JANNAT MEIN ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR
Bismillahirrahmanirraheem
ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR KARTE WAQT AHLE JANNAT K CHEHREY KHUSHI SE DAMAK RAHE HONGEY
"Us rooz kuch chehrey taro taaza hongey apne rabb ki taraf dekh rahe hongey". (Surah Qiyaamah Surah no. 75 Ayat no. 22-23)
JANNAT MEIN JANNATI LOOG IS QADR WAZEY TAUR PAR ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR KARENGEY JIS TARAH CHOODHVI RAAT K CHAAND KO WAZEY AUR MUKAMMAL SHAKAL MEIN DEKHA JATA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya qayamat k rooz hum apne rabb ko dekhengey? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya choodhvi raat ka chand dekhne mein tumhey koi dikkat hoti hai?" loogo ne arz kiya "Nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jab baadal na ho to kya sooraj dekhne mein tumhey koi dikkat paish aati hai?" loogo ne arz kiya "nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "phir isi tarah (bagair kisi dikkat aur mushakkat k) tum (qayamat k rooz) apne rabb ka deedaar karogey". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Jareez bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum loog Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne choodhvi k chaand ki taraf dekha aur farmaya "Anqareeb tum apne rabb ko isi tarah (bila zahmat aur bila takleef) dekhogey jis tarah us chaand ko bila zahmat aur bila takleef dekhte ho". (Sahih Muslim Kitabul Masajid wa Mawazius Salaah)
Hazrat Suhaib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab jannati loog jannat mein chale jayenge to Allah tabak o ta'ala irshad farmayengey tumhey koi aur cheez chahiye?" wo arz karengey ya Allah! kya tooney hamare chehrey roshan nahi kiye? kya tooney hamey jannat mein dakhil nahi kiya? kya tooney hamey aagh se nijaat nahi dilaayi (aur kya chahiye?) phir achanak (jannatiyo aur Allah ta'ala k darmiyaan haayil) pardah uth jayega aur jannatiyo ko apne rabb ki taraf dekhna har us chehrey se ziyaadah mehboob lagega jo wo jannat mein dekhe gaye". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
DUNYA MEIN ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR MUMKIN NAHI
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya "Aapne apne rabb ka deedaar kiya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah to noor hai, mein use kese dekh sakta hu". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Abdullah (bin Mas'ood) Razi Allahu Anhu Allah ta'ala k irshad "MA KAZABAL FU'AADU MAA RA'AA" (Tarjuma: jo kuch dekha, dil ne us mein jhoot nahi milaya Surah Najam Surah no. 53 Ayat no. 11) ki tafseer mein farmate hai yaha dekhne se muraad Jibraeel Alaihis Salaam ko dekhna hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dekha k unke 600 parr hai. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Allah ta'ala k irshad "WALAQAD RA'AAHU NAZLATAN UKHRA" (Tarjuma: ek dafa phir Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us ko (Sidratul Muntaha k qareeb) utarte dekha Surah Najam Surah no. 53 Ayat no. 13) ki tafseer mein farmate hai k Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne doosri baar jibraeel Alaihis Salaam ko dekha. (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA KA DEEDAAR HASIL HONE KI DUA
Hazrat Ammaar bin Yasir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam (namaz mein darood shareef k baad) ye dua maanga karte they Tarjuma: "Ae Allah! tere ilm e ghaib aur makhlooq par teri qudrat k waseeley se sawal karta hu k tu mujhey us waqt tak zindah rakh jab tak tere ilm k mutabiq meri zindagi mere haqq mein behtar hai aur us waqt mujhey wafaat de jab tere ilm k mutabiq meri wafaat mere haqq mein behtar hai, Ae Allah! mein gareeb aur hazir (yaani har waqt aur har jagah) aapse darne ki tofeeq talab karta hu neez ranj aur khushi (har haalat mein) aapse haqq baat kehne ki tofeeq talab karta hu ameeri aur gareebi (dono haalato mein) aapse mayanah ravi ki tofeeq talab karta hu aapse aesi naimat talab karta hu jo kabhi khatam na ho, aankho ki aesi thandak ka sawaal karta hu jo hamesha jaari rahe aapke har faisle par raazi rehne ki tofeeq talab karta hu, mout k baad aaraam deh zindagi ka sawaal karta hu aur aapki zaat e mubarak ko dekhne ki lazzat ka sawal karta hu, aapse mulaqaat k shooq ka sawaal karta hu, mein teri panah talab karta hu aesi takleef se jo (mere deen aur dunya ko) nuqsaan pahuchaye aur teri panah talab karta hu aese fitne se jo gumraah kare, ae Allah hamey emaan ki zeenat se mazeen farma aur hamey hidayat yaafta loogo ka rehnuma bana". (Sunan Nasayi Kitabus Salaat baab zikr baada tash’had)
No comments:
Post a Comment