Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 5 March 2015

AAHO CHASHM HOOREY

AAHO CHASHM HOOREY

Bismillahirrahmanirraheem

HOOREY JANNAT KI DOOSRI NAIMATO KI TARAH JANNATI MARDO K LIYE EK NAIMAT HAI
BAAZ HOOREY YAQOOT AUR MARJAAN KI TARAH RANGAT MEIN SURKH HONGI
BEMISAAL HUSN WA JAMAAL K SAATH SAATH HOOREY HAYA MEIN BHI APNI MISAAL AAP HONGI
NOO INSAANI KI HOORO KO US SE PEHLE KISI INSAAN NE HAATH NAHI LAGAYA HOGA NOO JINN KI HOOTEO KO US SE PEHLE KISI JINN NE HAATH NAHI LAGAYA HOGA

"Jannat ki doosri naimato k darmiyaan sharmeeli nigaaho wali hoorey hongi jinhe un jannatiyo se pehle kisi insaan ya jinn ne haath tak nahi lagaya hoga, phir ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kin kin inamaat ko jhutlaoge? wo khoobsurat heero aur mootiyo ki tarah hongi phir ae jinn wa ins! tum apne rabb k kin kin inamaat ko jhutlaogey?". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 56-59)

Wazahat: Yaad rahe momin aur saaleh insaano ki tarah momin  aur saaleh jinn bhi jannat mein jayengey jis tarah waha insaan mardo k liye insaan auratey aur insaan hoorey hongi usi tarah jinn mardo k liye jinn auratey aur jinn hoorey hongi, goya noo insaan k liye unke ham jins aur noo jinn k liye unke ham jins hoorey hongi.(Wallahu Aalam bis Sawaab)


HOOREY IS QADR HAYA DAAR HONGI K APNE SHOHAR K ALAWA DOOSRE KI TARAF AANKH UTHA KAR BHI NAHI DEKHENGI
HOOREY ANDEY K NICHE CHUPI JHILLI SE ZIYAADA NARM WA NAZUK HONGI

"Ahle jannat k paas sharmeeli khoobsurat aankho wali (hoorey) hongi is qadr naram wa nazuk goya k andey k chilke k nichey cheeli hui jhilli hai". (Surah Saaffaat Surah no. 37 Ayat no. 48-49)


JANNAT KI HOOREY KHOOBSURAT, SHARMEELI AANKHO WALI, LO LO KI TARAH SAFAID AUR SHAFFAAF RANGAT WALI IS QADR BE-DAAG AUR HASEEN HONGI K JESE JAWAHRAAT DURJ MEIN MEHFOOZ KIYE GAYE HO

"Ahle jannat k liye khoobsurat aankho wali hoorey hongi aesi hoorey jaise chipa kar rakkhey hue mooti, ye sab kuch unhey un aamaal k badle mein milega jo wo dunya mein karte rahe they". (Surah Waqia Surah no. 56 Ayat no. 22-24)


HOORO K SAATH JANNATI MARDO KA BA-QAIDAH NIKAH HOGA

"Ae jannatiyo! khao aur piyo mazey se apne un aamaal k badle mein jo tum karte rahe ho wo aamne saamne bichey hue takhto par takiye lagaye baithey honge aur hum khoobsurat aankho wali hooro ka unse nikah kar denge". (Surah Toor Surah no. 52 Ayat no. 19-20)


HOOREY APNE SHOHARO KI HUM-UMAR HONGI

"Jannat mein apne shoharo k alawa kisi doosre ki taraf nazar na uthane wali hoorey hongi jo (apne shoharo ki) hum-umar hongi ye wo naimat hai jinka tum se qayamat k din wada kiya jata hai". (Surah Saad Surah no. 38 Ayat no. 52-53)


KHOOBSURAT MOOTIYO K KHAIME HOORO KI QAYAAM GAAHEY HONGI JAHA JANNATI MARD UNSE MULAQAAT KARENGEY

"Hoorey khaimo mein thehraayi gayi hongi pas ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kin kin naimato ko jhutlaogey?". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 70-71)


JANNAT MEIN HOORO KA APNE SHOHARO K AAZAAZ MEIN TARAANA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein mooti mooti aankho wali hoorey ye (taraana) gaati hai hum khoobsurat aur naik seerat hoorey apne mehboob shoharo k liye mehfooz ki gayi hai". (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1598)


AHLE EMAAN K LIYE ALLAH TA'ALA KI TARAF SE JANNAT KI HOOREY NAAMZAD KI JA CHUKI HAI

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi aurat apne shohar ko takleef pahunchati hai to mooti aankho wali hooro mein se us (naik shohar) ki beewi kehti hai Allah tujhe halaak kare use takleef na de ye chand rooz k liye tere paas hai, anqareeb tujhey chood kar hamare paas aane wala hai". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1637)

Hazrat Buridah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein jannat mein dakhil hua to ek nojawaan doshaiza ne mera istaqbaal kiya mene us se pucha "tu kis k liye hai?" kehne lagi "Zaid bin Haarsa k liye". (Ibne Asakin, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 3361)


INTAQAAM LENE PAR QADIR HONE K BAWAJOOD INTAQAAM NA LENE WALA SHAKS JANNAT MEIN APNI PASANDEEDAH HOOR SE NIKAH KAREGA

Hazrat Muaaz bin Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks intaqaam lene par poori tarah qadir tha lekin (intaqaam na liya aur) gussa pee gaya (qayamat k din) Allah ta'ala use saari makhlooq k saamne bulayengey aur use hoor e aaen muntakhib karne ka ikhtiyaar diya jayega k jin se chaahey nikah karle". (Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 6394)

No comments:

Post a Comment