Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 31 October 2014

HAMBISTARI K AADAAB

HAMBISTARI K AADAAB

Bismillahirrahmanirraheem

HAMBISTARI SE QABL DARJ ZAIL DUA PADHNI MASNOON HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum loogo mein se koi apni beewi k paas aane ka iraadah kare to yuh kahe "BISMILLAHI ALLAHUMMA JANNIB'NASH SHAITAANA WA JANNI'BISSH SHAITAANA MA RAZAQTANA" Tarjuma: "Allah k naam se ya Allah! hame shaitaan se door rakh aur us cheez se bhi shaitaan ko door rakh jo tu humey ata farmaye pas agar hambistari k doraan miya beewi ki qismat mein aulaad likhi hai to shaitaan use kabhi zarar nahi pahuncha sakega". (Mukhtasar Sahih Mulim Hadees no. 828)


GUNAH SE BACHNE KI NIYAT SE BEEWI SE SOHBAT KARNA BAA'AS E AJR WA SAWAAB HAI

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se baaz ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft farmaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! jab hum mein se koi (apni beewi se hambistari kar k) shahwat poori karta hai to kya uske liye sawaab hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Batao, agar haraam tareeqey se shahwat poori kare to uspar gunah hoga ya nahi, unhone kaha "Hoga" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Usi tarah jab wo halaal tareeqey se shahwat poori karta hai to uske liye sawaab hai". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 545)


DOBAARA SOHBAT KARNE SE QABL WUZU KARNA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mein se koi apni beewi k paas sohbat karne k liye aaye aur dobaara sohbat karna chahey, to use wuzu kar lena chahiye". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 164)


JUMA KI RAAT SOHBAT KARNA MUSTAHAB HAI

Hazrat Aos bin Aos Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks juma k din gusal kare aur (beewi se sohbat kar k use bhi) gusal karaaye, (juma padhne k liye) jaldi (masjid mein) aye aur khutba k shuru mein shareek ho, khateeb k qareeb baithey, khutba gaur se sune aur khamoosh baitha rahe to use (masjid mein jaane aur aane wale) har qadam k badle mein ek saal k roozey aur ek saal k qayaam k barabar sawaab milta hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 410)


BACCHE KO DOODH PILAANE K ARSA MEIN BEEWI SE HAMBISTARI KARNA JAYEZ HAI

Hazrat Juzaamah binte Wahab Razi Allahu Anha kehti hai mein loogo ki mojoodigi mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene iraadah kiya tha k loogo ko geela (doraan e raza'at jima karne) se mana kardu, lekin mene dekha k Roam aur Faaras (Persia) k loog geela karte hai aur unki aulaad ko koi zarar nahi pahunchta (to mene mana karne ka iraadah tark karwaya)". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 835)


BEEWI SE DIN K WAQT HAMBISTARI KARNA JAYEZ HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aurat k liye jayez nahi k apne shohar ki mojoodgi mein uski ijazat k bagair (nafli) rooza rakkhey". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 1860)


BEEWI SE AGLI YA PICHLI SIMT SE QUBL MEIN SOHBAT KARNA JAYEZ HAI

Hazrat ibne Munkadar Rahimahullah ne Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu ko kehte hue suna hai k yahoodi kehte hai jab aadmi apni beewi ki pichli simt se jima kare to baccha bhainga paida hota hai is par ye aayat nazil hui "Tumhari auratey tumhari khaitiya hai apni khaitiyo mein jese chaaho aao (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 223)". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 929)


GUSL E JANBAT SE PEHLE SOONA HO TO WUZU KAR LENA MUSTAHAB HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam halat e janabat mein soona chahte to apni sharmgaah dho kar namaz ki tarah wuzu farmate aur soo jaatey. (Sahih Bukhari Kitabul Gusl)


TABEE ZARURAT K TAHAT AZAL KI RUKHSAT HAI WARNA NAHI

Hazrat Akaasa Razi Allahu Anhu ki behan Hazrat Juzaamah binte Wahab Razi Allahu Anha kehti hai mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hui loog mojood they unhone azal k baare mein sawaal kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ye (bacche ko) khufya zindah dargoor karna hai". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 835)

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne azal ka zikr kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loog aesa kyu karte hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye nahi farmaya "Loog aesa na kare". (Sahih Muslim Kitabun Nikah)

Wazahat: Beewi se sohbat karte hue anzaal (mani nikalne) se pehle alag ho jaana azal kehlaata hai.


DORAAN E HAIZ YA DORAAN E NIFAAS SOHBAT KARNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks haiza se sohbat kare ya aurat ki dubr mein jima kare ya najoomi k paas aaye usne Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par nazil kardah taleemaat ka inkaar kiya". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 116)


HAIZ YA NIFAAS KHATAM HONE K BAAD LEKIN GUSAL KARNE SE PEHLE SOHBAT KARNA MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Haiz ya nifaas wali aurat k) khoon ka rang jab surkh ho to (jima karne ka kaffaarah) ek dinaar sona (gold) hai aur agar khoon ka rang zard ho (yaani khoon aana ruk chuka ho lekin abhi gusl na kiya ho) to (jima karne ka kaffaarah) nisf dinaar sona (gold) hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 118)

Wazahat: Ek dinaar ka wazan chaar gram hota hai yaani chaar gram sona (gold), nisf yaani 2 gram sona (gold).


BEEWI SE DUBR (PAAKHANEY WALI JAGAH) MEIN SOHBAT KARNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks apni beewi k paas aye aur uski dubr (paakhaney wali jagah) mein sohbat kare wo mal'oon hai". (Mishkaatul Masabeeh Hadees no. 3193)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala us aadmi ki taraf nazar e rahmat nahi farmaata jo (apni shahwat poori karne k liye) mard k paas aye ya aurat k saath dubr (paakhaney wali jagah) mein sohbat kare". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 930)


SHOHAR BEEWI KO HAMBISTARI K LIYE BULAYE TO BEEWI KO SHARI UZR K BAGAIR INKAAR NAHI KARNA CHAHIYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai jab koi shaks apni beewi ko apne bistar par bulaye aur beewi inkaar kare to wo zaat jo aasmaano mein hai naraaz rehti hai hatta k uska shohar us'se raazi ho jaye". (Sahih Muslim Kitabun Nikah)


GUSL E JANABAT KA MASNOON TAREEQA DARJ E ZAIL HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam gusl e janabat farmate to pehle apne dono haatho ko dhootey phir daaye (right) haath se baaye (left) haath par paani daal kar sharmgaah dhootey phir wuzu farmate jis tarah namaz k liye wuzu farmate uske baad haatho ki ungliyo se sar k baalo ki jadoo ko paani se tar karte teen lap paani sar mein daalte aur phir saare badan par paani bahaate (aakhir mein ek dafa) phir dono paao dhootey. (Sahih Muslim Kitabul Haiz)

No comments:

Post a Comment