Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 5 October 2014

SHIRK E ASGAR K MASA'IL

SHIRK E ASGAR K MASA'IL

Bismillahirrahmanirraheem 

NAZAR E BADD YA BEEMARI SE MEHFOOZ REHNE K LIYE CHALLA, KADA, ZANJEER, HALQA YA TAWEEZ PEHAN'NA SHIRK HAI
NAZAR E BADD YA HAADSAAT SE BACHNE K LIYE KAAR, MAKAAN, YA DUKAAN WAGAIRAH PAR GHOODEY KI NAAL LATKAANA, YA MATTI KA KAALI HANDIYA LATKAANA SHIRK HAI
NOZAIDAH BACCHE KO NAZAR E BADD SE BACHAANE K LIYE GHAR K DARWAZEY PAR KISI MEHFOOZ DARAKHT KI TEHNIYA LATKANA SHIRK HAI
HAADSAAT SE MEHFOOZ REHNE K LIYE BAAZU PAR "IMAAM ZAAMAN" BAANDHNA SHIRK HAI 

Hazrat Uqba bin Aamir Juhni Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein ek jamaat (islam laane k liye) hazir hui Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 9 aadmiyo se bait li aur dasve (10th) aadmi ki bait lene se haath rook liya unhone arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Aapne 9 aadmiyo ki bait li hai aur is aadmi ki bait nahi li?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Isne tameema (taweez, dhaaga ya manga wagairah) baandha hua hai" chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna haath aagey badha kar use kaat diya aur uske baad us'se bait le li phir irshad farmaya "Jisne tameema latkaya usne shirk kiya". (Musnad Ahmad, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 492)
Baaz ulama k nazdeek qurani aayaat ya masnoon duwaon par mushtamil taweez istemaal karna jayez hai. 

Hazrat Abdullah (bin Mas'ood Razi Allahu Anhu) kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Damm, taweez aur tooney shirk hai". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 331) 

Hazrat Abu Basheer Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo ek safar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek paighaam risa bheja, Abdullah bin Abu Bakr Razi Allahu Anhu kehte hai mein samajhta hu us waqt loog apni apni khawaab gaaho mein honge aur hukm diya k kisi ounth k gaaley mein (damm kiya hua) taant (dhaaga) ya tauq na rehne diya jaye balkey use kaat diya jaye, Imam Malik Rahimahullah kehte hai mera khayal hai (Musrik loog ye tauk ounth ko) nazar e badd se bachaane k liye istemaal karte they. (Sahih Muslim Kitabul Libaas) 


BADSHAGUNI LENA SHIRK HAI 

Hazrat Fuzaalah bin Ubaid Ansari Razi Allahu Anhu Sahabi E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam kehte hai "Jis shaks ko badshaguni ne kaam karne se rook diya wo shirk ka murtakib hua". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1065) 


GAIR ALLAH (MASALAN WALIDAYN, BEEWI, AULAAD YA QURAN YA KAABA WAGAIRAH) KI QASAM KHANA SHIRK HAI 

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne Allah ta'ala k siwa kisi doosre ki qasam khayi usne kufr kiya ya farmaya shirk kiya". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 1241) 

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se jo shaks (ghair Allah ki) qasam khaye aur apni qasam mein yu kahe "Laat (Kafireen/Mushrikeen e Makkah k butt) ki qasam" use LA ILAHA ILLALLAH kehna chahiye (yaani apne emaan ki tajdeed karni chahiye) aur jo shaks apne saathi se kahe aao mein tujhse jua khelu to use (apni istata'at k mutabiq) sadqa karna chahiye (takey gunah ka kaffarah ada ho jaye). (Sahih Muslim Kitabul Emaan) 


RIYA AUR DIKHAAWA SHIRK HAI 

Hazrat Abu Saad Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare paas tashreef laye hum loog aapas mein maseeh dajjal ka zikr kar rahe they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Kya mein tumhey aesi cheez ki khabar na du jiska mujhe tumhare baare mein maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai" humne arz kiya "Kyu nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam!" (zaroor bataiye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmya "Wo hai shirk khafi yaani ye k aadmi namaz padhne k liye khada hua aur jab use mehsoos hua k koi use dekh raha hai to apni namaz lambi kardi (yaani dikhaavey ki namaz)". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 3389, Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 2389) 


TARK E NAMAZ SHIRK AUR KUFR HAI 

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Aadmi aur kufr aur shirk k darmiyaan tark e namaz (ka fark) hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan) 


GHAIB KA HAAL MALOOM KARNE K LIYE KISI KO HAATH DIKHANA SHIRK HAI 

Hazrat Safeeya Razi Allahu Anha Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki kisi zoja se riwayat karti hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks najoomi k paas jaye aur us'se (Mustaqbil k baare mein) koi baat daryaft kare to uski 40 rooz ki namaz qubool nahi hoti". (Sahih Muslim Kitabus Salaat) 


SITAARO KI TAASEER PAR YAQEEN RAKHNA SHIRK HAI 

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nahi naazil farmayi Allah ta'ala ne barkat (baarish) aasmano se magar loogo mein se baaz ne subah ko uska inkaar kiya halankey baarish Allah ta'ala hi barsaata hai lekin inkaar karne wale kehte hai k falah falah taarey ki wajah se baarish hui". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


ANBIYA, AULIYA AUR SULHA SE AQEEDAT MEIN GULU KARNA SHIRK HAI 

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Meri taareef mein is tarah mubaalga na karo jis tarah isaiyo ne Hazrat Isa Alaihis Salaam k baare mein mubaalga kiya beshak mein ek bandah hu lihaza mujhe Allah ta'ala ka banda aur uska Rasool hi kaho". (Sahih Bukhari Kitabul Anbiya)

No comments:

Post a Comment