MAYYAT KA GHUSAL
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha ne kaha, hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki beti zainab ko nehla rahe they to aapne farmaya "Usko 3, 5 ya 7 baar pani aur bairi k patto se ghusal do aur aakhiri baar (pani mein) kuch kafoor bhi mila lo, aur ghusal se faraghat par mujhe ittela kar dena ghusal daayi taraf aaza e wuzu se shuru karo" (Ummey Ateeya kehti hai) humne (ghusal k baad) uske baalo ki teen chotiyo goondhi aur unko pichey daal diya. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1258, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 939)
Is hadees se maloom hua k aurat ko auratey hi ghusal degi.
Miya beewi ek doosre ko ghusal de sakte hai: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se kaha k "Agar tum mujhse pehle mar gayi to mein tumhey ghusal dunga, kafan pehnaunga aur tum par namaz e janazah padhunga aur tumhey dafan karunga". (Ibne Maja Kitabul Jana'iz Hadees no. 1465)
Yaad rahe k ghusal e mayyat ka bhi taqreeban ghusal janabat wala hai albatta ghusal k doraan mayyat ka bahut khayal rakhna chahiye, tafseel darj zail hai:
1. Wafaat k foran baad mayyat ka muh aur aankhey band ki jaye, baazu, taangey aur hath paon ki ungliya bhi seedhi kardi jaye neez qamees aur banyaan wagairah utaar kar chadar se mayyat ka badan dhaanp diya jaye, mayyat k baazu, galey, ya pindli mein koi taweez dhaaga ya kada wagairah ho to use utaar de.
2. Paani aur bairi k pattey ubaal liye jaaye phir neem garam pani istemaal kiya jaye lakdi ka takhta aesi jagah rakkha jaye jaha pani ka nikaas, aur gandagi ko thikaane lagaana aasaan ho, mayyat ko us takhte par lita liya jaye, naaf se ghutno tak ki jagah kapde se dhaanp di jaye aur doraan e ghusal, siwa e majboori k mayyat ki sharm-gaah par nazar pade aur na hi kapde k bagair usey hath lagaaye.
3. Agar jism zakhmi hua aur us par pattiya bandhi hui ho to ehtiyaat se pattiya khool kar ruyi aur neem garam pani se aahista aahista zakham dhoye jaye, har kaam ki ibteda daayi taraf se kare siwa e iske k sirf baayi janib tawajjoh ki mustahiq ho.
4. Naaf ki janib se mayyat ka pait 2 ya 3 dafa dabaya jaye (takey andar ki gandagi imkaani hadd tak kharij ho jaye) phir baaye hath par kapde ka dastana wagairah (jo kafan k saath banaya jata hai) pehan kar pehle mitti k teen dhailo aur phir paani se uska istanja kare, agar zair e naaf baalo ki safaayi baaqi ho to karli jaye.
5. Naak, daant, muh ka khayal aur kaano mein acchi tarah geeli rooyi phair kar unki alag se safaayi karli jaye takey baad mein wuzu k doran teen dafa se ziyadah na dhona pade.
6. Bismillah padh kar mayyat ko masnoon wuzu karaya jaye (sar ka masah aur pao rehne de)teen dafa acchi tarah sar dhooye.
7. Hasb e zaroorat sabun istemaal karte hue poore jism ko teen ya paanch ya saat martaba acchi tarah dhooye, akhiri dafa nehlaate waqt paani mein kuch kafoor mila le, sabse aakhir mein pao dhooye. (Muhammad Abdul Bazzar Afi Allahu Anhu)
Janaza le jaane wali "Khaat" ko urdu me kya kehte hai???
ReplyDelete