Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 20 January 2016

NAMAZ E ISHRAAQ WA CHAAST (ZUHA)

NAMAZ E ISHRAAQ WA CHAAST (ZUHA)

Bismillahirrahmanirraheem

Zuha k maana hai din ka chadhna aur ishraaq k maana hai tulu aaftaab, pas jab aaftaab tulu ho kar ek naizey k barabar ho jaye to us waqt nawafil ka padhna namaz e ishraaq kehlata hai.

Hazrat Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu se marvi hadees mein is namaz ko salaatul Awwabeen bhi kaha gaya hai (yaani Allah ta'ala ki taraf ruju karne walo ki namaz).

Hazrat Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu ne kuch loogo ko zuha ki namaz padhte dekha to kaha beshak ye loog jaante hai k is waqt k alawah namaz padhna afzal hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Awwabeen ki namaz ka waqt wo hai jis waqt ounth k bacchey k pao garam ho". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 748)

Maghrib aur isha k darmiyan padhi jaane wali namaz ko jis riwayat mein Salaatul Awwabeen kaha gaya hai wo riwayat mursal yaani zaeef hai.

Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har aadmi par lazim hai k apne (jism k) har band (joodh) k badley sadqa khairaat kare, pas SUBHANALLAH kehna sadqa hai, ALHAMDULILLAH kehna sadqa hai LA ILAHA ILLALLAH kehna sadqa hai ALLAHU AKBAR kehna sadqa hai, naiki ka hukm dena sadqa hai aur buri baat se rook dena bhi sadqa hai aur in sab cheezo se zuha ki do rakaatey kifayat karti hai". (Sahih Muslim Kitbaus Salaatul Musafireen Hadees no. 720)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala farmata hai! Ae Aadam k baitey khalis mere liye chaar rakaatey awwal din mein padh (yaani ishraaq ki) mein tujhko us din ki shaam tak kifayat karunga". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1289, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 474, Hafiz Zahbi ne ise hasan aur Imam Ibne Hibban ne sahih kaha)

Kifayat ka ek mafhoom ye bhi hai k tere kaam sawarunga. (Wallahu Aalam)

Hazrat Muaaz ne Ayesha Siddeqa Razi Allahu Anha se daryaft kiya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e zuha ki kitni rakaatey padhte they? Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha "Chaar rakaatey aur jis qadar Allah ta'ala chahta aap (us se) ziyaadah (bhi) padhte". (Sahih Muslim Hadees no. 719)

Hazrat Ummey Haani Razi Allahu Anha farmati hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne fatah makkah k din ghusal kiya aur 8 rakaat namaz e zuha padhi". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud, Baab Salaatuz Zuha fis Safar Hadees no. 1176, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 336)

Maloom hua k chaasht (zuha) ki rakaatey do, chaar aur aath (8) hai.

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne farmaya "Mujhe mere piyaare doost Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen cheezo ki waseeyat ki, jab tak mein zindah rahunga unko nahi choodunga, har (arabi) maheena (mein 13, 14 aur 15) k teen roozey, chaast ki do rakaatey aur sooney se pehle witr padhna". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1178, Sahih Muslim Hadees no. 721)

Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek kaam ko chood dete halankey aapko uska karna pasand hota tha, aap us baat se darte they k aesa na ho k loog is kaam ko karne lag jaye phir wo un par farz ho jaye. (Sahih Bukhari Abwabut Tahajjud Hadees no. 128, Sahih Muslim Hadees no. 718)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafat k baad namaz e chaast k farz hone ka khauf khatam ho gaya, jis khauf ki bina par Rasool E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam kabhi chaast ki namaz ada karte aur kabhi na karte, ab ye namaz hamare liye mustahab hai.


FAJAR KI NAMAZ K BAAD MASJID MEIN BAITHNA AUR SOORAJ NIKALNE K BAAD DO RAKAAT PADHNA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne fajar ki namaz jamaat se padhi phir sooraj nikalne tak baitha aur Allah ka zikr karta raha (sooraj nikalne k baad) do rakaat namaz padhi uske liye hajj aur umrah k barabar sawab hai" Aapne farmaya "Poorey hajj aur umrah ka, poorey hajj aur umrah ka, poorey hajj aur umrah ka. (Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 576)

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab farjar ki namaz ada karte to sooraj k tulu hone tak masjid mein baith'te, jab sooraj tulu hota to aap jaane k liye khade hote". (Sahih Muslim Hadees no. 670)

No comments:

Post a Comment