QABR PAR NAMAZ E JANAZAH
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k siyah rang ki ek khatoon Masjid (nabvi) mein jhaadu phaira karti thi, wo mar gayi aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko uski maut ka ilm na hua, ek din Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uske baare mein pucha, Sahaba Razi Allahu Anhum ne bataya k wo faut ho gayi hai, Aapne farmaya "Tumne mujhe ittela kyu na di? mujhe uski qabr batao" Sahaba Razi Allahu Anhum ne aapko uski qabr bataayi, phir aapne qabr par namaz e janazah padhi aur farmaya "Ye qabrey tareeki aur zulmat se bhari hui hai, meri namaz k sabab Allah ta'ala inko roshan kar deta hai". (Sahih Bukhari Kitbaul Jana'iz Hadees no. 1337, Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 956)
Is se maloom hua k masjid ki safaayi karne ki badi fazilat hai neez ye bhi maloom hua k Allah ta'ala ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko har qism ki ghaibi khabrey ata nahi ki thi.
TADFEEN WA ZIYARAT
Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen auqaat mein namaz padhne aur murdo ko dafan karne se mana farmaya:
1. Tulu aaftaab k waqt hatta k wo buland ho jaye.
2. Jab Sooraj do-pehar k waqt aen sar par ho hatta k dhal jaye.
3. Ghuroob aaftaab k waqt hatta k ghuroob ho jaye". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 831)
Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k namaz e janazah, namaz e fajr aur namaz e asar k baad ada ki ja sakti hai. (Muatta Imam Malik Kitabul Jana'iz 1:229)
Jang e uhad k din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba Razi Allahu Anhum se farmaya "Qabr gehri khood do aur usey hamwaar aur saaf rakkho". (Tirmizi Kitabul Jihaad Hadees no. 1713, Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3215, Imam Tirmizi ne ise sahih kaha)
Hazrat Abdullah bin Yazeed Razi Allahu Anhu ne haaris ka namaz e janazah padhaaya phir mayyit ko pao ki taraf se qabr mein dakhil kiya aur farmaya k ye sunnat hai. (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3211, Imam Behaqui ne ise sahih kaha)
MAYYIT KO QABR MEIN RAKHTE WAQT KI DUA
Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab mayyit ko qabr mein rakhte to kehte:
"BISMILLAHI WA ALA SUNNATI RASOOLILLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM"
"Allah k naam se aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mazhab aur tareeqey par (ise dafan karte hai)". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3213, ise Imam Hakim aur Imam Zahbi ne sahih kaha)
Afsoos k ye sunnat bhi mit'ti chali ja rahi hai kyunki loogo ne iska mutbadil dhoond rakkha hai yaani wahi naarah kalma e shahadat "ASH'HADU ALLAH ILAHA ILLALLAH"
Hazrat Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu ne wasiyat ki k mere liye luhad banana aur us par kuch eentey lagana jese Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye kiya gaya tha. (Sahih Muslim Kitabul Jana'iz Hadees no. 966)
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki qabr ounth ki kohaan jese thi. (Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees no. 1390)
Hazrat Usman bin Affaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab mayyit k dafan se faarigh ho jaate to qabr par khade hue farmate "Apne bhai k liye bakhshish aur sabit qadmi ki dua karo kyunki ab us se sawal wa jawab ho rahe hai". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3221, Hakim 1:370 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)
QABR PAR BA-TAUR E ALAMAT PATTHAR NASB KARNA
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Usman bin Maz'oon Razi Allahu Anhu ki qabr par alamat k taur par ek patthar nasb farmaya". (Ibne Maja Kitabul Jana'iz Hadees no. 1561)
QABR PAR MITTI DAALNA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne janazah ki namaz padhi phir qabr k paas aaye aur sar ki taraf se teen lap mitti daali. (Ibne Maja Kitabul Jana'iz Hadees no. 1565)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Thursday, 25 February 2016
QABR PAR NAMAZ E JANAZAH
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment