QABRO KI ZIYARAT
Bismillahirrahmanirraheem
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mene tumhey qabro ki ziyarat se mana kiya tha, ab tum unki ziyarat kiya karo". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 977)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni walidah ki qabr ki ziyarat ki, khud bhi rooye aur jo aapke saath they wo bhi rooye phir aapne farmaya "Mene apni walidah ki bakhshish ki dua karne k liye Allah ta'ala se ijazat maangi, mujhe ijazat nahi mili, phir mene uski qabr ki ziyarat karne ki ijazat maangi pas mujhe ijazat de di gayi pas tum bhi qabro ki ziyarat kiya karo kyunki qabro ki ziyarat maut ki yaad dilati hai". (Sahih Muslim Hadees no. 9766)
Sheikh Albani farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qabro ki ziyarat karne wali aurato par lanat ki, magar uske baad aapne ijazat de di to usme mard wa aurat dono shamil hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek aesi aurat par se guzrey jo qabr par baithi roo rahi thi aapne usey Allah se darne aur sabr karne ka hukm diya. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1252, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 926)
Agar aurato ka qabristan jana jayez hota to aap usko qabristan mein aaney se bhi mana kar dete.
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha apne bhai Abdur Rahman ki qabr ki ziyarat ko gayi unse kaha gaya, kya Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (aurato ko) is se mana nahi kiya tha? to Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya pehle kiya tha phir ijazat de di thi. (Mustadrak E Hakim 1:376, ise Hafiz Zahbi ne sahih aur Hafiz Aeraaqi ne jaid kaha)
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai mene Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha jab mein qabristan mein jau to konsi dua padhu? aapne dua sikhaayi. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 974)
is se bhi maloom hua k aurato ka qabristan jana jayez hai.
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kasrat se qabro ki ziyarat karne wali aurato par lanat farmayi hai. (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 1056, Imam Tirmizi aur Ibne Hibban ne ise sahih kaha)
Kyunki inme sabr ka maada kam hota hai neez wo shirkiya umoor mein bhi taiz hoti hai, ye qabro ki ziyarat is liye mashroo nahi k waha ja kar shirk wa bidaat k kaam kiye jaye balke qabro ki ziyarat se maut ko yaad karna maqsood hai.
Maloom hua k aurato k liye ba-kasrat ziyarat to mana hai magar kabhi kabhaar jayez hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Murdo ko bura na kaho wo to aagey bhejey hue (aamaal) ki taraf chale gaye hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1393)
AHLE QUBOOR K LIYE DUA KARTE WAQT HAATH UTHANA
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k "Ek raat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ghar se nikle aur (madeena k qabristan) baqee pahunchey aur dair tak waha khade rahe phir aapne dono haath utha kar dua ki, aapne teen baar aesa kiya phir wapas aaye, phir aapne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ko bataya k mere paas Hazrat Jibraeel Alihis Salaam aaye aur kaha k tumhara rabb tumhey hukm farmata hai k tum baqee k qabristan jao aur unke liye maghfirat ki dua karo, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne arz kiya k mein unke liye kese dua karu to aapne farmaya yuh kaho:
"ASSALAAMU ALA AHLID DIYAARI MINAL MOOMINEENA WAL MUSLIMEENA WA YAR HAMULLAHUL MUSTAQDIMEENA MINNA WAL MUSTAAKHIREENA WA INNA IN SHA ALLAHU BI KUM LALAHIQOON"
"Momin aur musalman ghar walo par salamati ho, hum mein se aagey jaane walo aur pichey rehne walo par Allah ta'ala raham farmaye aur agar Allah ne chaha to hum bhi anqareeb tum se milne wale hai". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 974)
Muslim hi ki ek riwayat mein ye alfaaz bhi hai:
"AS ALULLAHA LANA WALAKUMUL AAFIYAAH"
"Mein Allah ta'ala se apne aur tumhare liye aafiyat ki dua karta hu". (Sahih Muslim Hadees no. 975)
No comments:
Post a Comment