Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 26 March 2015

AHLE JANNAT K AUSAAF

AHLE JANNAT K AUSAAF

Bismillahirrahmanirraheem

JANNATI LOOG JANNAT MEIN JAANE K BAAD ALLAH TA'ALA KA SHUKR ADA KARENGEY

"Jannatiyo k dilo mein ek doosre k khilaf jo kadoorat (rahi) hogi use hum nikaal dengey unke nichey nehreh behti hongi aur wo kahenge tareef Allah hi k liye hai jisne hamey (emaan aur naik aamaal ka) ye raasta dikhaya agar Allah ta'ala hamari rehnumayi na karta to hum khud bhi (seedhi) raah na paa sakte they, hamare rabb k Rasool waqey haqq baat (yaani emaan aur saaleh aamaal k badle mein jannat ka wada) le kar aaye they, us waqt jannati loog pukaare jayengey ye jannat jiske tum waris banaye gaye ho tumhey un aamaal k badle mein mili hai jo tum (dunya mein) karte rahe". (Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 43)

"(Jannat mein dakhil hone k baad) jannati kahengey shukr hai us Allah ka jisne hamare saath apna waada sach kar dikhaya aur hamey (jannat ki) zameen ka waris banaya ab hum jannat mein jaha chaahey jagah bana sakte hai pas behtareen ajr hai amal karne walo k liye". (Surah Zumur Surah no. 39 Ayat no. 74)


JANNAT MEIN AHLE JANANT KA TAKIYA KALAAM "SUBHANA KALLA HUMMA" HOGA BAHAMI MULAQAAT PAR WO EK DOOSRE KO "ASSALAMU ALAIKUM" KAHENGEY AUR APNI HAR BAAT K IKHTATAAM PAR "ALHAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN" KAHENGEY

"Jannatiyo ki pukaar (ek doosre ko bulane k liye ya apne khadimo ko bulane k liye) ye hogi "SUBHANA KALLA HUMMA" aur (aapas mein) mulaqaat par "SALAAM" (kahengey) aur (guftagu k) aakhir mein unki pukaar "ALHAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN" hogi". (Surah Younus Surah no. 10 Ayat no. 10)


JANNAT MEIN DAAKHIL HONE PAR FARISHTE AHLE JANNAT KO MUBARAK SALAMATi KI DUWAYE DENE K LIYE HAZIR HONGEY

"Muttaqi loogo ko garooh dar garooh jannat ki taraf le jaaya jayega yaha tak k jab wo waha pahunchengey "salaam ho tum par bahut acchey rahe dakhil ho jao is mein hamesha k liye". (Surah Zumur Surah no. 39 Ayat no. 73)

"Aur farishte har taraf se jannatiyo k istaqbaal k liye hazir hongey aur unse kahengey "Salaam ho tum par" dunya mein tumne jis tarah sabr se kaam liya uski badoolat aaj tum us ajr k mustahiq thehrey ho pas kya khoob hai ye aakhirat ka ghar". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 23-24)


ALLAH TA'ALA KHUD BHI AHLE JANNAT KO SALAAM KAHENGEY YA PAHUCHAYENGEY

"Meharbaan rabb ki taraf se jannatiyo ko salaam kaha gaya hai". (Surah Yaseen Surah no. 36 Ayat no 58)


JANNAT MEIN DAKHIL HONE WALE SABSE PEHLE GAROOH K CHEHREY CHOODHVI RAAT K CHAAND KI TARAH CHAMAK RAHE HONGEY
DOOSRE GAROOH K CHEHREY AASMAAN PAR CHAMAKTE SITAARO KI MAMIND CHAMAK RAHE HONGEY
JANANT MEIN KOI SHAKS BIN BIHAAYA NAHI HOGA, HAR JANNATI KI KAM AZZ KAM DO BEEWIYA HONGI

Hazrat Muhammad Sallallahu Alahi Wa Sallam se riwayat hai k loogo ne aapas mein fakhr kiya ya zikr kiya k jannat mein mard ziyaadah hongey ya auratey? Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehne lage kya Abu Qaasim Razi Allahu Anhu ne nahi farmaya "Jannat mein dakhil hone wale pehle garooh k chehrey choodvi raat k chand ki tarah chamkengey aur doosre garooh k chehrey aasmaan par chamakdaar sitaare k manind chamak rahe hongey aur dono garoho mein se har mard k liye do do beewiya hongi jinki pindliyo ka gooda goosht k andar se nazar aa raha hoga aur jannat mein koi aadmi bin biyaaha nahi hoga". (Sahih Muslim Kitabul Jannah Was Sifatun Naeemah)


AHLE JANNAT HAMESHA SEHATMAND HONGEY KABHI BIMAAR NAHI HONGEY
AHLE JANNAT HAMESHA JAWAAN RAHENGEY KABHI BOODHEY NAHI HONGEY
AHLE JANANT HAMESHA ZINDAH RAHENGEY KABHI FAUT NAHI HONGEY
AHLE JANNAT HAMESHA KHUSH WA KHURRAM RAHENGEY KABHI PARESHAAN AUR RANJEEDAH NAHI HONGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Qayamat k rooz) ek pukaarne wala (farishta jannati loogo ko mukhatib karke) pukarega tum loog hamesha sehat mand rahogey kabhi bimaar nahi hogey, hamesha zinda rahoge kabhi maut nahi aayegi, hamesha jawan rahogey tumhey kabhi budhapa nahi aayega, hamesha mazey karogey kabhi ranjeedah nahi hogey aur yahi matlab hai Allah azz wa jall k irshad e mubarak ka "Jannati loog pukaare jayengey ye hai k jannat mein jiske tum waris banaaye gaye ho un aamaal k badle mein jo tum karte they". (Sahih Muslim Kitabul Jannat wa Sifatun Naemaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks jannat mein dakhil hoga wo hamesha khush wa khurram rahega kabhi ranjeedah nahi hoga uske kapde puraane nahi hongey na hi jawani fana hogi". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naemaha)


AHLE JANANT KO PAISHAAB PAAKHAANA KI HAJAT PAISH NAHI AAYEGI
AHLE JANANT KA KHANA PEENA DAKAAR AUR PASEENA AANEY SE HAZAM HO JAYEGA
JANNATI LOOG SAANS KI TARAH HAR LAMHA ALLAH TA'ALA KI HAMD WA SANA KARENGEY

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannati khaayenge aur piyenge lekin na thukengey na paishaab karengey na paakhaana karenge na naak sinkengey, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "To phir khana kaha jayega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Dakaar aur paseena ayengey (jis se khana hazam ho jayega) jannati tasbeeh aur tahmeed usi tarah karenge jis tarah saans lete hai". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 367)


JANNATIYO KO NEEND KI HAJAT MEHSOOS NAHI HOGI

Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Neend maut ki behan hai lihaza jannatiyo ko neend nahi aayegi". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1087)


TAMAAM JANNATIYO KA QADD 60 HAATH (KAM WA BAISH 9 FOT) HOGA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks jannat mein jayega wo Hazrat Aadam Alaihis Salaam ki tarah 60 haath lamba hoga (shuru mein loogo k qadd 60 haath they) jo baad mein ghat'te gaye hatta k mojoodah qadd par aa gaye". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naemaha)



JANANTIYO K CHEHREY PAR DADHI AUR MOOCH K BAAD NAHI HONGE, NEEZ BAAQI SAARA JISM (SAR K ALAWA) BHI BAALO SE SAAF HOGA
JANNATIYO KI AANKHEY QUDRATI TAUR PAR SARMAGI HOGI
JANNATIYO KI UMREY TEES TAITEES BARAS HOGI

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya "jannati loog jannat mein dakhil hongey to unke badan par baal nahi hongey na hi (chehre par) dadhi aur mooch hogi, aankhey sarmagi hogi aur umar tees ya taitees saal hogi". (Sunan Tirmizi Sifatul Abwabul Jannah)


JANNATI LOOG JIS BAAT KI KHAWAHISH KARENGEY WO AAN KI AAN MEIN POORI HO JAYEGI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya "Momin agar (jannat mein) aulaad ki khawahish karega to baccha ka hamal aur wazey hamal ghadi bhar mein ho jayega". (Sunan Ibne Maja Kitabuz Zuhad)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek rooz Nabi E Akram Sallallahu Alaihi wa Sallam (Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se) guftagu farma rahe they Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam k qareeb ek daihaati baitha tha, Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya "Jannatiyo mein se ek shaks apne rabb se khaiti baadhi karne ki ijazat maagenga" Allah ta'ala irshad farmayaga "Jo kuch tu chahta hai kya wo tere paas nahi hai?" wo jananti arz karega kyu nahi sab kuch hai, lekin mujhey khaiti baadhi pasand hai is liye karna chahta hu, Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya phir wo aadmi (zameen mein) beejh daalega aan wahid mein wo ugh aayega, bada ho jayega aur pakk kar kaatne k laayak ho jayega balkey us se bhi bada pahaad ki tarah ho jayega Allah ta'laa irshad farmayega ae ibne aadam ab khush ho tera pait kisi cheez se bharne wala nahi" daihati ne arz kiya "Wallah! ye jannati zaroor quraishi hoga ya ansaari, is liye k wahi khaiti baadhi karne wale hai humne to kabhi khaiti baadhi ki nahi" Rasool E Akram Sallallahu Alaihi wa Sallam ye sun kar muskura diye. (Sahih Bukhari Kitabul Zar'aah)


JANNATI LOOG EK EK DIN MEIN 100, 100 AURATO K PAAS JAYEGNEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi wa Sallam ki khidmat mein arz kiya gaya "Kya hum jannat mein apni aurato k paas jayengey?" Aap Sallallahu Alaihi wa Sallam ne irshad farmaya "Aadmi ek din mein 100, 100 kuwari aurato k paas jayega". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 367)

No comments:

Post a Comment