NAMAZ E ISTAKHARAH KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
Jab kisi ko koi (jayez) amr darpaish ho aur wo us mein mutaraddud ho, k isey karu ya na karu, ya jab kisi kaam ka iraadah kare to us mouqey par istakharah karna sunnat hai.
Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey tamaam mouqo k liye usi tarah istakharah ki dua sikhate they jis tarah quran hakeem ki koi surah sikhaate they aap farmate "Jab koi aadmi kisi kaam ka iraadah kare to do rakaat nafil ada kare phir farigh ho kar ye dua padhey:
"ALLHUMMA INNI ASTAKHEERUKA BI ILMIKA WA ASTAQDIRUKA BI QUDRATIKA WA AS'ALUKA MIN FAZLIKAL AZEEMI FA INNAKA TAQDIRU WALA AQDIRU WA TAALAMU WALA AALAMU WA ANTA ALLAMUL GHOYOOBI ALLAHUMMA IN KUNTA TAALAMU ANNA HAZAL AMRA KHAIRUL LI FI DEENI WA MA'AASHI WA AAQIBATI AMRI FAQDURHU LI SUMMA BARIK LI FEEHI WA IN KUNTA TAALAMU ANNA HAZAL AMRU SHARRUL LI FI DEENI WA MA'AASHI WA AAQIBATI AMRI FASRIFHU ANNI WASRIFNI ANHU WAQDUR LIYAL KHAIRA HAISU KANA SUMMAR ZINI BIHI"
"Ae Allah! tehqeeq mein (us kaam mein) tujhse tere ilm ki madad se khair maangta hu aur (husool e khair k liye) tujhse teri qudrat k zariye qudrat maangta hu aur mein tujh se tera fazal e azeem maangta hum beshak tu (har cheez par) qaadir hai aur mein (kisi cheez par) qadir nahi, tu (har kaam k anjaam ko) jaanta hai aur mein (kuch) nahi jaanta aur tu tamaam ghaibo ka jan'ne wala hai, Ae Allah! agar tu jaanta hai k ye kaam (jiska mein iraadah rakhta hu) mere liye mere deen, meri zindagi aur mere anjaam-kaar k lihaaz se behtar hai to ise mere liye muqaddar kar aur aasaan kar phir is mein mere liye barkat paida farma aur agar tere ilm mein ye kaam mere liye deen, meri zindagi aur mere anjaam-kaar k lihaz se bura hai to is (kaam) ko mujhse aur mujhe is se phair de aur mere liye bhalaayi muhayya kar jaha (kahi bhi) ho, phir mujhe uske sath raazi karde, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k phir apni hajat bayan karo". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1162)
Baaz loog khud istakharah karne ki bajaaye dosro se istakharah karwate hai ye roosh ek waba ki shakal ikhtayar kar gayi hai jisne jagah jagah doosro k liye istakharah karne wale specialist paida kar diye hai halankey apne liye khud istakharah karne ki bajaaye kisi aur se istakharah karwana sirf khilaf e sunnat hi nahi balke kahin aur najoomi ki tasdeeq karne k mutaradif hai khasoosan jabke istakharah karwane wala is niyat se istakharah karwata hai k mujhe in 'buzurgo' se koi pakki khabar ya wazey mushahidah milega jise baad mein wo mim-wa-an saccha jaan kar kisi kaam k karne ya na karne ka faisla karta hai, halankey istakharey k liye na to ye laazmi hai k ye sooney se pehle kiya jaye aur na ye laazmi hai k khawab mein koi wazey isharah hoga, seedhi si baat hai k zaroorat-mand khud istakharah karey Allah ta'ala uska seena khool dega mazeed tasalli chahta hai to kisi acchey shaks se mashwarah karke phir wo jo kaam karega Allah ta'ala us mein behtari paida karega in sha Allah ta'ala (Muhammad Abdul Bazzaaz)
Jab aap ye masnoon istakharah karke koi kaam karengey to Allah ta'ala apne fazal se zaroor us mein behtari ki soorat paida karega aur burayi se bachayega.
Istakharah raat ya din ki jis ghadi mein bhi aap chahey kar sakte hai, siwaaye auqaat e maqrooha k.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Sunday, 17 January 2016
NAMAZ E ISTAKHARAH KA BAYAN
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment