagah baaqi nahi) us se pucha jayega tumhe wo waqt yaad hai jab tum jahannam mein they? arz karega han yaad hai chunanchey us se kaha jayega khawahish karo (kitni jagah jannat mein chahiye?) chunanchey wo khawahish karega phir use kaha jayega tere liye teri khawahish k mutabiq jannat mein jagah hai aur 10 dunyaao k barabar mazeed bhi tumhare liye jagah hai wo shaks arz karega (ya Allah!) tu baadshah ho kar mere saath mazaaq karta hai (jannat mein to mamooli si jagah bhi baaqi nahi rahi) Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu kehte hai (k ye irshad farmane k baad) Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam itna hansey k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki dadhi nazar aaney lagi - ek doosri riwayat mein hai k "Allah ta'ala (us aadmi k jawab mein) farmayengey mein tujhse mazaaq nahi kar raha balkey mein jo kaam karna chahta hu us par poori tarah qaadir hu". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bandey k jawab par hansi is wajah se aayi k bandey ka Allah ta'ala ki qudrat k baare mein gumaan kis qadar nafiz hai k wo Allah ta'ala k farmaan ko namumkin samajh kar mazaaq keh raha hai.


AAKHIRI AADMI KO IS DUNYA SE 10 GUNAAH ZAYADAH JAGAH ATA KARNE K BAWAJOOD JANNAT MEIN JAGAH BACH JAYEGI JISE PUR KARNE K LIYE ALLAH TA'ALA NAYI MAKHLOOQ PAIDA FARMAYEGA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alahi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein jitni jagah Allah chahega khali reh jayegi phir Allah ta'ala uske liye doosri makhlooq paida farmayega". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifaah)

No comments:

Post a Comment