SAFOO MEIN MIL KAR KHADE HONE KA HUKM
Bismillahirrahmanirraheem
Quraan e Hakeem mein hai "WA AQEEMUS SALAAH" "Aur namaz qayim karo". (Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 43)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apni safoo ko barabar karo, bila-shubah safoo ka barabar karna namaz k qayim karne mein dakhil hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 723, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 433)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Safoo ko seedha karo kyunki saff ko seedha karna namaz k husn mein se hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 722, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 435)
Hazrat Nomaan bin Basheer Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamari safoo ko (aesa) barabar karte gooya unke saath teero ko barabar karte ho, yaha tak k humne Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam se safoo ka seedha karna samajh liya, ek din aap (jamaat k liye) khade hue aur takbeer kehne ko they k ek shaks ko dekha uska seena saff se bahar nikla hua tha, pas farmaya "Apni safoo ko barabar aur seedha karo warna Allah ta'ala tum mein ikhtalaaf daal dega". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 717, Sahih Muslim Hadees no. 436)
Mazkoorah Hadees ki roo se safoo ka seedha karna nihayat zaroori hai, iqamat ho chukne k baad jab safey seedhi durust aur barabar ho jaaye to phir imam ko takbeer e oula kehni chahiye.
Khabardaar! Safey tedhi na ho k safoo ka teedha-pan ba'hami phoot, dilo k ikhtalaaf aur batini kadoorat ka mojab hai.
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apni safoo mein khoob mil kar khade ho aur safoo k darmiyaan nazdeeki karo (yaani do safoo k darmiyaan fasila na choodo) aur gardaney barabar rakkho (yaani sab barabar jagah par khade hon, k gardaney barabar ho) qasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai tehqeeq mein shaitan dekhta hu jo safoo k shagaafo mein dakhil hota hai gooya k wo bakri ka siyaah baccha hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 667, Ise Imam Ibne Hibban 387 aur Ibne Khuzaima 1545 ne sahih kaha)
Hazrat Noman bin Basheer Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ki taraf muh karke farmaya "Loogo! apni safey seedhi karo, loogo! apni safey durust karo, loogo! apni safey barabar karo, suno! Allah ki qasam agar tumne safey seedhi na ki to Allah ta'ala tumhare dilo mein ikhtalaaf aur phoot daal dega phir ye halat ho gayi k har shaks apne saathi k takhne se takhna, ghutne se ghutna, kandhey se kandha chipka deta tha". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 662, Ibne Hibbann Hadees no. 396 ne ise sahih kaha)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Safoo ko seedha karo aur aapas mein nazdeek nazdeek khade ho tehqeeq mein tumhey pas pusht bhi dekhta hu" (ye aapka mojazah tha) Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k hum mein se har shaks (safoo mein) apna kandha doosre k kandhey se aur apna qadam doosre k qadam se mila deta tha. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 434)
Hazrat Bara bin Aajib Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam saff k andar aatey hamare seeno aur kandho ko barabar karte aur farmate they "Aagey pichey mat ho" (warna) tumhare dil bhi mukhtalif ho jayengey aur farmate they "tehqeeq Allah ta'ala pehli saff walo par apni rahmat bhejta hai aur farishte unke liye (rahmat ki) dua karte hai". (Abu Dawood Hadees no. 664, Mustadrak E Haakim 1:571, Imam ibne Hibban 1376, imam Ibne Khuzaima aur imam Nawawi ne ise sahih kaha)
Hazrat Noman bin Basheer Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab hum namaz k liye khade hote to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamari safoo ko barabar karte they jab safey barabar ho jaati to (phir) aap ALLAHU AKBAR keh kar namaz shuru karte. (Abu Dawood Hadees no. 665)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Safoo ko qayim karo, kandhey barabar karo, (safoo k andar) un jaghoo ko pur karo jo khaali reh jaaye, apne bhaiyo k haatho mein naram ho jao, safoo k andar shaitan k liye jagah na choodo, aur jo shaks saff milayega Allah bhi usey (apni rahmat se) milayega, aur jo saff ko kaatega Allah bhi apni rahmat se usko kaat dega". (Abu Dawood Hadees no. 666, ise Imam Hakim 1:213, imam Ibne Khuzaima Hadees no. 549 Imam Zahbi aur Nawawi ne sahih kaha)
Apne bhaiyo k haatho mein naram ho jaane ka ye matlab hai k agar saff durust karne k liye koi tumko aagey ya pichey kare to badi narmi aur muhabbat se aagey ya pichey ho jao, agar saff se koi nikal kal chala jaye to uski jagah le kar saff ko mila lo, Allah tum par rahmat karega, saff k andar (jaan boojh kar) ek doosre se door door khade hona saff ko kaatna hai aese loogo ko Allah apni rahmat se door karega, muqtadi ko imam ki taraf milna chahiye agar doosra saathi nahi milta to wahi gunah-gaar hoga dono taraf milne ki koshish mein taangey bahut ziyaadah khoolna durust nahi, sirf imam ki taraf milna chahiye.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Monday, 12 October 2015
SAFOO MEIN MIL KAR KHADE HONE KA HUKM
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment