NIKAH KI AHMIYAT
Bismillahirrahmanirraheem
NIKAH NA KARNE WALA NIKAH KI SUNNAT K AJR WA SAWAAB SE MEHROOM REHTA HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k chand Sahaba Razi Allahu Anhum ne azwaaj e Mutahharaat Razi Allahu Anha se Nabi E Akram ki khufya ibadat ka haal pucha (puchne k baad) unme se ek ne kaha "Mein aurato se nikah nahi karunga" kisi ne kaha "mein goosht nahi khaunga" kisi ne kaha "mein bistar par nahi sounga" (Nabi E Akram ko maloom hua to) Aap ne Allah ta'ala ki hamd o sana ki aur farmaya "Un loogo ko kya hua jinhone aesi aur aesi baatey kahi jabke mein (raat ko) nawafil padhta hu aur soota bhi hu (nafli) rooza rakhta hu tark bhi karta hu aur aurato se nikah bhi karta hu pas jo shaks mere tareeqey se muh moodega wo mujhse nahi". (Sahih Muslim Kitabun Nikah)
NIKAH NA KARNE WALE SE MUASHAREY MEIN ZABARDAST FITNA WA FASAAD BARPA HOGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab aese shaks tumhare paas nikah ka paigaam bhejey jiske deen aur akhlaaq se tum mutma'in ho to (us'se apni beeti) ka nikah kardo, agar aesa nahi karoge to zameen mein fitna aur zabardast fasaad barpa hoga". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 865)
NIKAH NA KARNE SE BADDKAARI MEIN PADNE KA KHADSHA HAI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Humne muhabbat karne walo k liye nikah se zayada koi cheez mausar nahi dekhi". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1498)
NIKAH K BAGAIR DEEN NA'MUKAMMAL REHTA HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alailhi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi shaks nikah kar leta hai to apna aadha deen mukammal kar leta hai lihaza use chahiye k baaqi aadhey deen k muamaley mein Allah se darta rahey". (Behaqui, Mishkatul Masabeeh Kitabun Nikah)
No comments:
Post a Comment