Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 15 October 2014

NIKAH QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

NIKAH QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN

Bismillahirrahmanirraheem

PAAK DAAMAN AURATO KA NIKAH PAAK DAAMAN MARDO SE AUR BADKAAR AURATO KA NIKAH BADKAAR MARDO SE KARNE KA HUKM HAI

Badkaar auratey badkaar mardo k liye hai aur badkaar mard badkaar aurato k liye hai. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 26)


MUTALLAQA KHATOOM IDDAT K BAAD DOOSRA NIKAH KARLE AUR DOOSRE SHOHAR APNI APNI AAZAAD MARZI SE USE TALAAQ DE DE TO MUTALLAQA KHATOON IDDAT GUZAARNE K BAAD PEHLE SHOHAR SE NIKAH KARNA CHAHEY TO KAR SAKTI HAI

Jab tum apni aurato ko talaq de chuko aur wo apni iddat poori karle to phir unhe apne (pichle) khawind se nikah karne se na rooko jab wo maroof tareeqey se ba'ham munakihat par raazi ho tumhe naseehat ki jaati hai k aesi harkat hargiz na karna agar tum Allah aur rooz e aakhir par emaan rakhte ho, tumhare liye sha'ista aur pakeeza tareeqa yahi hai k us'se baaz raho Allah jaanta hai tum nahi jaante. (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 232)

Wazahat: Aayat mazkoora mein nikah k liye khitab aurato ko nahi kiya gaya balke wali ko kiya gaya hai jiska matlab ye hai k aurat (kuwari ho ya mutallaqa) khud nikah nahi kar sakti.


AURATO KI VIRASAT ZABARDASTI HASIL KARNA MANA HAI
SHOHAR KI WAFAAT K BAAD BEEWI KO KISI DOOSRE MARD SE NIKAH KARNE SE ROOKNA MANA HAI
AURAT KI NA-PASANDEEDAH SHAKAL WA SURAT YA GUFTAGU YA AADAAT WAGAIRAH KO DEKH KAR FAURAN ALHAIDAGI KA FAISLA KARNE KI BAJAYE HATTUL IMKAAN SABR WA TAHMIL AUR DARGUZAR SE KAAM LE KAR TALLUQ AZDAWAAJ NIBHAANE KI KOSHISH KARNI CHAHIYE

Ae loogo! jo emaan wale ho! tumhare liye jayez nahi k zabardasti (beewi) aurato k waaris ban baitho (aur unhe doosra nikah na karne do) na hi ye jayez hai k unhe tang karke us mehar ka kuch hissa utha lene ki koshish karo jo tum unhe de chuke ho han agar wo kisi sareeh badchalni ki murtakib ho (to badchalni ki saza de sakte ho) unke saath bhale tareeqey se zindagi basar karo, agar wo tumhe na-pasand ho to ho sakta hai k ek cheez tumhe pasand na ho magar Allah ne usme bahut kuch balayi rakhdi hai. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 19)


KHANDAAN K NAZAM MEIN MARD SARBARAH AUR AURAT MA TAHAT, MARD HAKIM AUR AURAT MAHKOOM, MARD MUTA'A AUR AURAT MUTEE KA DARJA RAKHTI HAI
MARD GHAR KA SARBARAH HONE KI HAISIYAT SE APNE AHLE O AYAAL KI TAMAAM ZAROORIYAAT ZINDAGI MEIN MUHAYYA KARNE KA ZIMMEDAAR HAI
SHOHAR KI ITA'AT GUZAARI AUR WAFA SHA'AARI, NAIK KHAWATEEN KI SIFAAT HAI
MARDO KI ADAM MOOJODGI MEIN UNKE HUQOOQ KI HIFAZAT KARNE MISAALI BEEWIYO KI SIFAT HAI
SARKASH AURATO KO RAAH E RAAST PAR LAANE K LIYE PEHLA QADAM UNHE SAMJHAANA BUJHAANA HAI, DOOSRA QADAM KHAWABGAAHO K ANDARAAN K BISTAR ALAG KAR DENA HAI AGAR PHIR BHI SHOHAR KI BAAT NA MANEY TO AAKHIRI CHARAKAAR K TAUR PAR HALKI MAAR MAARNE KI IJAZAT HAI
AURAT SHOHAR KI ITA'AT GUZAAR BAN JAYE TO PHIR UNPAR KISI QISM KI ZIYADATI KARNA MANA HAI

Mard aurato pa qawaam hai is bina par k Allah ta'ala ne unme se ek ko doosre par fazilat di hai aur is bina par k mard apna maal kharch karte hai, pas jo saaleh auratey hai wo ita'at sha'aar hoti hai aur mardo ki adam moodogi mein ba-hifazat e ilahi mardo k huqooq ki hifazat karti hai aur jin aurato se tumhe sarkashi ka andesha ho unhe samjhao, khawabgaaho mein unke bistar alag kardo aur maaro, agar wo matee ho jaye to khamakha unpar dastdaraazi k liye bahaane talaash na karo yaqeen rakkho k Allah bada aur baalatar hai. (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 34)


WALI MUHABBAT AUR RAGBAT K AETABAAR SE TAMAAM BEEWIYO K DARMIYAAN ADAL QAYIM KARNA MARD K BAS KI BAAT NAHI ALBATTA DEGAR HUQOOQ K MUAMALEY MEIN TAMAAM BEEWIYO K DARMIYAAN ADAL QAYIM KARNA ZAOORI HAI

"Beewiyo k darmiyaan poora poora adal karna (muhabbat k aetabaar se) tumharae bas mein nahi hai tum chaho bhi to us par qadir nahi ho sakte lihaza qanoon e ilahi ka taqaaza poora karne k liye ye kaafi hai k ek beewi ki taraf is tarah na jhuk jao k doosri ko darmiyaan mein latakta chood do (k na wo shohar wali ho na mutallaqa) agar tum apna tarz amal durust rakkho aur Allah se darte raho to Allah darguzar karne wala aur raham farmane wala hai". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 129)

Wazahat: Allah ta'ala se darte hue apni beewiyo k darmiyaan adal qayim karne ki poori koshish k bawajood gair iraadi taur par ya bashri taqaazo k ba'as kami baishi ko Allah ta'ala maaf farmayenge.


SHOHAR KI WAFAT K BAAD AURAT 4 MAAH 10 DIN TAK NA DOOSRA NIKAH KAR SAKTI HAI, NA ZAIB O ZEENAT KAR SAKTI HAI NA GHAR SE BAHAR RAATGUZAAR SAKTI HAI SHARI ISTALAAH MEIN ISE "IDDAT" KEHTE HAI

"Aur tum mein se jo loog mar jaye unke piche agar unki beewiya zinda ho to wo apne aapko 4 maah 10 din rookey rakkhey phir jab unki iddat poori ho jaye to apni zaat k muamaley mein maaroof tareeqey se jo kare tum par uska koi gunah nahi Allah tum sab k aamaal se bakhabar hai". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 234)

Wazahat: Nikah k baad shohar ne beewi se sohbat ki ho ya na ki ho dono soorato mein iddat 4 maah 10 hai albatta hamila ki iddat wazey hamal hai, yaad rahe jis aurat se shohar ne sohbat ki ho use madkhoola aur jis'se abhi sohbat na ki ho use gair madkhoola kehte hai.


MOMIN AURATO K NIKAH MUSHRIK MARDO K SAATH AUR MOMIN MARDO K NIKAH MUSHRIK AURATO K SAATH KARNE MANA HAI
MOMIN LOONDI, AAZAAD MUSHRIK AURAT SE BEHTAR HAI
MOMIN GULAAM, AAZAAD MUSHRIK MARD SE BEHTAR HAI

"Tum mushrik aurato se hargiz nikah na karna jab tak wo emaan na le aye ek momin loondi mushrik aurat se behtar hai agarchey tumhe bahut pasand ho aur apni aurato k nikah mushrik mardo se kabhi na karna jab tak wo emaan na le aye ek momin gulaam, musrik mard se behtar hai agarchey wo tumhe bahut pasand ho ye loog tumhe aag ki taraf bulaate hai aur Allah ta'ala apne azan se tumko jannat aur magfirat ki taraf bulaata hai Allah ta'ala apne ahkaam wazey taur par loogo k saamne baya karta hai toqey hai k wo sabaq hasil karenge aur naseehat qubool karenge". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 221)


DOOSRE KI MANKOOHA (AURAT) SE NIKAH KARNA HARAAM HAI
JANG MEIN HASIL HONE WALI KAFIRO KI MANKOOHA YA GAIR MANKOOHA AURATEY UNKE MALIK MUSALMANO K LIYE NIKAH K BAGAIR HALAAL AUR JAYEZ HAI
NIKAH KA MAQSAD ZINA, BADKAARI, AUR FAHAASHI KO KHATAM KARKE NAPAAK, SAAAF AUR SUTHRI ZINDAGI BASAR KARNA HAI

"Aur wo auratey bhi tum par haraam hai jo kisi doosre k nikah mein ho magar wo jo tumhari milkiyat mein aa jaye Allah ta'ala ne ye ahkaam tum par farz kar diye hai jiski paabandi karna tum par lazim hai mazkoora aurato k alawa jitni bhi aurate hai unhe apne amwaal (yaani mehar) k zariye hasil karna tumhare liye halaal kar diya gaya hai ba-shart k nikah mein unko mehfooz kar, na ye k aazaad shahoot rani karne lago". (Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 24)

Wazahat: Mazkoora ayat mein Allah ta'ala ne loondiyo se bagair nikah ghar mein mankooha beewiyo ki tarah rakhne ki ijazat di hai, loondiyo k baare mein shariyat k degar ahkaam ye hai:

1. Jang k ikhtataam par qaidi aurato ko sirf hakoomat hi sipahiyo mein taqseem karne ki muhaaz hai us'se pehle agar koi sipahi azkhud kisi qaidi aurat se sohbat karega to wo zina mein shumar hoga.
2. Qaidi hamila aurat se wazey hamal se pehle sohbat karna uske malik k liye bhi mana hai.
3. Qaidi aurat khawah kisi bhi mazhab se (alawa islam) ho us'se sohbat karna uske malik k liye bhi jayez nahi.
4. Loondi k malik k alawa doosre koi aadmi use haath nahi laga sakta.
5. Loondi k malik se paida hone wali aulaad k huqooq wahi honge jo salbi aulaad k hote hai aulaad paida hone k baad loondi ko farookht nahi kiya ja sakta aur malik k marte hi loondi azkhud aazaad maani jayegi.
6. Loondi ka malik apni loondi ko aulaad hone se pehle doosre k nikah mein de de to malik ka shahwaani talluq us se khatam ho jayega.
7. Kisi aurat ko hukumat kisi mard ki milkiyat mein de de to phir hukumat us aurat ko wapas lene ki muhaaz nahi rehti bilkul usi tarah jis tarah wali aruat ka nikah karne k baad wapas lene ka haqdaar nahi rehta.
8. Hukumat ki taraf se kisi aadmi ko jangi qaidi kafir k huqooq milkiyat ata karna wesa hi jayez qanooni amal hai jesa k nikah mein aejaab wa qubool k baad mard aurat ka ek doosre k liye halaal ho jana jayez aur qanooni amal hai, dono qanoon ek hi shariyat aur ek hi sharaa Allah subhanahu wa ta'ala k ata kardah hai.
9. Jangi halaat k adam talluq ki bina par loondi ki baik waqt milkiyat ki tadaad da taaeen bhi nahi kiya gaya.
10. Loondiyo ka qanoon aur hukm mansookh nahi hua balke hasb e halaat aur zarurat qayamat tak k liye baaqi aur nafiz amal hai.


AHLE KITAB KI PAAKDAMAN AURATO SE NIKAH JAYEZ HAI

"Aur wo paakdaman aurate bhi tumhare liye halal hai jo ahle emaan k garoh se hai ya un qaumo mein se hai jinhe tumse pehle kitab di gayi ba-shart k tum unke mehar ada karke unke muhafiz bano na ye k aazaad shahoot raani karne lago ya choori chupke aasnaiya karo aur jis kisi ne emaan ki roshni par chalne se inkar kiya uske saare (naik) amaal zaaya ho jayenge aur wo aakhirat mein diwaliya hoga". (Surah Maidah Surah no. 5 Ayat no. 5)

Wazahat: 1. Ahle kitab ki aurato se nikah karne ki ijazat hai lekin unhe apni aurate nikah mein dene ki ijazat nahi.
2. Ahle kitab ki aurate mushrik ho to unse nikah karna mana hai.


JIS BACCHE NE DO SAAL KI UMAR TAK YA US'SE PEHLE PEHLE KISI AURAT KA DOODH PIYA HO USKI HURMAT RAZA'AT SABIT HOGI DO SAAL K BAAD KISI AURAT KA DOODH PEENE SE HURMAT RAZA'AT SABIT NAHI HOTI

"Aur humne insaan ko apne walidayn ka haq pehchan'ne ki khud taakeed ki hai uski maa ne zaaf par zaaf (mushkil) utha kar use apne pait mein rakkha aur do saal uske doodh choodne mein lage k tum meri aur mere maa baap ki shukar guzaari karo, tum sab ko meri taraf hi loot kar aana hai". (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 14)

Wazahat: Doodh peene mein paanch ghoont ki shart hai, is se kam ho to raza'at sabit nahi hoti.


MUH BOOLE RISHTE SE HURMAT SABIT NAHI HOTI

"Phir jab Zaid Razi Allahu Anhu us se (yaani Zainab Razi Allahu Anha se) apni hajat poori kar chuka to humne us (mutallaqa khatoon) ka nikah tumse kr diya takey momino par apne muh boole baito ki beewiyo k muamaley mein koi tangi na rahe jabke wo unse apni ijazat poori kar chuke ho aur Allah ka hukm to poora hona hi tha". (Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat no. 37)


RAMAZAAN KI RAATO MEIN APNI BEEWIYO SE SOHBAT KARNA JAYEZ HAI
MIYA BEEWI EK DOOSRE K RAAZDAAN HAI

"Tumhare liye roozo ki raato mein apni beewiyo k paas jana halal kar diya gaya hai wo tumhare libaas hai aur tum unke libaas ho". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 187)


NIKAH INSAN K LIYE BA'AS RAAHAT WA SAKOON HAI
NIKAH K BAAD ALLAH TA'ALA FARIQEEN MEIN MUHABBAT AUR RAHMAT K JAZBAAT PAIDA KAR DETE HAI

"Aur uski nishaniyo mein se ye hai k usne tumhare liye tumhari jins se beewiya banayi takey tum unke paas sakoon hasil karo aur tumhare darmiyaan muhabbat aur ragbat paida kardi yaqeenan usme bahut si nishaniya hai un loogo k liye jo guar o fikr karte hai". (Surah Room Surah no. 30 Ayat no. 21)


PAAKDAMAN MARD YA AURAT KA NIKAH ZANIYA AURAT YA ZAANI MARD SE KARNA HARAM HAI

"Zaani nikah na kare magar zaniya k saath ya mushkika k saath aur zaniya k saath nikah na kare magar zaani ya mushrik, aur ye haram kar diya gaya hai ahle emaan par". (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 3)


HAIZ AANE SE QABL KAM SUNI MEIN NIKAH JAYEZ HAI

"Aur tumhari aurato mein se jo haiz se mayoos ho chuki ho unke muamaley mein agar tumhe koi shak hai to (maloom hona chahiye k) unki iddat teen maheene hai aur yahi unka hukm hai jinhe abhi haiz na aaya ho aur hamila aurato ki iddat ye hai k unka wazey hamal ho jaye jo shaks Allah se dare usi k muamaley mein wo sahoolat paida kar deta hai". (Surah Talaq Surah no. 65 Ayat no. 4)

No comments:

Post a Comment