TAKBEERAAT E EID
Bismillahirrahmanirraheem
Hafiz ibne Hajar Rahimahullah takbeeraat k padhne k baare mein farmate hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se is baarey mein koi hadees sabit nahi, Sahaba Razi Allahu Anhum se jo sahih tareen riwayat marvi hai wo Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ka qaul hai".
1. Hazrat Ali Razi Allahu Anhu arfa k din (9 zill hijjah) ki fajar se le kar 13 zill hijjah ki asar tak takbeeraat kehte. (Behaqui 3:279, Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)
2. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu eid ul fitr k din ghar se eid-gaah tak takbeeraat kehte. (Behaqui 3:279, Imam Behqui farmate hai k hadees Ibne Umar Razi Allahu Anhu mauqoofan mehfooz hai)
3. Imam Zahri kehte hai k loog eid k din apne gharo se eig-gaah tak takbeeraat kehte, phir imam k saath takbeeraat kehte. (Musannaf ibne Ibi Shaiba 1:489)
4. Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu 9 zill hijjah ko namaz e fajar se le kar 13 zill hijjah namaz e asar tak in alfaaz mein takbeeraat kehte:
"ALLAHU AKBAR KABEERA, ALLAHU AKBAR KABEERA, ALLAHU AKBAR WA AJALLULLAHU AKBARU WA LILLAHIL HAMD"
"Allah sabse bada hai, bahut bada hai, Allah sabse bada hai bahut bada hai, Allah sabse bada hai aur sabse ziyaadah sahib e jalaal hai, Allah sabse bada hai, Allah hi k liye saari tareef hai". (Ibne ibi Shaiba 1:489, 490, ise Imam Hakim 1:299 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)
5. Hazrat Salman Razi Allahu Anhu yuh takbeeraat kehte:
"ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR KABEERA". (Behaqui 3:316)
Hafiz ibne Hajar Rahimahullah kehte hai k is baarey mein sahih tareen qaul Hazrat Salman Razi Allahu Anhu ka hai.
TAMBIYAAH:
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se alfaaz e takbeeraat ki sarahat Daare Qutni mein yuh aayi hai:
"ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, LA ILAHA ILLALLAHU, WALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, WA LILLAHIL HAMD".
Is Hadees ko imam Zahbi ne sakht zaeef balkey mouzo (manghadat) kaha hai, lihaza in alfaaz ko aapki taraf mansoob karna jayez nahi hai.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Tuesday, 5 January 2016
TAKBEERAAT E EID
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment