NAMAZ KI SUNNATO KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Qayamat k din bande ka sabse pehle namaz ka hi hisab hoga agar wo durust hui to wo kaamyab hua aur nijaat pa gaya aur agar wo kharab hui to wo nakaam hua aur khasaarah paane walo mein se hoga, agar uske farzo se kuch naqis ho to Allah farmayega k mere bande ki nafil dekho aur phir un nafilo se farz ki kami poori ki jayegi isi tarah uske baaqi aamaal ka hisab hoga". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 864, Tirmizi Hadees no. 413, Nasayi Hadees no. 465)
NAFIL AUR SUNNATEY GHAR MEIN PADHNA AFZAL HAI
Hazrat Zaid bin Sabit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Farz namaz k alawah baaqi namaz ghar mein padhna afzal hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 731, Sahih Muslim Hadees no. 781)
Hazrat Adbullah bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya k nafil namaz ghar mein padhna afzal hai ya masjid mein? Aapne farmaya "Kya tum nahi dekhte k mera ghar masjid kis qadar qareeb hai iske ba-wajood fara'iz namaz k alawah mujhe ghar mein namaz padhna ziyaadah pasand hai". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1378, Imam Bosiri aur Ibne Khuzaima ne ise sahih kaha)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum masjid mein namaz padho to namaz ka kuch hissa (nawafil, sunnatey) apne gharo mein padho, Allah us namaz k sabab ghar mein bhalaayi dega". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 778)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apni namazo ka kuch hissa apne gharo mein padho (jese qabristan namaz se khali hote hai aese hi) apne gharo ko qabristan na banao". (Sahih Bukhari Hadees no. 432, Sahih Muslim Hadees no. 777)
MOKKADAH SUNNATEY: BAHISHT MEIN GHAR
Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks din aur raat mein (farzo k alwaah) 12 rakaatey padhey uske liye bahisht mein ghar banaya jata hai". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 728)
Hazrat Abdullah bin Shafeeq Rahimahullah riwayat karte hai k mene Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k nafilo ka haal daryaft kiya to Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere ghar mein zuhar se pehle chaar rakaatey padhte they, phir aap nikalte aur loogo k saath (zuhar k farz) padhte, phir (ghar mein) dakhil hote aur do rakaat namaz padhte, aap loogo k sath maghrib ki namaz padhte, phir (ghar mein) dakhil hote aur do rakaat (sunnat) padhte, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k saath isha ki namaz padhte, phir (ghar mein) dakhil hote aur do rakaat namaz padhte aur raat ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam noo rakaat (tahajjud ki) namaz padhte, un mein witr bhi hota tha aur jab subah namudaar hoti to (namaz e fajar se pehle) do rakaat (sunnat) padhte". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 730)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se das rakaatey yaad ki zuhar se pehle do rakaat, do rakaat zuhar k baad, do rakaat maghrib k baad, do rakaat isha k baad aur do rakaat farjar se pehle. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1180, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 729)
Ummul Momineen Ummey Habeeba Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne zuhar se pehle chaar rakaat aur zuhar k baad do rakaat ki hifazat ki us par jahannam ki aagh haraam hai". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1269)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Raat aur din ki (nafil) namaz do do rakaatey (padhi jaati) hai". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1295, Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 1210 aur Imam Ibne Hibban ne ise sahih kaha)
Maloom hua chaar rakaat sunnat bhi do do karke ada karni chahiye.
ASAR SE PEHLE CHAAR RAKAAT
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks asar se pehle chaar rakaat (sunnat) padhey, Allah us par rahmat kare". (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 430, Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1271, Ise Ibne Khuzaima Hadees no. 1193, Ibne Hibban Hadees no. 616 aur Nawawi ne sahih kaha)
Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam asar se pehle chaar rakaat padhte they aur do rakaat k baad tashahud aur dua padh kar salaam phair dete they. (Tirmizi Hadees no. 429, Imam Tirmizi ne hasan kaha)
MAGHRIB SE PEHLE DO RAKAAT
Hazrat Abdullah Muzani Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Maghrib ki (farz) namaz se pehle namaz padho, aapne teen baar farmaya aur teesri baar kaha jiska dil chaahey, ye is liye farmaya k aap na-pasand karte they k loog usko sunnat e mokkadah bana ley". (Sahih Bukhari Abwatut Tahajjud Hadees no. 1183)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Madeena mein mu'azzin maghrib ki azaan kehta, hum sab sunnato ki taraf doodte (bhaagte) aur do rakaatey padhte, loog is kasrat se do rakaatey padhte k ajnabi ye gumaan karta k maghrib ki jamaat ho chuki hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 837)
Mursad bin Abdullah Rahimahullah Hazrat Uqba Razi Allahu Anhu k paas aaye aur kaha "Kya ye ajeeb baat nahi k Hazrat Abu Tameem Razi Allahu Anhu maghrib ki namaz se pehle do rakaat padhte hai? Hazrat Uqba Razi Allahu Anhu ne kaha k hum bhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaane mein padhte they, unhone pucha: ab kyu nahi padhte? kehne lage k masroofiyat". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1184)
JUMA K DIN KI SUNNATEY
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum juma k baad namaz padhna chaho to chaar rakaat ada karo". (Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 881)
Maloom hua k juma k baad chaar rakaat sunnatey padhni chahiye aur agar koi do rakaatey bhi padh le to jayez hoga.
Hazrat Abdullh bin Umar Razi Allahu Anhu juma k baad kuch namaz nahi padhte they yaha tak k apne ghar aatey aur do rakatey padhte, phir farmate k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aesa hi kiya karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 937, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 882)
Baaz ulama ne ye tatbeeq di hai k masjid mein chaar sunnatey (do do karke) padhey aur agar ghar mein aa kar padhey to do sunnatey padhey. (Mar'aatul Mafateeh)
FAJAR KI SUNNATO KI FAZILAT
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Fajar ki do sunnatey dunya aur jo kuch dunya mein hai, us se behtar hai aur mujhe fajar ki do rakaat (sunnatey) saari dunya se ziyaadah mehboob hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 725)
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam nawafil mein se kisi cheez par itni muhafizat aur muda-wa-mat nahi karte they jis qadar fajar ki do sunnato par karte they. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1169, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 724)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab fajar ki do sunnatey padhte to daayi pehlu par lait'te they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 626, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Masajid Hadees no. 7366)
Hafiz ibne Hajar Rahimahullah farmate hai k salaf mein se baaz masjid ki bajaaye ghar mein daayi pehlu laitna mustahab jaante they kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ye zikr nahi milta k aap masjid mein daayi pehlu lait'te they. (Fathul Baari Sharah Sahih Bukhari)
SUNNATO KI QAZA
Ummul Momineen Ummey Salma Razi Allahu Anha bayan karti hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna k aap asar k baad namaz padhne se mana karte they phir mene dekha k aapne asar ki namaz k baad do rakaatey padhi mene aapse uski wajah puchi to aapne farmaya "Baat ye hai k mere paas qabeela Abdul Qais k loog (ahkaam e deen seekhne k liye) aaye they unke saath (meri masroofiyat ne) mujhe zuhar k baad ki do rakaat sunnato se baaz rakkha pas ye wo dono thi (jo mene asar k baad ada ki hai)". (Sahih Bukhari Kitabus Sahu Hadees 1233, Sahih Muslim Hadees no. 834)
FAJAR KI SUNNATEY FARZO K BAAD PADH SAKTE HAI
Agar aap aese waqt masjid mein pahunchey k jamaat khadi ho gayi ho aur aapne sunnatey na padhi ho to us waqt sunnatey mat padhey kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab namaz ki iqamat (takbeer) ho jaye to farz namaz k alawah koi namaz nahi hoti". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 710)
Aesi surat mein aap jamaat mein shamil ho jaye aur farz padh kar sunnatey padh le chunanchey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek shaks ko subah ki farz namaz k baad do rakaatey padhte hue dekh kar farmaya "Subah ki (farz) namaz do rkaatey hai (tumne mazeed do rakaatey kesi padhi hai?) us shaks ne jawab diya, mene do rakaatey sunnat (jo farzo se pehle hai) nahi padhi thi, unko ab padha hai (ye sun kar) aapne farmaya "phir koi harj nahi". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1267, Ibne Maja Hadees no. 1154, Ibne Khuzaima Hadees no. 1116, ise Ibne Hibban Hadees no. 624, Hakim 1:274, 275 aur Zahbi ne sahih kaha)
Ek shaks masjid mein aaya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam subah k farz padh rahe they, usne masjid k ek kooney mein do rakaat sunnat padhi, phir jamaat mein shamil ho gaya, jab aapne salam phaira to farmaya "Tuney farz namaz kisko shumar kiya jo akele padhi thi usko ya jo hamare saath jamaat se padhi hai?". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 712)
Maloom hua k farz hote waqt sunnato ka padhna durust nahi hai
NAFIL NAMAZ
Koi sahab ye khayal na kare k humne namazo ki rakaato ko kam kar diya hai yaani fara'iz aur sunnatey gin li hai aur nafil chood diye hai, musalman bhaiyo ko maloom hona chahiye k nawafil apni khushi aur marzi ki ibadat hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kisi ko padhne k liye majboor nahi kiya, is liye hamey koi haqq nahi k hum apne nafilo ko farzo ka zaroori aur laazmi zameema bana le, farzo k saath aapki nafil ibadat yaani sunnatey aa gayi hai jin se namaz poori aur mukammal ho gayi hai nawafil hum mamnua auqaat k siwa din aur raat k sab auqaat mein ada kar sakte hai.
Hazrat Umar bin Absa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz ki k mujhe namaz k mutalliq khabar dijiye to aapne farmaya "Subah ki namaz padh, phir suraj tulu aur uncha hone tak namaz se ruk ja is liye k ye shaitan k do seengho k darmiyan tulu hota hai aur us waqt kuffaar usko sajdah karte hai, phir namaz padh yaqeenan namaz mein farishte hazir hote hai aur suraj k seedah sar par hone k waqt namaz se ruk ja is liye k us waqt jahannam bhadkaayi jati hai aur phir suraj dhalne k baad padh is liye k namaz k liye farishte hazir hote hai phir namaz e asar padh, phir uske baad guroob e aaftaab tak thehar ja is liye k ye shaitan k do seengho k darmiyan guroob hota hai aur us waqt kuffaar usey sajdah karte hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 832)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Friday, 23 October 2015
NAMAZ KI SUNNATO KA BAYAN
Monday, 19 October 2015
MASJID MEIN DAKHIL HOTE WAQT AUR NIKALTE WAQT KI DUA
MASJID MEIN DAKHIL HOTE WAQT AUR NIKALTE WAQT KI DUA
Bismillahirrahmanirraheem
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum masjid mein dakhil ho to ye padho:
"ALLAHUM MAFTAH LEE ABWABA RAHMATIK" "Ae Allah mere liye apni rahmat k darwazey khool de".
Jab tum masjid se niklo to ye dua padho:
"ALLAHUMMA INNI AS'ALUKA MIN FAZKIL" "Ya Allah! beshak mein tujh se tera fazal maangta hu". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 713)
Hazrat Fatima Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab masjid mein dakhil hote to farmate:
"BISMILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAHI ALLHUM MAGFIRLI ZUNOOBI WAFTAHLI ABWABA RAHMATIK"
"Allah k naam se (dakhil hota hu) aur (dua karta hu k) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par salamati ho, Ae Allah! mere gunah baksh de aur mere liye apni rahmat k darwaazey khool de".
Aur jab masjid se nikalte to farmate:
"BISMILLAHI WAS SALAAMU ALA RASOOLILLAHI ALLAHUM MAGFIRLI ZUNOOBI WAFTAHLI ABWABA FAZLIK"
"Allah k naam se (masjid se bahar aata hu) aur (dua karta hu k) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par salamati ho, Ae Allah! mere gunah baksh de aur mere liye apne fazal (wa karam) k darwaazey khool de". (Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 771, ise Imam Tirmizi Hadees no. 315 ne hasan li gairih kaha)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Masjid mein dakhil hote waqt aur nikalte waqt Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par salaam kaho". (Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 773, Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 452 aur Imam Ibne Hibban ne ise sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar namazi masjid mein dakhil hote waqt ye dua padh le to shaitan kehta hai k usne baaqi din mujhse mehfooz kar liya:
"A'OUZU BILLAHIL AZEEMI WA BI WAJHIHIL KAREEMI WA SULTANIHIL QADEEMI MINSH SHAITANIR RAJEEM"
"Mein Shaitan mardood se azmat wale Allah, us se izzat wale chehre aur uski qadeem badshahat ki panah chahta hu". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 466)
FAJAR KI NAMAZ K LIYE MASJID JAATE HUE DUA
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab mu'azzin ne subah ki namaz k liye azaan di to aap namaz k liye nikle aur aap farma rahe they:
"ALLAHUMMAJ'AL FI QALBI NOORAN WA FI LISAANI NOORAN WAJ'AL FI SAM'I NOORAN WA FI BASARI NOORAN WA MIN FAUQI NOORAN WA MIN TAHTI NOORAN WA AN YAMEENI NOORAN WA AN SHIMAALI NOORAN WA MIN BAINI YADAI NOORAN WA MIN KHALFI NOORAN WAJ'AL FI NAFSI NOORAN WA AAZIM LI NOORAN"
"Ae Allah! mere dil, meri zubaan, meri sima'at, aur meri basarat ko (emaan k noor se) munawwar farma, mere uper, mere nichey, mere daaye aur baaye, mere saamne aur pichey (har taraf) noor phaila de, aur meri rooh ko noor se bhar de aur meri (hidayat k) noor ko badha de". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 763)
MASAJID K AHKAAM
MASAJID K AHKAAM
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Mere liye sari zameen ko masjid aur mitti ko paak karne wali banaya gaya hai lihaza jaha kahi bhi namaz ka waqt aaye ada karlo". (Sahih Bukhari Kitabut Tayammum Hadees no. 335, Sahih Muslim Hadees no. 521)
Ye Allah ta'ala ka is ummat par khaas in'aam hai, is ummat se qabl kisi bhi ummat ko ye sahoolat hasil nahi thi k namaz ka waqt aane par wo jis jagah bhi chahey namaz ada karle siwaye un jagaaho k jaha mana kiya gaya hai yaani qabristaan, hammam aur ountho ka baadah.
MASJID KI FAZILAT
Hazrat Usman Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks masjid banaaye aur uska maqsood Allah ki raza-mandi ho, Allah uske liye bahisht mein ghar banata hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 450, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 533)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ko masjidey bahut ziyaadah mehboob hai, aur bazaar nihayat na-pasand hai". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 671)
Matloob ye hai k masjidey dunya ki tamaam jagaaho se Allah ko ziyaadah mehboob aur piyari hai kyunki unme Allah ki ibadat hoti hai aur bazaar tamaam jagaaho se Allah k nazdeek nihayat na-pasandeedah hai kyunki waha hirs, tam'a, jhoot, makar aur lain dain mein faraib wagairah ka door doorah hota hai, yaad rahe k kisi deeni ya deenivi zaroorat k bagair bazaar mein kabhi na jaye aur masjido se bahut muhabbat kare.
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi din k awwal hissey mein ya din k aakhiri hissey mein masjid ki taraf jaaye, Allah uske liye bahist mein mehmaani tayyar karta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 662, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 669)
BAAZ MASAJID MEIN NAMAZO KA SAWAB
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen masajid Masjid e Haraam, Masjid e Aqsa aur Masjid e Nabwi k alawah kisi doosri jagah k liye safar ikhtiyaar na karo". (Sahih Bukhari Baab fazala salati fil masajid makkata wa madeenata Hadees no. 1189, Sahih Muslim Hadees no. 1397)
Khana Kaaba (Masjid e Haraam) mein ek namaz dosri masjid ki ek lakh namazo se afzal hai. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1406)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya masjid e nabwi mein ek namaz doosri masajid ki ek hazaar namazo se behtar hai. (Sahih Bukhari Baab fazala salati fil masajid makkata wa madeenata Hadees no. 1190, Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1394)
Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne ghar mein wuzu kiya phir masjid e quba gaya aur waha namaz padhi usko umrah k barabar ajr milega". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1412)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam har hafta ko masjid e quba mein paidal ya sawaar ho kar jaate aur do rakaat namaz padhte. (Sahih Bukhari Hadees no. 1194, Sahih Muslim Hadees no. 1399)
TAHYATUL MASJID (MASJID KA TOHFA)
Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum masjid mein dakhil ho to baithne se pehle do rakaat (tahyatul masjid k taur par) padho". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 444, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 714)
Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu ne kaha k mein masjid mein gaya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k saath masjid mein baithey hue they, mein bhi baith gaya, Aapne farmaya k tumhey baithne se pehle do rakaat padhne se kis cheez ne rooka hai, mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mene aapko aur loogo ko baithte dekha to mein bhi baith gaya, aapne farmaya jab tum mein se koi masjid aaye to jab tak do rakaat na padh le na baithey. (Sahih Muslim Hadees no. 714)
PIYAAZ AUR LAHSUN KHA KAR MASJID MEIN NA AAO
Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne famraya "Jo shaks lahsun ya piyaaz kaaye to wo hamari masjid se door rahe aur apne ghar mein baitha rahe". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 564)
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi in khabees darakhato (lahsun aur piyaaz) ko khaaye to masjid k qareeb na aaye aur farmaya agar tumne unhey khana hi hai to unko paka kar unki boo (smell) maar lo (yaani uski smell khatam kardo)" kyunki us se farishto ko aeza pahunchti hai aur aadmiyo ko bhi takleef hoti hai, loog boole lahsun haram ho gaya, haram ho gaya? Aapne farmaya loogo mein wo cheez haraam nahi kar sakta jisko Allah ta'ala ne halaal kiya hai lekin lahsun ki boo mujhe buri lagti hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 565)
Sheikh Albani Rahimahullah farmate hai "Kya kisi k tasawwur mein ye baat aa sakti hai k sigret peene wala piyaaz wa lahsun k hukm mein dakhil nahi? sabko maloom hai k sigret ki badboo piyaaz wa lahsun ki boo se kahi ziyaadah azeeyat naak hoti hai, un dono k khaane mein koi zarar bhi nahi jabke sigret peene k bahut se nuksanaat hai aur koi faida nahi" agar kisi ko marz ki bina par lahsun ya piyaaz istemaal karna padta ho to wo unko istemaal kar sakta hai kyunki:
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Mugeerah bin Shuba Razi Allahu Anhu ko seene k ek marz ki bina par lahsun kha kar masjid aane ki ijazat di thi. (Abu Dawood Kitabul It'amah Hadees no. 3826, ise Ibne Khuzaima Hadees no. 1672 aur Ibne Hibban ne sahih kaha)
MASJID MEIN THOOKNA
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujh par meri ummat k acchey aur burey aamaal paish kiye gaye, mene dekha k naik aamaal mein raastey se takleef deh cheez ko door karna bhi hai aur burey aamaal mein masjid mein thookna bhi hai jis par mitti na daali gayi ho". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 553)
Yaani aaj kal masjid se thook ko paani ya kapde wagairah se saaf kiya jayega.
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid mein qible ki deewaar par balgam dekha aap loogo k aagey khade hue namaz padha rahe they, aapne (namaz hi mein) usko kheench dala, jab namaz padh chukey to farmaya "Jab koi namaz padhta hai to Allah ta'ala uske saamne hota hai usko chahiye k namaz mein apne saamne balgam na daale". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 547)
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qible ki taraf masjid mein balgam dekha, aapne usko apne haath se khurach dala aur aapke chehre mubarak par na-khushgawaari k aasaas they, goya aapko ye thookna sakht na-gawaar guzra, phir aapne farmaya "Namaz mein insaan apne rabb se munajaat karta hai aur uska rabb uske qible k beech mein hota hai is liye usey chachiye k apne saamne na thookey balke apne baayi qadam k nichey thooke, phir aapne apni chadar ka kona liya usme thooka aur kapde ko mal diya aur farmaya k aesa kare". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 551)
Us waqt masjidey kacchi hoti thi aajkal thookna ho to chadar k pallu mein thook kar mal de.
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Masjid mein thookna gunah hai aur uska kaffarah us par matti daal kar daab dena hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 552)
MASJID MEIN EK HAATH KI UNGLIYA DOOSRE HAATH KI UNGLIYO MEIN DAALNA
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum wuzu karke masjid jaane k liye ghar se niklo to ek haath ki ungliya doosre haath ki ungliyo mein na daalo beshak us waqt tum namaz hi mein hote ho". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 562, ise imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha, iski sanad hasan hai)
yaani tumhey barabar namaz ka sawab mil raha hota hai.
Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Masjid mein ek haath ki ungliya doosre haath ki ungliyo mein na daalo tum namaz hi ki haalat mein ho jab tak namaz ka intazaar kar rahe ho". (Musnad Ahmad 4:244, 1831, iski sanad jaid (qawi) hai, Baloogul Maani)
Ungliyo mein ungliya daalne ki mumaniyat namaz ada karne se pehle hai kyunki namaz ada karne k baad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid mein ungliya ungliyo mein daali. (Sahih Bukhari Hadees no. 482)
MASJID MEIN AAWAAZ BULAND KARNA MANA HAI
Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne taa'if k rehne wale do aadmiyo se kaha (jo masjid e nabwi mein unchi aawaaz se baatey kar rahe they) "Agar tum madeena k rehne wale na hote to mein tumhey saza deta, tum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki masjid mein apni aawaazey buland karte ho?". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 470)
MASJID MEIN KHAREED O FAROOKHT
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum kisi shaks ko masjid mein kuch baichta ya khareedta dekho to kaho "LA AR-BAHALLAHU TIJARATAKA" "Allah teri soodagiri mein nafa na de". (Tirmizi Kitabul Buyu Hadees no. 1324, ise Imam Hakim 4:56 aur Imam Zahbi ne sahih kaha)
Aur jis waqt tum kisi shaks ko masjid mein gum-shudah cheez ka aelaan karte hue dekho to tum karo "LA RADDA HALLAHU ALAIKA" "Allah tujhe wo cheez na lootaye" pas beshak masjidey is maqsad k liye to nahi banaayi gayi. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 568)
MASJID MEIN SOONA
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo masjid e Nabwi mein soo jate they halanakey wo kuwarey nojawaan they. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 440, Sahih Muslim Kitabul Fazail E Sahaba Hadees no. 2479)
MASJID MEIN MUSHRIK DAKHIL HO SAKTA HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek martaba Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Banu Haneefa k ek shaks Sumama bin Aasaal ko masjid k satoon se baandh diya tha (halankey wo us waqt mushrik they). (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 469, Sahih Muslim Kitabul Jihad Hadees no. 1764)
MASJID MEIN SHA'AR PADHNA
Hazrat Saeed bin Musayyab Rahimahullah riwayat karte hai k ek dafa Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu masjid k paas se guzrey aur Hazrat Hassaan sha'ar padh rahe they (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Hassaan ko gussey se dekha) Hassaan kehne lage k mein masjid mein sha'ar padha karta tha aur tumse jo afzal hai yaani Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam waha mojood hote they, phir Hassan Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ki taraf mutawajjah hue aur kaha ae Abu Hurairah! tumhey Allah ki qasam kya tumne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye kehte hue nahi suna ae Hassaan tu Allah k Rasool ki taraf se kaafiro ko jawab de ae Allah! rooh ul qudus se Hassaan ki madad kar, Abu Hurairah ne jawab diya beshak (aapne farmaya). (Sahih Bukhari Kitabul Badd ul Khalq Hadees no. 3212, Sahih Muslim Hadees no. 2485)
MASJID MEIN GUFTAGU KARNA
Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k hum aksar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki majalis mein baitha karte they, aap subah ki namaz padhne k baad suraj k nikalne tak masjid mein baithte, jab suraj tulu hota to aap (jaane k liye) khade hote, hum (masjid mein) zamana e jahiliyat k muamalaat ka zikr karte (guftagu k doraan) hum haste bhi they aur muskuraate bhi. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 670)
MASJID JAANE KI FAZILAT
Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks apne ghar se ba-wuzu ho kar farz namaz ada karne k liye masjid k liye nikalta hai pas usko hajj ka ahram baandhne wale ki manind sawab milta hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 558, iski sanad hasan hai)
Yaad rahe k jin par baitullah ka hajj farz ho chuka hai, jab tak waha ja kar hajj na kare unse farziyat saaqit na hogi khawah sari umar ba-wuzu ho kar paancho namazey masjid mein ja kar padhte rahe, is liye Allah ki bakshish aur ajr wa sawab ki farwaani se kisi qism ki galat fehmi ka shikar nahi hona chahiye.
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jamaat k saath namaz padhne ka sawab apne ghar ya bazaar mein tanha namaz padhne se (kam az kam) 25 darje ziyadah hai, pas jab wo acchi tarah wuzu karke masjid jaye to uske har qadam se uska darja buland hota hai aur gunah maaf hote hai, jab wo namaz padhta hai to farishte uske liye us waqt tak dua karte rehte hai jab tak wo namaz ki jagah par baitha rehta hai, farishte kehte hai "ALLAHUMMA SALLI ALAIH" "Ae Allah! is par apni rahmat utaar, ae Allah iski tauba qubool kar" jab tak wo kisi ko aeza nahi deta wo hirs nahi karta farishte uske liye dua karte rehte hai, jab tak namazi namaz ka intazaar karta hai wo namaz hi mein hota hai. (Sahih Bukhari Kitabul Buyu Hadees no. 2119, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 649)
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k masjie e Nabwi k gird kuch makaan khali hue, banu salma ne masjid k qareeb muntaqil hone ka iraadah kiya, aapne farmaya "Ae banu salma apne (mojoodah) gharo mein thehrey raho (masjid ki taraf aate waqt) tumhare har qadam (ka sawab) likha jata hai". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 665)
MASJID KA NAMAZI, ALLAH K SAAYE MEIN
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Saat shaks hai jinhey Allah ta'ala us din (hashar mein) apne saaye mein rakkhega jis din siwaye uske saaye k koi saaya nahi hoga (pehla) aadil hakim (doosra) wo nojawaan jo Allah ki ibadat mein jawani guzaare (teesra) wo shaks jiska dil masjid mein atka hua ho, jis waqt namaz padh kar nikalta hai to uski taraf dobaarah aane k liye betaab rehta hai (chootha) wo do shaks jo (sirf) Allah ta'ala (ki raza) k liye aapas mein muhabbat rakhte hai (jab) milte hai to usi ki muhabbat mein aur juda hote hai to usi ki muhabbat mein (paanchwa) wo shaks jo tanhaayi mein Allah ko yaad karta hai aur (ifraat e muhabbat ya khashyat se) uski aankho se aansu beh padhte hai (chata (6th)) wo shaks k jise kisi khandaani, khoobsurat aurat ne (buraayi k liye) bulaya phir us shaks ne kaha mein Allah se darta hu (saatwa) wo shaks k jisne Allah k naam par kuch diya phir usko chipaaya yaha tak k uske baaye hath ko ilm na hua k uske daaye haath ne kya kharch kiya (yani khairaat ko bilkul makhfi (chipa kar) rakkha hai)". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 660, Sahih Muslim Kitabuz Zakat Hadees no. 1031)
MASAJID MEIN KHUSHBOO
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya "Muhallo mein masjidey banao (yani jaha naya muhalla aabaad ho waha masjid bhi banao) aur unhey paak saaf rakkho, aur khushboo lagao". (Abu Dawood Kitbus Salaat Hadees no. 455, Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 758, 759 ise Imam ibne Khuzaima 394 aur Imam Ibne Hibban 306 ne sahih kaha)
MASJID K NAMAZIYO K LIYE KHUSH-KHABRI
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Andhairon mein (namaz k liye) masjid ki taraf chal kar aane walo ko qayamat k din poorey noor ki khush-khabri suna do". (Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 780, Imam Hakim 1:212 aur Imam Zahbi ne ise sahih kaha)
QABRISTAAN AUR HAMMAM MEIN NAMAZ KI MUMANIYAT
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tamaam rooh e zameen masjid hai (yani sab jagah namaz jayez hai) siwa e qabristan aur hammam k". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 492, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 317, ise Imam Hakim 1:251, Imam Ibne Khuzaima 791, Ibne Hibban 338, 339, Zahbi aur Ibne Hajam ne sahih kaha)
Masjid k maana hai sajde ki jagah, jamaz ki jagah, jab qabristan mein sajdah aur namaz mana hui to namaz aur sajdah k liye masjid (sajdah ki jagah) banana bhi mana hui.
Sunday, 18 October 2015
IMAMAT K CHAND MASA'IL
IMAMAT K CHAND MASA'IL
Bismillahirrahmanirreheem
1. Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne hujrah mein (ramazaanul mubarak mein) raat ki namaz padhi aur hujrah ki deewaar chooti thi loogo ne dekh liya aur unhone hujrey se bahar aapki iqtada mein namaz ada ki". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 729)
Maloom hua k Imam aur muqtadiyo k darmiyan agar deewar aa jaye to koi harj nahi, baaz masajid mein juma k din bheed hone ki bina par masjid se bahar sadak par namaz ada ki jaati hai agar muqtadi takbeer ki aawaaz sun rahe hai to aesa karne mein koi harj nahi.
2. Hazrat Abdullh bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k mein raat ki namaz mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baayi taraf khada hua, aapne pichey se mera sar pakda aur mujhe apni daayi taraf kar diya. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 726, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 763)
Is se maloom hua k nawafil ki jamaat mein takbeer (iqamat) nahi hai aur agar akele aadmi ne namaz shuru ki phir doosra aa kar uske saath aa mila to pehla namazi imamat ki niyat karke namaz jaari rakkhey. Wallahu Aalam
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k mein namaz mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey khada ho gaya to aapne mera kaan pakad kar mujhe apni daayi janib kar liya. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 766)
3. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz ada karne k liye nikalte to Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu aapko dekh kar takbeer kehte aur aapke (hujrah se) nikalne k baad loog saff-bandi karte they. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 606)
4. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki beemari k ayyaam mein Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne imamat karaayi, ek din aapne takleef mein takhfeef paayi to aap do Sahaba Razi Allahu Anhum ka sahara lete hue masjid mein dakhil hue Siddeque E Akbar Razi Allahu Anhu jamaat kara rahe they, Jab Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne aapki aamad mehsoos ki to pichey hatna chaha, aapne isharah kiya k pichey na ho, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ki baayi taraf baith gaye aur baith kar namaz ada ki aur Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu khade they, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki iqtada karte aur loog Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ki iqtada karte, ye zuhar ki namaz thi. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 687, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 418)
5. Jang e Tabook mein ek din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam rafa e haajat k liye gaye aa kar wuzu kiya jab pahunchey to dekha k Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu namaz padha rahe they unke pichey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek rakaat padhi, Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu ne dono rakatey padhne k baad salam phair kar dekha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz puri karne ki khatir doosri rakaat k liye khade ho gaye they, Salam k baad farmaya tum loogo ne accha kiya, tum loog waqt muqarrarah par namaz padha karo. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 274)
6. Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padhte phir apni qaum k paas aatey aur unhey namaz padhaate. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 700, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 465)
Ye namaz Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu k liye nafil aur muqtadiyo k liye farz ban jaati thi, is se maloom hua k namaz mein imam aur muqtadi ki niyat ka mukhtalif hona jayez hai.
7. DO AADMIYO KI NAMAZ
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai k ek aadmi masjid mein aaya, aap namaz padha chuke they Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Is par kaun sadqa karega ek shaks khada hua aur usne aane wale k saath ba-jamaat namaz padhi". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 574, Imam Tirmizi, Imam Hakim aur Imam Zahbi ne sahih kaha)
Maloom hua k masjid mein pehle jamaat khatam hone k baad doosri jamaat qayim karna jayez hai aur jamaat k liye do aadmi kaafi hai isi tarah agar koi ramazaan mein us waqt masjid mein aaye jab taraweeh ki namaz shuru ho chuki ho aur usne isha ki namaz na padhi ho to wo isha ki niyat se jamaat mein shamil ho jaye aur imam k salaam phairne k baad baaqi rakaatey pori karle takey is tarah usey jamaat ka sawab mil jaye.
Friday, 16 October 2015
AURAT KI IMAMAT
AURAT KI IMAMAT
Bismillahirrahmanirraheem
Pehli saff k wast mein (doosri aurato k saath, barabar) khadi ho kar aurat aurato ki imamat kara sakti hai.
Hazrat Ummey Warqa Razi Allahu Anha farmati hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey hukm diya k wo apne ghar walo ki imamat karaaye". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 592, ise Ibne Khuzaima Hadees no. 1676 ne sahih kaha)
Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha aurato ki imamat karati aur saff k darmiyaan khadi hoti thi. (Ibne ibi Shaiba 2:89, Imam Ibne Hazam ne ise sahih kaha)
IMAM KI IQTADA K AHKAAM
IMAM KI IQTADA K AHKAAM
Bismillahirahmanirreheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Imam se pehle na karo! jab wo takbeer kahe, uske baad tum takbeer kaho, aur jab imam (WALAZ ZAAL'LEEN) kahe tu tum uske baad aameen kaho, aur jab imam ruku kare tum uske baad ruku karo aur jab imam (SAMI ALLAHULMAN HAMIDAH) kahe to tum (ALLHUMMA RABBANA LAKAL HAMD) kaho". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 415)
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek ghoodey se gir padey, aapki dahini pehlu chil gayi to aapne ek namaz baith kar padhi humne bhi aapke pichey baith kar namaz padhi, namaz se farigh hone k baad aapne farmaya "Imam is liye muqarrar kiya gaya hai k uski pairvi ki jaye jab wo khada ho kar namaz padhey to tum bhi khade ho kar padho, jab wo ruku kare tum bhi ruku karo aur jab wo ruku se sar uthaaye to tum bhi uthaao aur jab wo baith kar namaz padhey to tum bhi baith kar namaz padho". (Sahih Bukhari Hadees no. 689, Sahih Muslim Hadees no. 411)
Imam Bukhari Rahimahullah farmate hai k Humaidi ne kaha aapka ye farman k jab imam baith kar namaz padhey to tum bhi baith kar padho shuru ki beemari mein tha, maut ki aakhiri beemari mein aapne baith kar namaz padhi aur loog aapke pichey khade they, aapne unko baithne ka hukm nahi diya, aur aapka jo fa'al aakhiri ho usi ko lena chahiye. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 689)
Hazrat Bara bin Aazib Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey namaz padhte they pas jab aap (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) kehte (to hum aapke pichey qoumey mein khade ho jate they aur phir) hum mein se koi apni peeth (sajdey mein jaane k liye) na jhukaata tha yaha tak k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni paishani zameen par rakh dete. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 690, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 474)
Hazraat! gaur kiya aapne! k jab tak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam qoumey se sajde mein pahunch kar apni paishani mubarak zameen par na rakh dete they us waqt tak tamaam Sahaba Razi Allahu Anhum khade rehte they, koi peeth tak na jhukaata tha aur hamara ye haal hai k imam qoumey se sajdey mein aaney k liye bhi (ALLAHU AKBAR) hi kehta hai to muqtadi imam k sajde mein pahunchane se pehle hi sajde mein pahunch jata hai Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Imam se pehle ruku karo na sajdah aur imam se pehle khade ho na pehle salam phero". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 426)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi imam se pehle sajdah se apna sar uthata hai kya wo nahi darta k Allah ta'ala uske sar ko gadhey k sar ki tarah karde". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 428)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab namaz mein koi baat darpaish ho to mard muqtadi "SUBHAN ALLAH" kahe aur taali bajana aurato k liye hai". (Sahih Bukhari Kitabul Amala fis Salaat Hadees no. 1203, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 422)
Aurat Subhan Allah kehne ki bajaaye ek haath ko doosre hath ki push par maaregi. Wallahu Aalam
Hazrat Masoor bin Yazeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek dafa Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qiraat mein quraan ka kuch hissa chood diya, ek aadmi ne kaha: aapne falah falah aayat chood di to aapne farmaya "Tuney mujhe yaad kyu na karwaya?". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 907, Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban ne ise sahih kaha)
IMAMAT KA BAYAN
IMAMAT KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo ka imam wo hona chahiye jo un mein sabse ziyada quran acchi tarah (sahih padhna) jaanta ho aur agar qiraat mein sab barabar ho phir wo imamat karaaye jo sunnat ko sabse ziyadah jaanta ho (yaani sabse ziyadah ahkaam aur masa'il ki haseese jaanta ho) phir agar sunnat k ilm mein bhi sab barabar ho to phir imamat wo karaye jisne sabse pehle (Madeena ki taraf) hijrat ki, agar hijrat mein bhi sab barabar ho to phir wo imamat karaye jo sabse pehle musalman hua, aur (bila ijazat) koi shaks kisi ki jagah imamat na karaaye aur na kisi k ghar mein saahib e khaana ki musnad par uski ijazat k bagair baithey". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 673)
NA-BAALIGH BACCHEY AUR NA-BEENA KI IMAMAT
Agar kitabullah kisi na-baaligh bacchey ko ziyaadah yaad ho to usey imam banaya ja sakta hai.
Hazrat Umar bin Salma Razi Allahu Anhu farmate hai k apne qabeeley mein sabse ziyaadah quran mujhe yaad tha mujhe imam banaya gaya halankey meri umar saat saal thi. (Sahih Bukhari Kitabul Magaazi Hadees no. 4302)
Andhey ko imam banana jayez hai kyunki Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Abdullah bin Ummey Makhtoom Razi Allahu Anhu ko imam muqarrar kiya tha, halankey wo na-beena they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 595, imam Ibne Hibban Hadees no. 370 ne ise sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya teen aadiyo ki namaz qubool nahi hoti:
1. Wo ghulam jo apne malik se bhaag gaya ho jab tak wapas na aa jaye.
2. Wo aurat jiska khawind naraaz ho lekin wo raat-bhar sooti rahey.
3. Wo aadmi jo loogo ki imamat karaaye jabke loog us'se (uski bidaat, jahalat ya fisq ki bina par) na-pasand karte ho. (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 360)
NAMAZ MEIN TAKHFEEF
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki si (jesi) bahut halki aur bahut kamil namaz mene kisi imam k pichey nahi padhi, jab aap (aurato ki saff mein) bacchey k rooney ki aawaaz sunte to is darr se namaz halki kar dete k uski maa ko takleef hogi. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 708, Sahih Muslim Hadees no. 469)
Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mein namaz lambi karne k iraade se namaz mein dakhil hota hu, phir (aurato ki saff mein) bacchey k rooney ki aawaaz sunta hu to apni namaz mein kami kar deta hu (halki padhta hu) k bacchey k rooney se uski maa ko takleef hogi". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 707)
LAMBI NAMAZ PAR NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA GUSSA
Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Allah ki qasam mein subah ki namaz (jamaat mein) is wajah se nahi aata k falah shaks namaz ko lambi karte hai Hazrat Abu Mas'ood Razi Allahu Anhu ne kaha mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kisi waaz mein itne gussey mein nahi dekha jitna (lambi namaz padhaane walo par) dekha, Aapne farmaya "Tum (lambi namazey padha kar) loogo ko nafrat dilaane wale ho, (suno) jab tum loogo ko namaz padhaao to halki padhaao is liye k un (muqtadiyo) mein zaeef, boodhey aur haajat-mand bhi hote hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 702, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 466)
Hazrat Usman bin Abul Aas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mujhe Rasool Allah ki aakhir waseeyat ye thi "Jab tum loogo ki imamat karo to unko namaz halki pahaao kyunki tumhare pichey boodhey, mareez kamzoor aur kaam-kaaj wale loog hote hai, aur jab akele namaz padho to jis qadar chaaho lambi padho". (Sahih Muslim Hadees no. 468)
Halki namaz ka ye matlab nahi k ruku, sujood, qoumey aur jalse ko darham darham karke rakh diya jaye wazey ho k arkaan e namaz ki tadeel aur tamaniyaat k bagair namaz batil hoti hai aur quran ki tilawat ko na-munasib hadd tak taiz karna bhi jayez nahi hai balke halki namaz ka matlab ye hai k qiraat mein ikhtasaar kiya jaye magar qayaam ziyadah mukhtasar bhi na ho Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Afzal namaz wo hai jisme qayam lamba ho". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 756)
NAMAZ KI TARAF SUKOON SE AANA
Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu ne kaha k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sath namaz padh rahe they aapne loogo ki khat-pat suni, namaz k baad aapne pucha "Tum kya kar rahe they?" unhone arz ki hum namaz ki taraf jaldi aa rahe they, Aapne farmaya "Aesa na karo jab tum namaz ko aao to aaraam se aao, jo namaz tumhey mil jaye padh lo aur jo faut ho jaye usko baad mein poora karo". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 603)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne kaha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab farz namaz ki takbeer kahi jaye to doodte (bhaagte) hue na aao balke sukoon se aao jo mile padho aur jo rah jaye usey baad mein poora karlo kyunki jab tum namaz ka iraadah karte ho to namaz hi mein hote ho". (Sahih Muslim Hadees no. 602)
IMAMO PAR WABAAL
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar imamao ne namaz acchi tarah (arkaan ki tadeel aur sunnato ki ri'aayat k saath) padhaayi to tumhare liye bhi sawab hai aur unke liye bhi sawab hai aur agar namaz padhaane mein khata ki (yaani ruku wa sujood ki adm tamaniyaat aur qoumey jalse k fuqdaan se namaz padhayi) to tumhare (muqtadiyo) k liye (to) sawab hai aur unke liye wabaal hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 694)
Imam Nawawi Rahimahullah farmate hai k "Is hadees mein is baat ki daleel hai k agar koi imam be-wuzu ya ba-haalat e janabat namaz padha deta hai to muqtadiyo ki namaz sahih aur imam par namaz ka aadah hai khawah usne ye fa'al iradatan kiya ho ya la-ilmi ki bina par"
FASIQ KO IMAMAT SE HATANA
Agar kisi ko masjid mein imam muqarrar karne ka ikhtiyaar ho to wo fasiq ko imamat se hata sakta hai.
Ek Sahabi apni qaum ki imamat karaate they ek dafa usne qabeeley ki taraf thoka jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam usey dekh rahe they jab wo namaz se farigh hua to aapne farmaya k "Ye tumhari imamat na kare" phir usne imamat karni chahi to usey rook diya aur usey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka farmaan sunaya usne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se us baat ka zikr kiya to aapne farmaya "Han! tumne Allah aur uske Rasool ko azeeyat di". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 481)
Aur agar imam k aqeedey mein shirk e akbar ya kufr e akbar ho to uske pichey namaz ada nahi ki jayegi agar imam mastoorul haal hai yaani uske aqa'id k baare mein ilm nahi hai to uske pichey ada ki gayi namaz durust hai.
KISI UZR K SABAB MUQTADI IMAM K PICHEY NAMAZ KHATAM KAR SAKTA HAI
Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek shaks ne paani uthaane wale ounth (camel) le kar aaya, raat andheri ho gayi, usne Muaaz ko (isha ki) namaz padhte hue paya to usne apne ountho ko baithaya aur namaz mein shareek ho gaya, Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu ne Surah Baqarah shuru ki usne salam pher diya akele namaz padhi aur chala gaya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se shikayat ki aur arz ki ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hum mehnat karne wali qaum hai, Muaaz pehle aapke saath isha ki namaz padhta hai phir (taakheer k saath) hamare paas aata hai phir usne Surah Baqarah ki tilawat shuru kardi, Aapne Muaaz se farmaya "Ae Muaaz! kya tu loogo ko aazma'ish mein daalta hai? kya tu loogo ko nafrat dilata hai aur fitna khada karta hai aapne teen baar farmaya". (Sahih Bukhari Hadees no. 701, Sahih Muslim Hadees no. 465)
NAMAZ PADHA KAR IMAM MUQTADIYO KI TARAF MUH PHERE
Hazrat Samurah bin Jundab Razi Allahu Anhu riwayat karte hai, wo kehte hai "Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz padh chukte to hamari taraf mutawajjah hote". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 845, Sahih Muslim Hadees no. 2275)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aksar apni daahini taraf mudhte hue dekha hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 708)
Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai tum apni namaz mein se sirf daayi taraf se phir kar shaitan ka hissa muqarrar na karo, tehqeeq mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha k wo apne baaye taraf se bhi phirte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 852, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 708)
Maloom hua k imam ko phirne k liye sirf ek taraf muqarrar nahi kar leni chahiye, balkey kabhi daayi taraf se phira kare kabhi baayi taraf se magar aksar daayi taraf se mudhna chahiye.
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Beshak Allah ta'ala aur uske farishte daayi taraf wali safoo par rahmat bhejte hai". (Abu Dawood Hadees no. 676)
Hazrat Bara Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey namaz padhte to hum aapke daayi taraf khade hoone ko pasand karte they takey aap hamari taraf muh karke baithey. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 709)
Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab salam pherte to auratey salam pherte hi khadi ho kar chali jaati aur aap sahaba k saath thodi dair baithey rehte phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade hote aur Sahaba Razi Allahu Anhum bhi aapke saath khade ho jaate aur aapke uthne se pehle auratey gharo mein dakhil ho chuki hoti thi. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 837, 850)
Thursday, 15 October 2015
SAFF-BANDI K MURATIB
SAFF-BANDI K MURATIB
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mein apne hath hamare kandho par rakhte aur farmate barabar ho jao aur ikhtalaaf na karo warna tumhare dil mukhtalif ho jayengey (aur) wo loog jo baligh aur (deeni aetabaar se) aqal-mand hai saff mein mere qareeb rahey phir jo unse qareeb hai phir jo unse qareeb hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 432)
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu ne kaha k hamare ghar mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nafil namaz ki jamat karaayi, mein aur ek bacchey ne ikatthey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey saff banaayi aur mere han Ummey Saleem hamare pichey akeli hi saff mein khadi ho gayi. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 727, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 658)
Is se maloom hua k ek khatoon bhi pichey namaz mein khadi ho jaye to usey saff shumar kiya jayega.
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare ghar tashreef laye ghar mein meri walidah aur meri khaala thi, aapne hamey nafil ba-jamaat padhaayi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhe apni daayi taraf khada kiya aur aurato ko hamare pichey. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 440)
SAFF K PICHEY AKELE NAMAZ PADHNA
SAFF K PICHEY AKELE NAMAZ PADHNA
Bismillahirrahmanirraheem
Saff k pichey akele khade ho kar namaz nahi padhi chahiye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek shaks ko saff k pichey akele namaz padhte hue dekha to aapne usko namaz lootane ka hukm diya. (Abu Dawoos Kitabus Salaat Hadees no. 682, Imam Ibne Hibban 5:575, 576, Imam Ahmad, Is'haaq aur Ibne Hazam ne ise sahih kaha)
Agar saff mein jagah hai to pichey akele aadmi ki namaz nahi hoti aur agar saff mein jagah nahi hai to ye iztaraari kaifiyat hogi aesi surat mein akele hi khade ho jana chahiye namaz ho jayegi kyunki agli saff mein se kisi muqtadi ko pichey kheechna kisi sahih hadees se sabit nahi.
Imam Malik, Ahmad, Auzaayi, Is'haaq, aur Abu Dawood Rahimahullah farmate hai k saff se aadmi na kheencha jaye.
Allama Abdul Azeez bin Abdullah bin Baaz Rahimahullah farmate hai k agar koi shaks us waqt pahunchey jab Imam namaz ki halat mein ho aur saff mein usey kahi koi jagah na mile to wo intazaar kare yaha tak k koi doosra shaks aa jaye chahey wo saat saal ya is se ziyaadah umar ka baccha hi kyu na ho phir uske saath saff bana le warna imam k daayi janib khada ho jaye.
SAFOO KI TARTEEB
SAFOO KI TARTEEB
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar loogo ko namaz k liye jaldi aaney ka sawab maloom ho jaye to wo ek doosre se aagey badhey agar unhey isha aur subah ki namaz (ba-jamaat) ka sawab maloom ho jaye to wo ghutno k bal ghisit'te hue bhi (masjid mein) aaye aur agar unhey pehli saff ka sawab maloom ho jaye to wo uske liye qura daale (k kaun pehli saff mein khada ho)". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 721, Sahih Muslim Hadees no. 437)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Pehle awwal saff ko pura karo, phir usko jo pehli k nazdeek hai agar koi kami ho to aakhiri saff mein honi chahiye". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 671, ise Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 1546 aur Imam ibne Hibban Hadees no. 390 ne sahih kaha)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mardo ki safoo mein (sawab k lihaz se) sabse behtar, awwal saff hai, aur sabse badi, aakhiri saff hai aur aurato ki safoo mein sabse badi pehli saff hai aur sabse behtar aakhiri saff hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 440)
Imam Nawawi farmate hai "Ye tab hai jab khawateen bhi mardo k saath namaz mein hazir ho, kyunki agar mard aakhiri saff mein khade ho aur unke mutasal baad khawateen khadi ho to unka khayal ek doosre ki taraf ja sakta hai lekin agar mard pehli saff mein ho aur khawateen aakhiri safoo mein ho jabke darmiyan mein bacchey ho to phir aesa imkaan nahi rahega".
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab loog (pehli saff se) pichey hat'tey rahenge to Allah ta'ala bhi unko (apni rahmat mein) pichey daal dega". (Sahih Muslim Hadees no. 438)
SATOONO K DARMIYAAN SAFEY
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k door mein (satoono k darmiyaan safey banaane) se bach'te they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 673, ise Imam Tirmizi ne hasan jabke Imam Hakim aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)
Monday, 12 October 2015
SAFOO MEIN MIL KAR KHADE HONE KA HUKM
SAFOO MEIN MIL KAR KHADE HONE KA HUKM
Bismillahirrahmanirraheem
Quraan e Hakeem mein hai "WA AQEEMUS SALAAH" "Aur namaz qayim karo". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 43)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apni safoo ko barabar karo, bila-shubah safoo ka barabar karna namaz k qayim karne mein dakhil hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 723, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 433)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Safoo ko seedha karo kyunki saff ko seedha karna namaz k husn mein se hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 722, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 435)
Hazrat Nomaan bin Basheer Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamari safoo ko (aesa) barabar karte gooya unke saath teero ko barabar karte ho, yaha tak k humne Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se safoo ka seedha karna samajh liya, ek din aap (jamaat k liye) khade hue aur takbeer kehne ko they k ek shaks ko dekha uska seena saff se bahar nikla hua tha, pas farmaya "Apni safoo ko barabar aur seedha karo warna Allah ta'ala tum mein ikhtalaaf daal dega". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 717, Sahih Muslim Hadees no. 436)
Mazkoorah Hadees ki roo se safoo ka seedha karna nihayat zaroori hai, iqamat ho chukne k baad jab safey seedhi durust aur barabar ho jaaye to phir imam ko takbeer e oula kehni chahiye.
Khabardaar! Safey tedhi na ho k safoo ka teedha-pan ba'hami phoot, dilo k ikhtalaaf aur batini kadoorat ka mojab hai.
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apni safoo mein khoob mil kar khade ho aur safoo k darmiyaan nazdeeki karo (yaani do safoo k darmiyaan fasila na choodo) aur gardaney barabar rakkho (yaani sab barabar jagah par khade hon, k gardaney barabar ho) qasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai tehqeeq mein shaitan dekhta hu jo safoo k shagaafo mein dakhil hota hai gooya k wo bakri ka siyaah baccha hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 667, Ise Imam Ibne Hibban 387 aur Ibne Khuzaima 1545 ne sahih kaha)
Hazrat Noman bin Basheer Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ki taraf muh karke farmaya "Loogo! apni safey seedhi karo, loogo! apni safey durust karo, loogo! apni safey barabar karo, suno! Allah ki qasam agar tumne safey seedhi na ki to Allah ta'ala tumhare dilo mein ikhtalaaf aur phoot daal dega phir ye halat ho gayi k har shaks apne saathi k takhne se takhna, ghutne se ghutna, kandhey se kandha chipka deta tha". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 662, Ibne Hibbann Hadees no. 396 ne ise sahih kaha)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Safoo ko seedha karo aur aapas mein nazdeek nazdeek khade ho tehqeeq mein tumhey pas pusht bhi dekhta hu" (ye aapka mojazah tha) Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k hum mein se har shaks (safoo mein) apna kandha doosre k kandhey se aur apna qadam doosre k qadam se mila deta tha. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 434)
Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam saff k andar aatey hamare seeno aur kandho ko barabar karte aur farmate they "Aagey pichey mat ho" (warna) tumhare dil bhi mukhtalif ho jayengey aur farmate they "tehqeeq Allah ta'ala pehli saff walo par apni rahmat bhejta hai aur farishte unke liye (rahmat ki) dua karte hai". (Abu Dawood Hadees no. 664, Mustadrak E Haakim 1:571, Imam ibne Hibban 1376, imam Ibne Khuzaima aur imam Nawawi ne ise sahih kaha)
Hazrat Noman bin Basheer Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab hum namaz k liye khade hote to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamari safoo ko barabar karte they jab safey barabar ho jaati to (phir) aap ALLAHU AKBAR keh kar namaz shuru karte. (Abu Dawood Hadees no. 665)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Safoo ko qayim karo, kandhey barabar karo, (safoo k andar) un jaghoo ko pur karo jo khaali reh jaaye, apne bhaiyo k haatho mein naram ho jao, safoo k andar shaitan k liye jagah na choodo, aur jo shaks saff milayega Allah bhi usey (apni rahmat se) milayega, aur jo saff ko kaatega Allah bhi apni rahmat se usko kaat dega". (Abu Dawood Hadees no. 666, ise Imam Hakim 1:213, imam Ibne Khuzaima Hadees no. 549 Imam Zahbi aur Nawawi ne sahih kaha)
Apne bhaiyo k haatho mein naram ho jaane ka ye matlab hai k agar saff durust karne k liye koi tumko aagey ya pichey kare to badi narmi aur muhabbat se aagey ya pichey ho jao, agar saff se koi nikal kal chala jaye to uski jagah le kar saff ko mila lo, Allah tum par rahmat karega, saff k andar (jaan boojh kar) ek doosre se door door khade hona saff ko kaatna hai aese loogo ko Allah apni rahmat se door karega, muqtadi ko imam ki taraf milna chahiye agar doosra saathi nahi milta to wahi gunah-gaar hoga dono taraf milne ki koshish mein taangey bahut ziyaadah khoolna durust nahi, sirf imam ki taraf milna chahiye.
AURATO KO MASJID MEIN JAANE KI IJAZAT
AURATO KO MASJID MEIN JAANE KI IJAZAT
Bismillahirrahmanirraheem
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tumhari aurat masjid ki taraf jaane ki ijazat maangey to usey hargiz mana na karo". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 873, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 442)
Is se maloom hota hai k har masjid mein khawateen k liye namaz padhne ka har mumkin intazaam hona chahiye. Wallalhu Aalam
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum apni aurato ko (namaz padhne k liye) masjid aaney se mana na karo, agarchey unke ghar unke liye behtar hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 567, Imam Hakim 1:209, Imam Ibne Khuzaima 1684 aur Imam Zahbi ne ise sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aurat ka kamrey mein namaz padhna sehan mein namaz padhne se behtar hai, aur uska kothadi mein namaz padhna akele makaan mein namaz padhne se behtar hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 570, ise Imam Hakim 209, ibne Khuzaima 688 aur Imam Zahbi ne sahih kaha)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "K jo aurat masjid mein aana chaahey to wo khushboo na lagaaye". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 443)
Maqsad ye hai k masjid jaane wali khatoon har us kaam se parhaiz kare jis se wo loogo ki nigaahon ka markaz ban sakti ho.
NAMAZ BA-JAMAAT KI AHMIYAT
NAMAZ BA-JAMAAT KI AHMIYAT
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ne farmaya k jo shaks Allah ta'ala se qayamat k din musalman ho kar mulaqaat karna chahta hai to usey namazo ki hifazat karni chahiye aur beshak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamey hidayat k tareeqey sikhaaye, un hidayat k tareeqo mein ye baat bhi shamil hai k us masjid mein namaz ada ki jaye jisme azaan di jaati hai, aur agar tum namaz apne apne gharon mein padhogey jese (jamaat se) pichey rehne wala shaks apne ghar mein padh leta hai to tum apne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat chood dongey aur agar Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat chood dongey to gumraah ho jaogey aur jab koi shaks accha wuzu karke masjid jaaye to Allah ta'ala har qadam k badle ek naiki likhta hai, ek darja buland karta hai aur ek buraayi mita deta hai, jamaat se, siwaaye khuley munafiq k koi pichey nahi rehta, bimaar bhi do aadmiyo k sahaare namaz k liye aata hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 654)
Hazrat Abdullah ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Akele shaks ki namaz se, jamaat k saath namaz padhna 27 darjey ziyaadah (sawaab) rakhta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 645, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 650)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai albatta mene iraadah kiya k mein lakdiyon k jama karne ka hukm du phir azaan kehlawaon aur kisi shaks ko imamat k liye kahu phir un loogo k ghar jala du jo namaz (jamaat) mein hazir nahi hote". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 644, Sahih Muslim Hadees no. 651)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k ek na-beena shaks (Hazrat Abdullah bin Ummey Maktoom Razi Allahu Anhu) aaye unhoney apne andhey hoone ka uzr paish kar k apne ghar par namaz padhne ki ijazat chaahi kyunki koi masjid mein lekar aane wala nahi tha, to Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unko ijazat de di jab wo wapas chale to aapne bula kar pucha: azaan sunte ho? Hazrat Abdullah Razi Allahu Anhu ne kaha "ji han" aapne farmaya "To phir namaz mein hazir ho". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 653)
Bhaiyo soocho! na-beena ko ghar mein namaz padhne ki ijazat na mil saki aur aankho wale jo azaan sun kar masjid mein namaz padhne k liye nahi jaate qayamat k din unka kya haal hoga?
Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks azaan sun kar masjid mein jamaat k liye bagair kisi uzr k na pahunchey (aur ghar mein namaz padh le) to uski namaz qubool nahi ki jaati". (Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 793)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis basti ya jangal mein teen aadmi ho aur wo jamaat se namaz na padhey to un par shaitan musallat ho jata hai pas jamaat ko lazim pakdo". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 547, ise Imam Hakim 1:1246, ibne Khuzaima, Ibne Hibban, Zahbi aur Imam Nawawi ne sahih kaha)
Sunday, 11 October 2015
DAROOD K BAAD KI DUWAYE AUR NAMAZ KA IKHTATAAM
DAROOD K BAAD KI DUWAYE AUR NAMAZ KA IKHTATAAM
Bismillahirrahmanirraheem
1. Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mein (aakhiri qaadey mein) yun dua farmate they:
"ALLAHUMMA INNI A’OUZU BIKA MIN AZAABIL QABRI WA A’OUZU BIKA MIN FITNATIL MASEEHID DAJJAALI WA A’OUZU BIKA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI ALLAHUMMA INNI A’OUZU BIKA MINAL MAASAMI WAL MAGRAMI"
"Ya ilahi! mein teri panah mein aata hu azaab se qabr se aur teri panah mein aata hu dajjal k fitney se aur teri panah mein aata hu maut wa hayaat k fitney se, ya ilahi, mein gunah se aur qarz se teri panah maangta hu".
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne arz ki ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aap qarz se bahut panah kyu maangte hai? aapne farmaya: jab aadmi qarz-daar hota hai to wo jhoot boolta hai aur waadah khilaafi bhi karta hai. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 832, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 589)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Tashahud mein chaar cheezo se Allah ta'ala ki panah zaroor talab karo" wo ye hai:
"ALLAHUMMA INNI A’OUZU BIKA MIN AZAABI JAHANNAMA WA MIN AZAABIL QABRI WA MIN FITNATIL MAHYAA WA MAMAATI WA MIN FITNATIL MASEEHID DAJJAAL"
"Ae Allah! mein jahannam aur qabr k azaab se, maut wa hayaat k fitney aur maseeh dajjal k shar se teri panah maangta hu". (Sahih Muslim Hadees no. 588)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye dua Sahaba Razi Allahu Anhum ko is tarah sikhaate jesa k unhey quran ki suratey sikhaate they. (Sahih Muslim Hadees no. 590) Lihaza ise padhna zaroori hai.
2. Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene kaha Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! namaz mein maangne k liye mujhe (koi) dua sikhlaiye (k usey at-tahhiyaat aur darood k baad padha karu) to aapne farmaya padh:
"ALLAHUMMA INNI ZALAMTU NAFSI ZULMAN KASEERAU WALA YAGFIRUZ ZUNOOBA ILLA ANTA FAGFIRLE MAGFIRATAM MIN INDIKA WARHAMNI INNAKA GAFOORUR RAHEEM"
"Ya ilahi! bila shubah mene apni jaan par bahut ziyaadah zulm kiya hai, aur tere siwa gunaho ko koi nahi baksh sakta, pas apni janaab se mujhko baksh de aur mujh par rahmat kar, beshak tu hi bakshne wala meharbaan hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 834, Sahih Muslim Kitabuz Zikr wa Dua Hadees no. 2705)
3. Hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashahud k baad salaam pherne se qabl ye dua padhte they:
"ALLAHUM MAGFIRLI MA QAD'DAMTU WAMA AKKHARTU WAMA ASRARTU WAMA AALANTU WAMA ASRAFTU WAMA ANTA AALAMU BIHI MINNI ANTAL MUQADDIMU WA ANTAL MU'AKKHIRU LA ILAHA ILLA ANTA"
"Ae Allah! tu mere agle pichle, poshidah aur zahir (tamaam) gunah maaf farma aur jo mene ziyadati ki aur wo gunah jo tu mujhse ziyadah jaanta hai (wo bhi maaf farma) tu hi (apni dargaah e izzat mein) aagey karne wala aur (apni baar-gaah e jalaal se) pichey karne wala hai, sirf tu hi (saccha) mabood hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 771)
4. Hazrat Mihjan bin Al-Adra Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam masjid mein dakhil hue to ek shaks masjid k aakhir mein ye dua kar raha tha:
"ALLAHUMMA INNI AS'ALUKA YA ALLAHUL AHADUS SAMADUL LAZI LAM YALID WA LAM YOOLAD WA LAM YAKULLAHU KUFUWAN AHAD, AN TAGHFIRALI ZUNOOBI INNAKA ANTAL GAFOORUR RAHEEM"
"Ae Allah mein tujhse sawal karta hu us baat k saath k tu wahid, akela aur be-niyaaz hai, jisne na jana na jana gaya aur na uska koi shareek hai k tu mujhe aur mere gunah maaf karde beshak tu bakshane wala bahut meharbaan hai".
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Teri bakshish ho gayi, teri bakshish ho gayi, teri bakshish ho gayi". (Abu Dawood Hadees no. 985, Nasayi 3:52, 1301)
4. Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallamk saath baitha hua tha aur ek aadmi namaz padh raha tha, usne tashahud mein ye dua padhi:
"ALLAHUMMA INNI AS'ALUKA BI-ANNA LAKAL HAMDA LA ILAHA ILLA ANTAL MANNANU BADEE'US SAMAAWAATI WAL ARZI YA ZAL JALAALI WAL IKRAAMI YA HAYYU YA QAYYOOMU INNI AS'ALUKA"
"Ae Allah mein tujhse sawal karta hu us baat k saath k hamd tere liye hai, tere alawah koi ibadat k laayiq nahi, behad ehsaan karne wala, aasmaano aur zameeno ko banaane wala buzurgi aur izzat wala, zindah aur qaayim rakhne wala mein tujhse sawal karta hu".
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai usne Allah k azeen naamo k saath dua ki hai jo shaks unke saath dua karta hai Allah qubool karta hai aur jab wo maangta hai Allah ata karta hai". (Nasayi Kitabus Sahu Hadees no. 300)
Hazrat Ammaar bin Yasir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mein ye dua karte they:
"ALLAHUMMA BI ILMIKAL GHAI'BA WA QUDRATIKA ALAL KHALQI AHYINI MA ALIMTAL HAYAATA KHAIRAN LI WATA WAFFINI IZA ALIMTAL WAFAATA KHAIRAN LI WA AS'ALUKA KHASH YATAKA FIL GHAI'BI WASH SHAHADATA WA KALIMATAL IKHLAASI FIR RIZAA WAL GAZABI WA AS'ALUKA NA'EEMAN LA YAN FADU WA QUR-RATA AYENIN LA YAN QATI'U WA AS'ALUKAR RIZAA BIL QAZAA'E WA BARDAL AEESHI BAADAL MAUTI WAL LAZZATIN NAZARI ILA WAJHIKA WASH SHAUQA ILA LIQAATIKA WA A'OUZU BIKA MIN ZARRA'A MUZIRRATIN WA FITNATIN MUZIL LATIL LAHUMMA ZAYYINA BI ZAI'NATIL EEMAANI WAJ ALNA HUDATAN MUH TADEEN"
"Ae Allah! mein tere ghaib jaan'ne aur khalq par qudrat rakhne k saath sawal karta hu k mujhe us waqt tak zindah rakh jab tak tu mere liye zindagi behtar jaane aur mujhe us waqt faut kar jab wafaat mere liye behtar jaane, mein gaayib aur hazir ki halat mein tujhse teri khashyat ka sawal karta hu aur raazi aur gussey ki halat mein khalis baat kehne ki tofeeq ka sawal karta hu, aur mein tujhse un naimatu ka sawal karta hu jo khatam na ho aur aankhon ki aesi thandak ka sawal karta hu jo khatam na ho, aur mein tujhse tere faisalo par raazi rehne ka sawal karta hu aur mein tujhse maut k baad zindagi ki thandak ka sawal karta hu aur mein tujhse tere chehrey ki taraf dekhne ki lazzat aur teri mulaqaat k shonk ka sawal karta hu aur mein takleef-deh museebat aur gumraah-kun fitno se teri panaah chahta hu, Ae Allah! hamey emaan ki zeenat se mazeen farma aur hamey hidayat dene wala hidayat paane wala bana". (Nasayi Hadees no. 1306, 3:55)
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mein ye dua kiya karte they:
"ALLAHUMMA INNI A'OUZU BIKA MIN SHARRI MA ALIMTU WA MIN SHARRI MAALAM AAMAL"
"Ae Allah! mein teri panah chahta hu un aamaal k sharr se jo mene kiye aur un aamaal k sharr se bhi jo mene nahi kiye". (Sahih Muslim Kitabuz Zikr wa Dua Hadees no. 2716, Nasayi 3:56, 1307)
NAMAZ KA IKHTATAAM:
Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne daayi taraf salam pherte (to kehte) "AS-SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" aur baayi taraf salam pherte to kehte "AS-SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH". (Abu Dawood Kitabus Salat Hadees no. 996, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 295, ise Tirmizi aur Ibne Hibban ne sahih kaha)
Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padhi aap daayi taraf salam pherte to kehte "AS-SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAHI WA BARAKATUHU" aur baayi taraf salam pherte to kehte "AS-SALAAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH" (yaani sirf daayi taraf wale salaam mein "WA BARAKATUHU" ka izaafa karte). (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 997, Imam Nawawi aur Imam Ibne Hajar ne ise sahih kaha)
AAKHITI QAADAH (TASHAHUD) AUR DAROOD SHAREEF
AAKHIRI QAADAH (TASHAHUD) AUR DAROOD SHAREEF
Bismillahirrahmanirraheem
Is aakhiri qaadey mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam yuh baithte they jesa k Hazrat Abu Saadi Razi Allahu Anhu bayan karte hai k jab wo sajdah aata jiske baad salaam hai (yaani jab aakhiri rakaat ka doosra sajdah karke faarigh hote aur tashahud wagairah k liye baithte) to apna baaya pao (daayi pindali k nichey se bahar) nikaalte aur daayen pao ko khada karke nasb karte aur apni baayi janib k kulhey par baithte, phir (tashahud, darood aur dua padh kar) salaam phairte. (Sahih Bukhari Hadees no. 828, Abu Dawood Hadees no. 730)
Baayi janib kulhey par baithna "TAWARRUK" kehlata hai, ye sunnat hai, har musalman ko aakhiri qaadey mein tawarruk zaroor karna chahiye, kitne afsoos ki baat hai k hamari auratey to aakhiri tashahud mein tawarruk karey aur mard is sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mehroom rahey.
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us shaks ko mana kiya jo tashahud ki halat mein baayen haath par taik lagaaye hue tha aapne farmaya "Aese na baitho, is tarah wo baithte they jin par Allah ta'ala ka azaab nazil hua tha". (Musnad Ahmad, An Abdullah bin Umar 2:116, 5972 wa isnaada hasan)
Jab aap is qaadey mein baithey to pehle at'tahhiyaat padhey jis tarah doosri rakaat padh kar aapne qaadey mein padhi thi, aur rafa e sabbaaba bhi kare, at'tahhiyaat khatam karke mandarja zail darood shareef padhey:
Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k humne kaha ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam hum aap par kese darood bhejey aapne farmaya kaho:
"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA SAL'LAITA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED, ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA WA ALA AALI IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED"
"Ya Allah rahmat bhej Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jese rahmat bheji tooney Ibraheem Alaihis Salaam aur aal e Ibraheem Alaihis Salaam par beshak tu tareef kiya gaya, buzurgi wala hai, Ya Allah barkat bhej Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur aal e Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jese barkat bheji tooney Ibraheem Alaihis Salaam aur aal e Ibraheem Alaihis Salaam par beshak tu tareef kiya gaya, buzurgi wala hai". (Sahih Bukhari Kitabul Ahadeesul Anbiya Hadees no. 3370, Sahih Muslim Hadees no. 406)
Hazrat Abu Mas'ood Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha gaya k hum aap par kese darood padhey to aapne farmaya kaho:
"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA SAL'LAITA ALA IBRAHEEMA WA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMADIN KAMA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA FIL AALAMEENA INNAKA HAMEEDUM MAJEED". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 406)
Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone arz ki ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hum aap par kese darood bhejey aapne farmaya kaho:
"ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AZWAAJIHI WA ZURRIYATIHI KAMA SAL'LAITA ALA AALI IBRAHEEMA WA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AZWAAJIHI WA ZURRIYATIHI KAMA BAARAKTA ALA IBRAHEEMA INNAKA HAMEEDUM MAJEED"
"Ae Allah! Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam unki beewiyo aur unki aulaad par rahmat farma jesa k tuney aale Ibraheem par rahmat farmayi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam, unki beewiyo aur unki aulaad par barkat farma jesa k tuney aale Ibraheem par barkat farmayi, beshak tu tareef wala aur buzurgi wala hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 3369, Sahih Muslim Hadees no. 407)
Kisi bhi sahih riwayat mein darood shareef mein "SAYYIDANA" ya "MAULANA" ka lafz mojood nahi hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba Razi Allahu Anhum ko jo darood sikhaaya tha, jab usme ye alfaaz nahi hai to hamey bhi izaafa nahi karna chahiye, Hafiz ibne Hajar Rahimahullah farmate hai k jo alfaaz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se manqool hai unki pairvi raajeh hai, Imam Nawawi Rahimahullh farmate hai k darood ka (masnoon) tareeqa ye hai k (ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAMMAD.....) k alfaaz k saath darood bheja jaye jo "SAYYIDANA" k lafz se khaali hai.
Hazrat Abu Talha Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek rooz Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum mein tashreef laye, aapke chehrey par khushi k aasaar numaaya they, aapne farmaya k mere paas Jibraeel Alaihis Salaam aaya aur usne kaha aapka parwardigaar farmata hai k "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya tujhey ye baat khush nahi karti k teri ummat mein se jo shaks tujh par ek baar darood bhejta hai to mein us par das baar rahmat bhejta hu aur teri ummat mein se jo shaks tujh par ek baar salaam bhejta hai to mein us par das baar salaam bhejta hu". (Nasaayi 3:50, 1295, Imam Hakim aur Imam Zahbi ne ise sahih kaha)