Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 11 October 2014

NIKAH KI IQSAAM

NIKAH KI IQSAAM

Bismillahirrahmanirraheem

NIKAH KI MANDARJA ZAIL IQSAAM HAI: 1. NIKAH E MASNOON, 2. NIKAH E SHIGAAR, 3. NIKAH E HALALA, 4. NIKAH E MUTA'A


NIKAH E MASNOON

WALI KI SARPARASTI MEIN UMAR BHAR RIFAQAT NIBHAANE KI NIYAT SE KIYA GAYA NIKAH MASNOON KEHLAATA HAI, JO K JAYEZ HAI

APNE SHOHAR K ALAWA DOOSRE MARDO SE IKHTALAAT KI TAMAAM QISMEY HARAAM HAI

AURAT K LIYE BAIK WAQT EK SE ZAYED MARDO SE NIKAH KARNE KA TAREEQA ISLAAM NE HARAAM QARAAR DIYA HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k zamana e jahiliyat mein chaar tarah se nikah kiye jaate they, pehla tareeqa yahi hai jis tareeqey se aaj bhi loog karte hai ek mard, doosre mard (wali) ki taraf uski baiti ya rishtedaar aurat k liye nikah ka paigaam bhejta, wo (wali) mehar muqarrar karta aur (apni baiti ya apni rishtedaar aurat se) nikah kar deta, doosra tareeqa ye tha k aurat jab haiz se paak ho jati to shohar use kehta k fala (khoobsurat, bahadur aur khandani) mard ko bula kar us'se zina karo, uske baad jab tak hamal ka pata na chal jata aurat ka shohar us'se alag rehta hamal wazey ho jane k baad agar shohar chahta to khud bhi apni beewi se hambistari karta, ye is liye kiya jata k aali khandaan ki khoobsurat aulaad paida ho, is nikah ko nikah e istabza'a kaha jata hai, teesra tareeqa ye tha k dass (10) ki tadaad se kam aadmi mil kar ek hi aurat se badkaari karte, hamal k baad jab wo baccha janti (paida karti) to chand dino k baad wo aurat un sab mardo ko bula bhejti aur kisi ki majaal na thi k wo aane se inkaar kare jab wo saare mard ikatthey ho jaate to aurat unse kehti "jo kuch tumne kiya wo khoob jaante ho ab mene ye baccha jana (paida kiya) hai aur ae falah! ye tumhara baita hai" aurat jiska chahti naam le deti aur baccha (qanooni taur par) usi mard ka ho jata jiska aurat naam leti aur mard ki itni majaal na hoti k wo inkaar karde, nikah ka chootha tareeqa ye tha k ek aurat k paas bahut se aadmi aate jaate har ek us'se badkaari karta aur wo aurat kisi ko mana na karti ye tawaifey hoti jo (alamat k taur par) apne gharo mein jhandey laga deti jo chahta unke paas (badkaari k liye) ata jata, jab aesi aurat hamila ho jaati aur baccha jan leti to saare mard jo uske saath badkaari karte rahe they kisi qayafa shinaash (pehchaan karne wale) ko uske paas bhejte (wo apne ilm qayafa ki rooh se) jis mard ko us bacche ka baap batata baccha usi ka baita qaraar diya jata aur wo mard inkaar na kar sakta, jab Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam deen e islam le kar aye to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jahiliyat k saare nikah haraam qaraar de diye sirf wahi nikah baaqi rakkha jo ab bhi rayej hai. (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)


NIKAH E SHIGAAR

APNI BAITI YA BEHAN IS SHART PAR KISI K NIKAH MEIN DENA K USKE BADLEY MEIN WO BHI APNI BAITI YA BEHAN USKE NIKAH MEIN DEGA YA KISI KI BAITI KO IS SHART PAR APNI BEHAN BANANA K WO BI USKI BAITI KO APNI BAHU BANAYEGA, YE NIKAH E SHIGAAR (WATA SATA) KEHLATA HAI AESA NIKAH KARNA MANA HAI

Hazrat Adbullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Nikah e shigaar islam mein nahi". (Sahih Muslim Kitabun Nikah)

Hazrat Adbullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nikah e shigaar se mana farmaya hai aur shigaar ye hai k ek aadmi apni baiti doosre aadmi se is shart par biyah de k wo apni baiti us'se biyah de aur dono ka koi mehar muqarrar na ho. (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)


NIKAH E HALALA

Halala aese aqad ko kehte hai jisme koi shaks mutallaqa salasa se mehaz talaaq ki niyat se hi nikah wa mubashirat karta hai takey wo aurat pehle shohar k liye halaal ho jaye, is garz se nikah karne wale ko "MUHALLAL" (halala karne wala) aur jiske liye aurat ko halaal kiya ja raha ho use "MUHAL'LALAH" (yaani pehla shohar) kehte hai

HALALA KARNE WALA AUR KARWANE WALA DONO LAANATI HAI

Hazrat Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne halala karne wale aur jiske liye halala kiya jaye dono par laanat farmayi. (Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 894)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya mein tumhey udhaar (kiraaye) k saand ki khabar ne du? Sahaba Razi Allahu Anhu ne arz kiya kyu nahi ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya wo halala karne wala hai, Allah ta'ala ne halala karne wale aur jiske liye halala kiya jaye dono par laanat farmayi hai". (Sahih ibne Maja Kitabun Nikah Hadees no. 1572)


NIKAH E MUTA'A

TALAAQ DENE KI NIYAT SE MUKHTASAR WAQT (KHAWAH CHAND GHANDE HO CHAND DIN HO YA CHAND HAFTE HO YA CHAND MAHEENE) K LIYE KISI AURAT SE MEHAR TEH KARKE NIKAH KARNA, NIKAH E MUTA'A KEHLATA HAI JO K HARAAM HAI

Hazrat Ali Razi Allah Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jang e khaibar k waqt muta'a aur gharailu gadho k goosht se mana farma diya. (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)

Hazrat Rabeeh bin Sabura Juhni Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke walid ne unse bayan kiya k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae loogo! mene tumhe aurato se muta'a karne ki ijazat di thi, lekin ab Allah ta'ala ne qayamat k din tak use haraam kar diya hai, lihaza agar us qism ki koi aurat kisi k paas ho to wo use chood de aur jo kuch tumne unhe diya hai wo unse wapas na lo". (Sahih Muslim Kitabun Nikah)

Wazahat: Yaad rahe fateh makkah se pehle tak nikah e muta'a jayez tha jise fatah makka k moukey par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haraam qarar de diya ya baaz Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhu jinhey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is hukm ka ilm na ho saka wo use jayez samajhte lekin Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne apne ahad e khilafat mein jab sakhti se is qanoon par amal karwaya to tamaam Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko iski hurmat ka ilm ho gaya aur uske baad kisi ne use jayez nahi samjha.

No comments:

Post a Comment