IMAM KI IQTADA K AHKAAM
Bismillahirahmanirreheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Imam se pehle na karo! jab wo takbeer kahe, uske baad tum takbeer kaho, aur jab imam (WALAZ ZAAL'LEEN) kahe tu tum uske baad aameen kaho, aur jab imam ruku kare tum uske baad ruku karo aur jab imam (SAMI ALLAHULMAN HAMIDAH) kahe to tum (ALLHUMMA RABBANA LAKAL HAMD) kaho". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 415)
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek ghoodey se gir padey, aapki dahini pehlu chil gayi to aapne ek namaz baith kar padhi humne bhi aapke pichey baith kar namaz padhi, namaz se farigh hone k baad aapne farmaya "Imam is liye muqarrar kiya gaya hai k uski pairvi ki jaye jab wo khada ho kar namaz padhey to tum bhi khade ho kar padho, jab wo ruku kare tum bhi ruku karo aur jab wo ruku se sar uthaaye to tum bhi uthaao aur jab wo baith kar namaz padhey to tum bhi baith kar namaz padho". (Sahih Bukhari Hadees no. 689, Sahih Muslim Hadees no. 411)
Imam Bukhari Rahimahullah farmate hai k Humaidi ne kaha aapka ye farman k jab imam baith kar namaz padhey to tum bhi baith kar padho shuru ki beemari mein tha, maut ki aakhiri beemari mein aapne baith kar namaz padhi aur loog aapke pichey khade they, aapne unko baithne ka hukm nahi diya, aur aapka jo fa'al aakhiri ho usi ko lena chahiye. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 689)
Hazrat Bara bin Aazib Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey namaz padhte they pas jab aap (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) kehte (to hum aapke pichey qoumey mein khade ho jate they aur phir) hum mein se koi apni peeth (sajdey mein jaane k liye) na jhukaata tha yaha tak k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni paishani zameen par rakh dete. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 690, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 474)
Hazraat! gaur kiya aapne! k jab tak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam qoumey se sajde mein pahunch kar apni paishani mubarak zameen par na rakh dete they us waqt tak tamaam Sahaba Razi Allahu Anhum khade rehte they, koi peeth tak na jhukaata tha aur hamara ye haal hai k imam qoumey se sajdey mein aaney k liye bhi (ALLAHU AKBAR) hi kehta hai to muqtadi imam k sajde mein pahunchane se pehle hi sajde mein pahunch jata hai Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Imam se pehle ruku karo na sajdah aur imam se pehle khade ho na pehle salam phero". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 426)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi imam se pehle sajdah se apna sar uthata hai kya wo nahi darta k Allah ta'ala uske sar ko gadhey k sar ki tarah karde". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 428)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab namaz mein koi baat darpaish ho to mard muqtadi "SUBHAN ALLAH" kahe aur taali bajana aurato k liye hai". (Sahih Bukhari Kitabul Amala fis Salaat Hadees no. 1203, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 422)
Aurat Subhan Allah kehne ki bajaaye ek haath ko doosre hath ki push par maaregi. Wallahu Aalam
Hazrat Masoor bin Yazeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek dafa Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qiraat mein quraan ka kuch hissa chood diya, ek aadmi ne kaha: aapne falah falah aayat chood di to aapne farmaya "Tuney mujhe yaad kyu na karwaya?". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 907, Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban ne ise sahih kaha)
No comments:
Post a Comment