Bismillahirrahmanirraheem
Alhamdulillah Namaz e Nabwi mein sirf Ahadees e Saheeya se istadlaal kiya gaya hai.
Darj e zail riwayaat ko asar e hazir k azeem muhaddis Allama Muhammad Nasir ud Deen Albani Rahimahullah ne zaeef qaraar diya hai is liye namaz e nabawi mein un riwayaat ko shamil nahi kiya gaya hai agarchey ye riwayaat namaz ki baaz kitaabo mein mojood hai:
1. Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab bait ul khula mein dakhil hote to apni angoothi utaar dete". (Abu Dawood Hadees no. 19, Tirmizi Hadees no. 1746)
Ye Riwayat zaeef hai is mein Ibne Jareej Mudallis hai aur wo An se riwayat karta hai.
2. Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawal kiya gaya k kya aurat kurte aur oudhni mein namaz padh le jabke tahband na ho? Aapne farmaya "Han! agar kurta lamba hai aur qadmo ki pusht ko dhaanpta hai". (Abu Dawood Hadees no. 640)
Iski sanad mein Muhammad bin Zaid bin Qunfaz ki maa Ummey Haraam Maj'hool hai, lihaza ye hadees marfoo aur moqoof dono zaeef hai.
3. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi namaz padhey to apne saamne koi cheez rakkhey, agar uske paas (rakhne k liye) asa na ho to khat khinchey phir jo bhi uske aagey se guzrega nuksaan na dega". (Abu Dawood Hadees no. 689)
Ye riwayat zaeef hai is mein Abu Umar wa bin Muhammad bin Harees aur uska dada dono maj'hool hai.
4. Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ha'iza aur jumbi quran majeed na padhey". (Tirmizi Hadees no. 131)
Ye riwayat zaeef hai: Ismaeel bin Ayaash ahle hijaaz se munkir riwayaat bayan karta hai, uska ustaaz Mosa bin Uqba hijaazi hai.
5. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har baal k nichey janabat hai pas baalo ko dhoowo aur badan paak karo". (Abu Dawood Hadees no. 248)
Is riwayat mein Haris bin Wajyah hai jo zaeef hai.
6. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kulli karne k liye aur naak mein paani daalne k liye alag alag paani lete. (Abu Dawood Hadees no. 139)
Ye riwayat zaeef hai, is mein Lais bin abi Saleem Haleef mudallis hai aur wo An se riwayat karta hai.
7. Hazrat Uqba bin Aamir al Juhani Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k "Jisne acchi tarah wuzu kiya phir apni nigaah aasmaan ki taraf utha kar shahadatain padha uske liye jannat k aatho darwaazey khool diye jaate hai". (Abu Dawood Hadees no. 170)
Ye riwayat zaeef hai, kyunki Abu Aqeel ka chacha-zaad bhai maj'hool hai.
8. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Koi shaks wuzu k bagair azaan na de". (Tirmizi Hadees no. 200, 201)
Is silsile ki dono riwayaat zaeef hai, ek riwayat mein Muawiyah bin Yahya Al Sadafi hai jo zaeef hai aur doosri riwayat munqatey hai, kyunki Ibne Shihaab Zahri ki Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se sima'at sabit nahi.
9. Ziyaad bin Haris Sadaayi bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks azaan kahe wahi takbeer kahe". (Tirmizi Hadees no. 199, Abu Dawood Hadees no. 514)
Abdur Rahman bin Ziyaad Afreeqi k zaeef k bina par ye riwayat zaeef hai.
10. Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne iqamat kahi jab "QADMA MATIS SALAAH" kaha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne "AQAMA HALLAHU WA ADAMAHA" kaha. (Abu Dawood Hadees no. 528)
Ye riwayat zaeef hai is riwayat mein "RAJULA MIN AHLISH SHAAM" maj'hool hai aur Muhammad bin Sabit zaeef hai.
11. Namaz e Payambar k musannif Dr. Muhammad Ilyas Faisal ne azaan aur takbeer k masa'il mein apne fiqhi maslak ki pairvi mein intihaayi be-insaafi se kaam liya.
Masnoon azaan k kalmaat k saboot mein Hazrat Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu ki riwayat (Abu Dawood Hadees no. 499) paish ki lekin aadhi hadees ka zikr kiya, riwayat mein mojooda iqamat k alfaaz ka zikr tak nahi kiya kyunki takbeer k taaq kalmaat unke fiqhi maslak mein jayez nahi they.
Isi tarah iqamat k alfaaz k liye Hazrat Abu Mahzoorah Razi Allahu Anhu ki riwayat (Tirmizi Hadees no. 192) paish ki lekin aadhi, hadees k alfaaz mulahiza farmaiye:
Hazrat Abu Mahzoorah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne azaan k 19 kalmaat aur takbeer k 17 kalmaat sikhaaye. (Tirmizi Hadees no. 192)
Afsoos Dr. Muhammad Ilyaas sahab ne fiqhi taasub ka saboot dete hue azaan k 19 kalmaat ka zikr tak nahi kiya kyunki azaan mein tarjee unke maslak mein jayez nahi hai.
Dr. Mosoof ne apni kitab mein jagah jagah intihaayi be-insaafi ka saboot diya, Ahadees e Saheeya ko zikr karne k bajaaye apne maslak ko sahih sabit karne k liye jayez na-jayez tareeqey ikhtiyaar kiye.
Ek hawala mulahiza farmaiye:
Hazrat Abdullah bin Umar aur Hazrat Abdullah ibne Abbas Razi Allahu Anhum chaar burd (48 kilometer) k lambe safar mein namaz qasar padhte aur rooza iftaar karte aur chaar burd 16 farsakh k barabar hote hai. (Sahih Bukhari)
Bukhari mein ye riwayat sanad k saath mojood nahi hai, Imam Bukhari Rahimahullah ne baab mein bila sanad is riwayat ka zikr kiya, inko Taaliqaat e Bukhari kaha jata hai, Bukhari ki Sahih riwayat mein inka shumaar nahi hota.
ye hawala bhi mulahiza farmaiye:
(Tashahud mein padhte hue) jab "ASH'HADU AN LA ILAHA" par pahunchey to haath ki badi ungli aur angoothey ka halqa banaye, shahadat ki ungli se isharah kare aur "ILLALLAH" par ungli ko nichey kare. (Safa no. 196)
Doraan e khutba sunnatey na padhey. (Safa no. 244)
Unhone apni baat ki koi daleel naqal nahi ki, aesa karna Ahadees e Saheeya se sabit nahi, balke ye baat sahih ahadees k khilaaf hai.
12. Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k sunnat ye hai k haath naaf k nichey rakkhey jaye. (Abu Dawood Hadees no. 756)
Ye riwayat zaeef hai kyunki Ziyad bin Zaid Maj'hool hai aur Abdur Rahman bin Is'haaq al Koofi ko jamhoor muhaddiseen ne zaeef kaha hai.
13. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k "Namaz mein hath naaf se nichey rakkho". (Abu Dawood Hadees no. 758)
Is riwayat mein bhi Abdur Rahman bin Is'haaq al Koofi hai jo zaeef hai.
Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz mein apni ungliyo ko na chatkhaao". (Ibne Maja Hadees no. 965)
Iski sanad mein Haris bin Abdullah al aawad hai aur wo zaeef hai.
14. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks "WAT TEENI WAZ ZAITOON" ki tilawat karte hue "ALAI SALLAHU BI AHKAMIL HAKIMEEN" kahe to use chahiye k kahe "BALA WA INNA ALA ZALIKA MINSH SHAHIDEEN" aur jab Surah Qiyaamah ki tilawat karte hue ye aayat "ALAISA ZALIKA BI QADIRIN ALA AYYUH YIYAL MAUTA" padhey to jawab mein kahe "BALA". (Abu Dawood Hadees no. 887, Tirmizi Hadees no. 3347)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se sun'ney wala aaraabi maj'hool hai, lihaza riwayat zaeef hai.
15. Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi ruku mein teen baar "SUBHANA RABBI YAL AZEEM" kahe to uska ruku poora hoga aur ye adna darja hai aur jo koi sajdah mein teen baar "SUBHANA RABBI YAL AALA" kahe to uska sajdah poora ho gaya aur ye adna darja hai. (Tirmizi Hadees no. 261, Abu Dawood Hadees no. 886)
Riwayat zaeef hai kyunki Awan bin Abdullah ki Ibne Mas'ood Razi Allahu Anhu se mulaqaat sabit nahi, lihaza asnad munqatey hai aur Is'haaq bin Yazeed maj'hood hai.
16. Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu se riwayat hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab sajdah karte to apne ghutne apne haatho se pehle rakhte aur jab sajdey se uthtey to haatho ko ghutno se pehle uthaate". (Abu Dawood Hadees no. 736, 838, 839, Tirmizi Hadees no. 268)
Iski ek sanad mein Abdul Jabbaar bin Wayel hai, jisne apne walid se kuch nahi suna, doosri sanad mein Shareek al Qaazi hai jo zaeef aur mudallis hai aur An se riwayat karta hai.
17. Hazrat Abdullah bin Zaid Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (tashahud mein) apni ungli ko harkat nahi dete they. (Abu Dawood Hadees no. 989)
Muhammad bin Ajlaan mudallis hai aur An se riwayat karta hai.
18. Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do rakaato k baad (tashahud mein) is tarah baithte goya k garam patthar par baithey hue hai yaha tak k khade ho jaate. (Abu Dawood Hadees no. 995, Tirmizi Hadees no. 366)
Iski sanad munqatey hai kyunki Abu Ubaidah ne apne walid se kuch nahi suna.
19. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tumhey namaz mein shak ho k teen padhi hai ya chaar aur ziyadah gumaan chaar rakaat ka ho to salaam pherne se pehle do sajde karo phir tashahud padho phir salaam phero". (Abu Dawood Hadees no. 1028)
Riwayat zaeef aur munqatey hai, Khusaif zaeef hai aur Abu Ubaidah ne apne baap se kuch nahi suna.
20. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Farz namaz har musalman k pichey wajib hai chahey naik ho ya badd aur chahey wo kabeerah gunah kare". (Abu Dawood Hadees no. 594)
Riwayat zaeef hai kyunki Mak'hool ne Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se kuch nahi suna.
21. Hazrat Sayib bin Yazeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam juma k din mimbar par baithey to masjid k darwazey par azaan di jaati. (Abu Dawood Hadees no. 1088)
Is riwayat mein Muhammad bin Is'haaq Mudallis hai aur An se riwayat karta hai, alawah azee ye mimbar k paas azaan dene ki mehfooz riwayat (Tabraani 7:146) k khilaaf bhi hai.
22. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma us shaks par farz hai jo juma padh kar raat ko wapas apne ahle o ayaal mein aa sakey". (Tirmizi Hadees no. 502)
Abdullah bin Saad al Maqbari matrook, Hijaaz bin Nasr aur Ma'aarak bin Ibaad zaeef hai.
23. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Juma us shaks par laazim hai jo azaan ki aawaaz suney". (Abu Dawood Hadees no. 1056)
Is riwayat mein Abu Salma bin Nabeeyah aur Abudllah bin Haroon Maj'hool hai.
24. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Eid k din barish thi is liye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid mein namaz e eid padhaayi". (Abu Dawood Hadees no. 1160)
Is riwayat mein Esa bin Abdul Aala maj'hool hai.
25. Takbeeraat e eid k alfaaz:
"ALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, LA ILAHA ILLALLAHU, WALLAHU AKBAR, ALLAHU AKBAR, WA LILLAHIL HAMD" k masnoon hone ki koi daleel nahi hai.
Daare Qutni mein in alfaaz ki sarahat aayi hai lekin Imam Zahbi ne ise sakht zaeef balke mouzu kaha hai.
26. Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Witr haqq hai jo witr na padhey wo hum mein se nahi, aapne teen baar farmaya". (Abu Dawood Hadees no. 1419)
Is mein Abdullah bin Abdullah al Manka al Maroozi zaeef hai.
27. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bayan karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam witr ki do rakaat par salaam nahi phairte they. (Nasaayi Hadees no. 1698)
Is mein Qatadah mudallis hai jo An se riwayat karta hai.
28. Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne safar kiya aur poori namaz bhi padhi. (Sharah Sunnah, Daare Qutni, Behaqui)
Ek sanad mein Talha bin Umar hai jo zaeef hai, doosri sanad mein Saeed bin Muhammad bin Tawaab hai jiski jaraah wa tadeel mojood nahi.
29. Hazrat Abdullah bin abi Aufi Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ko Allah ta'ala se ya kisi insaan se hajat ho to wuzu kare phir do rakaat padhey aur phir ye dua kare". (Tirmizi Hadees no. 479, Ibne Maja Hadees no. 1384)
Is mein Fayid bin Abdur Rahman matrook hai.
30. Maaqil bin Yasar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apne murdo par Surah Yaseen padho". (Abu Dawood Hadees no. 3121)
Abu Usman aur uska walid dono maj'hool hai.