Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday, 22 February 2016

NAMAZ E JANAZAH

NAMAZ E JANAZAH

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Emaan ki halat mein sawab ki niyat se jo kisi musalman k janazah k saath jata, uske saath rehta, uska janazah padhta aur usko dafan karke farigh hota hai to uske liye do qeeraat sawab hai, har qeeraat uhad pahaad k barabar hai aur jo (sirf) janazah padh kar wapas aa jata hai to uske liye ek qeeraat hai". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan Hadees no. 47, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 945)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis musalman k janazah mein aese 40 aadmi shamil ho jo Allah k saath shirk na karte ho to Allah ta'ala us (mayyat k haqq) mein unki sifarish qabool karta hai". (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 948)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "4 musalman jis musalman ki tareef kare aur acchi shahadat de, Allah usko jannat mein dakhil karega, humne arz kiya "aur 3?" Aapne farmaya "3 bhi" humne arz kiya "aur 2?" aapne farmaya "2 bhi, phir humne ek k baare mein nahi pucha". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1368)

Yaha un musalmano ki gawahi muraad hai jin ka aqeedah wa amal aur akhlaaq wa kirdaar kitab o sunnat k mutabiq ho. (Wallahu Aalam)

Namaz e janazah padhne k liye mayyat ki chaar-paayi is tarah rakkhey k mayyat ka sar shimaal ki simt aur pao junoob ki jaanib ho, phir ba-wuzu ho kar safey baandhey.

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ne ek mard ka janazah padhaya to wo (uske) sarke saamne khade hue phir ek aurat ka janazah laya gaya to wo uske darmiyaan khade hue aur farmaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aesa hi karte they. (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 1034, Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3194, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)

Phir dil mein niyat karke dono haath kandho ka kaano tak uthaaiye aur pehli takbeer keh kar surah fatiha padhey.


JANAZAH MEIN SURAH FATIHA

Hazrat Abu Umama bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k namaz e janazah mein sunnat tareeqa ye hai k pehli takbeer kahi jaye, phir fatiha padhi jaye, phir Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood aur mayyat k liye dua (ki jaaye) uske baad salaam (phera jaye). (Musannaf Abdur Razzaaq Hadees no. 6428, 3:489, 490, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)

Hazrat Talha bin Abdullah bin Aouf Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k pichey namaz e janazah padhi to aapne Surah Fatiha padhi, aur farmaya "Mene ye is liye kiya k takey tum jaan lo k ye sunnat hai". (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1335)

Is se jahri qiraat bhi sabit hui, tajjub hai jo loog uth'te baith'te "Fatiha" ka naam lete hai wo namaz e janazah mein ise padhte hi nahi.

Hazrat Talha bin Abdullah kehte hai k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k pichey namaz e janazah padha unhone Surah Fatiha aur ek aur Surah padhi aur buland aawaaz se qiraat ki hatta k humne suna, jab farigh hue to farmaya "Ye sunnat aur haqq hai". (Nasaayi Kitabul Jana'iz Hadees no. 1987, 4:74-75, Ibne Tarkumani ne sahih kaha)


NAMAZ E JANAZAH KA SIRRAN PADHNA SUNNAT HAI

Hazrat Abu Umama bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k namaz e janazah mein sunnat tareeqa ye hai k imam pehli takbeer k baad Surah Fatiha sirran (aahista awaaz se) padhey phir teen takbeeraat kehe aur aakhiri takbeer k sath salaam phaira jaya. (Nasayi 4:75, 1989, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)

Buland aawaaz se bhi janazah padhaya ja sakta hai, chunanchey Hazrat Aouf bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai k, Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz e janazah mein ek dua padhi jo mene yaad karli aur mene tamanna ki kaash k ye mera janazah hota. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 963)


JANAZAH KI TAKBEERAAT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k beshak Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne najjashi k janazah mein 4 takbeeraat kahi. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1333, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 951)

Hazrat Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu namaz e janazah par 4 takbeeraat kehte, ek janazah par unhone 5 takbeeraat kahi aur farmaya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is tarah bhi karte they. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 957)

No comments:

Post a Comment