Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 27 January 2016

AHKAAM E JANA'IZ - TAJ'HEEZ WA TAKFEEN

AHKAAM E JANA'IZ - TAJ'HEEZ WA TAKFEEN

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas ek janazah guzra aapne farmaya "Rahat paane wala hai ya us se auron ne rahat paayi" momin bandah dunya k ranj wa museebat se rahat pata hai aur us aeza se Allah ki rahmat ki taraf aaraam pata hai aur faji bandah se insan, shehar, darakht aur janwar rahat paate hai". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq Hadees no. 6512, Sahih Muslim Hadees no. 950)

AALAM E NAZA MEIN TALQEEN

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Un loogo ko jo marne k qareb ho (LA ILAHA ILLALLAH) ki talqeen karo". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 916, 917)

Yaani unke qareeb (LA ILAHA ILLALLAH) padho takey usey sun kar wo bhi padhey lekin afsoos k zohla zindah, qareeb ul marg ko to uski talqeen nahi karte albatta maut k baad chaar-paayi ko kandha dete waqt kehte jate hai "kalma e shahadat" halankey khair ul quroon k musalmano mein se kisi ne bhi ye kaam nahi kiya phir ye aaj hamare deen ka hissa kese ban sakta hai?

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Jiska aakhir kalaam "LA ILAHA ILLALLAH" ho wo janat mein dakhil hoga". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3116, ise Hakim 1:351, 500 aur Zahbi ne sahih kaha)

Kyunki usne aasaar e maut dekh kar nahi balke Allah se darr kar (LA ILAHA ILLALLAH) padha lekin chand hi lamho baad Allah ki qaza aa gayi aur (LA ILAHA ILLALLAH) uski zindagi ka aakhiri kalaam ban gaya, Allah ta'ala sabko iski tofeeq de Aameen.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum beemar ya mayyat k paas jao to bhalaayi ki baat kaho kyunki us waqt tum jo kuch kehte h farishte us par aameen kehte hai". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 919)

ALLAH TA'ALA K BAARE MEIN NAIK GUMAAN RAKHNA WAJIB HAI.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tumhey is haal mein maut aani chahiye k tum Allah ta'ala k saath accha gumaan rakhte ho". (Sahih Muslim Kitabul Jannah Hadees no. 2877)

MAKKAH AUR MADEENA MEIN MARNE KI TAMANNA KARNA

Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha riwayat karti hai k mene Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ko ye dua karte hue suna:

"ALLAHUMMAR ZUQNI SHAHADATAN FI SABEELIKA WAJ'AL MAUTI FI BALADI RASOOLIKA"

"Ae Allah! mujhe shahadat ki maut de aur mujhe madeena e Rasool mein maut de". (Sahih Bukhari Abwabul Fazail E Madeena Hadees no. 890)

MAUT KI AARAZU KI MUMANIYAT

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Maut ki aarazu na karo, agar tum naik ho to shayad ziyadah naiki kar sakoge aur agar bad-kaar ho to shayad tauba karke Allah ko raazi kar sakoge". (Sahih Bukhari Kitabul Tamanna Hadees no. 7235)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Na maut ki aarazu karo na maut ki dua karo, kyunki jab koi shaks mar jata hai to uski (naiki karne ki) ummeed khatam ho jati hai aur momin ki lambi umar se uski naikiya badhti hai". (Sahih Muslim Kitabul Zikr wa Dua Hadees no. 2682)

Ibne Umar Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera kandha pakad kar farmaya "Dunya mein is tarah reh goya k tu musafir balke raahi hai" chunanchey Ibne Umar Razi Allahu Anhu farmaya karte they jab shaam ho to subah ka intazaar na karo, jab subah ho to shaam ka intazaar na karo, tandrusti ko beemari aur zindagi ko maut se pehle ghaneemat jaan. (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq Hadees no. 6416)

KHUD KHUSHI SAKHT GUNAH HAI

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks apne aapko gala ghoont kar maar daalta hai wo jahannam mein apna ghoot'ta rahega aur jo shaks naizah chubho kar apni jaan deta hai wo jahannam mein apne aapko naizah maarta rahega aur wo jahannam mein hamesha hamesha rahega". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1365, Sahih Muslim Hadees no. 109)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala ne farmaya: Mere bande ne apni jaan khud li is liye mene us par jannat haraam kardi". (Sahih Bukhari Hadees no. 3463, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 113)

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us shaks ki namaz e janazah nahi padhi jisne khud khushi ki thi". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 978)

Lihaza mu'azzaz ahle ilm uski namaz e janazah mein shareek na ho takey baaqi logo ko ibrat hasil ho.

MAYYAT KO BOOSA DENA

Jiska koi qareebi dost, azeez faut ho jaye to usko mayyat ka fart e muhabbat se boosa lena jayez hai kyunki Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat par aapka boosa liya tha. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1241)

MAYYAT PAR CHADAR DAALNA

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k "Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam faut hue to ek dhaari-daar yamni chadar se aapko dhaanp diya tha". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1241)

FAUT HONE WALE K DOOSTO AUR RISHTEDAARO KO USKE MARNE KI ITTELA DENA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne habsha k baadshah najjashi k marne ki us din khabar di jis din wo faut hua. (Sahih Bukhari Hadees no. 1245)

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ghazwa e mutah mein pehle Zaid phir Jafar aur phir Abdullah bin Rawaha Razi Allahu Anhum ki shahadat ki ittela di aur aapki aankho se aansu jaari they. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1246)

MAYYAT KI AANKHEY BAND KARNA

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Abu Salma Razi Allahu Anha ki iyadat ko aaye aur unki aankhey khuli reh gayi thi, phir aapne unko band kiya aur farmaya "K jab jaan nikalti hai to aankhey uske pichey lagi rehti hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 920)

MAYYAT KO JALD DAFAN KARNA

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mayyat ko jald dafan karo, agar wo naik hai to jis taraf tu usey bhej rahe ho wo uske liye fayedah mand hai aur agar wo bura hai to usko apni gardano se utaar dogey". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1315, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 944)

No comments:

Post a Comment