IMAMAT K CHAND MASA'IL
Bismillahirrahmanirreheem
1. Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne hujrah mein (ramazaanul mubarak mein) raat ki namaz padhi aur hujrah ki deewaar chooti thi loogo ne dekh liya aur unhone hujrey se bahar aapki iqtada mein namaz ada ki". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 729)
Maloom hua k Imam aur muqtadiyo k darmiyan agar deewar aa jaye to koi harj nahi, baaz masajid mein juma k din bheed hone ki bina par masjid se bahar sadak par namaz ada ki jaati hai agar muqtadi takbeer ki aawaaz sun rahe hai to aesa karne mein koi harj nahi.
2. Hazrat Abdullh bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k mein raat ki namaz mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baayi taraf khada hua, aapne pichey se mera sar pakda aur mujhe apni daayi taraf kar diya. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 726, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 763)
Is se maloom hua k nawafil ki jamaat mein takbeer (iqamat) nahi hai aur agar akele aadmi ne namaz shuru ki phir doosra aa kar uske saath aa mila to pehla namazi imamat ki niyat karke namaz jaari rakkhey. Wallahu Aalam
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k mein namaz mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey khada ho gaya to aapne mera kaan pakad kar mujhe apni daayi janib kar liya. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 766)
3. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz ada karne k liye nikalte to Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu aapko dekh kar takbeer kehte aur aapke (hujrah se) nikalne k baad loog saff-bandi karte they. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 606)
4. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki beemari k ayyaam mein Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne imamat karaayi, ek din aapne takleef mein takhfeef paayi to aap do Sahaba Razi Allahu Anhum ka sahara lete hue masjid mein dakhil hue Siddeque E Akbar Razi Allahu Anhu jamaat kara rahe they, Jab Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ne aapki aamad mehsoos ki to pichey hatna chaha, aapne isharah kiya k pichey na ho, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ki baayi taraf baith gaye aur baith kar namaz ada ki aur Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu khade they, Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki iqtada karte aur loog Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu ki iqtada karte, ye zuhar ki namaz thi. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 687, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 418)
5. Jang e Tabook mein ek din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam rafa e haajat k liye gaye aa kar wuzu kiya jab pahunchey to dekha k Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu namaz padha rahe they unke pichey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek rakaat padhi, Hazrat Abdur Rahman bin Aouf Razi Allahu Anhu ne dono rakatey padhne k baad salam phair kar dekha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz puri karne ki khatir doosri rakaat k liye khade ho gaye they, Salam k baad farmaya tum loogo ne accha kiya, tum loog waqt muqarrarah par namaz padha karo. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 274)
6. Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padhte phir apni qaum k paas aatey aur unhey namaz padhaate. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 700, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 465)
Ye namaz Hazrat Muaaz Razi Allahu Anhu k liye nafil aur muqtadiyo k liye farz ban jaati thi, is se maloom hua k namaz mein imam aur muqtadi ki niyat ka mukhtalif hona jayez hai.
7. DO AADMIYO KI NAMAZ
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai k ek aadmi masjid mein aaya, aap namaz padha chuke they Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Is par kaun sadqa karega ek shaks khada hua aur usne aane wale k saath ba-jamaat namaz padhi". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 574, Imam Tirmizi, Imam Hakim aur Imam Zahbi ne sahih kaha)
Maloom hua k masjid mein pehle jamaat khatam hone k baad doosri jamaat qayim karna jayez hai aur jamaat k liye do aadmi kaafi hai isi tarah agar koi ramazaan mein us waqt masjid mein aaye jab taraweeh ki namaz shuru ho chuki ho aur usne isha ki namaz na padhi ho to wo isha ki niyat se jamaat mein shamil ho jaye aur imam k salaam phairne k baad baaqi rakaatey pori karle takey is tarah usey jamaat ka sawab mil jaye.
No comments:
Post a Comment