NAMAZ E TASBEEH
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib Razi Allahu Anhu se farmaya "Ae chacha Abbas! kya mein aapko kuch ata na karu? kya aapko kuch inayat na karu? kya mein aapko koi tohfa paish na karu? kya mein aapko (darj e zail amal ki wajah se) 10 acchi khaslatey wala na bana du? k jab aap ye amal kare to Allah ta'ala aapke agle pichle, purane naye, anjaane mein aur jaan boojh kar kiye gaye tamaam chootey bade, posheedah aur zahir gunah maaf farma de?
wo ye hai k:
Aap 4 rakaat nafil is tarah ada kare k har rakaat mein surah fatiha aur koi doosri surah padhey, jab aap is qiraat se farigh ho jaye to qayaam ki halat mein hi ye kamlmaat 15 baar padhey:
"SUBHANALLAHI WAL HAMDU LILLAHI WA LA ILAHA ILLALLAHU WALLHU AKBAR"
Phir aap ruku mein jaye (tasbeehaat ruku se farigh ho kar) ruku mein hi inhi kalmaat ko 10 baar dohraaye, phir aap ruku se uth jaye aur (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH wagairah se farigh ho kar) 10 baar yahi kalmaat padhey, phir sajdey main jaye (sajdey ki tasbeehaat aur duwaye padhne k baad) yahi kalmaat 10 baar padhey, phir sajdey se sar uthaiye (aur us jalsa mein jo duwaye hai wo padh kar) 10 baar inhi kalmaat ko dohraiye aur phir (doosre) sajde mein chale jaiye (pehle sajde ki tarah) 10 baar phir is tasbeeh ko ada kare, phir sadah se sar utahiye (aur jalsa e istarahat mein kuch aur padhey baghair) 10 baar is tasbeeh ko dohraiye, ek rakaat mein kul 75 tasbeehaat hui isi tarah chaaro rakaat mein ye amal dohraiye.
Agar aap taqat rakhte ho to namaz e tasbeeh rozaana ek baar padhey, agar aap aesa na kar sakte ho to hafta mein ek baar padhey, ye bhi na kar sakte ho to maheeney mein ek baar padhey, ye bhi na kar sakey to saal mein ek baar, agar aap saal mein bhi ek baar aesa na kar sakte ho to zindagi mein ek baar zaroor padhey. (Abu Dawood Bab Salaatut Tasbeeh Hadees no. 1297, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1386, Imam ibne Khuzaima Hadees no. 1216 aur Hakim 1:318 ne ise sahih kaha)
Hafiz ibne Hajar Rahimahullah farmate hai k ye hadees kasrat e tarq ki bina par hasan darja ki hai, Shaikh Albani farmate hai k Imam Hakim aur Hafiz zahbi ne is hadees ki taqwiyat ki taraf ishaarah kiya hai aur ye haqq hai kyunki iske bahut se tarq hai, Allama Mubarak poori aur Sheikh Ahmad Shakir ne bhi ise hasan kaha hai, jabke Khateeb Baghdaadi, Imam Nawawi aur Ibne Salaah ne ise sahih kaha.
Yaad rahe k is hadees shareef mein namaz e tasbeeh ko ba-jamaat ada karne ka zikr nahi hai sirf infiradi amal k taur par Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne chacha jaan ko uski targheeb di hai lihaza jo musalmaan namaz e tasbeeh ada karna chahey usey chahiye k pehle namaz e tasbeeh ka tareeqa seekhey, phir isey tanhaayi mein akela padhey, aur ye rawaiyya bhi intihaayi mubarak hai k bandah farz namazo par to tawajjah na de magar namaz e tasbeeh (ba-jamaat) ada karne k liye hamesha betaab rahe, lihaza farz namazo k taarik ko pehle sacchi tauba karni chahiye phir wo namaz e tasbeeh padhey to usey yaqeenan faida hoga In Sha Allah ul Azeez.
Namaz e tasbeeh k baad padhi jaane wali dua ki sanad sakht zaeef hai uske raavi Abdul Quddoos bin Habeeb ko Hafiz Haishmi ne Matrook aur Abdullah bin Mubarak ne kazzaab kaha hai.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Wednesday, 20 January 2016
NAMAZ E TASBEEH
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment