JANNAT MEIN ALLAH TA'ALA KI RAZA
Bismillahirrahmanirraheem
AHLE JANNAT KO JANNAT MEIN ALLAH TA'ALA KI RAZA HASIL HOGI JO K SABSE BADI KAAMYABI HAI
"Momin mardo aur aurato se Allah ta'ala ka wada hai k unhey aese bagaat ata farmayega jinke nichey nehrey behti hongi aur wo unme hamesha hamesha rahengey un sadabahaar baagho mein unke liye pakeezah qayaam-gaahey hongi aur sab se badh kar ye k unhey Allah ta'ala ki raza hasil hogi ye bahut badi kaamyabi hai". (Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 72)
JANNATI LOOGO KO ALLAH TA'ALA JANNAT MEIN KHUD APNI RAZA KI KHUSHKHABRI SE AAGAH FARMAYENGEY
JANNAT MEIN ALLAH TA'ALA JANNATIYO SE GUFTAGU FARMAYEGNEY
"Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala jannatiyo se irshad farmayega ae jannati loogo! arz karengey, ae hamare parwardigaar hum hazir hai teri janaab mein aur teri ita'at mein, bhalayi tere haath mein hai Allah ta'ala irshad farmayega kya tum raazi ho? wo arz karengey ae hamare rabb! hum raazi kyu na hongey tuney hamey wo kuch ata kar diya jo apni makhlooq mein se aur kisi ko ata nahi kiya, Allah ta'ala irshad farmayega mein tumhey us se ziyaadah behtar cheez na ata karu? jannati arz karengey ya Allah! is se ziyaadah behtar kaun si cheez hai? Allah ta'ala irshad farmayega "Mein tumhey apni raza-mandi se nawaaz raha hu aaj k baad mein kabhi tum se naraaz nahi hunga". (Sahih Muslim Kitabul Jannat Wa Sifatun Naeemaha)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Sunday, 8 March 2015
JANNAT MEIN ALLAH TA'ALA KI RAZA
Labels:
JANNAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment